Genesis 29 (UGV3)
1 Yāqūb ne apnā safr jārī rakhā aur chalte chalte mashriqī qaumoṅ ke mulk meṅ pahuṅch gayā. 2 Wahāṅ us ne khet meṅ kuāṅ dekhā jis ke irdgird bheṛ-bakriyoṅ ke tīn rewaṛ jamā the. Rewaṛoṅ ko kueṅ kā pānī pilāyā jānā thā, lekin us ke muṅh par baṛā patthar paṛā thā. 3 Wahāṅ pānī pilāne kā yih tarīqā thā ki pahle charwāhe tamām rewaṛoṅ kā intazār karte aur phir patthar ko luṛhkā kar muṅh se haṭā dete the. Pānī pilāne ke bād wuh patthar ko dubārā muṅh par rakh dete the. 4 Yāqūb ne charwāhoṅ se pūchhā, “Mere bhāiyo, āp kahāṅ ke haiṅ?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Hārān ke.” 5 Us ne pūchhā, “Kyā āp Nahūr ke pote Lāban ko jānte haiṅ?” Unhoṅ ne kahā, “Jī hāṅ.” 6 Us ne pūchhā, “Kyā wuh ḳhairiyat se hai?” Unhoṅ ne kahā, “Jī, wuh ḳhairiyat se hai. Dekho, udhar us kī beṭī Rāḳhil rewaṛ le kar ā rahī hai.” 7 Yāqūb ne kahā, “Abhī to shām tak bahut waqt bāqī hai. Rewaṛoṅ ko jamā karne kā waqt to nahīṅ hai. Āp kyoṅ unheṅ pānī pilā kar dubārā charne nahīṅ dete?” 8 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Pahle zarūrī hai ki tamām rewaṛ yahāṅ pahuṅcheṅ. Tab hī patthar ko luṛhkā kar ek taraf haṭāyā jāegā aur ham rewaṛoṅ ko pānī pilāeṅge.” 9 Yāqūb abhī un se bāt kar hī rahā thā ki Rāḳhil apne bāp kā rewaṛ le kar ā pahuṅchī, kyoṅki bheṛ-bakriyoṅ ko charānā us kā kām thā. 10 Jab Yāqūb ne Rāḳhil ko māmūṅ Lāban ke rewaṛ ke sāth āte dekhā to us ne kueṅ ke pās jā kar patthar ko luṛhkā kar muṅh se haṭā diyā aur bheṛ-bakriyoṅ ko pānī pilāyā. 11 Phir us ne use bosā diyā aur ḳhūb rone lagā. 12 Us ne kahā, “Maiṅ āp ke abbū kī bahan Ribqā kā beṭā hūṅ.” Yih sun kar Rāḳhil ne bhāg kar apne abbū ko ittalā dī. 13 Jab Lāban ne sunā ki merā bhānjā Yāqūb āyā hai to wuh dauṛ kar us se milne gayā aur use gale lagā kar apne ghar le āyā. Yāqūb ne use sab kuchh batā diyā jo huā thā. 14 Lāban ne kahā, “Āp wāqaī mere rishtedār haiṅ.” Yāqūb ne wahāṅ ek pūrā mahīnā guzārā. 15 Phir Lāban Yāqūb se kahne lagā, “Beshak āp mere rishtedār haiṅ, lekin āp ko mere lie kām karne ke badle meṅ kuchh milnā chāhie. Maiṅ āp ko kitne paise dūṅ?” 16 Lāban kī do beṭiyāṅ thīṅ. Baṛī kā nām Liyāh thā aur chhoṭī kā Rāḳhil. 17 Liyāh kī āṅkheṅ chundhī thīṅ jabki Rāḳhil har tarah se ḳhūbsūrat thī. 18 Yāqūb ko Rāḳhil se muhabbat thī, is lie us ne kahā, “Agar mujhe āp kī chhoṭī beṭī Rāḳhil mil jāe to āp ke lie sāt sāl kām karūṅga.” 