Acts 17 (UGV3)

1 Amfipulis aur Apulloniyā se ho kar Paulus aur Sīlās Thissalunīke Shahr pahuṅch gae jahāṅ Yahūdī ibādatḳhānā thā. 2 Apnī ādat ke mutābiq Paulus us meṅ gayā aur lagātār tīn Sabatoṅ ke daurān kalām-e-muqaddas se dalāyl de de kar Yahūdiyoṅ ko qāyl karne kī koshish kartā rahā. 3 Us ne kalām-e-muqaddas kī tashrīh karke sābit kiyā ki Masīh kā dukh uṭhānā aur murdoṅ meṅ se jī uṭhnā lāzim thā. Us ne kahā, “Jis Īsā kī maiṅ ḳhabar de rahā hūṅ, wuhī Masīh hai.” 4 Yahūdiyoṅ meṅ se kuchh qāyl ho kar Paulus aur Sīlās se wābastā ho gae. Jin meṅ ḳhudātars Yūnāniyoṅ kī baṛī tādād aur bārasūḳh ḳhawātīn bhī sharīk thīṅ. 5 Yih dekh kar bāqī Yahūdī hasad karne lage. Unhoṅ ne galiyoṅ meṅ āwārā phirne wāle kuchh sharīr ādmī ikaṭṭhe karke julūs nikālā aur shahr meṅ halchal machā dī. Phir Yāson ke ghar par hamlā karke unhoṅ ne Paulus aur Sīlās ko ḍhūnḍā tāki unheṅ awāmī ijlās ke sāmne pesh kareṅ. 6 Lekin wuh wahāṅ nahīṅ the, is lie wuh Yāson aur chand ek aur īmāndār bhāiyoṅ ko shahr ke majisṭreṭoṅ ke sāmne lāe. Unhoṅ ne chīḳh kar kahā, “Yih log pūrī duniyā meṅ gaṛbaṛ paidā kar rahe haiṅ aur ab yahāṅ bhī ā gae haiṅ. 7 Yāson ne unheṅ apne ghar meṅ ṭhahrāyā hai. Yih sab shahanshāh ke ahkām kī ḳhilāfwarzī kar rahe haiṅ, kyoṅki yih kisī aur ko bādshāh mānte haiṅ jis kā nām Īsā hai.” 8 Is tarah kī bātoṅ se unhoṅ ne hujūm aur majisṭreṭoṅ meṅ baṛā hangāmā paidā kiyā. 9 Chunāṅche majisṭreṭoṅ ne Yāson aur dūsroṅ se zamānat lī aur phir unheṅ chhoṛ diyā. 10 Usī rāt bhāiyoṅ ne Paulus aur Sīlās ko Beriyā bhej diyā. Wahāṅ pahuṅch kar wuh Yahūdī ibādatḳhāne meṅ gae. 11 Yih log Thissalunīke ke Yahūdiyoṅ kī nisbat zyādā khule zahan ke the. Yih baṛe shauq se Paulus aur Sīlās kī bāteṅ sunte aur roz baroz kalām-e-muqaddas kī taftīsh karte rahe ki kyā wāqaī aisā hai jaisā hameṅ batāyā jā rahā hai? 12 Natīje meṅ in meṅ se bahut-se Yahūdī īmān lāe aur sāth sāth bahut-sī bārasūḳh Yūnānī ḳhawātīn aur mard bhī. 13 Lekin phir Thissalunīke ke Yahūdiyoṅ ko yih ḳhabar milī ki Paulus Beriyā meṅ Allāh kā kalām sunā rahā hai. Wuh wahāṅ bhī pahuṅche aur logoṅ ko uksā kar halchal machā dī. 14 Is par bhāiyoṅ ne Paulus ko fauran sāhil par bhej diyā, lekin Sīlās aur Tīmuthiyus Beriyā meṅ pīchhe rah gae. 15 Jo ādmī Paulus ko sāhil tak pahuṅchāne āe the wuh us ke sāth Athene tak gae. Wahāṅ wuh use chhoṛ kar wāpas chale gae. Un ke hāth Paulus ne Sīlās aur Tīmuthiyus ko ḳhabar bhejī ki jitnī jaldī ho sake Beriyā ko chhoṛ kar mere pās ā jāeṅ. 16 Athene Shahr meṅ Sīlās aur Tīmuthiyus kā intazār karte karte Paulus baṛe josh meṅ ā gayā, kyoṅki us ne dekhā ki pūrā shahr butoṅ se bharā huā hai. 17 Wuh Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar Yahūdiyoṅ aur ḳhudātars Ġhairyahūdiyoṅ se bahs karne lagā. Sāth sāth wuh rozānā chauk meṅ bhī jā kar wahāṅ par maujūd logoṅ se guftgū kartā rahā. 18 Ipikūrī aur Stoikī falsafī bhī us se bahs karne lage. Jab Paulus