Mark 16 (UGV3)
1 Hafte kī shām ko jab Sabat kā din guzar gayā to Mariyam Magdalīnī, Yāqūb kī māṅ Mariyam aur Salomī ne ḳhushbūdār masāle ḳharīd lie, kyoṅki wuh qabr ke pās jā kar unheṅ Īsā kī lāsh par lagānā chāhtī thīṅ. 2 Chunāṅche wuh Itwār ko subah-sawere hī qabr par gaīṅ. Sūraj tulū ho rahā thā. 3 Rāste meṅ wuh ek dūsre se pūchhne lagīṅ, “Kaun hamāre lie qabr ke muṅh se patthar ko luṛhkāegā?” 4 Lekin jab wahāṅ pahuṅchīṅ aur nazar uṭhā kar qabr par ġhaur kiyā to dekhā ki patthar ko ek taraf luṛhkāyā jā chukā hai. Yih patthar bahut baṛā thā. 5 Wuh qabr meṅ dāḳhil huīṅ. Wahāṅ ek jawān ādmī nazar āyā jo safed libās pahne hue dāīṅ taraf baiṭhā thā. Wuh ghabrā gaīṅ. 6 Us ne kahā, “Mat ghabrāo. Tum Īsā Nāsarī ko ḍhūnḍ rahī ho jo maslūb huā thā. Wuh jī uṭhā hai, wuh yahāṅ nahīṅ hai. Us jagah ko ḳhud dekh lo jahāṅ use rakhā gayā thā. 7 Ab jāo, us ke shāgirdoṅ aur Patras ko batā do ki wuh tumhāre āge āge Galīl pahuṅch jāegā. Wahīṅ tum use dekhoge, jis tarah us ne tum ko batāyā thā.” 8 Ḳhawātīn laraztī aur uljhī huī hālat meṅ qabr se nikal kar bhāg gaīṅ. Unhoṅ ne kisī ko bhī kuchh na batāyā, kyoṅki wuh nihāyat sahmī huī thīṅ. 9 Jab Īsā Itwār ko subah-sawere jī uṭhā to pahlā shaḳhs jis par wuh zāhir huā Mariyam Magdalīnī thī jis se us ne sāt badrūheṅ nikālī thīṅ. 10 Mariyam Īsā ke sāthiyoṅ ke pās gaī jo mātam kar rahe aur ro rahe the. Us ne unheṅ jo kuchh huā thā batāyā. 11 Lekin go unhoṅ ne sunā ki Īsā zindā hai aur ki Mariyam ne use dekhā hai to bhī unheṅ yaqīn na āyā. 12 Is ke bād Īsā dūsrī sūrat meṅ un meṅ se do par zāhir huā jab wuh Yarūshalam se dehāt kī taraf paidal chal rahe the. 13 Donoṅ ne wāpas jā kar yih bāt bāqī logoṅ ko batāī. Lekin unheṅ in kā bhī yaqīn na āyā. 14 Āḳhir meṅ Īsā gyārah shāgirdoṅ par bhī zāhir huā. Us waqt wuh mez par baiṭhe khānā khā rahe the. Us ne unheṅ un kī be'etiqādī aur saḳhtdilī ke sabab se ḍānṭā, ki unhoṅ ne un kā yaqīn na kiyā jinhoṅ ne use zindā dekhā thā. 15 Phir us ne un se kahā, “Pūrī duniyā meṅ jā kar tamām maḳhlūqāt ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāo. 16 Jo bhī īmān lā kar baptismā le use najāt milegī. Lekin jo īmān na lāe use mujrim qarār diyā jāegā. 17 Aur jahāṅ jahāṅ log īmān rakheṅge wahāṅ yih ilāhī nishān zāhir hoṅge: Wuh mere nām se badrūheṅ nikāl deṅge, naī naī zabāneṅ boleṅge 18 aur sāṅpoṅ ko uṭhā kar mahfūz raheṅge. Mohlak zahr pīne se unheṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchegā aur jab wuh apne hāth marīzoṅ par rakheṅge to shifā pāeṅge.” 19 Un se bāt karne ke bād Ḳhudāwand Īsā ko āsmān par uṭhā liyā gayā aur wuh Allāh ke dahne hāth baiṭh gayā. 20 Is par shāgirdoṅ ne nikal kar har jagah munādī kī. Aur Ḳhudāwand ne un kī himāyat karke ilāhī nishānoṅ se kalām kī tasdīq kī.
