Matthew 25 (UGV3)

1 Us waqt āsmān kī bādshāhī das kuṅwāriyoṅ se mutābiqat rakhegī jo apne charāġh le kar dūlhe ko milne ke lie nikleṅ. 2 Un meṅ se pāṅch nāsamajh thīṅ aur pāṅch samajhdār. 3 Nāsamajh kuṅwāriyoṅ ne apne pās charāġhoṅ ke lie fāltū tel na rakhā. 4 Lekin samajhdār kuṅwāriyoṅ ne kuppī meṅ tel ḍāl kar apne sāth le liyā. 5 Dūlhe ko āne meṅ baṛī der lagī, is lie wuh sab ūṅgh ūṅgh kar so gaīṅ. 6 Ādhī rāt ko shor mach gayā, ‘Dekho, dūlhā pahuṅch rahā hai, use milne ke lie niklo!’ 7 Is par tamām kuṅwāriyāṅ jāg uṭhīṅ aur apne charāġhoṅ ko durust karne lagīṅ. 8 Nāsamajh kuṅwāriyoṅ ne samajhdār kuṅwāriyoṅ se kahā, ‘Apne tel meṅ se hameṅ bhī kuchh de do. Hamāre charāġh bujhne wāle haiṅ.’ 9 Dūsrī kuṅwāriyoṅ ne jawāb diyā, ‘Nahīṅ, aisā na ho ki na sirf tumhāre lie balki hamāre lie bhī tel kāfī na ho. Dukān par jā kar apne lie ḳharīd lo.’ 10 Chunāṅche nāsamajh kuṅwāriyāṅ chalī gaīṅ. Lekin is daurān dūlhā pahuṅch gayā. Jo kuṅwāriyāṅ taiyār thīṅ wuh us ke sāth shādī hāl meṅ dāḳhil huīṅ. Phir darwāze ko band kar diyā gayā. 11 Kuchh der ke bād bāqī kuṅwāriyāṅ āīṅ aur chillāne lagīṅ, ‘Janāb! Hamāre lie darwāzā khol deṅ.’ 12 Lekin us ne jawāb diyā, ‘Yaqīn jāno, maiṅ tum ko nahīṅ jāntā.’ 13 Is lie chaukas raho, kyoṅki tum Ibn-e-Ādam ke āne kā din yā waqt nahīṅ jānte. 14 Us waqt āsmān kī bādshāhī yoṅ hogī: Ek ādmī ko bairūn-e-mulk jānā thā. Us ne apne naukaroṅ ko bulā kar apnī milkiyat un ke sapurd kar dī. 15 Pahle ko us ne sone ke 5,000 sikke die, dūsre ko 2,000 aur tīsre ko 1,000. Har ek ko us ne us kī qābiliyat ke mutābiq paise die. Phir wuh rawānā huā. 16 Jis naukar ko 5,000 sikke mile the us ne sīdhā jā kar unheṅ kisī kārobār meṅ lagāyā. Is se use mazīd 5,000 sikke hāsil hue. 17 Isī tarah dūsre ko bhī jise 2,000 sikke mile the mazīd 2,000 sikke hāsil hue. 18 Lekin jis ādmī ko 1,000 sikke mile the wuh chalā gayā aur kahīṅ zamīn meṅ gaṛhā khod kar apne mālik ke paise us meṅ chhupā die. 19 Baṛī der ke bād un kā mālik lauṭ āyā. Jab us ne un ke sāth hisāb-kitāb kiyā 20 to pahlā naukar jise 5,000 sikke mile the mazīd 5,000 sikke le kar āyā. Us ne kahā, ‘Janāb, āp ne 5,000 sikke mere sapurd kie the. Yih dekheṅ, maiṅ ne mazīd 5,000 sikke hāsil kie haiṅ.’ 21 Us ke mālik ne jawāb diyā, ‘Shābāsh, mere achchhe aur wafādār naukar. Tum thoṛe meṅ wafādār rahe, is lie maiṅ tumheṅ bahut kuchh par muqarrar karūṅga. Andar āo aur apne mālik kī ḳhushī meṅ sharīk ho jāo.’ 22 Phir dūsrā naukar āyā jise 2,000 sikke mile the. Us ne kahā, ‘Janāb, āp ne 2,000 sikke mere sapurd kie the. Yih dekheṅ, maiṅ ne mazīd 2,000 sikke hāsil kie haiṅ.’ 23 Us ke mālik ne jawāb diyā, ‘Shābāsh, mere achchhe aur wafādār naukar. Tum thoṛe meṅ wafādār rahe, is lie maiṅ tumheṅ bahut kuchh par muqarrar karūṅga. Andar āo aur apne mālik kī ḳhushī meṅ sharīk ho jāo.’ 24 Phir tīsrā naukar āyā jise 1,000 sikke mile the. Us ne kahā, ‘Janāb, maiṅ jāntā thā ki āp saḳht ādmī haiṅ. Jo bīj āp ne nahīṅ boyā us kī fasal āp kāṭte haiṅ aur jo kuchh āp ne nahīṅ lagāyā us kī paidāwār jamā karte haiṅ. 25 Is lie maiṅ ḍar gayā aur jā kar āp ke paise zamīn meṅ chhupā die. Ab āp apne paise wāpas le sakte haiṅ.’ 26 Us ke mālik ne jawāb diyā, ‘Sharīr aur sust naukar! Kyā tū jāntā thā ki jo bīj maiṅ ne nahīṅ boyā us kī fasal kāṭtā hūṅ aur jo kuchh maiṅ ne nahīṅ lagāyā us kī paidāwār jamā kartā hūṅ? 27 To phir tū ne mere paise baink meṅ kyoṅ na jamā karā die? Agar aisā kartā to wāpasī par mujhe kam az kam wuh paise sūd samet mil jāte.’ 28 Yih kah kar mālik dūsroṅ se muḳhātib huā, ‘Yih paise is se le kar us naukar ko de do jis ke pās 10,000 sikke haiṅ. 29 Kyoṅki jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā aur us ke pās kasrat kī chīzeṅ hoṅgī. Lekin jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se wuh bhī chhīn liyā jāegā jo us ke pās hai. 30 Ab is bekār naukar ko nikāl kar bāhar kī tārīkī meṅ phaiṅk do, wahāṅ jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.’ 31 Jab Ibn-e-Ādam apne jalāl ke sāth āegā aur tamām farishte us ke sāth hoṅge to wuh apne jalālī taḳht par baiṭh jāegā. 32 Tab tamām qaumeṅ us ke sāmne jamā kī jāeṅgī. Aur jis tarah charwāhā bheṛoṅ ko bakriyoṅ se alag kartā hai usī tarah wuh logoṅ ko ek dūsre se alag karegā. 33 Wuh bheṛoṅ ko apne dahne hāth khaṛā karegā aur bakriyoṅ ko apne bāeṅ hāth. 34 Phir Bādshāh dahne hāth wāloṅ se kahegā, ‘Āo, mere Bāp ke mubārak logo! Jo bādshāhī duniyā kī taḳhlīq se tumhāre lie taiyār hai use mīrās meṅ le lo. 35 Kyoṅki maiṅ bhūkā thā aur tum ne mujhe khānā khilāyā, maiṅ pyāsā thā aur tum ne mujhe pānī pilāyā, maiṅ ajnabī thā aur tum ne merī mehmān-nawāzī kī, 36 maiṅ nangā thā aur tum ne mujhe kapṛe pahnāe, maiṅ bīmār thā aur tum ne merī dekh-bhāl kī, maiṅ jel meṅ thā aur tum mujh se milne āe.’ 37 Phir yih rāstbāz log jawāb meṅ kaheṅge, ‘Ḳhudāwand, ham ne āp ko kab bhūkā dekh kar khānā khilāyā, āp ko kab pyāsā dekh kar pānī pilāyā? 38 Ham ne āp ko kab ajnabī kī haisiyat se dekh kar āp kī mehmān-nawāzī kī, āp ko kab nangā dekh kar kapṛe pahnāe? 39 Ham āp ko kab bīmār hālat meṅ yā jel meṅ paṛā dekh kar āp se milne gae.’ 40 Bādshāh jawāb degā, ‘Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ ki jo kuchh tum ne mere in sab se chhoṭe bhāiyoṅ meṅ se ek ke lie kiyā wuh tum ne mere hī lie kiyā.’ 41 Phir wuh bāeṅ hāth wāloṅ se kahegā, ‘Lānatī logo, mujh se dūr ho jāo aur us abadī āg meṅ chale jāo jo Iblīs aur us ke farishtoṅ ke lie taiyār hai. 42 Kyoṅki maiṅ bhūkā thā aur tum ne mujhe kuchh na khilāyā, maiṅ pyāsā thā aur tum ne mujhe pānī na pilāyā, 43 maiṅ ajnabī thā aur tum ne merī mehmān-nawāzī na kī, maiṅ nangā thā aur tum ne mujhe kapṛe na pahnāe, maiṅ bīmār aur jel meṅ thā aur tum mujh se milne na āe.’ 44 Phir wuh jawāb meṅ pūchheṅge, ‘Ḳhudāwand, ham ne āp ko kab bhūkā, pyāsā, ajnabī, nangā, bīmār yā jel meṅ paṛā dekhā aur āp kī ḳhidmat na kī?’ 45 Wuh jawāb degā, ‘Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jab kabhī tum ne in sab se chhoṭoṅ meṅ se ek kī madad karne se inkār kiyā to tum ne merī ḳhidmat karne se inkār kiyā.’ 46 Phir yih abadī sazā bhugatne ke lie jāeṅge jabki rāstbāz abadī zindagī meṅ dāḳhil hoṅge.”

