Genesis 35 (UGV3)
1 Allāh ne Yāqūb se kahā, “Uṭh, Baitel jā kar wahāṅ ābād ho. Wahīṅ Allāh ke lie jo tujh par zāhir huā jab tū apne bhāī Esau se bhāg rahā thā qurbāngāh banā.” 2 Chunāṅche Yāqūb ne apne ghar wāloṅ aur bāqī sāre sāthiyoṅ se kahā, “Jo bhī ajnabī but āp ke pās haiṅ unheṅ phaiṅk deṅ. Apne āp ko pāk-sāf karke apne kapṛe badleṅ, 3 kyoṅki hameṅ yih jagah chhoṛ kar Baitel jānā hai. Wahāṅ maiṅ us Ḳhudā ke lie qurbāngāh banāūṅgā jis ne musībat ke waqt merī duā sunī. Jahāṅ bhī maiṅ gayā wahāṅ wuh mere sāth rahā hai.” 4 Yih sun kar unhoṅ ne Yāqūb ko tamām but de die jo un ke pās the aur tamām bāliyāṅ jo unhoṅ ne tāwīz ke taur par kānoṅ meṅ pahan rakhī thīṅ. Us ne sab kuchh Sikam ke qarīb balūt ke daraḳht ke nīche zamīn meṅ dabā diyā. 5 Phir wuh rawānā hue. Irdgird ke shahroṅ par Allāh kī taraf se itnā shadīd ḳhauf chhā gayā ki unhoṅ ne Yāqūb aur us ke beṭoṅ kā tāqqub na kiyā. 6 Chalte chalte Yāqūb apne logoṅ samet Lūz pahuṅch gayā jo Mulk-e-Kanān meṅ thā. Āj Lūz kā nām Baitel hai. 7 Yāqūb ne wahāṅ qurbāngāh banā kar maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. Kyoṅki wahāṅ Allāh ne apne āp ko us par zāhir kiyā thā jab wuh apne bhāī se farār ho rahā thā. 8 Wahāṅ Ribqā kī dāyā Daborā mar gaī. Wuh Baitel ke junūb meṅ balūt ke daraḳht ke nīche dafn huī, is lie us kā nām Allon-bakūt yānī ‘Rone kā Balūt kā Daraḳht’ rakhā gayā. 9 Allāh Yāqūb par ek dafā aur zāhir huā aur use barkat dī. Yih Masoputāmiyā se wāpas āne par dūsrī bār huā. 10 Allāh ne us se kahā, “Ab se terā nām Yāqūb nahīṅ balki Isrāīl hogā.” Yoṅ us ne us kā nayā nām Isrāīl rakhā. 11 Allāh ne yih bhī us se kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Phal-phūl aur tādād meṅ baṛhtā jā. Ek qaum nahīṅ balki bahut-sī qaumeṅ tujh se nikleṅgī. Terī aulād meṅ bādshāh bhī shāmil hoṅge. 12 Maiṅ tujhe wuhī mulk dūṅgā jo Ibrāhīm aur Is'hāq ko diyā hai. Aur tere bād use terī aulād ko dūṅgā.” 13 Phir Allāh wahāṅ se āsmān par chalā gayā. 14 Jahāṅ Allāh Yāqūb se hamkalām huā thā wahāṅ us ne patthar kā satūn khaṛā kiyā aur us par mai aur tel unḍel kar use maḳhsūs kiyā. 15 Us ne jagah kā nām Baitel rakhā. 16 Phir Yāqūb apne ghar wāloṅ ke sāth Baitel ko chhoṛ kar Ifrātā kī taraf chal paṛā. Rāḳhil ummīd se thī, aur rāste meṅ bachche kī paidāish kā waqt ā gayā. Bachchā baṛī mushkil se paidā huā. 17 Jab dard-e-zah urūj ko pahuṅch gayā to dāī ne us se kahā, “Mat ḍaro, kyoṅki ek aur beṭā hai.” 18 Lekin wuh dam toṛne wālī thī, aur marte marte us ne us kā nām Bin-ūnī yānī ‘Merī Musībat kā Beṭā’ rakhā. Lekin us ke bāp ne us kā nām Binyamīn yānī ‘Dahne Hāth yā Ḳhushqismatī kā Beṭā’ rakhā. 