Numbers 3 (UGV3)

1 Yih Hārūn aur Mūsā ke ḳhāndān kā bayān hai. Us waqt kā zikr hai jab Rab ne Sīnā Pahāṛ par Mūsā se bāt kī. 2 Hārūn ke chār beṭe the. Baṛā beṭā Nadab thā, phir Abīhū, Iliyazar aur Itamar. 3 Yih imām the jin ko masah karke is ḳhidmat kā iḳhtiyār diyā gayā thā. 4 Lekin Nadab aur Abīhū us waqt mar gae jab unhoṅ ne Dasht-e-Sīnā meṅ Rab ke huzūr nājāyz āg pesh kī. Chūṅki wuh beaulād the is lie Hārūn ke jīte-jī sirf Iliyazar aur Itamar imām kī ḳhidmat saranjām dete the. 5 Rab ne Mūsā se kahā, 6 “Lāwī ke qabīle ko lā kar Hārūn kī ḳhidmat karne kī zimmedārī de. 7 Unheṅ us ke lie aur pūrī jamāt ke lie mulāqāt ke ḳhaime kī ḳhidmāt saṅbhālnā hai. 8 Wuh mulāqāt ke ḳhaime kā sāmān saṅbhāleṅ aur tamām Isrāīliyoṅ ke lie maqdis ke farāyz adā kareṅ. 9 Tamām Isrāīliyoṅ meṅ se sirf Lāwiyoṅ ko Hārūn aur us ke beṭoṅ kī ḳhidmat ke lie muqarrar kar. 10 Lekin sirf Hārūn aur us ke beṭoṅ ko imām kī haisiyat hāsil hai. Jo bhī bāqiyoṅ meṅ se un kī zimmedāriyāṅ uṭhāne kī koshish karegā use sazā-e-maut dī jāegī.” 11 Rab ne Mūsā se yih bhī kahā, 12 “Maiṅ ne Isrāīliyoṅ meṅ se Lāwiyoṅ ko chun liyā hai. Wuh tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ ke ewaz mere lie maḳhsūs haiṅ, 13 kyoṅki tamām pahlauṭhe mere hī haiṅ. Jis din maiṅ ne Misr meṅ tamām pahlauṭhoṅ ko mār diyā us din maiṅ ne Isrāīl ke pahlauṭhoṅ ko apne lie maḳhsūs kiyā, ḳhāh wuh insān ke the yā haiwān ke. Wuh mere hī haiṅ. Maiṅ Rab hūṅ.” 14 Rab ne Sīnā ke registān meṅ Mūsā se kahā, 15 “Lāwiyoṅ ko gin kar un ke ābāī gharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiq rajisṭar meṅ darj karnā. Har beṭe ko ginanā hai jo ek māh yā is se zāyd kā hai.” 16 Mūsā ne aisā hī kiyā. 17 Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. 18 Jairson ke do kunbe us ke beṭoṅ Libnī aur Simaī ke nām rakhte the. 19 Qihāt ke chār kunbe us ke beṭoṅ Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel ke nām rakhte the. 20 Mirārī ke do kunbe us ke beṭoṅ Mahlī aur Mūshī ke nām rakhte the. Ġharz Lāwī ke qabīle ke kunbe us ke potoṅ ke nām rakhte the. 21 Jairson ke do kunboṅ banām Libnī aur Simaī 22 ke 7,500 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the. 23 Unheṅ apne ḳhaime maġhrib meṅ maqdis ke pīchhe lagāne the. 24 Un kā rāhnumā Iliyāsaf bin Lāel thā, 25 aur wuh ḳhaime ko saṅbhālte the yānī us kī poshisheṅ, ḳhaime ke darwāze kā pardā, 26 ḳhaime aur qurbāngāh kī chārdīwārī ke parde, chārdīwārī ke darwāze kā pardā aur tamām rasse. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī. 27 Qihāt ke chār kunboṅ banām Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel 28 ke 8,600 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the aur jin ko maqdis kī ḳhidmat karnī thī. 29 Unheṅ apne ḍere maqdis ke junūb meṅ ḍālne the. 30 Un kā rāhnumā Ilīsafan bin Uzziyel thā, 31 aur wuh yih chīzeṅ saṅbhālte the: ahd kā sandūq, mez, shamādān, qurbāngāheṅ, wuh bartan aur sāz-o-sāmān jo maqdis meṅ istemāl hotā thā aur Muqaddastarīn Kamre kā pardā. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī. 32 Hārūn Imām kā beṭā Iliyazar Lāwiyoṅ ke tamām rāhnumāoṅ par muqarrar thā. Wuh un tamām logoṅ kā inchārj thā jo maqdis kī dekh-bhāl karte the. 33 Mirārī ke do kunboṅ banām Mahlī aur Mūshī 34 ke 6,200 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the. 35 Un kā rāhnumā Sūriyel bin Abīḳhail thā. Unheṅ apne ḍere maqdis ke shimāl meṅ ḍālne the, 36 aur wuh yih chīzeṅ saṅbhālte the: ḳhaime ke taḳhte, us ke shahtīr, khambe, pāe aur is tarah kā sārā sāmān. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī. 37 Wuh chārdīwārī ke khambe, pāe, meḳheṅ aur rasse bhī saṅbhālte the. 38 Mūsā, Hārūn aur un ke beṭoṅ ko apne ḍere mashriq meṅ maqdis ke sāmne ḍālne the. Un kī zimmedārī maqdis meṅ banī Isrāīl ke lie ḳhidmat karnā thī. Un ke alāwā jo bhī maqdis meṅ dāḳhil hone kī koshish kartā use sazā-e-maut denī thī. 39 Un Lāwī mardoṅ kī kul tādād jo ek māh yā is se zāyd ke the 22,000 thī. Rab ke kahne par Mūsā aur Hārūn ne unheṅ kunboṅ ke mutābiq gin kar rajisṭar meṅ darj kiyā. 40 Rab ne Mūsā se kahā, “Tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ ko ginanā jo ek māh yā is se zāyd ke haiṅ aur un ke nām rajisṭar meṅ darj karnā. 41 Un tamām pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ko mere lie maḳhsūs karnā. Isī tarah Isrāīliyoṅ ke maweshiyoṅ ke pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ke maweshī mere lie maḳhsūs karnā. Maiṅ Rab hūṅ.” 42 Mūsā ne aisā hī kiyā jaisā Rab ne use hukm diyā. Us ne tamām Isrāīlī pahlauṭhe 43 jo ek māh yā is se zāyd ke the gin lie. Un kī kul tādād 22,273 thī. 44 Rab ne Mūsā se kahā, 45 “Mujhe tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ko pesh karnā. Isī tarah mujhe Isrāīliyoṅ ke maweshiyoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ke maweshī pesh karnā. Lāwī mere hī haiṅ. Maiṅ Rab hūṅ. 46 Lāwiyoṅ kī nisbat bāqī Isrāīliyoṅ ke 273 pahlauṭhe zyādā haiṅ. Un meṅ se 47 har ek ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke le jo maqdis ke wazn ke mutābiq hoṅ (fī sikkā taqrīban 11 grām). 48 Yih paise Hārūn aur us ke beṭoṅ ko denā.” 49 Mūsā ne aisā hī kiyā. 50 Yoṅ us ne chāṅdī ke 1,365 sikke (taqrīban 16 kilogrām) jamā karke 51 Hārūn aur us ke beṭoṅ ko die, jis tarah Rab ne use hukm diyā thā.

