Daniel 8 (UGV3)

1 Belshazzar Bādshāh ke daur-e-hukūmat ke tīsre sāl meṅ maiṅ, Dānyāl ne ek aur royā dekhī. 2 Royā meṅ maiṅ sūbā Ailām ke qilāband shahr Sosan kī nahar Ūlāī ke kināre par khaṛā thā. 3 Jab maiṅ ne apnī nigāh uṭhāī to kināre par mere sāmne hī ek menḍhā khaṛā thā. Us ke do baṛe sīṅg the jin meṅ se ek zyādā baṛā thā. Lekin wuh dūsre ke bād hī baṛā ho gayā thā. 4 Merī nazaroṅ ke sāmne menḍhā maġhrib, shimāl aur junūb kī taraf sīṅg mārne lagā. Na koī jānwar us kā muqābalā kar sakā, na koī us ke qābū se bachā sakā. Jo jī chāhe kartā thā aur hote hote bahut baṛā ho gayā. 5 Maiṅ us par ġhaur hī kar rahā thā ki achānak maġhrib se āte hue ek bakrā dikhāī diyā. Us kī āṅkhoṅ ke darmiyān zabardast sīṅg thā, aur wuh zamīn ko chhue baġhair chal rahā thā. Pūrī duniyā ko ubūr karke 6 wuh do sīṅgoṅ wāle us menḍhe ke pās pahuṅch gayā jo maiṅ ne nahar ke kināre khaṛā dekhā thā. Baṛe taish meṅ ā kar wuh us par ṭūṭ paṛā. 7 Maiṅ ne dekhā ki wuh menḍhe ke pahlū se ṭakrā gayā. Baṛe ġhusse meṅ us ne use yoṅ mārā ki menḍhe ke donoṅ sīṅg ṭukṛe ṭukṛe ho gae. Is bebas hālat meṅ menḍhā us kā muqābalā na kar sakā. Bakre ne use zamīn par paṭaḳh kar pāṅwoṅ tale kuchal diyā. Koī nahīṅ thā jo menḍhe ko bakre ke qābū se bachāe. 8 Bakrā nihāyat tāqatwar ho gayā. Lekin tāqat ke urūj par hī us kā baṛā sīṅg ṭūṭ gayā, aur us kī jagah mazīd chār zabardast sīṅg nikal āe jin kā ruḳh āsmān kī chār simtoṅ kī taraf thā. 9 Un ke ek sīṅg meṅ se ek aur sīṅg nikal āyā jo ibtidā meṅ chhoṭā thā. Lekin wuh junūb, mashriq aur ḳhūbsūrat mulk Isrāīl kī taraf baṛhte baṛhte bahut tāqatwar ho gayā. 10 Phir wuh āsmānī fauj tak baṛh gayā. Wahāṅ us ne kuchh faujiyoṅ aur sitāroṅ ko zamīn par phaiṅk kar pāṅwoṅ tale kuchal diyā. 11 Wuh baṛhte baṛhte āsmānī fauj ke kamānḍar tak bhī pahuṅch gayā aur use un qurbāniyoṅ se mahrūm kar diyā jo use rozānā pesh kī jātī thīṅ. Sāth sāth sīṅg ne us ke maqdis ke maqām ko tabāh kar diyā. 12 Us kī fauj se rozānā kī qurbāniyoṅ kī behurmatī huī, aur sīṅg ne sachchāī ko zamīn par paṭaḳh diyā. Jo kuchh bhī us ne kiyā us meṅ wuh kāmyāb rahā. 13 Phir maiṅ ne do muqaddas hastiyoṅ ko āpas meṅ bāt karte hue sunā. Ek ne pūchhā, “Is royā meṅ pesh kie gae hālāt kab tak qāym raheṅge, yānī jo kuchh rozānā kī qurbāniyoṅ ke sāth ho rahā hai, yih tabāhkun behurmatī aur yih bāt ki maqdis ko pāmāl kiyā jā rahā hai?” 14 Dūsre ne jawāb meṅ mujhe batāyā, “Hālāt 2,300 shāmoṅ aur subhoṅ tak yoṅ hī raheṅge. Is ke bād maqdis ko nae sire se maḳhsūs-o-muqaddas kiyā jāegā.” 