Proverbs 16 (UGV3)

1 Insān dil meṅ mansūbe bāndhtā hai, lekin zabān kā jawāb Rab kī taraf se ātā hai. 2 Insān kī nazar meṅ us kī tamām rāheṅ pāk-sāf haiṅ, lekin Rab hī rūhoṅ kī jāṅch-paṛtāl kartā hai. 3 Jo kuchh bhī tū karnā chāhe use Rab ke sapurd kar. Tab hī tere mansūbe kāmyāb hoṅge. 4 Rab ne sab kuchh apne hī maqāsid pūre karne ke lie banāyā hai. Wuh din bhī pahle se muqarrar hai jab bedīn par āfat āegī. 5 Rab har maġhrūr dil se ghin khātā hai. Yaqīnan wuh sazā se nahīṅ bachegā. 6 Shafqat aur wafādārī gunāh kā kaffārā detī haiṅ. Rab kā ḳhauf mānane se insān burāī se dūr rahtā hai. 7 Agar Rab kisī insān kī rāhoṅ se ḳhush ho to wuh us ke dushmanoṅ ko bhī us se sulah karāne detā hai. 8 Insāf se thoṛā-bahut kamānā nāinsāfī se bahut daulat jamā karne se kahīṅ behtar hai. 9 Insān apne dil meṅ mansūbe bāndhtā rahtā hai, lekin Rab hī muqarrar kartā hai ki wuh āḳhirkār kis rāh par chal paṛe. 10 Bādshāh ke hoṅṭ goyā ilāhī faisle pesh karte haiṅ, us kā muṅh adālat karte waqt bewafā nahīṅ hotā. 11 Rab durust tarāzū kā mālik hai, usī ne tamām bāṭoṅ kā intazām qāym kiyā. 12 Bādshāh bedīnī se ghin khātā hai, kyoṅki us kā taḳht rāstbāzī kī buniyād par mazbūt rahtā hai. 13 Bādshāh rāstbāz hoṅṭoṅ se ḳhush hotā aur sāf bāt karne wāle se muhabbat rakhtā hai. 14 Bādshāh kā ġhussā maut kā peshḳhaimā hai, lekin dānishmand use ṭhanḍā karne ke tarīqe jāntā hai. 15 Jab bādshāh kā chehrā khil uṭhe to matlab zindagī hai. Us kī manzūrī mausam-e-bahār ke tar-o-tāzā karne wāle bādal kī mānind hai. 16 Hikmat kā husūl sone se kahīṅ behtar aur samajh pānā chāṅdī se kahīṅ baṛh kar hai. 17 Diyānatdār kī mazbūt rāh bure kām se dūr rahtī hai, jo apnī rāh kī pahrādārī kare wuh apnī jān bachāe rakhtā hai. 18 Tabāhī se pahle ġhurūr aur girne se pahle takabbur ātā hai. 19 Farotanī se zarūratmandoṅ ke darmiyān basnā ghamanḍiyoṅ ke lūṭe hue māl meṅ sharīk hone se kahīṅ behtar hai. 20 Jo kalām par dhyān de wuh ḳhushhāl hogā, mubārak hai wuh jo Rab par bharosā rakhe. 21 Jo dil se dānishmand hai use samajhdār qarār diyā jātā hai, aur mīṭhe alfāz tālīm meṅ izāfā karte haiṅ. 22 Fahm apne mālik ke lie zindagī kā sarchashmā hai, lekin ahmaq kī apnī hī hamāqat use sazā detī hai. 23 Dānishmand kā dil samajh kī bāteṅ zabān par lātā aur tālīm dene meṅ hoṅṭoṅ kā sahārā bantā hai. 24 Mehrbān alfāz ḳhālis shahd haiṅ, wuh jān ke lie shīrīṅ aur pūre jism ko tar-o-tāzā kar dete haiṅ. 25 Aisī rāh bhī hotī hai jo deḳhne meṅ to ṭhīk lagtī hai go us kā anjām maut hai. 26 Mazdūr kā ḳhālī peṭ use kām karne par majbūr kartā, us kī bhūk use hāṅktī rahtī hai. 27 Sharīr kured kured kar ġhalat kām nikāl letā, us ke hoṅṭoṅ par jhulsāne wālī āg rahtī hai. 28 Kajrau ādmī jhagaṛe chheṛtā rahtā, aur tohmat lagāne wālā dilī dostoṅ meṅ bhī raḳhnā ḍāltā hai. 29 Zālim apne paṛosī ko warġhalā kar ġhalat rāh par le jātā hai. 30 Jo āṅkh māre wuh ġhalat mansūbe bāndh rahā hai, jo apne hoṅṭ chabāe wuh ġhalat kām karne par tulā huā hai. 31 Safed bāl ek shāndār tāj haiṅ jo rāstbāz zindagī guzārne se hāsil hote haiṅ. 32 Tahammul karne wālā sūrme se sabqat letā hai, jo apne āp ko qābū meṅ rakhe wuh shahr ko shikast dene wāle se bartar hai. 33 Insān to qurā ḍāltā hai, lekin us kā har faislā Rab kī taraf se hai.