In Other Versions

Numbers 3 in the ANGEFD

Numbers 3 in the ANTPNG2D

Numbers 3 in the AS21

Numbers 3 in the BAGH

Numbers 3 in the BBPNG

Numbers 3 in the BBT1E

Numbers 3 in the BDS

Numbers 3 in the BEV

Numbers 3 in the BHAD

Numbers 3 in the BIB

Numbers 3 in the BLPT

Numbers 3 in the BNT

Numbers 3 in the BNTABOOT

Numbers 3 in the BNTLV

Numbers 3 in the BOATCB

Numbers 3 in the BOATCB2

Numbers 3 in the BOBCV

Numbers 3 in the BOCNT

Numbers 3 in the BOECS

Numbers 3 in the BOGWICC

Numbers 3 in the BOHCB

Numbers 3 in the BOHCV

Numbers 3 in the BOHLNT

Numbers 3 in the BOHNTLTAL

Numbers 3 in the BOICB

Numbers 3 in the BOILNTAP

Numbers 3 in the BOITCV

Numbers 3 in the BOKCV

Numbers 3 in the BOKCV2

Numbers 3 in the BOKHWOG

Numbers 3 in the BOKSSV

Numbers 3 in the BOLCB

Numbers 3 in the BOLCB2

Numbers 3 in the BOMCV

Numbers 3 in the BONAV

Numbers 3 in the BONCB

Numbers 3 in the BONLT

Numbers 3 in the BONUT2

Numbers 3 in the BOPLNT

Numbers 3 in the BOSCB

Numbers 3 in the BOSNC

Numbers 3 in the BOTLNT

Numbers 3 in the BOVCB

Numbers 3 in the BOYCB

Numbers 3 in the BPBB

Numbers 3 in the BPH

Numbers 3 in the BSB

Numbers 3 in the CCB

Numbers 3 in the CUV

Numbers 3 in the CUVS

Numbers 3 in the DBT

Numbers 3 in the DGDNT

Numbers 3 in the DHNT

Numbers 3 in the DNT

Numbers 3 in the ELBE

Numbers 3 in the EMTV

Numbers 3 in the ESV

Numbers 3 in the FBV

Numbers 3 in the FEB

Numbers 3 in the GGMNT

Numbers 3 in the GNT

Numbers 3 in the HARY

Numbers 3 in the HNT

Numbers 3 in the IRVA

Numbers 3 in the IRVB

Numbers 3 in the IRVG

Numbers 3 in the IRVH

Numbers 3 in the IRVK

Numbers 3 in the IRVM

Numbers 3 in the IRVM2

Numbers 3 in the IRVO

Numbers 3 in the IRVP

Numbers 3 in the IRVT

Numbers 3 in the IRVT2

Numbers 3 in the IRVU

Numbers 3 in the ISVN

Numbers 3 in the JSNT

Numbers 3 in the KAPI

Numbers 3 in the KBT1ETNIK

Numbers 3 in the KBV

Numbers 3 in the KJV

Numbers 3 in the KNFD

Numbers 3 in the LBA

Numbers 3 in the LBLA

Numbers 3 in the LNT

Numbers 3 in the LSV

Numbers 3 in the MAAL

Numbers 3 in the MBV

Numbers 3 in the MBV2

Numbers 3 in the MHNT

Numbers 3 in the MKNFD

Numbers 3 in the MNG

Numbers 3 in the MNT

Numbers 3 in the MNT2

Numbers 3 in the MRS1T

Numbers 3 in the NAA

Numbers 3 in the NASB

Numbers 3 in the NBLA

Numbers 3 in the NBS

Numbers 3 in the NBVTP

Numbers 3 in the NET2

Numbers 3 in the NIV11

Numbers 3 in the NNT

Numbers 3 in the NNT2

Numbers 3 in the NNT3

Numbers 3 in the PDDPT

Numbers 3 in the PFNT

Numbers 3 in the RMNT

Numbers 3 in the SBIAS

Numbers 3 in the SBIBS

Numbers 3 in the SBIBS2

Numbers 3 in the SBICS

Numbers 3 in the SBIDS

Numbers 3 in the SBIGS

Numbers 3 in the SBIHS

Numbers 3 in the SBIIS

Numbers 3 in the SBIIS2

Numbers 3 in the SBIIS3

Numbers 3 in the SBIKS

Numbers 3 in the SBIKS2

Numbers 3 in the SBIMS

Numbers 3 in the SBIOS

Numbers 3 in the SBIPS

Numbers 3 in the SBISS

Numbers 3 in the SBITS

Numbers 3 in the SBITS2

Numbers 3 in the SBITS3

Numbers 3 in the SBITS4

Numbers 3 in the SBIUS

Numbers 3 in the SBIVS

Numbers 3 in the SBT

Numbers 3 in the SBT1E

Numbers 3 in the SCHL

Numbers 3 in the SNT

Numbers 3 in the SUSU

Numbers 3 in the SUSU2

Numbers 3 in the SYNO

Numbers 3 in the TBIAOTANT

Numbers 3 in the TBT1E

Numbers 3 in the TBT1E2

Numbers 3 in the TFTIP

Numbers 3 in the TFTU

Numbers 3 in the TGNTATF3T

Numbers 3 in the THAI

Numbers 3 in the TNFD

Numbers 3 in the TNT

Numbers 3 in the TNTIK

Numbers 3 in the TNTIL

Numbers 3 in the TNTIN

Numbers 3 in the TNTIP

Numbers 3 in the TNTIZ

Numbers 3 in the TOMA

Numbers 3 in the TTENT

Numbers 3 in the UBG

Numbers 3 in the UGV

Numbers 3 in the UGV2

Numbers 3 in the VBL

Numbers 3 in the VDCC

Numbers 3 in the YALU

Numbers 3 in the YAPE

Numbers 3 in the YBVTP

Numbers 3 in the ZBP