Exodus 25 (UGV3)
1 Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko batā ki wuh hadiye lā kar mujhe uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh kareṅ. Lekin sirf un se hadiye qabūl karo jo dilī ḳhushī se deṅ. 3 Un se yih chīzeṅ hadiye ke taur par qabūl karo: sonā, chāṅdī, pītal; 4 nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, 5 menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ, taḳhas kī khāleṅ, kīkar kī lakaṛī, 6 shamādān ke lie zaitūn kā tel, masah karne ke lie tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle, 7 aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse meṅ jaṛe jāeṅge. 8 In chīzoṅ se log mere lie maqdis banāeṅ tāki maiṅ un ke darmiyān rahūṅ. 9 Maiṅ tujhe maqdis aur us ke tamām sāmān kā namūnā dikhāūṅgā, kyoṅki tumheṅ sab kuchh ain usī ke mutābiq banānā hai. 10 10-12 Log kīkar kī lakaṛī kā sandūq banāeṅ. Us kī lambāī paune chār fuṭ ho jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī sawā do do fuṭ ho. Pūre sandūq par andar aur bāhar se ḳhālis sonā chaṛhānā. Ūpar kī satah ke irdgird sone kī jhālar lagānā. Sandūq ko uṭhāne ke lie sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagānā. Donoṅ taraf do do kaṛe hoṅ. 13 Phir kīkar kī do lakaṛiyāṅ sandūq ko uṭhāne ke lie taiyār karnā. Un par sonā chaṛhā kar 14 un ko donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍālnā tāki un se sandūq ko uṭhāyā jāe. 15 Yih lakaṛiyāṅ sandūq ke in kaṛoṅ meṅ paṛī raheṅ. Unheṅ kabhī bhī dūr na kiyā jāe. 16 Sandūq meṅ sharīat kī wuh do taḳhtiyāṅ rakhnā jo maiṅ tujhe dūṅgā. 17 Sandūq kā ḍhaknā ḳhālis sone kā banānā. Us kī lambāī paune chār fuṭ aur chauṛāī sawā do fuṭ ho. Us kā nām kaffāre kā ḍhaknā hai. 18 18-19 Sone se ghaṛ kar do karūbī farishte banāe jāeṅ jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ par khaṛe hoṅ. Yih do farishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāne haiṅ. 20 Farishtoṅ ke par yoṅ ūpar kī taraf phaile hue hoṅ ki wuh ḍhakne ko panāh deṅ. Un ke muṅh ek dūsre kī taraf kie hue hoṅ, aur wuh ḍhakne kī taraf dekheṅ. 21 Ḍhakne ko sandūq par lagā, aur sandūq meṅ sharīat kī wuh do taḳhtiyāṅ rakh jo maiṅ tujhe dūṅgā. 22 Wahāṅ ḍhakne ke ūpar donoṅ farishtoṅ ke darmiyān se maiṅ apne āp ko tujh par zāhir karke tujh se hamkalām hūṅgā aur tujhe Isrāīliyoṅ ke lie tamām ahkām dūṅgā. 23 Kīkar kī lakaṛī kī mez banānā. Us kī lambāī tīn fuṭ, chauṛāī ḍeṛh fuṭ aur ūṅchāī sawā do fuṭ ho. 24 Us par ḳhālis sonā chaṛhānā, aur us ke irdgird sone kī jhālar lagānā. 25 Mez kī ūpar kī satah par chaukhaṭā lagānā jis kī ūṅchāī tīn inch ho aur jis par sone kī jhālar lagī ho. 26 Sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ chāroṅ konoṅ par lagānā jahāṅ mez ke pāe lage haiṅ. 27 Yih kaṛe mez kī satah par lage chaukhaṭe ke nīche lagāe jāeṅ. Un meṅ wuh lakaṛiyāṅ ḍālnī haiṅ jin se mez ko uṭhāyā jāegā. 28 Yih lakaṛiyāṅ bhī kīkar kī hoṅ aur un par sonā chaṛhāyā jāe. Un se mez ko uṭhānā hai. 29 Us ke thāl, pyāle, martabān aur mai kī nazareṅ pesh karne ke bartan ḳhālis sone se banānā hai. 30 Mez par wuh roṭiyāṅ har waqt mere huzūr paṛī raheṅ jo mere lie maḳhsūs haiṅ. 31 Ḳhālis sone kā shamādān bhī banānā. Us kā pāyā aur ḍanḍī ghaṛ kar banānā hai. Us kī pyāliyāṅ jo phūloṅ aur kaliyoṅ kī shakl kī hoṅgī pāe aur ḍanḍī ke sāth ek hī ṭukṛā hoṅ. 32 Ḍanḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn shāḳheṅ nikleṅ. 33 Har shāḳh par tīn pyāliyāṅ lagī hoṅ jo bādām kī kaliyoṅ aur phūloṅ kī shakl kī hoṅ. 34 Shamādān kī ḍanḍī par bhī is qism kī pyāliyāṅ lagī hoṅ, lekin tādād meṅ chār. 35 In meṅ se tīn pyāliyāṅ dāeṅ bāeṅ kī chhih shāḳhoṅ ke nīche lagī hoṅ. Wuh yoṅ lagī hoṅ ki har pyālī se do shāḳheṅ nikleṅ. 36 Shāḳheṅ aur pyāliyāṅ balki pūrā shamādān ḳhālis sone ke ek hī ṭukṛe se ghaṛ kar banānā hai. 37 Shamādān ke lie sāt charāġh banā kar unheṅ yoṅ shāḳhoṅ par rakhnā ki wuh sāmne kī jagah raushan kareṅ. 38 Battī katarne kī qainchiyāṅ aur jalte koele ke lie chhoṭe bartan bhī ḳhālis sone se banāe jāeṅ. 39 Shamādān aur us sāre sāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālis sonā istemāl kiyā jāe. 40 Ġhaur kar ki sab kuchh ain us namūne ke mutābiq banāyā jāe jo maiṅ tujhe yahāṅ pahāṛ par dikhātā hūṅ.