19 Rāḳhil faut huī, aur wuh Ifrātā ke rāste meṅ dafn huī. Ājkal Ifrātā ko Bait-laham kahā jātā hai. 20 Yāqūb ne us kī qabr par patthar kā satūn khaṛā kiyā. Wuh āj tak Rāḳhil kī qabr kī nishāndihī kartā hai. 21 Wahāṅ se Yāqūb ne apnā safr jārī rakhā aur Mijdal-idar kī parlī taraf apne ḳhaime lagāe. 22 Jab wuh wahāṅ ṭhahre the to Rūbin Yāqūb kī haram Bilhāh se hambistar huā. Yāqūb ko mālūm ho gayā.Yāqūb ke bārah beṭe the. 23 Liyāh ke beṭe yih the: us kā sab se baṛā beṭā Rūbin, phir Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh, Ishkār aur Zabūlūn. 24 Rāḳhil ke do beṭe the, Yūsuf aur Binyamīn. 25 Rāḳhil kī launḍī Bilhāh ke do beṭe the, Dān aur Naftālī. 26 Liyāh kī launḍī Zilfā ke do beṭe the, Jad aur Āshar. Yāqūb ke yih beṭe Masoputāmiyā meṅ paidā hue. 27 Phir Yāqūb apne bāp Is'hāq ke pās pahuṅch gayā jo Habrūn ke qarīb Mamre meṅ ajnabī kī haisiyat se rahtā thā. (Us waqt Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā.) Wahāṅ Is'hāq aur us se pahle Ibrāhīm rahā karte the. 28 28-29 Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā.
In Other Versions
Genesis 35 in the ANGEFD
Genesis 35 in the ANTPNG2D
Genesis 35 in the AS21
Genesis 35 in the BAGH
Genesis 35 in the BBPNG
Genesis 35 in the BBT1E
Genesis 35 in the BDS
Genesis 35 in the BEV
Genesis 35 in the BHAD
Genesis 35 in the BIB
Genesis 35 in the BLPT
Genesis 35 in the BNT
Genesis 35 in the BNTABOOT
Genesis 35 in the BNTLV
Genesis 35 in the BOATCB
Genesis 35 in the BOATCB2
Genesis 35 in the BOBCV
Genesis 35 in the BOCNT
Genesis 35 in the BOECS
Genesis 35 in the BOGWICC
Genesis 35 in the BOHCB
Genesis 35 in the BOHCV
Genesis 35 in the BOHLNT
Genesis 35 in the BOHNTLTAL
Genesis 35 in the BOICB
Genesis 35 in the BOILNTAP
Genesis 35 in the BOITCV
Genesis 35 in the BOKCV
Genesis 35 in the BOKCV2
Genesis 35 in the BOKHWOG
Genesis 35 in the BOKSSV
Genesis 35 in the BOLCB
Genesis 35 in the BOLCB2
Genesis 35 in the BOMCV
Genesis 35 in the BONAV
Genesis 35 in the BONCB
Genesis 35 in the BONLT
Genesis 35 in the BONUT2
Genesis 35 in the BOPLNT
Genesis 35 in the BOSCB
Genesis 35 in the BOSNC
Genesis 35 in the BOTLNT
Genesis 35 in the BOVCB
Genesis 35 in the BOYCB
Genesis 35 in the BPBB
Genesis 35 in the BPH
Genesis 35 in the BSB
Genesis 35 in the CCB
Genesis 35 in the CUV
Genesis 35 in the CUVS
Genesis 35 in the DBT
Genesis 35 in the DGDNT
Genesis 35 in the DHNT
Genesis 35 in the DNT
