Luke 16 (UGV3)

1 Īsā ne shāgirdoṅ se kahā, “Kisī amīr ādmī ne ek mulāzim rakhā thā jo us kī jāydād kī dekh-bhāl kartā thā. Aisā huā ki ek din us par ilzām lagāyā gayā ki wuh apne mālik kī daulat zāe kar rahā hai. 2 Mālik ne use bulā kar kahā, ‘Yih kyā hai jo maiṅ tere bāre meṅ suntā hūṅ? Apnī tamām zimmedāriyoṅ kā hisāb de, kyoṅki maiṅ tujhe barḳhāst kar dūṅgā.’ 3 Mulāzim ne dil meṅ kahā, ‘Ab maiṅ kyā karūṅ jabki merā mālik yih zimmedārī mujh se chhīn legā? Khudāī jaisā saḳht kām mujh se nahīṅ hotā aur bhīk māṅgne se sharm ātī hai. 4 Hāṅ, maiṅ jāntā hūṅ ki kyā karūṅ tāki log mujhe barḳhāst kie jāne ke bād apne gharoṅ meṅ ḳhushāmdīd kaheṅ.’ 5 Yih kah kar us ne apne mālik ke tamām qarzdāroṅ ko bulāyā. Pahle se us ne pūchhā, ‘Tumhārā qarzā kitnā hai?’ 6 Us ne jawāb diyā, ‘Mujhe mālik ko zaitūn ke tel ke sau kanastar wāpas karne haiṅ.’ Mulāzim ne kahā, ‘Apnā bil le lo aur baiṭh kar jaldī se sau kanastar pachās meṅ badal lo.’ 7 Dūsre se us ne pūchhā, ‘Tumhārā kitnā qarzā hai?’ Us ne jawāb diyā, ‘Mujhe gandum kī hazār boriyāṅ wāpas karnī haiṅ.’ Mulāzim ne kahā, ‘Apnā bil le lo aur hazār ke badle āṭh sau likh lo.’ 8 Yih dekh kar mālik ne be'īmān mulāzim kī tārīf kī ki us ne aql se kām liyā hai. Kyoṅki is duniyā ke farzand apnī nasl ke logoṅ se nipaṭne meṅ nūr ke farzandoṅ se zyādā hoshyār hote haiṅ. 9 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki duniyā kī nārāst daulat se apne lie dost banā lo tāki jab yih ḳhatm ho jāe to log tum ko abadī rihāishgāhoṅ meṅ ḳhushāmdīd kaheṅ. 10 Jo thoṛe meṅ wafādār hai wuh zyādā meṅ bhī wafādār hogā. Aur jo thoṛe meṅ be'īmān hai wuh zyādā meṅ bhī be'īmānī karegā. 11 Agar tum duniyā kī nārāst daulat ko saṅbhālne meṅ wafādār na rahe to phir kaun haqīqī daulat tumhāre sapurd karegā? 12 Aur agar tum ne dūsroṅ kī daulat saṅbhālne meṅ be'īmānī dikhāī hai to phir kaun tum ko tumhāre zātī istemāl ke lie kuchh degā? 13 Koī bhī ġhulām do mālikoṅ kī ḳhidmat nahīṅ kar saktā. Yā to wuh ek se nafrat karke dūsre se muhabbat rakhegā, yā ek se lipaṭ kar dūsre ko haqīr jānegā. Tum ek hī waqt meṅ Allāh aur daulat kī ḳhidmat nahīṅ kar sakte.” 