2 Kings 15 (UGV3)

1 Uzziyāh bin Amasiyāh Isrāīl ke bādshāh Yarubiyām Duwum kī hukūmat ke 27weṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā. 2 Us waqt us kī umr 16 sāl thī, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 52 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Yakūliyāh Yarūshalam kī rahne wālī thī. 3 Apne bāp Amasiyāh kī tarah us kā chāl-chalan Rab ko pasand thā, 4 lekin ūṅchī jaghoṅ ko dūr na kiyā gayā, aur ām log wahāṅ apnī qurbāniyāṅ chaṛhāte aur baḳhūr jalāte rahe. 5 Ek din Rab ne bādshāh ko sazā dī ki use koṛh lag gayā. Uzziyāh jīte-jī is bīmārī se shifā na pā sakā, aur use alāhidā ghar meṅ rahnā paṛā. Us ke beṭe Yūtām ko mahal par muqarrar kiyā gayā, aur wuhī ummat par hukūmat karne lagā. 6 Bāqī jo kuchh Uzziyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 7 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Yūtām taḳhtnashīn huā. 8 Zakariyāh bin Yarubiyām Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke 38weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kā dārul-hukūmat bhī Sāmariya thā, lekin chhih māh ke bād us kī hukūmat ḳhatm ho gaī. 9 Apne bāpdādā kī tarah Zakariyāh kā chāl-chalan bhī Rab ko nāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā. 10 Sallūm bin Yabīs ne us ke ḳhilāf sāzish karke use sab ke sāmne qatl kiyā. Phir wuh us kī jagah bādshāh ban gayā. 11 Bāqī jo kuchh Zakariyāh kī hukūmat ke daurān huā us kā zikr ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ kiyā gayā hai. 12 Yoṅ Rab kā wuh wādā pūrā huā jo us ne Yāhū se kiyā thā, “Terī aulād chauthī pusht tak Isrāīl par hukūmat kartī rahegī.” 13 Sallūm bin Yabīs Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh ke 39weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Wuh Sāmariya meṅ rah kar sirf ek māh tak taḳht par baiṭh sakā. 14 Phir Manāhim bin Jādī ne Tirzā se ā kar Sallūm ko Sāmariya meṅ qatl kar diyā. Is ke bād wuh ḳhud taḳht par baiṭh gayā. 15 Bāqī jo kuchh Sallūm kī hukūmat ke daurān huā aur jo sāzisheṅ us ne kīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. 16 Us waqt Manāhim ne Tirzā se ā kar shahr Tifsah ko us ke tamām bāshindoṅ aur gird-o-nawāh ke ilāqe samet tabāh kiyā. Wajah yih thī ki us ke bāshinde apne darwāzoṅ ko khol kar us ke tābe ho jāne ke lie taiyār nahīṅ the. Jawāb meṅ Manāhim ne un ko mārā aur tamām hāmilā auratoṅ ke peṭ chīr ḍāle. 17 Manāhim bin Jādī Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke 39weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Sāmariya us kā dārul-hukūmat thā, aur us kī hukūmat kā daurāniyā 10 sāl thā. 18 Us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā, aur wuh zindagī bhar un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā. 19 19-20 Manāhim ke daur-e-hukūmat meṅ Asūr kā bādshāh Pūl yānī