Numbers 21 (UGV3)

1 Dasht-e-Najab ke Kanānī mulk Arād ke bādshāh ko ḳhabar milī ki Isrāīlī Athārim kī taraf baṛh rahe haiṅ. Us ne un par hamlā kiyā aur kaī ek ko pakaṛ kar qaid kar liyā. 2 Tab Isrāīliyoṅ ne Rab ke sāmne mannat mān kar kahā, “Agar tū hameṅ un par fatah degā to ham unheṅ un ke shahroṅ samet tabāh kar deṅge.” 3 Rab ne un kī sunī aur Kanāniyoṅ par fatah baḳhshī. Isrāīliyoṅ ne unheṅ un ke shahroṅ samet pūrī tarah tabāh kar diyā. Is lie us jagah kā nām Hurmā yānī Tabāhī paṛ gayā. 4 Hor Pahāṛ se rawānā ho kar wuh Bahr-e-Qulzum kī taraf chal die tāki Adom ke mulk meṅ se guzarnā na paṛe. Lekin chalte chalte log besabar ho gae. 5 Wuh Rab aur Mūsā ke ḳhilāf bāteṅ karne lage, “Āp hameṅ Misr se nikāl kar registān meṅ marne ke lie kyoṅ le āe haiṅ? Yahāṅ na roṭī dastyāb hai na pānī. Hameṅ is ghaṭiyā qism kī ḳhurāk se ghin ātī hai.” 6 Tab Rab ne un ke darmiyān zahrīle sāṅp bhej die jin ke kāṭne se bahut-se log mar gae. 7 Phir log Mūsā ke pās āe. Unhoṅ ne kahā, “Ham ne Rab aur āp ke ḳhilāf bāteṅ karte hue gunāh kiyā. Hamārī sifārish kareṅ ki Rab ham se sāṅp dūr kar de.”Mūsā ne un ke lie duā kī 8 to Rab ne Mūsā se kahā, “Ek sāṅp banā kar use khambe se laṭkā de. Jo bhī ḍasā gayā ho wuh use dekh kar bach jāegā.” 9 Chunāṅche Mūsā ne pītal kā ek sāṅp banāyā aur khambā khaṛā karke sāṅp ko us se laṭkā diyā. Aur aisā huā ki jise bhī ḍasā gayā thā wuh pītal ke sāṅp par nazar karke bach gayā. 10 Isrāīlī rawānā hue aur Obot meṅ apne ḳhaime lagāe. 11 Phir wahāṅ se kūch karke Aiye-abārīm meṅ ḍere ḍāle, us registān meṅ jo mashriq kī taraf Moāb ke sāmne hai. 12 Wahāṅ se rawānā ho kar wuh Wādī-e-Zirad meṅ ḳhaimāzan hue. 13 Jab Wādī-e-Zirad se rawānā hue to Dariyā-e-Arnon ke parle yānī junūbī kināre par ḳhaimāzan hue. Yih dariyā registān meṅ hai aur Amoriyoṅ ke ilāqe se nikaltā hai. Yih Amoriyoṅ aur Moābiyoṅ ke darmiyān kī sarhad hai. 14 Is kā zikr kitāb ‘Rab kī Jangeṅ’ meṅ bhī hai,“Wāheb jo Sūfā meṅ hai, Dariyā-e-Arnon kī wādiyāṅ 15 aur wādiyoṅ kā wuh ḍhalān jo Ār Shahr tak jātā hai aur Moāb kī sarhad par wāqe hai.” 16 Wahāṅ se wuh Bair yānī ‘Kuāṅ’ pahuṅche. Yih wuhī bair hai jahāṅ Rab ne Mūsā se kahā, “Logoṅ ko ikaṭṭhā kar to maiṅ unheṅ pānī dūṅgā.” 