19 Lāban ne kahā, “Kisī aur ādmī kī nisbat mujhe yih zyādā pasand hai ki āp hī se us kī shādī karāūṅ.” 20 Pas Yāqūb ne Rāḳhil ko pāne ke lie sāt sāl tak kām kiyā. Lekin use aisā lagā jaisā do ek din hī guzare hoṅ kyoṅki wuh Rāḳhil ko shiddat se pyār kartā thā. 21 Is ke bād us ne Lāban se kahā, “Muddat pūrī ho gaī hai. Ab mujhe apnī beṭī se shādī karne deṅ.” 22 Lāban ne us maqām ke tamām logoṅ ko dāwat de kar shādī kī ziyāfat kī. 23 Lekin us rāt wuh Rāḳhil kī bajāe Liyāh ko Yāqūb ke pās le āyā, aur Yāqūb usī se hambistar huā. 24 (Lāban ne Liyāh ko apnī launḍī Zilfā de dī thī tāki wuh us kī ḳhidmat kare.) 25 Jab subah huī to Yāqūb ne dekhā ki Liyāh hī mere pās hai. Us ne Lāban ke pās jā kar kahā, “Yih āp ne mere sāth kyā kiyā hai? Kyā maiṅ ne Rāḳhil ke lie kām nahīṅ kiyā? Āp ne mujhe dhokā kyoṅ diyā?” 26 Lāban ne jawāb diyā, “Yahāṅ dastūr nahīṅ hai ki chhoṭī beṭī kī shādī baṛī se pahle kar dī jāe. 27 Ek hafte ke bād shādī kī rusūmāt pūrī ho jāeṅgī. Us waqt tak sabar kareṅ. Phir maiṅ āp ko Rāḳhil bhī de dūṅgā. Shart yih hai ki āp mazīd sāt sāl mere lie kām kareṅ.” 28 Yāqūb mān gayā. Chunāṅche jab ek hafte ke bād shādī kī rusūmāt pūrī huīṅ to Lāban ne apnī beṭī Rāḳhil kī shādī bhī us ke sāth kar dī. 29 (Lāban ne Rāḳhil ko apnī launḍī Bilhāh de dī tāki wuh us kī ḳhidmat kare.) 30 Yāqūb Rāḳhil se bhī hambistar huā. Wuh Liyāh kī nisbat use zyādā pyār kartā thā. Phir us ne Rāḳhil ke ewaz sāt sāl aur Lāban kī ḳhidmat kī. 31 Jab Rab ne dekhā ki Liyāh se nafrat kī jātī hai to us ne use aulād dī jabki Rāḳhil ke hāṅ bachche paidā na hue. 32 Liyāh hāmilā huī aur us ke beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Rab ne merī musībat dekhī hai aur ab merā shauhar mujhe pyār karegā.” Us ne us kā nām Rūbin yānī ‘Dekho Ek Beṭā’ rakhā. 33 Wuh dubārā hāmilā huī. Ek aur beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Rab ne sunā ki mujh se nafrat kī jātī hai, is lie us ne mujhe yih bhī diyā hai.” Us ne us kā nām Shamāūn yānī ‘Rab ne Sunā Hai’ rakhā. 34 Wuh ek aur dafā hāmilā huī. Tīsrā beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Ab āḳhirkār shauhar ke sāth merā bandhan mazbūt ho jāegā, kyoṅki maiṅ ne us ke lie tīn beṭoṅ ko janm diyā hai.” Us ne us kā nām Lāwī yānī Bandhan rakhā. 35 Wuh ek bār phir hāmilā huī. Chauthā beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Is dafā maiṅ Rab kī tamjīd karūṅgī.” Us ne us kā nām Yahūdāh yānī Tamjīd rakhā. Is ke bād us se aur bachche paidā na hue.