Nehemiah 13 (UGV3)

1 Us din qaum ke sāmne Mūsā kī sharīat kī tilāwat kī gaī. Paṛhte paṛhte mālūm huā ki Ammoniyoṅ aur Moābiyoṅ ko kabhī bhī Allāh kī qaum meṅ sharīk hone kī ijāzat nahīṅ. 2 Wajah yih hai ki in qaumoṅ ne Misr se nikalte waqt Isrāīliyoṅ ko khānā khilāne aur pānī pilāne se inkār kiyā thā. Na sirf yih balki unhoṅ ne Bilām ko paise die the tāki wuh Isrāīlī qaum par lānat bheje, agarche hamāre Ḳhudā ne lānat ko barkat meṅ tabdīl kiyā. 3 Jab hāzirīn ne yih hukm sunā to unhoṅ ne tamām Ġhairyahūdiyoṅ ko jamāt se ḳhārij kar diyā. 4 Is wāqiye se pahle Rab ke ghar ke godāmoṅ par muqarrar imām Iliyāsib ne apne rishtedār Tūbiyāh 5 ke lie ek baṛā kamrā ḳhālī kar diyā thā jis meṅ pahle ġhallā kī nazareṅ, baḳhūr aur kuchh ālāt rakhe jāte the. Nīz, ġhallā, naī mai aur zaitūn ke tel kā jo daswāṅ hissā Lāwiyoṅ, gulūkāroṅ aur darbānoṅ ke lie muqarrar thā wuh bhī us kamre meṅ rakhā jātā thā aur sāth sāth imāmoṅ ke lie muqarrar hissā bhī. 6 Us waqt maiṅ Yarūshalam meṅ nahīṅ thā, kyoṅki Bābal ke bādshāh Artaḳhshastā kī hukūmat ke 32weṅ sāl meṅ maiṅ us ke darbār meṅ wāpas ā gayā thā. Kuchh der bād maiṅ shahanshāh se ijāzat le kar dubārā Yarūshalam ke lie rawānā huā. 7 Wahāṅ pahuṅch kar mujhe patā chalā ki Iliyāsib ne kitnī burī harkat kī hai, ki us ne apne rishtedār Tūbiyāh ke lie Rab ke ghar ke sahan meṅ kamrā ḳhālī kar diyā hai. 8 Yih bāt mujhe nihāyat hī burī lagī, aur maiṅ ne Tūbiyāh kā sārā sāmān kamre se nikāl kar phaiṅk diyā. 9 Phir maiṅ ne hukm diyā ki kamre nae sire se pāk-sāf kar die jāeṅ. Jab aisā huā to maiṅ ne Rab ke ghar kā sāmān, ġhallā kī nazareṅ aur baḳhūr dubārā wahāṅ rakh diyā. 10 Mujhe yih bhī mālūm huā ki Lāwī aur gulūkār Rab ke ghar meṅ apnī ḳhidmat ko chhoṛ kar apne khetoṅ meṅ kām kar rahe haiṅ. Wajah yih thī ki unheṅ wuh hissā nahīṅ mil rahā thā jo un kā haq thā. 11 Tab maiṅ ne zimmedār afsaroṅ ko jhiṛak kar kahā, “Āp Allāh ke ghar kā intazām itnī beparwāī se kyoṅ chalā rahe haiṅ?” Maiṅ ne Lāwiyoṅ aur gulūkāroṅ ko wāpas bulā kar dubārā un kī zimmedāriyoṅ par lagāyā. 12 Yih dekh kar tamām Yahūdāh ġhallā, naī mai aur zaitūn ke tel kā daswāṅ hissā godāmoṅ meṅ lāne lagā. 13 Godāmoṅ kī nigarānī maiṅ ne Salamiyāh Imām, Sadoq Munshī aur Fidāyāh Lāwī ke sapurd karke Hanān bin Zakkūr bin Mattaniyāh ko un kā madadgār muqarrar kiyā, kyoṅki chāroṅ ko qābil-e-etamād samjhā jātā thā. Unhīṅ ko imāmoṅ aur Lāwiyoṅ meṅ un ke muqarrarā hisse taqsīm karne kī zimmedārī dī gaī. 14 Ai mere Ḳhudā, is kām ke bāis mujhe yād kar! Wuh sab kuchh na bhūl jo maiṅ ne wafādārī se apne Ḳhudā ke ghar aur us ke intazām ke lie kiyā hai. 15 Us waqt maiṅ ne Yahūdāh meṅ kuchh logoṅ ko dekhā jo Sabat ke din angūr kā ras nichoṛ kar mai banā rahe the. Dūsre ġhallā lā kar mai, angūr, anjīr aur dīgar muḳhtalif qism kī paidāwār ke sāth gadhoṅ par lād rahe aur Yarūshalam pahuṅchā rahe the. Yih sab kuchh Sabat ke din ho rahā thā. Maiṅ ne unheṅ tambīh kī ki Sabat ke din ḳhurāk faroḳht na karnā. 