14 Farīsiyoṅ ne yih sab kuchh sunā to wuh us kā mazāq uṛāne lage, kyoṅki wuh lālchī the. 15 Us ne un se kahā, “Tum hī wuh ho jo apne āp ko logoṅ ke sāmne rāstbāz qarār dete ho, lekin Allāh tumhāre diloṅ se wāqif hai. Kyoṅki log jis chīz kī bahut qadar karte haiṅ wuh Allāh ke nazdīk makrūh hai. 16 Yahyā ke āne tak tumhāre rāhnumā Mūsā kī sharīat aur nabiyoṅ ke paiġhāmāt the. Lekin ab Allāh kī bādshāhī kī ḳhushḳhabrī kā elān kiyā jā rahā hai aur tamām log zabardastī is meṅ dāḳhil ho rahe haiṅ. 17 Lekin is kā yih matlab nahīṅ ki sharīat mansūḳh ho gaī hai balki āsmān-o-zamīn jāte raheṅge, lekin sharīat kī zer zabar tak koī bhī bāt nahīṅ badlegī. 18 Chunāṅche jo ādmī apnī bīwī ko talāq de kar kisī aur se shādī kare wuh zinā kartā hai. Isī tarah jo kisī talāqshudā aurat se shādī kare wuh bhī zinā kartā hai. 19 Ek amīr ādmī kā zikr hai jo arġhawānī rang ke kapṛe aur nafīs katān pahantā aur har roz aish-o-ishrat meṅ guzārtā thā. 20 Amīr ke geṭ par ek ġharīb ādmī paṛā thā jis ke pūre jism par nāsūr the. Us kā nām Lāzar thā 21 aur us kī bas ek hī ḳhāhish thī ki wuh amīr kī mez se gire hue ṭukṛe khā kar ser ho jāe. Kutte us ke pās ā kar us ke nāsūr chāṭte the. 22 Phir aisā huā ki ġharīb ādmī mar gayā. Farishtoṅ ne use uṭhā kar Ibrāhīm kī god meṅ biṭhā diyā. Amīr ādmī bhī faut huā aur dafnāyā gayā. 23 Wuh jahannum meṅ pahuṅchā. Azāb kī hālat meṅ us ne apnī nazar uṭhāī to dūr se Ibrāhīm aur us kī god meṅ Lāzar ko dekhā. 24 Wuh pukār uṭhā, ‘Ai mere bāp Ibrāhīm, mujh par rahm kareṅ. Mehrbānī karke Lāzar ko mere pās bhej deṅ tāki wuh apnī unglī ko pānī meṅ ḍubo kar merī zabān ko ṭhanḍā kare, kyoṅki maiṅ is āg meṅ taṛaptā hūṅ.’ 25 Lekin Ibrāhīm ne jawāb diyā, ‘Beṭā, yād rakh ki tujhe apnī zindagī meṅ behtarīn chīzeṅ mil chukī haiṅ jabki Lāzar ko badtarīn chīzeṅ. Lekin ab use ārām aur tasallī mil gaī hai jabki tujhe aziyat. 26 Nīz, hamāre aur tumhāre darmiyān ek wasī ḳhalīj qāym hai. Agar koī chāhe bhī to use pār karke yahāṅ se tumhāre pās nahīṅ jā saktā, na wahāṅ se koī yahāṅ ā saktā hai.’ 27 Amīr ādmī ne kahā, ‘Mere bāp, phir merī ek aur guzārish hai, mehrbānī karke Lāzar ko mere wālid ke ghar bhej deṅ. 28 Mere pāṅch bhāī haiṅ. Wuh wahāṅ jā kar unheṅ āgāh kare, aisā na ho ki un kā anjām bhī yih aziyatnāk maqām ho.’ 29 Lekin Ibrāhīm ne jawāb diyā, ‘Un ke pās Mūsā kī Tauret aur nabiyoṅ ke sahīfe to haiṅ. Wuh un kī suneṅ.’ 30 Amīr ne arz kī, ‘Nahīṅ, mere bāp Ibrāhīm, agar koī murdoṅ meṅ se un ke pās jāe to phir wuh zarūr taubā kareṅge.’ 31 Ibrāhīm ne kahā, ‘Agar wuh Mūsā aur nabiyoṅ kī nahīṅ sunte to wuh us waqt bhī qāyl nahīṅ hoṅge jab koī murdoṅ meṅ se jī uṭh kar un ke pās jāegā.’”