ne unheṅ Īsā aur us ke jī uṭhne kī ḳhushḳhabrī sunāī to bāz ne pūchhā, “Yih bakwāsī in bātoṅ se kyā kahnā chāhtā hai jo is ne idhar-udhar se chun kar joṛ dī haiṅ?”Dūsroṅ ne kahā, “Lagtā hai ki wuh ajnabī dewatāoṅ kī ḳhabar de rahā hai.” 19 Wuh use sāth le kar shahr kī majlis-e-shūrā meṅ gae jo Ariyopagus nāmī pahāṛī par mun'aqid hotī thī. Unhoṅ ne darḳhāst kī, “Kyā hameṅ mālūm ho saktā hai ki āp kaun-sī naī tālīm pesh kar rahe haiṅ? 20 Āp to hameṅ ajīb-o-ġharīb bāteṅ sunā rahe haiṅ. Ab ham un kā sahīh matlab jānanā chāhte haiṅ.” 21 (Bāt yih thī ki Athene ke tamām bāshinde shahr meṅ rahne wāle pardesiyoṅ samet apnā pūrā waqt is meṅ sarf karte the ki tāzā tāzā ḳhayālāt suneṅ yā sunāeṅ.) 22 Paulus majlis meṅ khaṛā huā aur kahā, “Athene ke hazarāt, maiṅ deḳhtā hūṅ ki āp har lihāz se bahut mazhabī log haiṅ. 23 Kyoṅki jab maiṅ shahr meṅ se guzar rahā thā to un chīzoṅ par ġhaur kiyā jin kī pūjā āp karte haiṅ. Chalte chalte maiṅ ne ek aisī qurbāngāh bhī dekhī jis par likhā thā, ‘Nāmālūm Ḳhudā kī qurbāngāh.’ Ab maiṅ āp ko us Ḳhudā kī ḳhabar detā hūṅ jis kī pūjā āp karte to haiṅ magar āp use jānte nahīṅ. 24 Yih wuh Ḳhudā hai jis ne duniyā aur us meṅ maujūd har chīz kī taḳhlīq kī. Wuh āsmān-o-zamīn kā mālik hai, is lie wuh insānī hāthoṅ ke banāe hue mandiroṅ meṅ sukūnat nahīṅ kartā. 25 Aur insānī hāth us kī ḳhidmat nahīṅ kar sakte, kyoṅki use koī bhī chīz darkār nahīṅ hotī. Is ke bajāe wuhī sab ko zindagī aur sāṅs muhaiyā karke un kī tamām zarūriyāt pūrī kartā hai. 26 Usī ne ek shaḳhs ko ḳhalaq kiyā tāki duniyā kī tamām qaumeṅ us se nikal kar pūrī duniyā meṅ phail jāeṅ. Us ne har qaum ke auqāt aur sarhaddeṅ bhī muqarrar kīṅ. 27 Maqsad yih thā ki wuh Ḳhudā ko talāsh kareṅ. Ummīd yih thī ki wuh ṭaṭol ṭaṭol kar use pāeṅ, agarche wuh ham meṅ se kisī se dūr nahīṅ hotā. 28 Kyoṅki us meṅ ham jīte, harkat karte aur wujūd rakhte haiṅ. Āp ke apne kuchh shāyroṅ ne bhī farmāyā hai, ‘Ham bhī us ke farzand haiṅ.’ 29 Ab chūṅki ham Allāh ke farzand haiṅ is lie hamārā us ke bāre meṅ tasawwur yih nahīṅ honā chāhie ki wuh sone, chāṅdī yā patthar kā koī mujassamā ho jo insān kī mahārat aur ḍizāyn se banāyā gayā ho. 30 Māzī meṅ Ḳhudā ne is qism kī jahālat ko nazarandāz kiyā, lekin ab wuh har jagah ke logoṅ ko taubā kā hukm detā hai. 31 Kyoṅki us ne ek din muqarrar kiyā hai jab wuh insāf se duniyā kī adālat karegā. Aur wuh yih adālat ek shaḳhs kī mārifat karegā jis ko wuh muta'ayyin kar chukā hai aur jis kī tasdīq us ne is se kī hai ki us ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā hai.” 32 Murdoṅ kī qiyāmat kā zikr sun kar bāz ne Paulus kā mazāq uṛāyā. Lekin bāz ne kahā, “Ham kisī aur waqt is ke bāre meṅ āp se mazīd sunanā chāhte haiṅ.” 33 Phir Paulus majlis se nikal kar chalā gayā. 34 Kuchh log us se wābastā ho kar īmān le āe. Un meṅ se majlis-e-shūrā kā membar Diyonīsiyus thā aur ek aurat banām Damaris. Kuchh aur bhī the.