16 Sūr ke kuchh ādmī bhī jo Yarūshalam meṅ rahte the Sabat ke din machhlī aur dīgar kaī chīzeṅ Yarūshalam meṅ lā kar Yahūdāh ke logoṅ ko bechte the. 17 Yih dekh kar maiṅ ne Yahūdāh ke shurafā ko ḍāṅṭ kar kahā, “Yih kitnī burī bāt hai! Āp to Sabat ke din kī behurmatī kar rahe haiṅ. 18 Jab āp ke bāpdādā ne aisā kiyā to Allāh yih sārī āfat ham par aur is shahr par lāyā. Ab āp Sabat ke din kī behurmatī karne se Allāh kā Isrāīl par ġhazab mazīd baṛhā rahe haiṅ.” 19 Maiṅ ne hukm diyā ki jume ko Yarūshalam ke darwāze shām ke us waqt band kie jāeṅ jab darwāze sāyoṅ meṅ ḍūb jāeṅ, aur ki wuh Sabat ke pūre din band raheṅ. Sabat ke iḳhtitām tak unheṅ kholne kī ijāzat nahīṅ thī. Maiṅ ne apne kuchh logoṅ ko darwāzoṅ par khaṛā bhī kiyā tāki koī bhī apnā sāmān Sabat ke din shahr meṅ na lāe. 20 Yih dekh kar tājiroṅ aur bechne wāloṅ ne kaī martabā Sabat kī rāt shahr se bāhar guzārī aur wahāṅ apnā māl bechne kī koshish kī. 21 Tab maiṅ ne unheṅ tambīh kī, “Āp Sabat kī rāt kyoṅ fasīl ke pās guzārte haiṅ? Agar āp dubārā aisā kareṅ to āp ko hawālā-e-pulis kiyā jāegā.” Us waqt se wuh Sabat ke din āne se bāz āe. 22 Lāwiyoṅ ko maiṅ ne hukm diyā ki apne āp ko pāk-sāf karke shahr ke darwāzoṅ kī pahrādārī kareṅ tāki ab se Sabat kā din maḳhsūs-o-muqaddas rahe.Ai mere Ḳhudā, mujhe is nekī ke bāis yād karke apnī azīm shafqat ke mutābiq mujh par mehrbānī kar. 23 Us waqt mujhe yih bhī mālūm huā ki bahut-se Yahūdī mardoṅ kī shādī Ashdūd, Ammon aur Moāb kī auratoṅ se huī hai. 24 Un ke ādhe bachche sirf Ashdūd kī zabān yā koī aur ġhairmulkī zabān bol lete the. Hamārī zabān se wuh nāwāqif hī the. 25 Tab maiṅ ne unheṅ jhiṛkā aur un par lānat bhejī. Bāz ek ke bāl noch noch kar maiṅ ne un kī piṭāī kī. Maiṅ ne unheṅ Allāh kī qasam khilāne par majbūr kiyā ki ham apne beṭe-beṭiyoṅ kī shādī ġhairmulkiyoṅ se nahīṅ karāeṅge. 26 Maiṅ ne kahā, “Isrāīl ke bādshāh Sulemān ko yād kareṅ. Aisī hī shādiyoṅ ne use gunāh karne par uksāyā. Us waqt us ke barābar koī bādshāh nahīṅ thā. Allāh use pyār kartā thā aur use pūre Isrāīl kā bādshāh banāyā. Lekin use bhī ġhairmulkī bīwiyoṅ kī taraf se gunāh karne par uksāyā gayā. 27 Ab āp ke bāre meṅ bhī yihī kuchh sunanā paṛtā hai! Āp se bhī yihī baṛā gunāh sarzad ho rahā hai. Ġhairmulkī auratoṅ se shādī karne se āp hamāre Ḳhudā se bewafā ho gae haiṅ!” 28 Imām-e-āzam Iliyāsib ke beṭe Yoyadā ke ek beṭe kī shādī Sanballat Haurūnī kī beṭī se huī thī, is lie maiṅ ne beṭe ko Yarūshalam se bhagā diyā. 29 Ai mere Ḳhudā, unheṅ yād kar, kyoṅki unhoṅ ne imām ke ohde aur imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke ahd kī behurmatī kī hai. 30 Chunāṅche maiṅ ne imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ko har ġhairmulkī chīz se pāk-sāf karke unheṅ un kī ḳhidmat aur muḳhtalif zimmedāriyoṅ ke lie hidāyāt dīṅ. 31 Nīz, maiṅ ne dhyān diyā ki fasal kī pahlī paidāwār aur qurbāniyoṅ ko jalāne kī lakaṛī waqt par Rab ke ghar meṅ pahuṅchāī jāe.Ai mere Ḳhudā, mujhe yād karke mujh par mehrbānī kar!.