In Other Versions

Matthew 25 in the ANGEFD

Matthew 25 in the ANTPNG2D

Matthew 25 in the AS21

Matthew 25 in the BAGH

Matthew 25 in the BBPNG

Matthew 25 in the BBT1E

Matthew 25 in the BDS

Matthew 25 in the BEV

Matthew 25 in the BHAD

Matthew 25 in the BIB

Matthew 25 in the BLPT

Matthew 25 in the BNT

Matthew 25 in the BNTABOOT

Matthew 25 in the BNTLV

Matthew 25 in the BOATCB

Matthew 25 in the BOATCB2

Matthew 25 in the BOBCV

Matthew 25 in the BOCNT

Matthew 25 in the BOECS

Matthew 25 in the BOGWICC

Matthew 25 in the BOHCB

Matthew 25 in the BOHCV

Matthew 25 in the BOHLNT

Matthew 25 in the BOHNTLTAL

Matthew 25 in the BOICB

Matthew 25 in the BOILNTAP

Matthew 25 in the BOITCV

Matthew 25 in the BOKCV

Matthew 25 in the BOKCV2

Matthew 25 in the BOKHWOG

Matthew 25 in the BOKSSV

Matthew 25 in the BOLCB

Matthew 25 in the BOLCB2

Matthew 25 in the BOMCV

Matthew 25 in the BONAV

Matthew 25 in the BONCB

Matthew 25 in the BONLT

Matthew 25 in the BONUT2

Matthew 25 in the BOPLNT

Matthew 25 in the BOSCB

Matthew 25 in the BOSNC

Matthew 25 in the BOTLNT

Matthew 25 in the BOVCB

Matthew 25 in the BOYCB

Matthew 25 in the BPBB

Matthew 25 in the BPH

Matthew 25 in the BSB

Matthew 25 in the CCB

Matthew 25 in the CUV

Matthew 25 in the CUVS

Matthew 25 in the DBT

Matthew 25 in the DGDNT

Matthew 25 in the DHNT

Matthew 25 in the DNT

Matthew 25 in the ELBE

Matthew 25 in the EMTV

Matthew 25 in the ESV

Matthew 25 in the FBV

Matthew 25 in the FEB

Matthew 25 in the GGMNT

Matthew 25 in the GNT

Matthew 25 in the HARY

Matthew 25 in the HNT

Matthew 25 in the IRVA

Matthew 25 in the IRVB

Matthew 25 in the IRVG

Matthew 25 in the IRVH

Matthew 25 in the IRVK

Matthew 25 in the IRVM

Matthew 25 in the IRVM2

Matthew 25 in the IRVO

Matthew 25 in the IRVP

Matthew 25 in the IRVT

Matthew 25 in the IRVT2

Matthew 25 in the IRVU

Matthew 25 in the ISVN

Matthew 25 in the JSNT

Matthew 25 in the KAPI

Matthew 25 in the KBT1ETNIK

Matthew 25 in the KBV

