Acts 10 (UGV3)

1 Qaisariyā meṅ ek Romī afsar rahtā thā jis kā nām Kurneliyus thā. Wuh us palṭan ke sau faujiyoṅ par muqarrar thā jo Itālwī kahlātī thī. 2 Kurneliyus apne pūre gharāne samet dīndār aur ḳhudātars thā. Wuh faiyāzī se ḳhairāt detā aur mutawātir duā meṅ lagā rahtā thā. 3 Ek din us ne tīn baje dopahar ke waqt royā dekhī. Us meṅ us ne sāf taur par Allāh kā ek farishtā dekhā jo us ke pās āyā aur kahā, “Kurneliyus!” 4 Wuh ghabrā gayā aur use ġhaur se deḳhte hue kahā, “Mere āqā, farmāeṅ.”Farishte ne kahā, “Tumhārī duāoṅ aur ḳhairāt kī qurbānī Allāh ke huzūr pahuṅch gaī hai aur manzūr hai. 5 Ab kuchh ādmī Yāfā bhej do. Wahāṅ ek ādmī banām Shamāūn hai jo Patras kahlātā hai. Use bulā kar le āo. 6 Patras ek chamṛā rangne wāle kā mehmān hai jis kā nām Shamāūn hai. Us kā ghar samundar ke qarīb wāqe hai.” 7 Jyoṅ hī farishtā chalā gayā Kurneliyus ne do naukaroṅ aur apne ḳhidmatgār faujiyoṅ meṅ se ek ḳhudātars ādmī ko bulāyā. 8 Sab kuchh sunā kar us ne unheṅ Yāfā bhej diyā. 9 Agle din Patras dopahar taqrīban bārah baje duā karne ke lie chhat par chaṛh gayā. Us waqt Kurneliyus ke bheje hue ādmī Yāfā Shahr ke qarīb pahuṅch gae the. 10 Patras ko bhūk lagī aur wuh kuchh khānā chāhtā thā. Jab us ke lie khānā taiyār kiyā jā rahā thā to wuh wajd kī hālat meṅ ā gayā. 11 Us ne dekhā ki āsmān khul gayā hai aur ek chīz zamīn par utar rahī hai, katān kī baṛī chādar jaisī jo apne chār konoṅ se nīche utārī jā rahī hai. 12 Chādar meṅ tamām qism ke jānwar haiṅ: chār pāṅw rakhne wāle, reṅgne wāle aur parinde. 13 Phir ek āwāz us se muḳhātib huī, “Uṭh, Patras. Kuchh zabah karke khā!” 14 Patras ne etarāz kiyā, “Hargiz nahīṅ Ḳhudāwand, maiṅ ne kabhī bhī harām yā nāpāk khānā nahīṅ khāyā.” 15 Lekin yih āwāz dubārā us se hamkalām huī, “Jo kuchh Allāh ne pāk kar diyā hai use nāpāk qarār na de.” 16 Yihī kuchh tīn martabā huā, phir chādar ko achānak āsmān par wāpas uṭhā liyā gayā. 17 Patras baṛī uljhan meṅ paṛ gayā. Wuh abhī soch rahā thā ki is royā kā kyā matlab hai to Kurneliyus ke bheje hue ādmī Shamāūn ke ghar kā patā karke us ke geṭ par pahuṅch gae. 18 Āwāz de kar unhoṅ ne pūchhā, “Kyā Shamāūn jo Patras kahlātā hai āp ke mehmān haiṅ?” 19 Patras abhī royā par ġhaur kar hī rahā thā ki Rūhul-quds us se hamkalām huā, “Shamāūn, tīn mard terī talāsh meṅ haiṅ. 20 Uṭh aur chhat se utar kar un ke sāth chalā jā. Mat jhijaknā, kyoṅki maiṅ hī ne unheṅ tere pās bhejā hai.” 21 Chunāṅche Patras un ādmiyoṅ ke pās gayā aur un se kahā, “Maiṅ wuhī hūṅ jise āp ḍhūnḍ rahe haiṅ. Āp kyoṅ mere pās āe haiṅ?” 22 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham sau faujiyoṅ par muqarrar afsar Kurneliyus ke ghar se āe haiṅ. Wuh insāfparwar aur ḳhudātars ādmī haiṅ. Pūrī Yahūdī qaum is kī tasdīq kar saktī hai. Ek muqaddas farishte ne unheṅ hidāyat dī ki wuh āp ko apne ghar bulā kar āp kā paiġhām suneṅ.” 23 Yih sun kar Patras unheṅ andar le gayā aur un kī mehmān-nawāzī kī. Agle din wuh uṭh kar un ke sāth rawānā huā. Yāfā ke kuchh bhāī bhī sāth gae. 24 Ek din ke bād wuh Qaisariyā pahuṅch gayā. Kurneliyus un ke intazār meṅ thā. Us ne apne rishtedāroṅ aur qarībī dostoṅ ko bhī apne ghar jamā kar rakhā thā. 25 Jab Patras ghar meṅ dāḳhil huā to Kurneliyus ne us ke sāmne gir kar use sijdā kiyā. 26 Lekin Patras ne use uṭhā kar kahā, “Uṭheṅ. Maiṅ bhī insān hī hūṅ.” 27 Aur us se bāteṅ karte karte wuh andar gayā aur dekhā ki bahut-se log jamā ho gae haiṅ. 28 Us ne un se kahā, “Āp jānte haiṅ ki kisī Yahūdī ke lie kisī Ġhairyahūdī se rifāqat rakhnā yā us ke ghar meṅ jānā manā hai. Lekin Allāh ne mujhe dikhāyā hai ki maiṅ kisī ko bhī harām yā nāpāk qarār na dūṅ. 29 Is wajah se jab mujhe bulāyā gayā to maiṅ etarāz kie baġhair chalā āyā. Ab mujhe batā dījie ki āp ne mujhe kyoṅ bulāyā hai?” 30 Kurneliyus ne jawāb diyā, “Chār din kī bāt hai ki maiṅ isī waqt dopahar tīn baje duā kar rahā thā. Achānak ek ādmī mere sāmne ā khaṛā huā. Us ke kapṛe chamak rahe the. 31 Us ne kahā, ‘Kurneliyus, Allāh ne tumhārī duā sun lī aur tumhārī ḳhairāt kā ḳhayāl kiyā hai. 32 Ab kisī ko Yāfā bhej kar Shamāūn ko bulā lo jo Patras kahlātā hai. Wuh chamṛā rangne wāle Shamāūn kā mehmān hai. Shamāūn kā ghar samundar ke qarīb wāqe hai.’ 33 Yih sunte hī maiṅ ne apne logoṅ ko āp ko