Luke 22 (UGV3)

1 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd yānī Fasah kī Īd qarīb ā gaī thī. 2 Rāhnumā imām aur sharīat ke ulamā Īsā ko qatl karne kā koī mauzūṅ mauqā ḍhūnḍ rahe the, kyoṅki wuh awām ke radd-e-amal se ḍarte the. 3 Us waqt Iblīs Yahūdāh Iskariyotī meṅ samā gayā jo bārah rasūloṅ meṅ se thā. 4 Ab wuh rāhnumā imāmoṅ aur Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ ke afsaroṅ se milā aur un se bāt karne lagā ki wuh Īsā ko kis tarah un ke hawāle kar sakegā. 5 Wuh ḳhush hue aur use paise dene par muttafiq hue. 6 Yahūdāh razāmand huā. Ab se wuh is talāsh meṅ rahā ki Īsā ko aise mauqe par un ke hawāle kare jab hujūm us ke pās na ho. 7 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd āī jab Fasah ke lele ko qurbān karnā thā. 8 Īsā ne Patras aur Yūhannā ko āge bhej kar hidāyat kī, “Jāo, hamāre lie Fasah kā khānā taiyār karo tāki ham jā kar use khā sakeṅ.” 9 Unhoṅ ne pūchhā, “Ham use kahāṅ taiyār kareṅ?” 10 Us ne jawāb diyā, “Jab tum shahr meṅ dāḳhil hoge to tumhārī mulāqāt ek ādmī se hogī jo pānī kā ghaṛā uṭhāe chal rahā hogā. Us ke pīchhe chal kar us ghar meṅ dāḳhil ho jāo jis meṅ wuh jāegā. 11 Wahāṅ ke mālik se kahnā, ‘Ustād āp se pūchhte haiṅ ki wuh kamrā kahāṅ hai jahāṅ maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kā khānā khāūṅ?’ 12 Wuh tum ko dūsrī manzil par ek baṛā aur sajā huā kamrā dikhāegā. Fasah kā khānā wahīṅ taiyār karnā.” 13 Donoṅ chale gae to sab kuchh waisā hī pāyā jaisā Īsā ne unheṅ batāyā thā. Phir unhoṅ ne Fasah kā khānā taiyār kiyā. 14 Muqarrarā waqt par Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth khāne ke lie baiṭh gayā. 15 Us ne un se kahā, “Merī shadīd ārzū thī ki dukh uṭhāne se pahle tumhāre sāth mil kar Fasah kā yih khānā khāūṅ. 16 Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki us waqt tak is khāne meṅ sharīk nahīṅ hūṅgā jab tak is kā maqsad Allāh kī bādshāhī meṅ pūrā na ho gayā ho.” 17 Phir us ne mai kā pyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur kahā, “Is ko le kar āpas meṅ bāṅṭ lo. 18 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki ab se maiṅ angūr kā ras nahīṅ piyūṅgā, kyoṅki aglī dafā ise Allāh kī bādshāhī ke āne par piyūṅgā.” 19 Phir us ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke unheṅ de diyā. Us ne kahā, “Yih merā badan hai, jo tumhāre lie diyā jātā hai. Mujhe yād karne ke lie yihī kiyā karo.” 20 Isī tarah us ne khāne ke bād pyālā le kar kahā, “Mai kā yih pyālā wuh nayā ahd hai jo mere ḳhūn ke zariye qāym kiyā jātā hai, wuh ḳhūn jo tumhāre lie bahāyā jātā hai. 21 Lekin jis shaḳhs kā hāth mere sāth khānā khāne meṅ sharīk hai wuh mujhe dushman ke hawāle kar degā. 22 Ibn-e-Ādam to Allāh kī marzī ke mutābiq kūch kar jāegā, lekin us shaḳhs par afsos jis ke wasīle se use dushman ke hawāle kar diyā jāegā.” 23 Yih sun kar shāgird ek dūsre se bahs karne lage ki ham meṅ se yih kaun ho saktā hai jo is qism kī harkat karegā. 