17 Us waqt Isrāīliyoṅ ne yih gīt gāyā,“Ai kueṅ, phūṭ nikal! Us ke bāre meṅ gīt gāo, 18 us kueṅ ke bāre meṅ jise sardāroṅ ne khodā, jise qaum ke rāhnumāoṅ ne asā-e-shāhī aur apnī lāṭhiyoṅ se khodā.”Phir wuh registān se Mattanā ko gae. 19 Mattanā se Nahliyel ko aur Nahliyel se Bāmāt ko. 20 Bāmāt se wuh Moābiyoṅ ke ilāqe kī us wādī meṅ pahuṅche jo Pisgā Pahāṛ ke dāman meṅ hai. Is pahāṛ kī choṭī se Wādī-e-Yardan kā junūbī hissā Yashīmon ḳhūb nazar ātā hai. 21 Isrāīl ne Amoriyoṅ ke bādshāh Sīhon ko ittalā bhejī, 22 “Hameṅ apne mulk meṅ se guzarne deṅ. Ham sīdhe sīdhe guzar jāeṅge. Na ham koī khet yā angūr kā bāġh chheṛeṅge, na kisī kueṅ kā pānī pieṅge. Ham āp ke mulk meṅ se sīdhe guzarte hue shāhrāh par hī raheṅge.” 23 Lekin Sīhon ne unheṅ guzarne na diyā balki apnī fauj jamā karke Isrāīl se laṛne ke lie registān meṅ chal paṛā. Yahaz pahuṅch kar us ne Isrāīliyoṅ se jang kī. 24 Lekin Isrāīliyoṅ ne use qatl kiyā aur Dariyā-e-Arnon se le kar Dariyā-e-Yabboq tak yānī Ammoniyoṅ kī sarhad tak us ke mulk par qabzā kar liyā. Wuh is se āge na jā sake kyoṅki Ammoniyoṅ ne apnī sarhad kī hisārbandī kar rakhī thī. 25 Isrāīlī tamām Amorī shahroṅ par qabzā karke un meṅ rahne lage. Un meṅ Hasbon aur us ke irdgird kī ābādiyāṅ shāmil thīṅ. 26 Hasbon Amorī bādshāh Sīhon kā dārul-hukūmat thā. Us ne Moāb ke pichhle bādshāh se laṛ kar us se yih ilāqā Dariyā-e-Arnon tak chhīn liyā thā. 27 Us wāqiye kā zikr shāyrī meṅ yoṅ kiyā gayā hai,“Hasbon ke pās ā kar use az sar-e-nau tāmīr karo, Sīhon ke shahr ko az sar-e-nau qāym karo. 28 Hasbon se āg niklī, Sīhon ke shahr se sholā bhaṛkā. Us ne Moāb ke shahr Ār ko jalā diyā, Arnon kī bulandiyoṅ ke mālikoṅ ko bhasm kiyā. 29 Ai Moāb, tujh par afsos! Ai Kamos Dewatā kī qaum, tū halāk huī hai. Kamos ne apne beṭoṅ ko mafrūr aur apnī beṭiyoṅ ko Amorī bādshāh Sīhon kī qaidī banā diyā hai. 30 Lekin jab ham ne Amoriyoṅ par tīr chalāe to Hasbon kā ilāqā Dībon tak barbād huā. Ham ne Nufah tak sab kuchh tabāh kiyā, wuh Nufah jis kā ilāqā Mīdabā tak hai.” 31 Yoṅ Isrāīl Amoriyoṅ ke mulk meṅ ābād huā. 32 Wahāṅ se Mūsā ne apne jāsūs Yāzer Shahr bheje. Wahāṅ bhī Amorī rahte the. Isrāīliyoṅ ne Yāzer aur us ke irdgird ke shahroṅ par bhī qabzā kiyā aur wahāṅ ke Amoriyoṅ ko nikāl diyā. 33 Is ke bād wuh muṛ kar Basan kī taraf baṛhe. Tab Basan kā bādshāh Oj apnī tamām fauj le kar un se laṛne ke lie shahr Idraī āyā. 34 Us waqt Rab ne Mūsā se kahā, “Oj se na ḍarnā. Maiṅ use, us kī tamām fauj aur us kā mulk tere hawāle kar chukā hūṅ. Us ke sāth wuhī sulūk kar jo tū ne Amoriyoṅ ke bādshāh Sīhon ke sāth kiyā, jis kā dārul-hukūmat Hasbon thā.” 35 Isrāīliyoṅ ne Oj, us ke beṭoṅ aur tamām fauj ko halāk kar diyā. Koī bhī na bachā. Phir unhoṅ ne Basan ke mulk par qabzā kar liyā.