In Other Versions

Proverbs 16 in the ANGEFD

Proverbs 16 in the ANTPNG2D

Proverbs 16 in the AS21

Proverbs 16 in the BAGH

Proverbs 16 in the BBPNG

Proverbs 16 in the BBT1E

Proverbs 16 in the BDS

Proverbs 16 in the BEV

Proverbs 16 in the BHAD

Proverbs 16 in the BIB

Proverbs 16 in the BLPT

Proverbs 16 in the BNT

Proverbs 16 in the BNTABOOT

Proverbs 16 in the BNTLV

Proverbs 16 in the BOATCB

Proverbs 16 in the BOATCB2

Proverbs 16 in the BOBCV

Proverbs 16 in the BOCNT

Proverbs 16 in the BOECS

Proverbs 16 in the BOGWICC

Proverbs 16 in the BOHCB

Proverbs 16 in the BOHCV

Proverbs 16 in the BOHLNT

Proverbs 16 in the BOHNTLTAL

Proverbs 16 in the BOICB

Proverbs 16 in the BOILNTAP

Proverbs 16 in the BOITCV

Proverbs 16 in the BOKCV

Proverbs 16 in the BOKCV2

Proverbs 16 in the BOKHWOG

Proverbs 16 in the BOKSSV

Proverbs 16 in the BOLCB

Proverbs 16 in the BOLCB2

Proverbs 16 in the BOMCV

Proverbs 16 in the BONAV

Proverbs 16 in the BONCB

Proverbs 16 in the BONLT

Proverbs 16 in the BONUT2

Proverbs 16 in the BOPLNT

Proverbs 16 in the BOSCB

Proverbs 16 in the BOSNC

Proverbs 16 in the BOTLNT

Proverbs 16 in the BOVCB

Proverbs 16 in the BOYCB

Proverbs 16 in the BPBB

Proverbs 16 in the BPH

Proverbs 16 in the BSB

Proverbs 16 in the CCB

Proverbs 16 in the CUV

Proverbs 16 in the CUVS

Proverbs 16 in the DBT

Proverbs 16 in the DGDNT

Proverbs 16 in the DHNT

Proverbs 16 in the DNT

Proverbs 16 in the ELBE

Proverbs 16 in the EMTV

Proverbs 16 in the ESV

Proverbs 16 in the FBV

Proverbs 16 in the FEB

Proverbs 16 in the GGMNT

Proverbs 16 in the GNT

Proverbs 16 in the HARY

Proverbs 16 in the HNT

Proverbs 16 in the IRVA

Proverbs 16 in the IRVB

Proverbs 16 in the IRVG

Proverbs 16 in the IRVH

Proverbs 16 in the IRVK

Proverbs 16 in the IRVM

Proverbs 16 in the IRVM2

Proverbs 16 in the IRVO

Proverbs 16 in the IRVP

Proverbs 16 in the IRVT

Proverbs 16 in the IRVT2

Proverbs 16 in the IRVU

Proverbs 16 in the ISVN

Proverbs 16 in the JSNT

Proverbs 16 in the KAPI

Proverbs 16 in the KBT1ETNIK

Proverbs 16 in the KBV

Proverbs 16 in the KJV

Proverbs 16 in the KNFD

Proverbs 16 in the LBA

Proverbs 16 in the LBLA

Proverbs 16 in the LNT

Proverbs 16 in the LSV

Proverbs 16 in the MAAL

Proverbs 16 in the MBV

Proverbs 16 in the MBV2

Proverbs 16 in the MHNT

Proverbs 16 in the MKNFD

Proverbs 16 in the MNG

Proverbs 16 in the MNT

Proverbs 16 in the MNT2

Proverbs 16 in the MRS1T

Proverbs 16 in the NAA

Proverbs 16 in the NASB

Proverbs 16 in the NBLA

Proverbs 16 in the NBS

Proverbs 16 in the NBVTP

Proverbs 16 in the NET2

Proverbs 16 in the NIV11

Proverbs 16 in the NNT

Proverbs 16 in the NNT2

Proverbs 16 in the NNT3

Proverbs 16 in the PDDPT

Proverbs 16 in the PFNT

Proverbs 16 in the RMNT

Proverbs 16 in the SBIAS

Proverbs 16 in the SBIBS

Proverbs 16 in the SBIBS2

Proverbs 16 in the SBICS

Proverbs 16 in the SBIDS

Proverbs 16 in the SBIGS

Proverbs 16 in the SBIHS

Proverbs 16 in the SBIIS

Proverbs 16 in the SBIIS2

Proverbs 16 in the SBIIS3

Proverbs 16 in the SBIKS

Proverbs 16 in the SBIKS2

Proverbs 16 in the SBIMS

Proverbs 16 in the SBIOS

Proverbs 16 in the SBIPS

Proverbs 16 in the SBISS

Proverbs 16 in the SBITS

Proverbs 16 in the SBITS2

Proverbs 16 in the SBITS3

Proverbs 16 in the SBITS4

Proverbs 16 in the SBIUS

Proverbs 16 in the SBIVS

Proverbs 16 in the SBT

Proverbs 16 in the SBT1E

Proverbs 16 in the SCHL

Proverbs 16 in the SNT

Proverbs 16 in the SUSU

Proverbs 16 in the SUSU2

Proverbs 16 in the SYNO

Proverbs 16 in the TBIAOTANT

Proverbs 16 in the TBT1E

Proverbs 16 in the TBT1E2

Proverbs 16 in the TFTIP

Proverbs 16 in the TFTU

Proverbs 16 in the TGNTATF3T

Proverbs 16 in the THAI

Proverbs 16 in the TNFD

Proverbs 16 in the TNT

Proverbs 16 in the TNTIK

Proverbs 16 in the TNTIL

Proverbs 16 in the TNTIN

Proverbs 16 in the TNTIP

Proverbs 16 in the TNTIZ

Proverbs 16 in the TOMA

Proverbs 16 in the TTENT

Proverbs 16 in the UBG

Proverbs 16 in the UGV

Proverbs 16 in the UGV2

Proverbs 16 in the VBL

Proverbs 16 in the VDCC

Proverbs 16 in the YALU

Proverbs 16 in the YAPE

Proverbs 16 in the YBVTP

Proverbs 16 in the ZBP