Numbers 4 (UGV3)

1 Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, 2 “Lāwī ke qabīle meṅ se Qihātiyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. 3 Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karne ke lie ā sakte haiṅ. 4 Qihātiyoṅ kī ḳhidmat Muqaddastarīn Kamre kī dekh-bhāl hai. 5 Jab ḳhaime ko safr ke lie sameṭnā hai to Hārūn aur us ke beṭe dāḳhil ho kar Muqaddastarīn Kamre kā pardā utāreṅ aur use sharīat ke sandūq par ḍāl deṅ. 6 Is par wuh taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf aur āḳhir meṅ pūrī tarah nīle rang kā kapṛā bichhāeṅ. Is ke bād wuh sandūq ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ lagāeṅ. 7 Wuh us mez par bhī nīle rang kā kapṛā bichhāeṅ jis par Rab ko roṭī pesh kī jātī hai. Us par thāl, pyāle, mai kī nazareṅ pesh karne ke bartan aur martabān rakhe jāeṅ. Jo roṭī hameshā mez par hotī hai wuh bhī us par rahe. 8 Hārūn aur us ke beṭe in tamām chīzoṅ par qirmizī rang kā kapṛā bichhā kar āḳhir meṅ un ke ūpar taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf ḍāleṅ. Is ke bād wuh mez ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ lagāeṅ. 9 Wuh shamādān aur us ke sāmān par yānī us ke charaġh, battī katarne kī qainchiyoṅ, jalte koele ke chhoṭe bartanoṅ aur tel ke bartanoṅ par nīle rang kā kapṛā rakheṅ. 10 Yih sab kuchh wuh taḳhas kī khāloṅ ke ġhilāf meṅ lapeṭeṅ aur use uṭhā kar le jāne ke lie ek chaukhaṭe par rakheṅ. 11 Wuh baḳhūr jalāne kī sone kī qurbāngāh par bhī nīle rang kā kapṛā bichhā kar us par taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf ḍāleṅ aur phir use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ lagāeṅ. 12 Wuh sārā sāmān jo Muqaddas Kamre meṅ istemāl hotā hai le kar nīle rang ke kapṛe meṅ lapeṭeṅ, us par taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf ḍāleṅ aur use uṭhā kar le jāne ke lie ek chaukhaṭe par rakheṅ. 13 Phir wuh jānwaroṅ ko jalāne kī qurbāngāh ko rākh se sāf karke us par arġhawānī rang kā kapṛā bichhāeṅ. 14 Us par wuh qurbāngāh kī ḳhidmat ke lie sārā zarūrī sāmān rakheṅ yānī chhiṛkāw ke kaṭore, jalte hue koele ke bartan, belche aur kāṅṭe. Is sāmān par wuh taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf ḍāl kar qurbāngāh ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ lagāeṅ. 15 Safr ke lie rawānā hote waqt yih sab kuchh uṭhā kar le jānā Qihātiyoṅ kī zimmedārī hai. Lekin lāzim hai ki pahle Hārūn aur us ke beṭe yih tamām muqaddas chīzeṅ ḍhāṅpeṅ. Qihātī in meṅ se koī bhī chīz na chhueṅ warnā mar jāeṅge. 16 Hārūn Imām kā beṭā Iliyazar pūre muqaddas ḳhaime aur us ke sāmān kā inchārj ho. Is meṅ charāġhoṅ kā tel, baḳhūr, ġhallā kī rozānā nazar aur masah kā tel bhī shāmil hai.” 17 Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, 18 “Ḳhabardār raho ki Qihāt ke kunbe Lāwī ke qabīle meṅ se miṭne na pāeṅ. 19 Chunāṅche jab wuh muqaddastarīn chīzoṅ ke pās āeṅ to Hārūn aur us ke beṭe har ek ko us sāmān ke pās le jāeṅ jo use uṭhā kar le jānā hai tāki wuh na mareṅ balki jīte raheṅ. 