In Other Versions

Acts 17 in the ANGEFD

Acts 17 in the ANTPNG2D

Acts 17 in the AS21

Acts 17 in the BAGH

Acts 17 in the BBPNG

Acts 17 in the BBT1E

Acts 17 in the BDS

Acts 17 in the BEV

Acts 17 in the BHAD

Acts 17 in the BIB

Acts 17 in the BLPT

Acts 17 in the BNT

Acts 17 in the BNTABOOT

Acts 17 in the BNTLV

Acts 17 in the BOATCB

Acts 17 in the BOATCB2

Acts 17 in the BOBCV

Acts 17 in the BOCNT

Acts 17 in the BOECS

Acts 17 in the BOGWICC

Acts 17 in the BOHCB

Acts 17 in the BOHCV

Acts 17 in the BOHLNT

Acts 17 in the BOHNTLTAL

Acts 17 in the BOICB

Acts 17 in the BOILNTAP

Acts 17 in the BOITCV

Acts 17 in the BOKCV

Acts 17 in the BOKCV2

Acts 17 in the BOKHWOG

Acts 17 in the BOKSSV

Acts 17 in the BOLCB

Acts 17 in the BOLCB2

Acts 17 in the BOMCV

Acts 17 in the BONAV

Acts 17 in the BONCB

Acts 17 in the BONLT

Acts 17 in the BONUT2

Acts 17 in the BOPLNT

Acts 17 in the BOSCB

Acts 17 in the BOSNC

Acts 17 in the BOTLNT

Acts 17 in the BOVCB

Acts 17 in the BOYCB

Acts 17 in the BPBB

Acts 17 in the BPH

Acts 17 in the BSB

Acts 17 in the CCB

Acts 17 in the CUV

Acts 17 in the CUVS

Acts 17 in the DBT

Acts 17 in the DGDNT

Acts 17 in the DHNT

Acts 17 in the DNT

Acts 17 in the ELBE

Acts 17 in the EMTV

Acts 17 in the ESV

Acts 17 in the FBV

Acts 17 in the FEB

Acts 17 in the GGMNT

Acts 17 in the GNT

Acts 17 in the HARY

Acts 17 in the HNT

Acts 17 in the IRVA

Acts 17 in the IRVB

Acts 17 in the IRVG

Acts 17 in the IRVH

Acts 17 in the IRVK

Acts 17 in the IRVM

Acts 17 in the IRVM2

Acts 17 in the IRVO

Acts 17 in the IRVP

Acts 17 in the IRVT

Acts 17 in the IRVT2

Acts 17 in the IRVU

Acts 17 in the ISVN

Acts 17 in the JSNT

Acts 17 in the KAPI

Acts 17 in the KBT1ETNIK

Acts 17 in the KBV

Acts 17 in the KJV

Acts 17 in the KNFD

Acts 17 in the LBA

Acts 17 in the LBLA

Acts 17 in the LNT

Acts 17 in the LSV

Acts 17 in the MAAL

Acts 17 in the MBV

Acts 17 in the MBV2

Acts 17 in the MHNT

Acts 17 in the MKNFD

Acts 17 in the MNG

Acts 17 in the MNT

Acts 17 in the MNT2

Acts 17 in the MRS1T

Acts 17 in the NAA

Acts 17 in the NASB

Acts 17 in the NBLA

Acts 17 in the NBS

Acts 17 in the NBVTP

Acts 17 in the NET2

Acts 17 in the NIV11

Acts 17 in the NNT

Acts 17 in the NNT2

Acts 17 in the NNT3

Acts 17 in the PDDPT

Acts 17 in the PFNT

Acts 17 in the RMNT

Acts 17 in the SBIAS

Acts 17 in the SBIBS

Acts 17 in the SBIBS2

Acts 17 in the SBICS

Acts 17 in the SBIDS

Acts 17 in the SBIGS

Acts 17 in the SBIHS

Acts 17 in the SBIIS

Acts 17 in the SBIIS2

Acts 17 in the SBIIS3

Acts 17 in the SBIKS

Acts 17 in the SBIKS2

Acts 17 in the SBIMS

Acts 17 in the SBIOS

Acts 17 in the SBIPS

Acts 17 in the SBISS

Acts 17 in the SBITS

Acts 17 in the SBITS2

Acts 17 in the SBITS3

Acts 17 in the SBITS4

Acts 17 in the SBIUS

Acts 17 in the SBIVS

Acts 17 in the SBT

Acts 17 in the SBT1E

Acts 17 in the SCHL

Acts 17 in the SNT

Acts 17 in the SUSU

Acts 17 in the SUSU2

Acts 17 in the SYNO

Acts 17 in the TBIAOTANT

Acts 17 in the TBT1E

Acts 17 in the TBT1E2

Acts 17 in the TFTIP

Acts 17 in the TFTU

Acts 17 in the TGNTATF3T

Acts 17 in the THAI

Acts 17 in the TNFD

Acts 17 in the TNT

Acts 17 in the TNTIK

Acts 17 in the TNTIL

Acts 17 in the TNTIN

Acts 17 in the TNTIP

Acts 17 in the TNTIZ

Acts 17 in the TOMA

Acts 17 in the TTENT

Acts 17 in the UBG

Acts 17 in the UGV

Acts 17 in the UGV2

Acts 17 in the VBL

Acts 17 in the VDCC

Acts 17 in the YALU

Acts 17 in the YAPE

Acts 17 in the YBVTP

Acts 17 in the ZBP