24 Phir ek aur bāt bhī chhiṛ gaī. Wuh ek dūsre se bahs karne lage ki ham meṅ se kaun sab se baṛā samjhā jāe. 25 Lekin Īsā ne un se kahā, “Ġhairyahūdī qaumoṅ meṅ bādshāh wuhī haiṅ jo dūsroṅ par hukūmat karte haiṅ, aur iḳhtiyār wāle wuhī haiṅ jinheṅ ‘Mohsin’ kā laqab diyā jātā hai. 26 Lekin tum ko aisā nahīṅ honā chāhie. Is ke bajāe jo sab se baṛā hai wuh sab se chhoṭe laṛke kī mānind ho aur jo rāhnumāī kartā hai wuh naukar jaisā ho. 27 Kyoṅki ām taur par kaun zyādā baṛā hotā hai, wuh jo khāne ke lie baiṭhā hai yā wuh jo logoṅ kī ḳhidmat ke lie hāzir hotā hai? Kyā wuh nahīṅ jo khāne ke lie baiṭhā hai? Beshak. Lekin maiṅ ḳhidmat karne wāle kī haisiyat se hī tumhāre darmiyān hūṅ. 28 Dekho, tum wuhī ho jo merī tamām āzmāishoṅ ke daurān mere sāth rahe ho. 29 Chunāṅche meṅ tum ko bādshāhī atā kartā hūṅ jis tarah Bāp ne mujhe bhī bādshāhī atā kī hai. 30 Tum merī bādshāhī meṅ merī mez par baiṭh kar mere sāth khāo aur piyoge, aur taḳhtoṅ par baiṭh kar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kā insāf karoge. 31 Shamāūn, Shamāūn! Iblīs ne tum logoṅ ko gandum kī tarah phaṭakne kā mutālabā kiyā hai. 32 Lekin maiṅ ne tere lie duā kī hai tāki terā īmān jātā na rahe. Aur jab tū muṛ kar wāpas āe to us waqt apne bhāiyoṅ ko mazbūt karnā.” 33 Patras ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand, maiṅ to āp ke sāth jel meṅ bhī jāne balki marne ko taiyār hūṅ.” 34 Īsā ne kahā, “Patras, maiṅ tujhe batātā hūṅ ki kal subah murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” 35 Phir us ne un se pūchhā, “Jab maiṅ ne tum ko baṭwe, sāmān ke lie baig aur jūtoṅ ke baġhair bhej diyā to kyā tum kisī bhī chīz se mahrūm rahe?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Kisī se nahīṅ.” 36 Us ne kahā, “Lekin ab jis ke pās baṭwā yā baig ho wuh use sāth le jāe, balki jis ke pās talwār na ho wuh apnī chādar bech kar talwār ḳharīd le. 37 Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Use mujrimoṅ meṅ shumār kiyā gayā’ aur maiṅ tum ko batātā hūṅ, lāzim hai ki yih bāt mujh meṅ pūrī ho jāe. Kyoṅki jo kuchh mere bāre meṅ likhā hai use pūrā hī honā hai.” 38 Unhoṅ ne kahā, “Ḳhudāwand, yahāṅ do talwāreṅ haiṅ.” Us ne kahā, “Bas! Kāfī hai!” 39 Phir wuh shahr se nikal kar māmūl ke mutābiq Zaitūn ke pahāṛ kī taraf chal diyā. Us ke shāgird us ke pīchhe ho lie. 40 Wahāṅ pahuṅch kar us ne un se kahā, “Duā karo tāki āzmāish meṅ na paṛo.” 41 Phir wuh unheṅ chhoṛ kar kuchh āge niklā, taqrīban itne fāsile par jitnī dūr tak patthar phaiṅkā jā saktā hai. Wahāṅ wuh jhuk kar duā karne lagā, 42 “Ai Bāp, agar tū chāhe to yih pyālā mujh se haṭā le. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.” 