15 Maiṅ dekhe hue wāqiyāt ko samajhne kī koshish kar hī rahā thā ki koī mere sāmne khaṛā huā jo mard jaisā lag rahā thā. 16 Sāth sāth maiṅ ne nahar Ūlāī kī taraf se kisī shaḳhs kī āwāz sunī jis ne kahā, “Ai Jibrāīl, is ādmī ko royā kā matlab batā de.” 17 Farishtā mere qarīb āyā to maiṅ saḳht ghabrā kar muṅh ke bal gir gayā. Lekin wuh bolā, “Ai ādamzād, jān le ki is royā kā tālluq āḳhirī zamāne se hai.” 18 Jab wuh mujh se bāt kar rahā thā to maiṅ madhosh hālat meṅ muṅh ke bal paṛā rahā. Ab farishte ne mujhe chhū kar pāṅwoṅ par khaṛā kiyā. 19 Wuh bolā, “Maiṅ tujhe samjhā detā hūṅ ki us āḳhirī zamāne meṅ kyā kuchh pesh āegā jab Allāh kā ġhazab nāzil hogā. Kyoṅki royā kā tālluq āḳhirī zamāne se hai. 20 Do sīṅgoṅ ke jis menḍhe ko tū ne dekhā wuh Mādī aur Fāras ke bādshāhoṅ kī numāindagī kartā hai. 21 Lambe bāloṅ kā bakrā Yūnān kā bādshāh hai. Us kī āṅkhoṅ ke darmiyān lagā baṛā sīṅg Yūnānī shahanshāhī kā pahlā bādshāh hai. 22 Tū ne dekhā ki yih sīṅg ṭūṭ gayā aur us kī jagah chār sīṅg nikal āe. Is kā matlab hai ki pahlī bādshāhī se chār aur nikal āeṅgī. Lekin chāroṅ kī tāqat pahlī kī nisbat kam hogī. 23 Un kī hukūmat ke āḳhirī aiyām meṅ bewafāoṅ kī badkirdārī urūj tak pahuṅch gaī hogī.Us waqt ek gustāḳh aur sāzish kā māhir bādshāh taḳht par baiṭhegā. 24 Wuh bahut tāqatwar ho jāegā, lekin yih us kī apnī tāqat nahīṅ hogī. Wuh hairatangez barbādī kā bāis banegā, aur jo kuchh bhī karegā us meṅ kāmyāb hogā. Wuh zorāwaroṅ aur muqaddas qaum ko tabāh karegā. 25 Apnī samajh aur fareb ke zariye wuh kāmyāb rahegā. Tab wuh mutakabbir ho jāegā. Jab log apne āp ko mahfūz samjheṅge to wuh unheṅ maut ke ghāṭ utāregā. Āḳhirkār wuh hukmrānoṅ ke hukmrān ke ḳhilāf bhī uṭhegā. Lekin wuh pāsh pāsh ho jāegā, albattā insānī hāth se nahīṅ. 26 Ai Dānyāl, shāmoṅ aur subhoṅ ke bāre meṅ jo royā tujh par zāhir huī wuh sachchī hai. Lekin filhāl use poshīdā rakh, kyoṅki yih wāqiyāt abhī pesh nahīṅ āeṅge balki bahut dinoṅ ke guzar jāne ke bād hī.” 27 Is ke bād maiṅ, Dānyāl niḍhāl ho kar kaī dinoṅ tak bīmār rahā. Phir maiṅ uṭhā aur bādshāh kī ḳhidmat meṅ dubārā apne farāyz adā karne lagā. Maiṅ royā se saḳht pareshān thā, aur koī nahīṅ thā jo mujhe us kā matlab batā sake.

