Numbers 19 (UGV3)

1 Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki wuh tumhāre pās surḳh rang kī jawān gāy le kar āeṅ. Us meṅ nuqs na ho aur us par kabhī juā na rakhā gayā ho. 3 Tum use Iliyazar Imām ko denā jo use ḳhaime ke bāhar le jāe. Wahāṅ use us kī maujūdagī meṅ zabah kiyā jāe. 4 Phir Iliyazar Imām apnī unglī se us ke ḳhūn se kuchh le kar mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne wāle hisse kī taraf chhiṛke. 5 Us kī maujūdagī meṅ pūrī kī pūrī gāy ko jalāyā jāe. Us kī khāl, gosht, ḳhūn aur antaṛiyoṅ kā gobar bhī jalāyā jāe. 6 Phir wuh deodār kī lakaṛī, zūfā aur qirmizī rang kā dhāgā le kar use jaltī huī gāy par phaiṅke. 7 Is ke bād wuh apne kapṛoṅ ko dho kar nahā le. Phir wuh ḳhaimāgāh meṅ ā saktā hai lekin shām tak nāpāk rahegā. 8 Jis ādmī ne gāy ko jalāyā wuh bhī apne kapṛoṅ ko dho kar nahā le. Wuh bhī shām tak nāpāk rahegā. 9 Ek dūsrā ādmī jo pāk hai gāy kī rākh ikaṭṭhī karke ḳhaimāgāh ke bāhar kisī pāk jagah par ḍāl de. Wahāṅ Isrāīl kī jamāt use nāpākī dūr karne kā pānī taiyār karne ke lie mahfūz rakhe. Yih gunāh se pāk karne ke lie istemāl hogā. 10 Jis ādmī ne rākh ikaṭṭhī kī hai wuh bhī apne kapṛoṅ ko dho le. Wuh bhī shām tak nāpāk rahegā. Yih Isrāīliyoṅ aur un ke darmiyān rahne wāle pardesiyoṅ ke lie dāymī usūl ho. 11 Jo bhī lāsh chhue wuh sāt din tak nāpāk rahegā. 12 Tīsre aur sātweṅ din wuh apne āp par nāpākī dūr karne kā pānī chhiṛak kar pāk-sāf ho jāe. Is ke bād hī wuh pāk hogā. Lekin agar wuh in donoṅ dinoṅ meṅ apne āp ko yoṅ pāk na kare to nāpāk rahegā. 13 Jo bhī lāsh chhū kar apne āp ko yoṅ pāk nahīṅ kartā wuh Rab ke maqdis ko nāpāk kartā hai. Lāzim hai ki use Isrāīl meṅ se miṭāyā jāe. Chūṅki nāpākī dūr karne kā pānī us par chhiṛkā nahīṅ gayā is lie wuh nāpāk rahegā. 14 Agar koī ḍere meṅ mar jāe to jo bhī us waqt us meṅ maujūd ho yā dāḳhil ho jāe wuh sāt din tak nāpāk rahegā. 15 Har khulā bartan jo ḍhakne se band na kiyā gayā ho wuh bhī nāpāk hogā. 16 Isī tarah jo khule maidān meṅ lāsh chhue wuh bhī sāt din tak nāpāk rahegā, ḳhāh wuh talwār se yā tabaī maut marā ho. Jo insān kī koī haḍḍī yā qabr chhue wuh bhī sāt din tak nāpāk rahegā. 17 Nāpākī dūr karne ke lie us surḳh rang kī gāy kī rākh meṅ se kuchh lenā jo gunāh dūr karne ke lie jalāī gaī thī. Use bartan meṅ ḍāl kar tāzā pānī meṅ milānā. 18 Phir koī pāk ādmī kuchh zūfā le aur use us pānī meṅ ḍubo kar mare hue shaḳhs ke ḳhaime, us ke sāmān aur un logoṅ par chhiṛke jo us ke marte waqt wahāṅ the. Isī tarah wuh pānī us shaḳhs par bhī chhiṛke jis ne tabaī yā ġhairtabaī maut mare hue shaḳhs ko, kisī insān kī haḍḍī ko yā koī qabr chhūī ho. 19 Pāk ādmī yih pānī tīsre aur sātweṅ din nāpāk shaḳhs par chhiṛke. Sātweṅ din wuh use pāk kare. Jise pāk kiyā jā rahā hai wuh apne kapṛe dho kar nahā le to wuh usī shām pāk hogā. 20 Lekin jo nāpāk shaḳhs apne āp ko pāk nahīṅ kartā use jamāt meṅ se miṭānā hai, kyoṅki us ne Rab kā maqdis nāpāk kar diyā hai. Nāpākī dūr karne kā pānī us par nahīṅ chhiṛkā gayā, is lie wuh nāpāk rahā hai. 21 Yih un ke lie dāymī usūl hai. Jis ādmī ne nāpākī dūr karne kā pānī chhiṛkā hai wuh bhī apne kapṛe dhoe. Balki jis ne bhī yih pānī chhuā hai shām tak nāpāk rahegā. 22 Aur nāpāk shaḳhs jo bhī chīz chhue wuh nāpāk ho jātī hai. Na sirf yih balki jo bād meṅ yih nāpāk chīz chhue wuh bhī shām tak nāpāk rahegā.”

