Psalms 50 (UGV3)
1 Āsaf kā zabūr.Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā bol uṭhā hai, us ne tulū-e-subah se le kar ġhurūb-e-āftāb tak pūrī duniyā ko bulāyā hai. 2 Allāh kā nūr Siyyūn se chamak uṭhā hai, us pahāṛ se jo kāmil husn kā izhār hai. 3 Hamārā Ḳhudā ā rahā hai, wuh ḳhāmosh nahīṅ rahegā. Us ke āge āge sab kuchh bhasm ho rahā hai, us ke irdgird tez āṅdhī chal rahī hai. 4 Wuh āsmān-o-zamīn ko āwāz detā hai, “Ab maiṅ apnī qaum kī adālat karūṅga. 5 Mere īmāndāroṅ ko mere huzūr jamā karo, unheṅ jinhoṅ ne qurbāniyāṅ pesh karke mere sāth ahd bāndhā hai.” 6 Āsmān us kī rāstī kā elān kareṅge, kyoṅki Allāh ḳhud insāf karne wālā hai. (Silāh) 7 “Ai merī qaum, sun! Mujhe bāt karne de. Ai Isrāīl, maiṅ tere ḳhilāf gawāhī dūṅgā. Maiṅ Allāh terā Ḳhudā hūṅ. 8 Maiṅ tujhe terī zabah kī qurbāniyoṅ ke bāis malāmat nahīṅ kar rahā. Terī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ to musalsal mere sāmne haiṅ. 9 Na maiṅ tere ghar se bail lūṅgā, na tere bāṛoṅ se bakre. 10 Kyoṅki jangal ke tamām jāndār mere hī haiṅ, hazāroṅ pahāṛiyoṅ par basne wāle jānwar mere hī haiṅ. 11 Maiṅ pahāṛoṅ ke har parinde ko jāntā hūṅ, aur jo bhī maidānoṅ meṅ harkat kartā hai wuh merā hai. 12 Agar mujhe bhūk lagtī to maiṅ tujhe na batātā, kyoṅki zamīn aur jo kuchh us par hai merā hai. 13 Kyā tū samajhtā hai ki maiṅ sānḍoṅ kā gosht khānā yā bakroṅ kā ḳhūn pīnā chāhtā hūṅ? 14 Allāh ko shukrguzārī kī qurbānī pesh kar, aur wuh mannat pūrī kar jo tū ne Allāh T'ālā ke huzūr mānī hai. 15 Musībat ke din mujhe pukār. Tab maiṅ tujhe najāt dūṅgā aur tū merī tamjīd karegā.” 16 Lekin bedīn se Allāh farmātā hai, “Mere ahkām sunāne aur mere ahd kā zikr karne kā terā kyā haq hai? 17 Tū to tarbiyat se nafrat kartā aur mere farmān kachre kī tarah apne pīchhe phaiṅk detā hai. 18 Kisī chor ko deḳhte hī tū us kā sāth detā hai, tū zinākāroṅ se rifāqat rakhtā hai. 19 Tū apne muṅh ko bure kām ke lie istemāl kartā, apnī zabān ko dhokā dene ke lie taiyār rakhtā hai. 20 Tū dūsroṅ ke pās baiṭh kar apne bhāī ke ḳhilāf boltā hai, apnī hī māṅ ke beṭe par tohmat lagātā hai. 21 Yih kuchh tū ne kiyā hai, aur maiṅ ḳhāmosh rahā. Tab tū samjhā ki maiṅ bilkul tujh jaisā hūṅ. Lekin maiṅ tujhe malāmat karūṅga, tere sāmne hī muāmalā tartīb se sunāūṅgā. 22 Tum jo Allāh ko bhūle hue ho, bāt samajh lo, warnā maiṅ tumheṅ phāṛ ḍālūṅgā. Us waqt koī nahīṅ hogā jo tumheṅ bachāe. 23 Jo shukrguzārī kī qurbānī pesh kare wuh merī tāzīm kartā hai. Jo musammam irāde se aisī rāh par chale use maiṅ Allāh kī najāt dikhāūṅgā.”