In Other Versions

Daniel 8 in the ANGEFD

Daniel 8 in the ANTPNG2D

Daniel 8 in the AS21

Daniel 8 in the BAGH

Daniel 8 in the BBPNG

Daniel 8 in the BBT1E

Daniel 8 in the BDS

Daniel 8 in the BEV

Daniel 8 in the BHAD

Daniel 8 in the BIB

Daniel 8 in the BLPT

Daniel 8 in the BNT

Daniel 8 in the BNTABOOT

Daniel 8 in the BNTLV

Daniel 8 in the BOATCB

Daniel 8 in the BOATCB2

Daniel 8 in the BOBCV

Daniel 8 in the BOCNT

Daniel 8 in the BOECS

Daniel 8 in the BOGWICC

Daniel 8 in the BOHCB

Daniel 8 in the BOHCV

Daniel 8 in the BOHLNT

Daniel 8 in the BOHNTLTAL

Daniel 8 in the BOICB

Daniel 8 in the BOILNTAP

Daniel 8 in the BOITCV

Daniel 8 in the BOKCV

Daniel 8 in the BOKCV2

Daniel 8 in the BOKHWOG

Daniel 8 in the BOKSSV

Daniel 8 in the BOLCB

Daniel 8 in the BOLCB2

Daniel 8 in the BOMCV

Daniel 8 in the BONAV

Daniel 8 in the BONCB

Daniel 8 in the BONLT

Daniel 8 in the BONUT2

Daniel 8 in the BOPLNT

Daniel 8 in the BOSCB

Daniel 8 in the BOSNC

Daniel 8 in the BOTLNT

Daniel 8 in the BOVCB

Daniel 8 in the BOYCB

Daniel 8 in the BPBB

Daniel 8 in the BPH

Daniel 8 in the BSB

Daniel 8 in the CCB

Daniel 8 in the CUV

Daniel 8 in the CUVS

Daniel 8 in the DBT

Daniel 8 in the DGDNT

Daniel 8 in the DHNT

Daniel 8 in the DNT

Daniel 8 in the ELBE

Daniel 8 in the EMTV

Daniel 8 in the ESV

Daniel 8 in the FBV

Daniel 8 in the FEB

Daniel 8 in the GGMNT

Daniel 8 in the GNT

Daniel 8 in the HARY

Daniel 8 in the HNT

Daniel 8 in the IRVA

Daniel 8 in the IRVB

Daniel 8 in the IRVG

Daniel 8 in the IRVH

Daniel 8 in the IRVK

Daniel 8 in the IRVM

Daniel 8 in the IRVM2

Daniel 8 in the IRVO

Daniel 8 in the IRVP

Daniel 8 in the IRVT

Daniel 8 in the IRVT2

Daniel 8 in the IRVU

Daniel 8 in the ISVN

Daniel 8 in the JSNT

Daniel 8 in the KAPI

Daniel 8 in the KBT1ETNIK

Daniel 8 in the KBV

Daniel 8 in the KJV

Daniel 8 in the KNFD

Daniel 8 in the LBA

Daniel 8 in the LBLA

Daniel 8 in the LNT

Daniel 8 in the LSV

Daniel 8 in the MAAL

Daniel 8 in the MBV

Daniel 8 in the MBV2

Daniel 8 in the MHNT

Daniel 8 in the MKNFD

Daniel 8 in the MNG

Daniel 8 in the MNT

Daniel 8 in the MNT2

Daniel 8 in the MRS1T

Daniel 8 in the NAA

Daniel 8 in the NASB

Daniel 8 in the NBLA

Daniel 8 in the NBS

Daniel 8 in the NBVTP

Daniel 8 in the NET2

Daniel 8 in the NIV11

Daniel 8 in the NNT

Daniel 8 in the NNT2

Daniel 8 in the NNT3

Daniel 8 in the PDDPT

Daniel 8 in the PFNT

Daniel 8 in the RMNT

Daniel 8 in the SBIAS

Daniel 8 in the SBIBS

Daniel 8 in the SBIBS2

Daniel 8 in the SBICS

Daniel 8 in the SBIDS

Daniel 8 in the SBIGS

Daniel 8 in the SBIHS

Daniel 8 in the SBIIS

Daniel 8 in the SBIIS2

Daniel 8 in the SBIIS3

Daniel 8 in the SBIKS

Daniel 8 in the SBIKS2

Daniel 8 in the SBIMS

Daniel 8 in the SBIOS

Daniel 8 in the SBIPS

Daniel 8 in the SBISS

Daniel 8 in the SBITS

Daniel 8 in the SBITS2

Daniel 8 in the SBITS3

Daniel 8 in the SBITS4

Daniel 8 in the SBIUS

Daniel 8 in the SBIVS

Daniel 8 in the SBT

Daniel 8 in the SBT1E

Daniel 8 in the SCHL

Daniel 8 in the SNT

Daniel 8 in the SUSU

Daniel 8 in the SUSU2

Daniel 8 in the SYNO

Daniel 8 in the TBIAOTANT

Daniel 8 in the TBT1E

Daniel 8 in the TBT1E2

Daniel 8 in the TFTIP

Daniel 8 in the TFTU

Daniel 8 in the TGNTATF3T

Daniel 8 in the THAI

Daniel 8 in the TNFD

Daniel 8 in the TNT

Daniel 8 in the TNTIK

Daniel 8 in the TNTIL

Daniel 8 in the TNTIN

Daniel 8 in the TNTIP

Daniel 8 in the TNTIZ

Daniel 8 in the TOMA

Daniel 8 in the TTENT

Daniel 8 in the UBG

Daniel 8 in the UGV

Daniel 8 in the UGV2

Daniel 8 in the VBL

Daniel 8 in the VDCC

Daniel 8 in the YALU

Daniel 8 in the YAPE

Daniel 8 in the YBVTP

Daniel 8 in the ZBP