20 Qihātī ek lamhe ke lie bhī muqaddas chīzeṅ deḳhne ke lie andar na jāeṅ, warnā wuh mar jāeṅge.” 21 Phir Rab ne Mūsā se kahā, 22 “Jairson kī aulād kī mardumshumārī bhī un ke ābāī gharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiq karnā. 23 Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat ke lie ā sakte haiṅ. 24 Wuh yih chīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmedār haiṅ: 25 mulāqāt kā ḳhaimā, us kī chhat, chhat par rakhī huī taḳhas kī khāl kī poshish, ḳhaime ke darwāze kā pardā, 26 ḳhaime aur qurbāngāh kī chārdīwārī ke parde, chārdīwārī ke darwāze kā pardā, us ke rasse aur use lagāne kā bāqī sāmān. Wuh un tamām kāmoṅ ke zimmedār haiṅ jo in chīzoṅ se munsalik haiṅ. 27 Jairsoniyoṅ kī pūrī ḳhidmat Hārūn aur us ke beṭoṅ kī hidāyāt ke mutābiq ho. Ḳhabardār raho ki wuh sab kuchh ain hidāyāt ke mutābiq uṭhā kar le jāeṅ. 28 Yih sab mulāqāt ke ḳhaime meṅ Jairsoniyoṅ kī zimmedāriyāṅ haiṅ. Is kām meṅ Hārūn Imām kā beṭā Itamar un par muqarrar hai.” 29 Rab ne kahā, “Mirārī kī aulād kī mardumshumārī bhī un ke ābāī gharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiq karnā. 30 Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat ke lie ā sakte haiṅ. 31 Wuh mulāqāt ke ḳhaime kī yih chīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmedār haiṅ: dīwār ke taḳhte, shahtīr, khambe aur pāe, 32 phir ḳhaime kī chārdīwārī ke khambe, pāe, meḳheṅ, rasse aur yih chīzeṅ lagāne kā sāmān. Har ek ko tafsīl se batānā ki wuh kyā kyā uṭhā kar le jāe. 33 Yih sab kuchh Mirāriyoṅ kī mulāqāt ke ḳhaime meṅ zimmedāriyoṅ meṅ shāmil hai. Is kām meṅ Hārūn Imām kā beṭā Itamar un par muqarrar ho.” 34 Mūsā, Hārūn aur jamāt ke rāhnumāoṅ ne Qihātiyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq kī. 35 35-37 Unhoṅ ne un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj kiyā jo 30 se le kar 50 sāl ke the aur jo mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat kar sakte the. Un kī kul tādād 2,750 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā kī mārifat farmāyā thā. 38 38-41 Phir Jairsoniyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī. Ḳhidmat ke lāyq mardoṅ kī kul tādād 2,630 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ke zariye farmāyā thā. 42 42-45 Phir Mirāriyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī. Ḳhidmat ke lāyq mardoṅ kī kul tādād 3,200 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ke zariye farmāyā thā. 46 46-48 Lāwiyoṅ ke un mardoṅ kī kul tādād 8,580 thī jinheṅ mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karnā aur safr karte waqt use uṭhā kar le jānā thā. 49 Mūsā ne Rab ke hukm ke mutābiq har ek ko us kī apnī apnī zimmedārī sauṅpī aur use batāyā ki use kyā kyā uṭhā kar le jānā hai. Yoṅ un kī mardumshumārī Rab ke us hukm ke ain mutābiq kī gaī jo us ne Mūsā kī mārifat diyā thā.