In Other Versions

Nehemiah 13 in the ANGEFD

Nehemiah 13 in the ANTPNG2D

Nehemiah 13 in the AS21

Nehemiah 13 in the BAGH

Nehemiah 13 in the BBPNG

Nehemiah 13 in the BBT1E

Nehemiah 13 in the BDS

Nehemiah 13 in the BEV

Nehemiah 13 in the BHAD

Nehemiah 13 in the BIB

Nehemiah 13 in the BLPT

Nehemiah 13 in the BNT

Nehemiah 13 in the BNTABOOT

Nehemiah 13 in the BNTLV

Nehemiah 13 in the BOATCB

Nehemiah 13 in the BOATCB2

Nehemiah 13 in the BOBCV

Nehemiah 13 in the BOCNT

Nehemiah 13 in the BOECS

Nehemiah 13 in the BOGWICC

Nehemiah 13 in the BOHCB

Nehemiah 13 in the BOHCV

Nehemiah 13 in the BOHLNT

Nehemiah 13 in the BOHNTLTAL

Nehemiah 13 in the BOICB

Nehemiah 13 in the BOILNTAP

Nehemiah 13 in the BOITCV

Nehemiah 13 in the BOKCV

Nehemiah 13 in the BOKCV2

Nehemiah 13 in the BOKHWOG

Nehemiah 13 in the BOKSSV

Nehemiah 13 in the BOLCB

Nehemiah 13 in the BOLCB2

Nehemiah 13 in the BOMCV

Nehemiah 13 in the BONAV

Nehemiah 13 in the BONCB

Nehemiah 13 in the BONLT

Nehemiah 13 in the BONUT2

Nehemiah 13 in the BOPLNT

Nehemiah 13 in the BOSCB

Nehemiah 13 in the BOSNC

Nehemiah 13 in the BOTLNT

Nehemiah 13 in the BOVCB

Nehemiah 13 in the BOYCB

Nehemiah 13 in the BPBB

Nehemiah 13 in the BPH

Nehemiah 13 in the BSB

Nehemiah 13 in the CCB

Nehemiah 13 in the CUV

Nehemiah 13 in the CUVS

Nehemiah 13 in the DBT

Nehemiah 13 in the DGDNT

Nehemiah 13 in the DHNT

Nehemiah 13 in the DNT

Nehemiah 13 in the ELBE

Nehemiah 13 in the EMTV

Nehemiah 13 in the ESV

Nehemiah 13 in the FBV

Nehemiah 13 in the FEB

Nehemiah 13 in the GGMNT

Nehemiah 13 in the GNT

Nehemiah 13 in the HARY

Nehemiah 13 in the HNT

Nehemiah 13 in the IRVA

Nehemiah 13 in the IRVB

Nehemiah 13 in the IRVG

Nehemiah 13 in the IRVH

Nehemiah 13 in the IRVK

Nehemiah 13 in the IRVM

Nehemiah 13 in the IRVM2

Nehemiah 13 in the IRVO

Nehemiah 13 in the IRVP

Nehemiah 13 in the IRVT

Nehemiah 13 in the IRVT2

Nehemiah 13 in the IRVU

Nehemiah 13 in the ISVN

Nehemiah 13 in the JSNT

Nehemiah 13 in the KAPI

Nehemiah 13 in the KBT1ETNIK

Nehemiah 13 in the KBV

