Proverbs 29 (UGV3)

1 Jo muta'addid nasīhatoṅ ke bāwujūd haṭdharm rahe wuh achānak hī barbād ho jāegā, aur shifā kā imkān hī nahīṅ hogā. 2 Jab rāstbāz bahut haiṅ to qaum ḳhush hotī, lekin jab bedīn hukūmat kare to qaum āheṅ bhartī hai. 3 Jise hikmat pyārī ho wuh apne bāp ko ḳhushī dilātā hai, lekin kasbiyoṅ kā sāthī apnī daulat uṛā detā hai. 4 Bādshāh insāf se mulk ko mustahkam kartā, lekin had se zyādā ṭaiks lene se use tabāh kartā hai. 5 Jo apne paṛosī kī chāplūsī kare wuh us ke qadmoṅ ke āge jāl bichhātā hai. 6 Sharīr jurm karte waqt apne āp ko phaṅsā detā, lekin rāstbāz ḳhushī manā kar shādmān rahtā hai. 7 Rāstbāz pasthāloṅ ke huqūq kā ḳhayāl rakhtā hai, lekin bedīn parwā hī nahīṅ kartā. 8 Tānāzan shahr meṅ afrā-tafrī machā dete jabki dānishmand ġhussā ṭhanḍā kar dete haiṅ. 9 Jab dānishmand ādmī adālat meṅ ahmaq se laṛe to ahmaq taish meṅ ā jātā yā qahqahā lagātā hai, sukūn kā imkān hī nahīṅ hotā. 10 Ḳhūṅḳhār ādmī be'ilzām shaḳhs se nafrat kartā, lekin sīdhī rāh par chalne wālā us kī behtarī chāhtā hai. 11 Ahmaq apnā pūrā ġhussā utārtā, lekin dānishmand use rok kar qābū meṅ rakhtā hai. 12 Jo hukmrān jhūṭ par dhyān de us ke tamām mulāzim bedīn hoṅge. 13 Jab ġharīb aur zālim kī mulāqāt hotī hai to donoṅ kī āṅkhoṅ ko raushan karne wālā Rab hī hai. 14 Jo bādshāh diyānatdārī se zarūratmand kī adālat kare us kā taḳht hameshā tak qāym rahegā. 15 Chhaṛī aur nasīhat hikmat paidā kartī haiṅ. Jise belagām chhoṛā jāe wuh apnī māṅ ke lie sharmindagī kā bāis hogā. 16 Jab bedīn phaleṅ-phūleṅ to gunāh bhī phaltā-phūltā hai, lekin rāstbāz un kī shikast ke gawāh hoṅge. 17 Apne beṭe kī tarbiyat kar to wuh tujhe sukūn aur ḳhushī dilāegā. 18 Jahāṅ royā nahīṅ wahāṅ qaum belagām ho jātī hai, lekin mubārak hai wuh jo sharīat ke tābe rahtā hai. 19 Naukar sirf alfāz se nahīṅ sudhartā. Agar wuh bāt samjhe bhī to bhī dhyān nahīṅ degā. 20 Kyā koī dikhāī detā hai jo bāt karne meṅ jaldbāz hai? Us kī nisbat ahmaq ke sudharne kī zyādā ummīd hai. 21 Jo ġhulām jawānī se nāz-o-nemat meṅ pal kar bigaṛ jāe us kā burā anjām hogā. 22 Ġhazabālūd ādmī jhagaṛe chheṛtā rahtā hai, ġhusīle shaḳhs se muta'addid gunāh sarzad hote haiṅ. 23 Takabbur apne mālik ko past kar degā jabki farotan shaḳhs izzat pāegā. 24 Jo chor kā sāthī ho wuh apnī jān se nafrat rakhtā hai. Go us se halaf uṭhāyā jāe ki chorī ke bāre meṅ gawāhī de to bhī kuchh nahīṅ batātā balki halaf kī lānat kī zad meṅ ā jātā hai. 25 Jo insān se ḳhauf khāe wuh phande meṅ phaṅs jāegā, lekin jo Rab kā ḳhauf māne wuh mahfūz rahegā. 26 Bahut log hukmrān kī manzūrī ke tālib rahte haiṅ, lekin insāf Rab hī kī taraf se miltā hai. 27 Rāstbāz badkār se aur bedīn sīdhī rāh par chalne wāle se ghin khātā hai.