In Other Versions

Numbers 4 in the ANGEFD

Numbers 4 in the ANTPNG2D

Numbers 4 in the AS21

Numbers 4 in the BAGH

Numbers 4 in the BBPNG

Numbers 4 in the BBT1E

Numbers 4 in the BDS

Numbers 4 in the BEV

Numbers 4 in the BHAD

Numbers 4 in the BIB

Numbers 4 in the BLPT

Numbers 4 in the BNT

Numbers 4 in the BNTABOOT

Numbers 4 in the BNTLV

Numbers 4 in the BOATCB

Numbers 4 in the BOATCB2

Numbers 4 in the BOBCV

Numbers 4 in the BOCNT

Numbers 4 in the BOECS

Numbers 4 in the BOGWICC

Numbers 4 in the BOHCB

Numbers 4 in the BOHCV

Numbers 4 in the BOHLNT

Numbers 4 in the BOHNTLTAL

Numbers 4 in the BOICB

Numbers 4 in the BOILNTAP

Numbers 4 in the BOITCV

Numbers 4 in the BOKCV

Numbers 4 in the BOKCV2

Numbers 4 in the BOKHWOG

Numbers 4 in the BOKSSV

Numbers 4 in the BOLCB

Numbers 4 in the BOLCB2

Numbers 4 in the BOMCV

Numbers 4 in the BONAV

Numbers 4 in the BONCB

Numbers 4 in the BONLT

Numbers 4 in the BONUT2

Numbers 4 in the BOPLNT

Numbers 4 in the BOSCB

Numbers 4 in the BOSNC

Numbers 4 in the BOTLNT

Numbers 4 in the BOVCB

Numbers 4 in the BOYCB

Numbers 4 in the BPBB

Numbers 4 in the BPH

Numbers 4 in the BSB

Numbers 4 in the CCB

Numbers 4 in the CUV

Numbers 4 in the CUVS

Numbers 4 in the DBT

Numbers 4 in the DGDNT

Numbers 4 in the DHNT

Numbers 4 in the DNT

Numbers 4 in the ELBE

Numbers 4 in the EMTV

Numbers 4 in the ESV

Numbers 4 in the FBV

Numbers 4 in the FEB

Numbers 4 in the GGMNT

Numbers 4 in the GNT

Numbers 4 in the HARY

Numbers 4 in the HNT

Numbers 4 in the IRVA

Numbers 4 in the IRVB

Numbers 4 in the IRVG

Numbers 4 in the IRVH

Numbers 4 in the IRVK

Numbers 4 in the IRVM

Numbers 4 in the IRVM2

Numbers 4 in the IRVO

Numbers 4 in the IRVP

Numbers 4 in the IRVT

Numbers 4 in the IRVT2

Numbers 4 in the IRVU

Numbers 4 in the ISVN

Numbers 4 in the JSNT

Numbers 4 in the KAPI

Numbers 4 in the KBT1ETNIK

Numbers 4 in the KBV

Numbers 4 in the KJV

Numbers 4 in the KNFD

Numbers 4 in the LBA

Numbers 4 in the LBLA

Numbers 4 in the LNT

Numbers 4 in the LSV

Numbers 4 in the MAAL

Numbers 4 in the MBV

Numbers 4 in the MBV2

Numbers 4 in the MHNT

Numbers 4 in the MKNFD

Numbers 4 in the MNG

Numbers 4 in the MNT

Numbers 4 in the MNT2

Numbers 4 in the MRS1T

Numbers 4 in the NAA

Numbers 4 in the NASB

Numbers 4 in the NBLA

Numbers 4 in the NBS

Numbers 4 in the NBVTP

Numbers 4 in the NET2

Numbers 4 in the NIV11

Numbers 4 in the NNT

Numbers 4 in the NNT2

Numbers 4 in the NNT3

Numbers 4 in the PDDPT

Numbers 4 in the PFNT

Numbers 4 in the RMNT

Numbers 4 in the SBIAS

Numbers 4 in the SBIBS

Numbers 4 in the SBIBS2

Numbers 4 in the SBICS

Numbers 4 in the SBIDS

Numbers 4 in the SBIGS

Numbers 4 in the SBIHS

Numbers 4 in the SBIIS

Numbers 4 in the SBIIS2

Numbers 4 in the SBIIS3

Numbers 4 in the SBIKS

Numbers 4 in the SBIKS2

Numbers 4 in the SBIMS

Numbers 4 in the SBIOS

Numbers 4 in the SBIPS

Numbers 4 in the SBISS

Numbers 4 in the SBITS

Numbers 4 in the SBITS2

Numbers 4 in the SBITS3

Numbers 4 in the SBITS4

Numbers 4 in the SBIUS

Numbers 4 in the SBIVS

Numbers 4 in the SBT

Numbers 4 in the SBT1E

Numbers 4 in the SCHL

Numbers 4 in the SNT

Numbers 4 in the SUSU

Numbers 4 in the SUSU2

Numbers 4 in the SYNO

Numbers 4 in the TBIAOTANT

Numbers 4 in the TBT1E

Numbers 4 in the TBT1E2

Numbers 4 in the TFTIP

Numbers 4 in the TFTU

Numbers 4 in the TGNTATF3T

Numbers 4 in the THAI

Numbers 4 in the TNFD

Numbers 4 in the TNT

Numbers 4 in the TNTIK

Numbers 4 in the TNTIL

Numbers 4 in the TNTIN

Numbers 4 in the TNTIP

Numbers 4 in the TNTIZ

Numbers 4 in the TOMA

Numbers 4 in the TTENT

Numbers 4 in the UBG

Numbers 4 in the UGV

Numbers 4 in the UGV2

Numbers 4 in the VBL

Numbers 4 in the VDCC

Numbers 4 in the YALU

Numbers 4 in the YAPE

Numbers 4 in the YBVTP

Numbers 4 in the ZBP