43 Us waqt ek farishte ne āsmān par se us par zāhir ho kar us ko taqwiyat dī. 44 Wuh saḳht pareshān ho kar zyādā dilsozī se duā karne lagā. Sāth sāth us kā pasīnā ḳhūn kī būṅdoṅ kī tarah zamīn par ṭapakne lagā. 45 Jab wuh duā se fāriġh ho kar khaṛā huā aur shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā to dekhā ki wuh ġham ke māre so gae haiṅ. 46 Us ne un se kahā, “Tum kyoṅ so rahe ho? Uṭh kar duā karte raho tāki āzmāish meṅ na paṛo.” 47 Wuh abhī yih bāt kar hī rahā thā ki ek hujūm ā pahuṅchā jis ke āge āge Yahūdāh chal rahā thā. Wuh Īsā ko bosā dene ke lie us ke pās āyā. 48 Lekin us ne kahā, “Yahūdāh, kyā tū Ibn-e-Ādam ko bosā de kar dushman ke hawāle kar rahā hai?” 49 Jab us ke sāthiyoṅ ne bhāṅp liyā ki ab kyā hone wālā hai to unhoṅ ne kahā, “Ḳhudāwand, kyā ham talwār chalāeṅ?” 50 Aur un meṅ se ek ne apnī talwār se imām-e-āzam ke ġhulām kā dahnā kān uṛā diyā. 51 Lekin Īsā ne kahā, “Bas kar!” Us ne ġhulām kā kān chhū kar use shifā dī. 52 Phir wuh un rāhnumā imāmoṅ, Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ ke afsaroṅ aur buzurgoṅ se muḳhātib huā jo us ke pās āe the, “Kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talwāreṅ aur lāṭhiyāṅ lie mere ḳhilāf nikle ho? 53 Maiṅ to rozānā Baitul-muqaddas meṅ tumhāre pās thā, magar tum ne wahāṅ mujhe hāth nahīṅ lagāyā. Lekin ab yih tumhārā waqt hai, wuh waqt jab tārīkī hukūmat kartī hai.” 54 Phir wuh use giriftār karke imām-e-āzam ke ghar le gae. Patras kuchh fāsile par un ke pīchhe pīchhe wahāṅ pahuṅch gayā. 55 Log sahan meṅ āg jalā kar us ke irdgird baiṭh gae. Patras bhī un ke darmiyān baiṭh gayā. 56 Kisī naukarānī ne use wahāṅ āg ke pās baiṭhe hue dekhā. Us ne use ghūr kar kahā, “Yih bhī us ke sāth thā.” 57 Lekin us ne inkār kiyā, “Ḳhātūn, maiṅ use nahīṅ jāntā.” 58 Thoṛī der ke bād kisī ādmī ne use dekhā aur kahā, “Tum bhī un meṅ se ho.”Lekin Patras ne jawāb diyā, “Nahīṅ bhaī! Maiṅ nahīṅ hūṅ.” 59 Taqrīban ek ghanṭā guzar gayā to kisī aur ne isrār karke kahā, “Yih ādmī yaqīnan us ke sāth thā, kyoṅki yih bhī Galīl kā rahne wālā hai.” 60 Lekin Patras ne jawāb diyā, “Yār, maiṅ nahīṅ jāntā ki tum kyā kah rahe ho!”Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki achānak murġh kī bāṅg sunāī dī. 61 Ḳhudāwand ne muṛ kar Patras par nazar ḍālī. Phir Patras ko Ḳhudāwand kī wuh bāt yād āī jo us ne us se kahī thī ki “Kal subah murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” 62 Patras wahāṅ se nikal kar ṭūṭe dil se ḳhūb royā. 63 Pahredār Īsā kā mazāq uṛāne aur us kī piṭāī karne lage. 64 Unhoṅ ne us kī āṅkhoṅ par paṭṭī bāndh kar pūchhā, “Nabuwwat kar ki kis ne tujhe mārā?” 65 Is tarah kī aur bahut-sī bātoṅ se wuh us kī be'izzatī karte rahe. 66 Jab din chaṛhā to rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā par mushtamil qaum kī majlis ne jamā ho kar use Yahūdī adālat-e-āliyā meṅ pesh kiyā. 67 Unhoṅ ne kahā, “Agar tū Masīh hai to hameṅ batā!”Īsā ne jawāb diyā, “Agar maiṅ tum ko batāūṅ to tum merī bāt nahīṅ mānoge, 68 aur agar tum se pūchhūṅ to tum jawāb nahīṅ doge. 69 Lekin ab se Ibn-e-Ādam Allāh T'ālā ke dahne hāth baiṭhā hogā.” 70 Sab ne pūchhā, “To phir kyā tū Allāh kā Farzand hai?”Us ne jawāb diyā, “Jī, tum ḳhud kahte ho.” 71 Is par unhoṅ ne kahā, “Ab hameṅ kisī aur gawāhī kī kyā zarūrat rahī? Kyoṅki ham ne yih bāt us ke apne muṅh se sun lī hai.”