bulāne ke lie bhej diyā. Achchhā huā ki āp ā gae haiṅ. Ab ham sab Allāh ke huzūr hāzir haiṅ tāki wuh kuchh suneṅ jo Rab ne āp ko hameṅ batāne ko kahā hai.” 34 Phir Patras bol uṭhā, “Ab maiṅ samajh gayā hūṅ ki Allāh wāqaī jānibdār nahīṅ, 35 balki har kisī ko qabūl kartā hai jo us kā ḳhauf māntā aur rāst kām kartā hai. 36 Āp Allāh kī us ḳhushḳhabrī se wāqif haiṅ jo us ne Isrāīliyoṅ ko bhejī, yih ḳhushḳhabrī ki Īsā Masīh ke wasīle se salāmatī āī hai. Īsā Masīh sab kā Ḳhudāwand hai. 37 Āp ko wuh kuchh mālūm hai jo Galīl se shurū ho kar Yahūdiyā ke pūre ilāqe meṅ huā yānī us baptisme ke bād jis kī munādī Yahyā ne kī. 38 Aur āp jānte haiṅ ki Allāh ne Īsā Nāsarī ko Rūhul-quds aur quwwat se masah kiyā aur ki is par us ne jagah jagah jā kar nek kām kiyā aur Iblīs ke dabe hue tamām logoṅ ko shifā dī, kyoṅki Allāh us ke sāth thā. 39 Jo kuchh bhī us ne Mulk-e-Yahūd aur Yarūshalam meṅ kiyā, us ke gawāh ham ḳhud haiṅ. Go logoṅ ne use lakaṛī par laṭkā kar qatl kar diyā 40 lekin Allāh ne tīsre din use murdoṅ meṅ se zindā kiyā aur use logoṅ par zāhir kiyā. 41 Wuh pūrī qaum par to zāhir nahīṅ huā balki ham par jin ko Allāh ne pahle se chun liyā thā tāki ham us ke gawāh hoṅ. Ham ne us ke jī uṭhne ke bād us ke sāth khāne-pīne kī rifāqat bhī rakhī. 42 Us waqt us ne hameṅ hukm diyā ki munādī karke qaum ko gawāhī do ki Īsā wuhī hai jise Allāh ne zindoṅ aur murdoṅ par munsif muqarrar kiyā hai. 43 Tamām nabī us kī gawāhī dete haiṅ ki jo bhī us par īmān lāe use us ke nām ke wasīle se gunāhoṅ kī muāfī mil jāegī.” 44 Patras abhī yih bāt kar hī rahā thā ki tamām sunane wāloṅ par Rūhul-quds nāzil huā. 45 Jo Yahūdī īmāndār Patras ke sāth āe the wuh hakkā-bakkā rah gae ki Rūhul-quds kī nemat Ġhairyahūdiyoṅ par bhī unḍelī gaī hai, 46 kyoṅki unhoṅ ne dekhā ki wuh ġhairzabāneṅ bol rahe aur Allāh kī tamjīd kar rahe haiṅ. Tab Patras ne kahā, 47 “Ab kaun in ko baptismā lene se rok saktā hai? Inheṅ to hamārī tarah Rūhul-quds hāsil huā hai.” 48 Aur us ne hukm diyā ki unheṅ Īsā Masīh ke nām se baptismā diyā jāe. Is ke bād unhoṅ ne Patras se guzārish kī ki kuchh din hamāre pās ṭhahreṅ.