Nehemiah 13 in the KJV

Nehemiah 13 in the KNFD

Nehemiah 13 in the LBA

Nehemiah 13 in the LBLA

Nehemiah 13 in the LNT

Nehemiah 13 in the LSV

Nehemiah 13 in the MAAL

Nehemiah 13 in the MBV

Nehemiah 13 in the MBV2

Nehemiah 13 in the MHNT

Nehemiah 13 in the MKNFD

Nehemiah 13 in the MNG

Nehemiah 13 in the MNT

Nehemiah 13 in the MNT2

Nehemiah 13 in the MRS1T

Nehemiah 13 in the NAA

Nehemiah 13 in the NASB

Nehemiah 13 in the NBLA

Nehemiah 13 in the NBS

Nehemiah 13 in the NBVTP

Nehemiah 13 in the NET2

Nehemiah 13 in the NIV11

Nehemiah 13 in the NNT

Nehemiah 13 in the NNT2

Nehemiah 13 in the NNT3

Nehemiah 13 in the PDDPT

Nehemiah 13 in the PFNT

Nehemiah 13 in the RMNT

Nehemiah 13 in the SBIAS

Nehemiah 13 in the SBIBS

Nehemiah 13 in the SBIBS2

Nehemiah 13 in the SBICS

Nehemiah 13 in the SBIDS

Nehemiah 13 in the SBIGS

Nehemiah 13 in the SBIHS

Nehemiah 13 in the SBIIS

Nehemiah 13 in the SBIIS2

Nehemiah 13 in the SBIIS3

Nehemiah 13 in the SBIKS

Nehemiah 13 in the SBIKS2

Nehemiah 13 in the SBIMS

Nehemiah 13 in the SBIOS

Nehemiah 13 in the SBIPS

Nehemiah 13 in the SBISS

Nehemiah 13 in the SBITS

Nehemiah 13 in the SBITS2

Nehemiah 13 in the SBITS3

Nehemiah 13 in the SBITS4

Nehemiah 13 in the SBIUS

Nehemiah 13 in the SBIVS

Nehemiah 13 in the SBT

Nehemiah 13 in the SBT1E

Nehemiah 13 in the SCHL

Nehemiah 13 in the SNT

Nehemiah 13 in the SUSU

Nehemiah 13 in the SUSU2

Nehemiah 13 in the SYNO

Nehemiah 13 in the TBIAOTANT

Nehemiah 13 in the TBT1E

Nehemiah 13 in the TBT1E2

Nehemiah 13 in the TFTIP

Nehemiah 13 in the TFTU

Nehemiah 13 in the TGNTATF3T

Nehemiah 13 in the THAI

Nehemiah 13 in the TNFD

Nehemiah 13 in the TNT

Nehemiah 13 in the TNTIK

Nehemiah 13 in the TNTIL

Nehemiah 13 in the TNTIN

Nehemiah 13 in the TNTIP

Nehemiah 13 in the TNTIZ

Nehemiah 13 in the TOMA

Nehemiah 13 in the TTENT

Nehemiah 13 in the UBG

Nehemiah 13 in the UGV

Nehemiah 13 in the UGV2

Nehemiah 13 in the VBL

Nehemiah 13 in the VDCC

Nehemiah 13 in the YALU

Nehemiah 13 in the YAPE

Nehemiah 13 in the YBVTP

Nehemiah 13 in the ZBP