Tiglat-pilesar mulk se laṛne āyā. Manāhim ne use 34,000 kilogrām chāṅdī de dī tāki wuh us kī hukūmat mazbūt karne meṅ madad kare. Tab Asūr kā bādshāh Isrāīl ko chhoṛ kar apne mulk wāpas chalā gayā. Chāṅdī ke yih paise Manāhim ne amīr Isrāīliyoṅ se jamā kie. Har ek ko chāṅdī ke 50 sikke adā karne paṛe. 21 Bāqī jo kuchh Manāhim kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 22 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā Fiqahiyāh taḳht par baiṭh gayā. 23 Fiqahiyāh bin Manāhim Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh ke 50weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Sāmariya meṅ rah kar us kī hukūmat kā daurāniyā do sāl thā. 24 Fiqahiyāh kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā. 25 Ek din fauj ke ālā afsar Fiqah bin Ramaliyāh ne us ke ḳhilāf sāzish kī. Jiliyād ke 50 ādmiyoṅ ko apne sāth le kar us ne Fiqahiyāh ko Sāmariya ke mahal ke burj meṅ mār ḍālā. Us waqt do aur afsar banām Arjūb aur Ariyā bhī us kī zad meṅ ā kar mar gae. Is ke bād Fiqah taḳht par baiṭh gayā. 26 Bāqī jo kuchh Fiqahiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. 27 Fiqah bin Ramaliyāh Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke 52weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Sāmariya meṅ rah kar wuh 20 sāl tak hukūmat kartā rahā. 28 Fiqah kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā. 29 Fiqah ke daur-e-hukūmat meṅ Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar ne Isrāīl par hamlā kiyā. Zail ke tamām shahr us ke qabze meṅ ā gae: Aiyyūn, Abīl-bait-mākā, Yānūh, Qādis aur Hasūr. Jiliyād aur Galīl ke ilāqe bhī Naftālī ke pūre qabāylī ilāqe samet us kī girift meṅ ā gae. Asūr kā bādshāh in tamām jaghoṅ meṅ ābād logoṅ ko giriftār karke apne mulk Asūr le gayā. 30 Ek din Hosea bin Ailā ne Fiqah ke ḳhilāf sāzish karke use maut ke ghāṭ utār diyā. Phir wuh ḳhud taḳht par baiṭh gayā. Yih Yahūdāh ke bādshāh Yūtām bin Uzziyāh kī hukūmat ke 20weṅ sāl meṅ huā. 31 Bāqī jo kuchh Fiqah kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 32 Uzziyāh kā beṭā Yūtām Isrāīl ke bādshāh Fiqah kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā. 33 Wuh 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Yarūsā bint Sadoq thī. 34 Wuh apne bāp Uzziyāh kī tarah wuh kuchh kartā rahā jo Rab ko pasand thā. 35 To bhī ūṅchī jaghoṅ ke mandir haṭāe na gae. Log wahāṅ apnī qurbāniyāṅ chaṛhāne aur baḳhūr jalāne se bāz na āe. Yūtām ne Rab ke ghar kā Bālāī Darwāzā tāmīr kiyā. 36 Bāqī jo kuchh Yūtām kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ qalamband hai. 37 Un dinoṅ meṅ Rab Shām ke bādshāh Razīn aur Fiqah bin Ramaliyāh ko Yahūdāh ke ḳhilāf bhejne lagā tāki us se laṛeṅ. 38 Jab Yūtām mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Āḳhaz taḳht par baiṭh gayā.