In Other Versions

Numbers 21 in the ANGEFD

Numbers 21 in the ANTPNG2D

Numbers 21 in the AS21

Numbers 21 in the BAGH

Numbers 21 in the BBPNG

Numbers 21 in the BBT1E

Numbers 21 in the BDS

Numbers 21 in the BEV

Numbers 21 in the BHAD

Numbers 21 in the BIB

Numbers 21 in the BLPT

Numbers 21 in the BNT

Numbers 21 in the BNTABOOT

Numbers 21 in the BNTLV

Numbers 21 in the BOATCB

Numbers 21 in the BOATCB2

Numbers 21 in the BOBCV

Numbers 21 in the BOCNT

Numbers 21 in the BOECS

Numbers 21 in the BOGWICC

Numbers 21 in the BOHCB

Numbers 21 in the BOHCV

Numbers 21 in the BOHLNT

Numbers 21 in the BOHNTLTAL

Numbers 21 in the BOICB

Numbers 21 in the BOILNTAP

Numbers 21 in the BOITCV

Numbers 21 in the BOKCV

Numbers 21 in the BOKCV2

Numbers 21 in the BOKHWOG

Numbers 21 in the BOKSSV

Numbers 21 in the BOLCB

Numbers 21 in the BOLCB2

Numbers 21 in the BOMCV

Numbers 21 in the BONAV

Numbers 21 in the BONCB

Numbers 21 in the BONLT

Numbers 21 in the BONUT2

Numbers 21 in the BOPLNT

Numbers 21 in the BOSCB

Numbers 21 in the BOSNC

Numbers 21 in the BOTLNT

Numbers 21 in the BOVCB

Numbers 21 in the BOYCB

Numbers 21 in the BPBB

Numbers 21 in the BPH

Numbers 21 in the BSB

Numbers 21 in the CCB

Numbers 21 in the CUV

Numbers 21 in the CUVS

Numbers 21 in the DBT

Numbers 21 in the DGDNT

Numbers 21 in the DHNT

Numbers 21 in the DNT

Numbers 21 in the ELBE

Numbers 21 in the EMTV

Numbers 21 in the ESV

Numbers 21 in the FBV

Numbers 21 in the FEB

Numbers 21 in the GGMNT

Numbers 21 in the GNT

Numbers 21 in the HARY

Numbers 21 in the HNT

Numbers 21 in the IRVA

Numbers 21 in the IRVB

Numbers 21 in the IRVG

Numbers 21 in the IRVH

Numbers 21 in the IRVK

Numbers 21 in the IRVM

Numbers 21 in the IRVM2

Numbers 21 in the IRVO

Numbers 21 in the IRVP

Numbers 21 in the IRVT

Numbers 21 in the IRVT2

Numbers 21 in the IRVU

Numbers 21 in the ISVN

Numbers 21 in the JSNT

Numbers 21 in the KAPI

Numbers 21 in the KBT1ETNIK

Numbers 21 in the KBV

Numbers 21 in the KJV

Numbers 21 in the KNFD

Numbers 21 in the LBA

Numbers 21 in the LBLA

Numbers 21 in the LNT

Numbers 21 in the LSV

Numbers 21 in the MAAL

Numbers 21 in the MBV

Numbers 21 in the MBV2

Numbers 21 in the MHNT

Numbers 21 in the MKNFD

Numbers 21 in the MNG

Numbers 21 in the MNT

Numbers 21 in the MNT2

Numbers 21 in the MRS1T

Numbers 21 in the NAA

Numbers 21 in the NASB

Numbers 21 in the NBLA

Numbers 21 in the NBS

Numbers 21 in the NBVTP

Numbers 21 in the NET2

Numbers 21 in the NIV11

Numbers 21 in the NNT

Numbers 21 in the NNT2

Numbers 21 in the NNT3

Numbers 21 in the PDDPT

Numbers 21 in the PFNT

Numbers 21 in the RMNT

Numbers 21 in the SBIAS

Numbers 21 in the SBIBS

Numbers 21 in the SBIBS2

Numbers 21 in the SBICS

Numbers 21 in the SBIDS

Numbers 21 in the SBIGS

Numbers 21 in the SBIHS

Numbers 21 in the SBIIS

Numbers 21 in the SBIIS2

Numbers 21 in the SBIIS3

Numbers 21 in the SBIKS

Numbers 21 in the SBIKS2

Numbers 21 in the SBIMS

Numbers 21 in the SBIOS

Numbers 21 in the SBIPS

Numbers 21 in the SBISS

Numbers 21 in the SBITS

Numbers 21 in the SBITS2

Numbers 21 in the SBITS3

Numbers 21 in the SBITS4

Numbers 21 in the SBIUS

Numbers 21 in the SBIVS

Numbers 21 in the SBT

Numbers 21 in the SBT1E

Numbers 21 in the SCHL

Numbers 21 in the SNT

Numbers 21 in the SUSU

Numbers 21 in the SUSU2

Numbers 21 in the SYNO

Numbers 21 in the TBIAOTANT

Numbers 21 in the TBT1E

Numbers 21 in the TBT1E2

Numbers 21 in the TFTIP

Numbers 21 in the TFTU

Numbers 21 in the TGNTATF3T

Numbers 21 in the THAI

Numbers 21 in the TNFD

Numbers 21 in the TNT

Numbers 21 in the TNTIK

Numbers 21 in the TNTIL

Numbers 21 in the TNTIN

Numbers 21 in the TNTIP

Numbers 21 in the TNTIZ

Numbers 21 in the TOMA

Numbers 21 in the TTENT

Numbers 21 in the UBG

Numbers 21 in the UGV

Numbers 21 in the UGV2

Numbers 21 in the VBL

Numbers 21 in the VDCC

Numbers 21 in the YALU

Numbers 21 in the YAPE

Numbers 21 in the YBVTP

Numbers 21 in the ZBP