In Other Versions

Acts 10 in the ANGEFD

Acts 10 in the ANTPNG2D

Acts 10 in the AS21

Acts 10 in the BAGH

Acts 10 in the BBPNG

Acts 10 in the BBT1E

Acts 10 in the BDS

Acts 10 in the BEV

Acts 10 in the BHAD

Acts 10 in the BIB

Acts 10 in the BLPT

Acts 10 in the BNT

Acts 10 in the BNTABOOT

Acts 10 in the BNTLV

Acts 10 in the BOATCB

Acts 10 in the BOATCB2

Acts 10 in the BOBCV

Acts 10 in the BOCNT

Acts 10 in the BOECS

Acts 10 in the BOGWICC

Acts 10 in the BOHCB

Acts 10 in the BOHCV

Acts 10 in the BOHLNT

Acts 10 in the BOHNTLTAL

Acts 10 in the BOICB

Acts 10 in the BOILNTAP

Acts 10 in the BOITCV

Acts 10 in the BOKCV

Acts 10 in the BOKCV2

Acts 10 in the BOKHWOG

Acts 10 in the BOKSSV

Acts 10 in the BOLCB

Acts 10 in the BOLCB2

Acts 10 in the BOMCV

Acts 10 in the BONAV

Acts 10 in the BONCB

Acts 10 in the BONLT

Acts 10 in the BONUT2

Acts 10 in the BOPLNT

Acts 10 in the BOSCB

Acts 10 in the BOSNC

Acts 10 in the BOTLNT

Acts 10 in the BOVCB

Acts 10 in the BOYCB

Acts 10 in the BPBB

Acts 10 in the BPH

Acts 10 in the BSB

Acts 10 in the CCB

Acts 10 in the CUV

Acts 10 in the CUVS

Acts 10 in the DBT

Acts 10 in the DGDNT

Acts 10 in the DHNT

Acts 10 in the DNT

Acts 10 in the ELBE

Acts 10 in the EMTV

Acts 10 in the ESV

Acts 10 in the FBV

Acts 10 in the FEB

Acts 10 in the GGMNT

Acts 10 in the GNT

Acts 10 in the HARY

Acts 10 in the HNT

Acts 10 in the IRVA

Acts 10 in the IRVB

Acts 10 in the IRVG

Acts 10 in the IRVH

Acts 10 in the IRVK

Acts 10 in the IRVM

Acts 10 in the IRVM2

Acts 10 in the IRVO

Acts 10 in the IRVP

Acts 10 in the IRVT

Acts 10 in the IRVT2

Acts 10 in the IRVU

Acts 10 in the ISVN

Acts 10 in the JSNT

Acts 10 in the KAPI

Acts 10 in the KBT1ETNIK

Acts 10 in the KBV

Acts 10 in the KJV

Acts 10 in the KNFD

Acts 10 in the LBA

Acts 10 in the LBLA

Acts 10 in the LNT

Acts 10 in the LSV

Acts 10 in the MAAL

Acts 10 in the MBV

Acts 10 in the MBV2

Acts 10 in the MHNT

Acts 10 in the MKNFD

Acts 10 in the MNG

Acts 10 in the MNT

Acts 10 in the MNT2

Acts 10 in the MRS1T

Acts 10 in the NAA

Acts 10 in the NASB

Acts 10 in the NBLA

Acts 10 in the NBS

Acts 10 in the NBVTP

Acts 10 in the NET2

Acts 10 in the NIV11

Acts 10 in the NNT

Acts 10 in the NNT2

Acts 10 in the NNT3

Acts 10 in the PDDPT

Acts 10 in the PFNT

Acts 10 in the RMNT

Acts 10 in the SBIAS

Acts 10 in the SBIBS

Acts 10 in the SBIBS2

Acts 10 in the SBICS

Acts 10 in the SBIDS

Acts 10 in the SBIGS

Acts 10 in the SBIHS

Acts 10 in the SBIIS

Acts 10 in the SBIIS2

Acts 10 in the SBIIS3

Acts 10 in the SBIKS

Acts 10 in the SBIKS2

Acts 10 in the SBIMS

Acts 10 in the SBIOS

Acts 10 in the SBIPS

Acts 10 in the SBISS

Acts 10 in the SBITS

Acts 10 in the SBITS2

Acts 10 in the SBITS3

Acts 10 in the SBITS4

Acts 10 in the SBIUS

Acts 10 in the SBIVS

Acts 10 in the SBT

Acts 10 in the SBT1E

Acts 10 in the SCHL

Acts 10 in the SNT

Acts 10 in the SUSU

Acts 10 in the SUSU2

Acts 10 in the SYNO

Acts 10 in the TBIAOTANT

Acts 10 in the TBT1E

Acts 10 in the TBT1E2

Acts 10 in the TFTIP

Acts 10 in the TFTU

Acts 10 in the TGNTATF3T

Acts 10 in the THAI

Acts 10 in the TNFD

Acts 10 in the TNT

Acts 10 in the TNTIK

Acts 10 in the TNTIL

Acts 10 in the TNTIN

Acts 10 in the TNTIP

Acts 10 in the TNTIZ

Acts 10 in the TOMA

Acts 10 in the TTENT

Acts 10 in the UBG

Acts 10 in the UGV

Acts 10 in the UGV2

Acts 10 in the VBL

Acts 10 in the VDCC

Acts 10 in the YALU

Acts 10 in the YAPE

Acts 10 in the YBVTP

Acts 10 in the ZBP