In Other Versions

Luke 22 in the ANGEFD

Luke 22 in the ANTPNG2D

Luke 22 in the AS21

Luke 22 in the BAGH

Luke 22 in the BBPNG

Luke 22 in the BBT1E

Luke 22 in the BDS

Luke 22 in the BEV

Luke 22 in the BHAD

Luke 22 in the BIB

Luke 22 in the BLPT

Luke 22 in the BNT

Luke 22 in the BNTABOOT

Luke 22 in the BNTLV

Luke 22 in the BOATCB

Luke 22 in the BOATCB2

Luke 22 in the BOBCV

Luke 22 in the BOCNT

Luke 22 in the BOECS

Luke 22 in the BOGWICC

Luke 22 in the BOHCB

Luke 22 in the BOHCV

Luke 22 in the BOHLNT

Luke 22 in the BOHNTLTAL

Luke 22 in the BOICB

Luke 22 in the BOILNTAP

Luke 22 in the BOITCV

Luke 22 in the BOKCV

Luke 22 in the BOKCV2

Luke 22 in the BOKHWOG

Luke 22 in the BOKSSV

Luke 22 in the BOLCB

Luke 22 in the BOLCB2

Luke 22 in the BOMCV

Luke 22 in the BONAV

Luke 22 in the BONCB

Luke 22 in the BONLT

Luke 22 in the BONUT2

Luke 22 in the BOPLNT

Luke 22 in the BOSCB

Luke 22 in the BOSNC

Luke 22 in the BOTLNT

Luke 22 in the BOVCB

Luke 22 in the BOYCB

Luke 22 in the BPBB

Luke 22 in the BPH

Luke 22 in the BSB

Luke 22 in the CCB

Luke 22 in the CUV

Luke 22 in the CUVS

Luke 22 in the DBT

Luke 22 in the DGDNT

Luke 22 in the DHNT

Luke 22 in the DNT

Luke 22 in the ELBE

Luke 22 in the EMTV

Luke 22 in the ESV

Luke 22 in the FBV

Luke 22 in the FEB

Luke 22 in the GGMNT

Luke 22 in the GNT

Luke 22 in the HARY

Luke 22 in the HNT

Luke 22 in the IRVA

Luke 22 in the IRVB

Luke 22 in the IRVG

Luke 22 in the IRVH

Luke 22 in the IRVK

Luke 22 in the IRVM

Luke 22 in the IRVM2

Luke 22 in the IRVO

Luke 22 in the IRVP

Luke 22 in the IRVT

Luke 22 in the IRVT2

Luke 22 in the IRVU

Luke 22 in the ISVN

Luke 22 in the JSNT

Luke 22 in the KAPI

Luke 22 in the KBT1ETNIK

Luke 22 in the KBV

Luke 22 in the KJV

Luke 22 in the KNFD

Luke 22 in the LBA

Luke 22 in the LBLA

Luke 22 in the LNT

Luke 22 in the LSV

Luke 22 in the MAAL

Luke 22 in the MBV

Luke 22 in the MBV2

Luke 22 in the MHNT

Luke 22 in the MKNFD

Luke 22 in the MNG

Luke 22 in the MNT

Luke 22 in the MNT2

Luke 22 in the MRS1T

Luke 22 in the NAA

Luke 22 in the NASB

Luke 22 in the NBLA

Luke 22 in the NBS

Luke 22 in the NBVTP

Luke 22 in the NET2

Luke 22 in the NIV11

Luke 22 in the NNT

Luke 22 in the NNT2

Luke 22 in the NNT3

Luke 22 in the PDDPT

Luke 22 in the PFNT

Luke 22 in the RMNT

Luke 22 in the SBIAS

Luke 22 in the SBIBS

Luke 22 in the SBIBS2

Luke 22 in the SBICS

Luke 22 in the SBIDS

Luke 22 in the SBIGS

Luke 22 in the SBIHS

Luke 22 in the SBIIS

Luke 22 in the SBIIS2

Luke 22 in the SBIIS3

Luke 22 in the SBIKS

Luke 22 in the SBIKS2

Luke 22 in the SBIMS

Luke 22 in the SBIOS

Luke 22 in the SBIPS

Luke 22 in the SBISS

Luke 22 in the SBITS

Luke 22 in the SBITS2

Luke 22 in the SBITS3

Luke 22 in the SBITS4

Luke 22 in the SBIUS

Luke 22 in the SBIVS

Luke 22 in the SBT

Luke 22 in the SBT1E

Luke 22 in the SCHL

Luke 22 in the SNT

Luke 22 in the SUSU

Luke 22 in the SUSU2

Luke 22 in the SYNO

Luke 22 in the TBIAOTANT

Luke 22 in the TBT1E

Luke 22 in the TBT1E2

Luke 22 in the TFTIP

Luke 22 in the TFTU

Luke 22 in the TGNTATF3T

Luke 22 in the THAI

Luke 22 in the TNFD

Luke 22 in the TNT

Luke 22 in the TNTIK

Luke 22 in the TNTIL

Luke 22 in the TNTIN

Luke 22 in the TNTIP

Luke 22 in the TNTIZ

Luke 22 in the TOMA

Luke 22 in the TTENT

Luke 22 in the UBG

Luke 22 in the UGV

Luke 22 in the UGV2

Luke 22 in the VBL

Luke 22 in the VDCC

Luke 22 in the YALU

Luke 22 in the YAPE

Luke 22 in the YBVTP

Luke 22 in the ZBP