In Other Versions

Luke 16 in the ANGEFD

Luke 16 in the ANTPNG2D

Luke 16 in the AS21

Luke 16 in the BAGH

Luke 16 in the BBPNG

Luke 16 in the BBT1E

Luke 16 in the BDS

Luke 16 in the BEV

Luke 16 in the BHAD

Luke 16 in the BIB

Luke 16 in the BLPT

Luke 16 in the BNT

Luke 16 in the BNTABOOT

Luke 16 in the BNTLV

Luke 16 in the BOATCB

Luke 16 in the BOATCB2

Luke 16 in the BOBCV

Luke 16 in the BOCNT

Luke 16 in the BOECS

Luke 16 in the BOGWICC

Luke 16 in the BOHCB

Luke 16 in the BOHCV

Luke 16 in the BOHLNT

Luke 16 in the BOHNTLTAL

Luke 16 in the BOICB

Luke 16 in the BOILNTAP

Luke 16 in the BOITCV

Luke 16 in the BOKCV

Luke 16 in the BOKCV2

Luke 16 in the BOKHWOG

Luke 16 in the BOKSSV

Luke 16 in the BOLCB

Luke 16 in the BOLCB2

Luke 16 in the BOMCV

Luke 16 in the BONAV

Luke 16 in the BONCB

Luke 16 in the BONLT

Luke 16 in the BONUT2

Luke 16 in the BOPLNT

Luke 16 in the BOSCB

Luke 16 in the BOSNC

Luke 16 in the BOTLNT

Luke 16 in the BOVCB

Luke 16 in the BOYCB

Luke 16 in the BPBB

Luke 16 in the BPH

Luke 16 in the BSB

Luke 16 in the CCB

Luke 16 in the CUV

Luke 16 in the CUVS

Luke 16 in the DBT

Luke 16 in the DGDNT

Luke 16 in the DHNT

Luke 16 in the DNT

Luke 16 in the ELBE

Luke 16 in the EMTV

Luke 16 in the ESV

Luke 16 in the FBV

Luke 16 in the FEB

Luke 16 in the GGMNT

Luke 16 in the GNT

Luke 16 in the HARY

Luke 16 in the HNT

Luke 16 in the IRVA

Luke 16 in the IRVB

Luke 16 in the IRVG

Luke 16 in the IRVH

Luke 16 in the IRVK

Luke 16 in the IRVM

Luke 16 in the IRVM2

Luke 16 in the IRVO

Luke 16 in the IRVP

Luke 16 in the IRVT

Luke 16 in the IRVT2

Luke 16 in the IRVU

Luke 16 in the ISVN

Luke 16 in the JSNT

Luke 16 in the KAPI

Luke 16 in the KBT1ETNIK

Luke 16 in the KBV

Luke 16 in the KJV

Luke 16 in the KNFD

Luke 16 in the LBA

Luke 16 in the LBLA

Luke 16 in the LNT

Luke 16 in the LSV

Luke 16 in the MAAL

Luke 16 in the MBV

Luke 16 in the MBV2

Luke 16 in the MHNT

Luke 16 in the MKNFD

Luke 16 in the MNG

Luke 16 in the MNT

Luke 16 in the MNT2

Luke 16 in the MRS1T

Luke 16 in the NAA

Luke 16 in the NASB

Luke 16 in the NBLA

Luke 16 in the NBS

Luke 16 in the NBVTP

Luke 16 in the NET2

Luke 16 in the NIV11

Luke 16 in the NNT

Luke 16 in the NNT2

Luke 16 in the NNT3

Luke 16 in the PDDPT

Luke 16 in the PFNT

Luke 16 in the RMNT

Luke 16 in the SBIAS

Luke 16 in the SBIBS

Luke 16 in the SBIBS2

Luke 16 in the SBICS

Luke 16 in the SBIDS

Luke 16 in the SBIGS

Luke 16 in the SBIHS

Luke 16 in the SBIIS

Luke 16 in the SBIIS2

Luke 16 in the SBIIS3

Luke 16 in the SBIKS

Luke 16 in the SBIKS2

Luke 16 in the SBIMS

Luke 16 in the SBIOS

Luke 16 in the SBIPS

Luke 16 in the SBISS

Luke 16 in the SBITS

Luke 16 in the SBITS2

Luke 16 in the SBITS3

Luke 16 in the SBITS4

Luke 16 in the SBIUS

Luke 16 in the SBIVS

Luke 16 in the SBT

Luke 16 in the SBT1E

Luke 16 in the SCHL

Luke 16 in the SNT

Luke 16 in the SUSU

Luke 16 in the SUSU2

Luke 16 in the SYNO

Luke 16 in the TBIAOTANT

Luke 16 in the TBT1E

Luke 16 in the TBT1E2

Luke 16 in the TFTIP

Luke 16 in the TFTU

Luke 16 in the TGNTATF3T

Luke 16 in the THAI

Luke 16 in the TNFD

Luke 16 in the TNT

Luke 16 in the TNTIK

Luke 16 in the TNTIL

Luke 16 in the TNTIN

Luke 16 in the TNTIP

Luke 16 in the TNTIZ

Luke 16 in the TOMA

Luke 16 in the TTENT

Luke 16 in the UBG

Luke 16 in the UGV

Luke 16 in the UGV2

Luke 16 in the VBL

Luke 16 in the VDCC

Luke 16 in the YALU

Luke 16 in the YAPE

Luke 16 in the YBVTP

Luke 16 in the ZBP