In Other Versions
Mark 16 in the ANGEFD
Mark 16 in the ANTPNG2D
Mark 16 in the AS21
Mark 16 in the BAGH
Mark 16 in the BBPNG
Mark 16 in the BBT1E
Mark 16 in the BDS
Mark 16 in the BEV
Mark 16 in the BHAD
Mark 16 in the BIB
Mark 16 in the BLPT
Mark 16 in the BNT
Mark 16 in the BNTABOOT
Mark 16 in the BNTLV
Mark 16 in the BOATCB
Mark 16 in the BOATCB2
Mark 16 in the BOBCV
Mark 16 in the BOCNT
Mark 16 in the BOECS
Mark 16 in the BOGWICC
Mark 16 in the BOHCB
Mark 16 in the BOHCV
Mark 16 in the BOHLNT
Mark 16 in the BOHNTLTAL
Mark 16 in the BOICB
Mark 16 in the BOILNTAP
Mark 16 in the BOITCV
Mark 16 in the BOKCV
Mark 16 in the BOKCV2
Mark 16 in the BOKHWOG
Mark 16 in the BOKSSV
Mark 16 in the BOLCB
Mark 16 in the BOLCB2
Mark 16 in the BOMCV
Mark 16 in the BONAV
Mark 16 in the BONCB
Mark 16 in the BONLT
Mark 16 in the BONUT2
Mark 16 in the BOPLNT
Mark 16 in the BOSCB
Mark 16 in the BOSNC
Mark 16 in the BOTLNT
Mark 16 in the BOVCB
Mark 16 in the BOYCB
Mark 16 in the BPBB
Mark 16 in the BPH
Mark 16 in the BSB
Mark 16 in the CCB
Mark 16 in the CUV
Mark 16 in the CUVS
Mark 16 in the DBT
Mark 16 in the DGDNT
Mark 16 in the DHNT
Mark 16 in the DNT
Mark 16 in the ELBE
Mark 16 in the EMTV
Mark 16 in the ESV
Mark 16 in the FBV
Mark 16 in the FEB
Mark 16 in the GGMNT
Mark 16 in the GNT
Mark 16 in the HARY
Mark 16 in the HNT
Mark 16 in the IRVA
Mark 16 in the IRVB
Mark 16 in the IRVG
Mark 16 in the IRVH
Mark 16 in the IRVK
Mark 16 in the IRVM
Mark 16 in the IRVM2
Mark 16 in the IRVO
Mark 16 in the IRVP
Mark 16 in the IRVT
Mark 16 in the IRVT2
Mark 16 in the IRVU
Mark 16 in the ISVN
Mark 16 in the JSNT
Mark 16 in the KAPI
Mark 16 in the KBT1ETNIK
Mark 16 in the KBV
Mark 16 in the KJV
Mark 16 in the KNFD
Mark 16 in the LBA
Mark 16 in the LBLA
Mark 16 in the LNT
Mark 16 in the LSV
Mark 16 in the MAAL
Mark 16 in the MBV
Mark 16 in the MBV2
Mark 16 in the MHNT
Mark 16 in the MKNFD
Mark 16 in the MNG
Mark 16 in the MNT
Mark 16 in the MNT2
Mark 16 in the MRS1T
Mark 16 in the NAA
Mark 16 in the NASB
Mark 16 in the NBLA
Mark 16 in the NBS
Mark 16 in the NBVTP
Mark 16 in the NET2
Mark 16 in the NIV11
Mark 16 in the NNT
Mark 16 in the NNT2
Mark 16 in the NNT3
Mark 16 in the PDDPT
Mark 16 in the PFNT
Mark 16 in the RMNT
Mark 16 in the SBIAS
Mark 16 in the SBIBS
Mark 16 in the SBIBS2
Mark 16 in the SBICS
Mark 16 in the SBIDS
Mark 16 in the SBIGS
Mark 16 in the SBIHS
Mark 16 in the SBIIS
Mark 16 in the SBIIS2
Mark 16 in the SBIIS3
Mark 16 in the SBIKS
Mark 16 in the SBIKS2
Mark 16 in the SBIMS
Mark 16 in the SBIOS
Mark 16 in the SBIPS
Mark 16 in the SBISS
Mark 16 in the SBITS
Mark 16 in the SBITS2
Mark 16 in the SBITS3
Mark 16 in the SBITS4
Mark 16 in the SBIUS
Mark 16 in the SBIVS
Mark 16 in the SBT
Mark 16 in the SBT1E
Mark 16 in the SCHL
Mark 16 in the SNT
Mark 16 in the SUSU
Mark 16 in the SUSU2
Mark 16 in the SYNO
Mark 16 in the TBIAOTANT
Mark 16 in the TBT1E
Mark 16 in the TBT1E2
Mark 16 in the TFTIP
Mark 16 in the TFTU
Mark 16 in the TGNTATF3T
Mark 16 in the THAI
Mark 16 in the TNFD
Mark 16 in the TNT
Mark 16 in the TNTIK
Mark 16 in the TNTIL
Mark 16 in the TNTIN
Mark 16 in the TNTIP
Mark 16 in the TNTIZ
Mark 16 in the TOMA
Mark 16 in the TTENT
Mark 16 in the UBG
Mark 16 in the UGV
Mark 16 in the UGV2
Mark 16 in the VBL
Mark 16 in the VDCC
Mark 16 in the YALU
Mark 16 in the YAPE
Mark 16 in the YBVTP
Mark 16 in the ZBP