In Other Versions

Numbers 19 in the ANGEFD

Numbers 19 in the ANTPNG2D

Numbers 19 in the AS21

Numbers 19 in the BAGH

Numbers 19 in the BBPNG

Numbers 19 in the BBT1E

Numbers 19 in the BDS

Numbers 19 in the BEV

Numbers 19 in the BHAD

Numbers 19 in the BIB

Numbers 19 in the BLPT

Numbers 19 in the BNT

Numbers 19 in the BNTABOOT

Numbers 19 in the BNTLV

Numbers 19 in the BOATCB

Numbers 19 in the BOATCB2

Numbers 19 in the BOBCV

Numbers 19 in the BOCNT

Numbers 19 in the BOECS

Numbers 19 in the BOGWICC

Numbers 19 in the BOHCB

Numbers 19 in the BOHCV

Numbers 19 in the BOHLNT

Numbers 19 in the BOHNTLTAL

Numbers 19 in the BOICB

Numbers 19 in the BOILNTAP

Numbers 19 in the BOITCV

Numbers 19 in the BOKCV

Numbers 19 in the BOKCV2

Numbers 19 in the BOKHWOG

Numbers 19 in the BOKSSV

Numbers 19 in the BOLCB

Numbers 19 in the BOLCB2

Numbers 19 in the BOMCV

Numbers 19 in the BONAV

Numbers 19 in the BONCB

Numbers 19 in the BONLT

Numbers 19 in the BONUT2

Numbers 19 in the BOPLNT

Numbers 19 in the BOSCB

Numbers 19 in the BOSNC

Numbers 19 in the BOTLNT

Numbers 19 in the BOVCB

Numbers 19 in the BOYCB

Numbers 19 in the BPBB

Numbers 19 in the BPH

Numbers 19 in the BSB

Numbers 19 in the CCB

Numbers 19 in the CUV

Numbers 19 in the CUVS

Numbers 19 in the DBT

Numbers 19 in the DGDNT

Numbers 19 in the DHNT

Numbers 19 in the DNT

Numbers 19 in the ELBE

Numbers 19 in the EMTV

Numbers 19 in the ESV

Numbers 19 in the FBV

Numbers 19 in the FEB

Numbers 19 in the GGMNT

Numbers 19 in the GNT

Numbers 19 in the HARY

Numbers 19 in the HNT

Numbers 19 in the IRVA

Numbers 19 in the IRVB

Numbers 19 in the IRVG

Numbers 19 in the IRVH

Numbers 19 in the IRVK

Numbers 19 in the IRVM

Numbers 19 in the IRVM2

Numbers 19 in the IRVO

Numbers 19 in the IRVP

Numbers 19 in the IRVT

Numbers 19 in the IRVT2

Numbers 19 in the IRVU

Numbers 19 in the ISVN

Numbers 19 in the JSNT

Numbers 19 in the KAPI

Numbers 19 in the KBT1ETNIK

Numbers 19 in the KBV

Numbers 19 in the KJV

Numbers 19 in the KNFD

Numbers 19 in the LBA

Numbers 19 in the LBLA

Numbers 19 in the LNT

Numbers 19 in the LSV

Numbers 19 in the MAAL

Numbers 19 in the MBV

Numbers 19 in the MBV2

Numbers 19 in the MHNT

Numbers 19 in the MKNFD

Numbers 19 in the MNG

Numbers 19 in the MNT

Numbers 19 in the MNT2

Numbers 19 in the MRS1T

Numbers 19 in the NAA

Numbers 19 in the NASB

Numbers 19 in the NBLA

Numbers 19 in the NBS

Numbers 19 in the NBVTP

Numbers 19 in the NET2

Numbers 19 in the NIV11

Numbers 19 in the NNT

Numbers 19 in the NNT2

Numbers 19 in the NNT3

Numbers 19 in the PDDPT

Numbers 19 in the PFNT

Numbers 19 in the RMNT

Numbers 19 in the SBIAS

Numbers 19 in the SBIBS

Numbers 19 in the SBIBS2

Numbers 19 in the SBICS

Numbers 19 in the SBIDS

Numbers 19 in the SBIGS

Numbers 19 in the SBIHS

Numbers 19 in the SBIIS

Numbers 19 in the SBIIS2

Numbers 19 in the SBIIS3

Numbers 19 in the SBIKS

Numbers 19 in the SBIKS2

Numbers 19 in the SBIMS

Numbers 19 in the SBIOS

Numbers 19 in the SBIPS

Numbers 19 in the SBISS

Numbers 19 in the SBITS

Numbers 19 in the SBITS2

Numbers 19 in the SBITS3

Numbers 19 in the SBITS4

Numbers 19 in the SBIUS

Numbers 19 in the SBIVS

Numbers 19 in the SBT

Numbers 19 in the SBT1E

Numbers 19 in the SCHL

Numbers 19 in the SNT

Numbers 19 in the SUSU

Numbers 19 in the SUSU2

Numbers 19 in the SYNO

Numbers 19 in the TBIAOTANT

Numbers 19 in the TBT1E

Numbers 19 in the TBT1E2

Numbers 19 in the TFTIP

Numbers 19 in the TFTU

Numbers 19 in the TGNTATF3T

Numbers 19 in the THAI

Numbers 19 in the TNFD

Numbers 19 in the TNT

Numbers 19 in the TNTIK

Numbers 19 in the TNTIL

Numbers 19 in the TNTIN

Numbers 19 in the TNTIP

Numbers 19 in the TNTIZ

Numbers 19 in the TOMA

Numbers 19 in the TTENT

Numbers 19 in the UBG

Numbers 19 in the UGV

Numbers 19 in the UGV2

Numbers 19 in the VBL

Numbers 19 in the VDCC

Numbers 19 in the YALU

Numbers 19 in the YAPE

Numbers 19 in the YBVTP

Numbers 19 in the ZBP