In Other Versions

Proverbs 29 in the ANGEFD

Proverbs 29 in the ANTPNG2D

Proverbs 29 in the AS21

Proverbs 29 in the BAGH

Proverbs 29 in the BBPNG

Proverbs 29 in the BBT1E

Proverbs 29 in the BDS

Proverbs 29 in the BEV

Proverbs 29 in the BHAD

Proverbs 29 in the BIB

Proverbs 29 in the BLPT

Proverbs 29 in the BNT

Proverbs 29 in the BNTABOOT

Proverbs 29 in the BNTLV

Proverbs 29 in the BOATCB

Proverbs 29 in the BOATCB2

Proverbs 29 in the BOBCV

Proverbs 29 in the BOCNT

Proverbs 29 in the BOECS

Proverbs 29 in the BOGWICC

Proverbs 29 in the BOHCB

Proverbs 29 in the BOHCV

Proverbs 29 in the BOHLNT

Proverbs 29 in the BOHNTLTAL

Proverbs 29 in the BOICB

Proverbs 29 in the BOILNTAP

Proverbs 29 in the BOITCV

Proverbs 29 in the BOKCV

Proverbs 29 in the BOKCV2

Proverbs 29 in the BOKHWOG

Proverbs 29 in the BOKSSV

Proverbs 29 in the BOLCB

Proverbs 29 in the BOLCB2

Proverbs 29 in the BOMCV

Proverbs 29 in the BONAV

Proverbs 29 in the BONCB

Proverbs 29 in the BONLT

Proverbs 29 in the BONUT2

Proverbs 29 in the BOPLNT

Proverbs 29 in the BOSCB

Proverbs 29 in the BOSNC

Proverbs 29 in the BOTLNT

Proverbs 29 in the BOVCB

Proverbs 29 in the BOYCB

Proverbs 29 in the BPBB

Proverbs 29 in the BPH

Proverbs 29 in the BSB

Proverbs 29 in the CCB

Proverbs 29 in the CUV

Proverbs 29 in the CUVS

Proverbs 29 in the DBT

Proverbs 29 in the DGDNT

Proverbs 29 in the DHNT

Proverbs 29 in the DNT

Proverbs 29 in the ELBE

Proverbs 29 in the EMTV

Proverbs 29 in the ESV

Proverbs 29 in the FBV

Proverbs 29 in the FEB

Proverbs 29 in the GGMNT

Proverbs 29 in the GNT

Proverbs 29 in the HARY

Proverbs 29 in the HNT

Proverbs 29 in the IRVA

Proverbs 29 in the IRVB

Proverbs 29 in the IRVG

Proverbs 29 in the IRVH

Proverbs 29 in the IRVK

Proverbs 29 in the IRVM

Proverbs 29 in the IRVM2

Proverbs 29 in the IRVO

Proverbs 29 in the IRVP

Proverbs 29 in the IRVT

Proverbs 29 in the IRVT2

Proverbs 29 in the IRVU

Proverbs 29 in the ISVN

Proverbs 29 in the JSNT

Proverbs 29 in the KAPI

Proverbs 29 in the KBT1ETNIK

Proverbs 29 in the KBV

Proverbs 29 in the KJV

Proverbs 29 in the KNFD

Proverbs 29 in the LBA

Proverbs 29 in the LBLA

Proverbs 29 in the LNT

Proverbs 29 in the LSV

Proverbs 29 in the MAAL

Proverbs 29 in the MBV

Proverbs 29 in the MBV2

Proverbs 29 in the MHNT

Proverbs 29 in the MKNFD

Proverbs 29 in the MNG

Proverbs 29 in the MNT

Proverbs 29 in the MNT2

Proverbs 29 in the MRS1T

Proverbs 29 in the NAA

Proverbs 29 in the NASB

Proverbs 29 in the NBLA

Proverbs 29 in the NBS

Proverbs 29 in the NBVTP

Proverbs 29 in the NET2

Proverbs 29 in the NIV11

Proverbs 29 in the NNT

Proverbs 29 in the NNT2

Proverbs 29 in the NNT3

Proverbs 29 in the PDDPT

Proverbs 29 in the PFNT

Proverbs 29 in the RMNT

Proverbs 29 in the SBIAS

Proverbs 29 in the SBIBS

Proverbs 29 in the SBIBS2

Proverbs 29 in the SBICS

Proverbs 29 in the SBIDS

Proverbs 29 in the SBIGS

Proverbs 29 in the SBIHS

Proverbs 29 in the SBIIS

Proverbs 29 in the SBIIS2

Proverbs 29 in the SBIIS3

Proverbs 29 in the SBIKS

Proverbs 29 in the SBIKS2

Proverbs 29 in the SBIMS

Proverbs 29 in the SBIOS

Proverbs 29 in the SBIPS

Proverbs 29 in the SBISS

Proverbs 29 in the SBITS

Proverbs 29 in the SBITS2

Proverbs 29 in the SBITS3

Proverbs 29 in the SBITS4

Proverbs 29 in the SBIUS

Proverbs 29 in the SBIVS

Proverbs 29 in the SBT

Proverbs 29 in the SBT1E

Proverbs 29 in the SCHL

Proverbs 29 in the SNT

Proverbs 29 in the SUSU

Proverbs 29 in the SUSU2

Proverbs 29 in the SYNO

Proverbs 29 in the TBIAOTANT

Proverbs 29 in the TBT1E

Proverbs 29 in the TBT1E2

Proverbs 29 in the TFTIP

Proverbs 29 in the TFTU

Proverbs 29 in the TGNTATF3T

Proverbs 29 in the THAI

Proverbs 29 in the TNFD

Proverbs 29 in the TNT

Proverbs 29 in the TNTIK

Proverbs 29 in the TNTIL

Proverbs 29 in the TNTIN

Proverbs 29 in the TNTIP

Proverbs 29 in the TNTIZ

Proverbs 29 in the TOMA

Proverbs 29 in the TTENT

Proverbs 29 in the UBG

Proverbs 29 in the UGV

Proverbs 29 in the UGV2

Proverbs 29 in the VBL

Proverbs 29 in the VDCC

Proverbs 29 in the YALU

Proverbs 29 in the YAPE

Proverbs 29 in the YBVTP

Proverbs 29 in the ZBP