In Other Versions

2 Kings 15 in the ANGEFD

2 Kings 15 in the ANTPNG2D

2 Kings 15 in the AS21

2 Kings 15 in the BAGH

2 Kings 15 in the BBPNG

2 Kings 15 in the BBT1E

2 Kings 15 in the BDS

2 Kings 15 in the BEV

2 Kings 15 in the BHAD

2 Kings 15 in the BIB

2 Kings 15 in the BLPT

2 Kings 15 in the BNT

2 Kings 15 in the BNTABOOT

2 Kings 15 in the BNTLV

2 Kings 15 in the BOATCB

2 Kings 15 in the BOATCB2

2 Kings 15 in the BOBCV

2 Kings 15 in the BOCNT

2 Kings 15 in the BOECS

2 Kings 15 in the BOGWICC

2 Kings 15 in the BOHCB

2 Kings 15 in the BOHCV

2 Kings 15 in the BOHLNT

2 Kings 15 in the BOHNTLTAL

2 Kings 15 in the BOICB

2 Kings 15 in the BOILNTAP

2 Kings 15 in the BOITCV

2 Kings 15 in the BOKCV

2 Kings 15 in the BOKCV2

2 Kings 15 in the BOKHWOG

2 Kings 15 in the BOKSSV

2 Kings 15 in the BOLCB

2 Kings 15 in the BOLCB2

2 Kings 15 in the BOMCV

2 Kings 15 in the BONAV

2 Kings 15 in the BONCB

2 Kings 15 in the BONLT

2 Kings 15 in the BONUT2

2 Kings 15 in the BOPLNT

2 Kings 15 in the BOSCB

2 Kings 15 in the BOSNC

2 Kings 15 in the BOTLNT

2 Kings 15 in the BOVCB

2 Kings 15 in the BOYCB

2 Kings 15 in the BPBB

2 Kings 15 in the BPH

2 Kings 15 in the BSB

2 Kings 15 in the CCB

2 Kings 15 in the CUV

2 Kings 15 in the CUVS

2 Kings 15 in the DBT

2 Kings 15 in the DGDNT

2 Kings 15 in the DHNT

2 Kings 15 in the DNT

2 Kings 15 in the ELBE

2 Kings 15 in the EMTV

2 Kings 15 in the ESV

2 Kings 15 in the FBV

2 Kings 15 in the FEB

2 Kings 15 in the GGMNT

2 Kings 15 in the GNT

2 Kings 15 in the HARY

2 Kings 15 in the HNT

2 Kings 15 in the IRVA

2 Kings 15 in the IRVB

2 Kings 15 in the IRVG

2 Kings 15 in the IRVH

2 Kings 15 in the IRVK

2 Kings 15 in the IRVM

2 Kings 15 in the IRVM2

2 Kings 15 in the IRVO

2 Kings 15 in the IRVP

2 Kings 15 in the IRVT

2 Kings 15 in the IRVT2

2 Kings 15 in the IRVU

2 Kings 15 in the ISVN

2 Kings 15 in the JSNT

2 Kings 15 in the KAPI

2 Kings 15 in the KBT1ETNIK

2 Kings 15 in the KBV

2 Kings 15 in the KJV

2 Kings 15 in the KNFD

2 Kings 15 in the LBA

2 Kings 15 in the LBLA

2 Kings 15 in the LNT

2 Kings 15 in the LSV

2 Kings 15 in the MAAL

2 Kings 15 in the MBV

2 Kings 15 in the MBV2

2 Kings 15 in the MHNT

2 Kings 15 in the MKNFD

2 Kings 15 in the MNG

2 Kings 15 in the MNT

2 Kings 15 in the MNT2

2 Kings 15 in the MRS1T

2 Kings 15 in the NAA

2 Kings 15 in the NASB

2 Kings 15 in the NBLA

2 Kings 15 in the NBS

2 Kings 15 in the NBVTP

2 Kings 15 in the NET2

2 Kings 15 in the NIV11

2 Kings 15 in the NNT

2 Kings 15 in the NNT2

2 Kings 15 in the NNT3

2 Kings 15 in the PDDPT

2 Kings 15 in the PFNT

2 Kings 15 in the RMNT

2 Kings 15 in the SBIAS

2 Kings 15 in the SBIBS

2 Kings 15 in the SBIBS2

2 Kings 15 in the SBICS

2 Kings 15 in the SBIDS

2 Kings 15 in the SBIGS

2 Kings 15 in the SBIHS

2 Kings 15 in the SBIIS

2 Kings 15 in the SBIIS2

2 Kings 15 in the SBIIS3

2 Kings 15 in the SBIKS

2 Kings 15 in the SBIKS2

2 Kings 15 in the SBIMS

2 Kings 15 in the SBIOS

2 Kings 15 in the SBIPS

2 Kings 15 in the SBISS

2 Kings 15 in the SBITS

2 Kings 15 in the SBITS2

2 Kings 15 in the SBITS3

2 Kings 15 in the SBITS4

2 Kings 15 in the SBIUS

2 Kings 15 in the SBIVS

2 Kings 15 in the SBT

2 Kings 15 in the SBT1E

2 Kings 15 in the SCHL

2 Kings 15 in the SNT

2 Kings 15 in the SUSU

2 Kings 15 in the SUSU2

2 Kings 15 in the SYNO

2 Kings 15 in the TBIAOTANT

2 Kings 15 in the TBT1E

2 Kings 15 in the TBT1E2

2 Kings 15 in the TFTIP

2 Kings 15 in the TFTU

2 Kings 15 in the TGNTATF3T

2 Kings 15 in the THAI

2 Kings 15 in the TNFD

2 Kings 15 in the TNT

2 Kings 15 in the TNTIK

2 Kings 15 in the TNTIL

2 Kings 15 in the TNTIN

2 Kings 15 in the TNTIP

2 Kings 15 in the TNTIZ

2 Kings 15 in the TOMA

2 Kings 15 in the TTENT

2 Kings 15 in the UBG

2 Kings 15 in the UGV

2 Kings 15 in the UGV2

2 Kings 15 in the VBL

2 Kings 15 in the VDCC

2 Kings 15 in the YALU

2 Kings 15 in the YAPE

2 Kings 15 in the YBVTP

2 Kings 15 in the ZBP