Matthew 25 in the KJV

Matthew 25 in the KNFD

Matthew 25 in the LBA

Matthew 25 in the LBLA

Matthew 25 in the LNT

Matthew 25 in the LSV

Matthew 25 in the MAAL

Matthew 25 in the MBV

Matthew 25 in the MBV2

Matthew 25 in the MHNT

Matthew 25 in the MKNFD

Matthew 25 in the MNG

Matthew 25 in the MNT

Matthew 25 in the MNT2

Matthew 25 in the MRS1T

Matthew 25 in the NAA

Matthew 25 in the NASB

Matthew 25 in the NBLA

Matthew 25 in the NBS

Matthew 25 in the NBVTP

Matthew 25 in the NET2

Matthew 25 in the NIV11

Matthew 25 in the NNT

Matthew 25 in the NNT2

Matthew 25 in the NNT3

Matthew 25 in the PDDPT

Matthew 25 in the PFNT

Matthew 25 in the RMNT

Matthew 25 in the SBIAS

Matthew 25 in the SBIBS

Matthew 25 in the SBIBS2

Matthew 25 in the SBICS

Matthew 25 in the SBIDS

Matthew 25 in the SBIGS

Matthew 25 in the SBIHS

Matthew 25 in the SBIIS

Matthew 25 in the SBIIS2

Matthew 25 in the SBIIS3

Matthew 25 in the SBIKS

Matthew 25 in the SBIKS2

Matthew 25 in the SBIMS

Matthew 25 in the SBIOS

Matthew 25 in the SBIPS

Matthew 25 in the SBISS

Matthew 25 in the SBITS

Matthew 25 in the SBITS2

Matthew 25 in the SBITS3

Matthew 25 in the SBITS4

Matthew 25 in the SBIUS

Matthew 25 in the SBIVS

Matthew 25 in the SBT

Matthew 25 in the SBT1E

Matthew 25 in the SCHL

Matthew 25 in the SNT

Matthew 25 in the SUSU

Matthew 25 in the SUSU2

Matthew 25 in the SYNO

Matthew 25 in the TBIAOTANT

Matthew 25 in the TBT1E

Matthew 25 in the TBT1E2

Matthew 25 in the TFTIP

Matthew 25 in the TFTU

Matthew 25 in the TGNTATF3T

Matthew 25 in the THAI

Matthew 25 in the TNFD

Matthew 25 in the TNT

Matthew 25 in the TNTIK

Matthew 25 in the TNTIL

Matthew 25 in the TNTIN

Matthew 25 in the TNTIP

Matthew 25 in the TNTIZ

Matthew 25 in the TOMA

Matthew 25 in the TTENT

Matthew 25 in the UBG

Matthew 25 in the UGV

Matthew 25 in the UGV2

Matthew 25 in the VBL

Matthew 25 in the VDCC

Matthew 25 in the YALU

Matthew 25 in the YAPE

Matthew 25 in the YBVTP

Matthew 25 in the ZBP