In Other Versions
Psalms 50 in the ANGEFD
Psalms 50 in the ANTPNG2D
Psalms 50 in the AS21
Psalms 50 in the BAGH
Psalms 50 in the BBPNG
Psalms 50 in the BBT1E
Psalms 50 in the BDS
Psalms 50 in the BEV
Psalms 50 in the BHAD
Psalms 50 in the BIB
Psalms 50 in the BLPT
Psalms 50 in the BNT
Psalms 50 in the BNTABOOT
Psalms 50 in the BNTLV
Psalms 50 in the BOATCB
Psalms 50 in the BOATCB2
Psalms 50 in the BOBCV
Psalms 50 in the BOCNT
Psalms 50 in the BOECS
Psalms 50 in the BOGWICC
Psalms 50 in the BOHCB
Psalms 50 in the BOHCV
Psalms 50 in the BOHLNT
Psalms 50 in the BOHNTLTAL
Psalms 50 in the BOICB
Psalms 50 in the BOILNTAP
Psalms 50 in the BOITCV
Psalms 50 in the BOKCV
Psalms 50 in the BOKCV2
Psalms 50 in the BOKHWOG
Psalms 50 in the BOKSSV
Psalms 50 in the BOLCB
Psalms 50 in the BOLCB2
Psalms 50 in the BOMCV
Psalms 50 in the BONAV
Psalms 50 in the BONCB
Psalms 50 in the BONLT
Psalms 50 in the BONUT2
Psalms 50 in the BOPLNT
Psalms 50 in the BOSCB
Psalms 50 in the BOSNC
Psalms 50 in the BOTLNT
Psalms 50 in the BOVCB
Psalms 50 in the BOYCB
Psalms 50 in the BPBB
Psalms 50 in the BPH
Psalms 50 in the BSB
Psalms 50 in the CCB
Psalms 50 in the CUV
Psalms 50 in the CUVS
Psalms 50 in the DBT
Psalms 50 in the DGDNT
Psalms 50 in the DHNT
Psalms 50 in the DNT
Psalms 50 in the ELBE
Psalms 50 in the EMTV
Psalms 50 in the ESV
Psalms 50 in the FBV
Psalms 50 in the FEB
Psalms 50 in the GGMNT
Psalms 50 in the GNT
Psalms 50 in the HARY
Psalms 50 in the HNT
Psalms 50 in the IRVA
Psalms 50 in the IRVB
Psalms 50 in the IRVG
Psalms 50 in the IRVH
Psalms 50 in the IRVK
Psalms 50 in the IRVM
Psalms 50 in the IRVM2
Psalms 50 in the IRVO
Psalms 50 in the IRVP
Psalms 50 in the IRVT
Psalms 50 in the IRVT2
Psalms 50 in the IRVU
Psalms 50 in the ISVN
Psalms 50 in the JSNT
Psalms 50 in the KAPI
Psalms 50 in the KBT1ETNIK
Psalms 50 in the KBV
Psalms 50 in the KJV
Psalms 50 in the KNFD
Psalms 50 in the LBA
Psalms 50 in the LBLA
Psalms 50 in the LNT
Psalms 50 in the LSV
Psalms 50 in the MAAL
Psalms 50 in the MBV
Psalms 50 in the MBV2
Psalms 50 in the MHNT
Psalms 50 in the MKNFD
Psalms 50 in the MNG
Psalms 50 in the MNT
Psalms 50 in the MNT2
Psalms 50 in the MRS1T
Psalms 50 in the NAA
Psalms 50 in the NASB
Psalms 50 in the NBLA
Psalms 50 in the NBS
Psalms 50 in the NBVTP
Psalms 50 in the NET2
Psalms 50 in the NIV11
Psalms 50 in the NNT
Psalms 50 in the NNT2
Psalms 50 in the NNT3
Psalms 50 in the PDDPT
Psalms 50 in the PFNT
Psalms 50 in the RMNT
Psalms 50 in the SBIAS
Psalms 50 in the SBIBS
Psalms 50 in the SBIBS2
Psalms 50 in the SBICS
Psalms 50 in the SBIDS
Psalms 50 in the SBIGS
Psalms 50 in the SBIHS
Psalms 50 in the SBIIS
Psalms 50 in the SBIIS2
Psalms 50 in the SBIIS3
Psalms 50 in the SBIKS
Psalms 50 in the SBIKS2
Psalms 50 in the SBIMS
Psalms 50 in the SBIOS
Psalms 50 in the SBIPS
Psalms 50 in the SBISS
Psalms 50 in the SBITS
Psalms 50 in the SBITS2
Psalms 50 in the SBITS3
Psalms 50 in the SBITS4
Psalms 50 in the SBIUS
Psalms 50 in the SBIVS
Psalms 50 in the SBT
Psalms 50 in the SBT1E
Psalms 50 in the SCHL
Psalms 50 in the SNT
Psalms 50 in the SUSU
Psalms 50 in the SUSU2
Psalms 50 in the SYNO
Psalms 50 in the TBIAOTANT
Psalms 50 in the TBT1E
Psalms 50 in the TBT1E2
Psalms 50 in the TFTIP
Psalms 50 in the TFTU
Psalms 50 in the TGNTATF3T
Psalms 50 in the THAI
Psalms 50 in the TNFD
Psalms 50 in the TNT
Psalms 50 in the TNTIK
Psalms 50 in the TNTIL
Psalms 50 in the TNTIN
Psalms 50 in the TNTIP
Psalms 50 in the TNTIZ
Psalms 50 in the TOMA
Psalms 50 in the TTENT
Psalms 50 in the UBG
Psalms 50 in the UGV
Psalms 50 in the UGV2
Psalms 50 in the VBL
Psalms 50 in the VDCC
Psalms 50 in the YALU
Psalms 50 in the YAPE
Psalms 50 in the YBVTP
Psalms 50 in the ZBP