Genesis 35 in the ELBE
Genesis 35 in the EMTV
Genesis 35 in the ESV
Genesis 35 in the FBV
Genesis 35 in the FEB
Genesis 35 in the GGMNT
Genesis 35 in the GNT
Genesis 35 in the HARY
Genesis 35 in the HNT
Genesis 35 in the IRVA
Genesis 35 in the IRVB
Genesis 35 in the IRVG
Genesis 35 in the IRVH
Genesis 35 in the IRVK
Genesis 35 in the IRVM
Genesis 35 in the IRVM2
Genesis 35 in the IRVO
Genesis 35 in the IRVP
Genesis 35 in the IRVT
Genesis 35 in the IRVT2
Genesis 35 in the IRVU
Genesis 35 in the ISVN
Genesis 35 in the JSNT
Genesis 35 in the KAPI
Genesis 35 in the KBT1ETNIK
Genesis 35 in the KBV
Genesis 35 in the KJV
Genesis 35 in the KNFD
Genesis 35 in the LBA
Genesis 35 in the LBLA
Genesis 35 in the LNT
Genesis 35 in the LSV
Genesis 35 in the MAAL
Genesis 35 in the MBV
Genesis 35 in the MBV2
Genesis 35 in the MHNT
Genesis 35 in the MKNFD
Genesis 35 in the MNG
Genesis 35 in the MNT
Genesis 35 in the MNT2
Genesis 35 in the MRS1T
Genesis 35 in the NAA
Genesis 35 in the NASB
Genesis 35 in the NBLA
Genesis 35 in the NBS
Genesis 35 in the NBVTP
Genesis 35 in the NET2
Genesis 35 in the NIV11
Genesis 35 in the NNT
Genesis 35 in the NNT2
Genesis 35 in the NNT3
Genesis 35 in the PDDPT
Genesis 35 in the PFNT
Genesis 35 in the RMNT
Genesis 35 in the SBIAS
Genesis 35 in the SBIBS
Genesis 35 in the SBIBS2
Genesis 35 in the SBICS
Genesis 35 in the SBIDS
Genesis 35 in the SBIGS
Genesis 35 in the SBIHS
Genesis 35 in the SBIIS
Genesis 35 in the SBIIS2
Genesis 35 in the SBIIS3
Genesis 35 in the SBIKS
Genesis 35 in the SBIKS2
Genesis 35 in the SBIMS
Genesis 35 in the SBIOS
Genesis 35 in the SBIPS
Genesis 35 in the SBISS
Genesis 35 in the SBITS
Genesis 35 in the SBITS2
Genesis 35 in the SBITS3
Genesis 35 in the SBITS4
Genesis 35 in the SBIUS
Genesis 35 in the SBIVS
Genesis 35 in the SBT
Genesis 35 in the SBT1E
Genesis 35 in the SCHL
Genesis 35 in the SNT
Genesis 35 in the SUSU
Genesis 35 in the SUSU2
Genesis 35 in the SYNO
Genesis 35 in the TBIAOTANT
Genesis 35 in the TBT1E
Genesis 35 in the TBT1E2
Genesis 35 in the TFTIP
Genesis 35 in the TFTU
Genesis 35 in the TGNTATF3T
Genesis 35 in the THAI
Genesis 35 in the TNFD
Genesis 35 in the TNT
Genesis 35 in the TNTIK
Genesis 35 in the TNTIL
Genesis 35 in the TNTIN
Genesis 35 in the TNTIP
Genesis 35 in the TNTIZ
Genesis 35 in the TOMA
Genesis 35 in the TTENT
Genesis 35 in the UBG
Genesis 35 in the UGV
Genesis 35 in the UGV2
Genesis 35 in the VBL
Genesis 35 in the VDCC
Genesis 35 in the YALU
Genesis 35 in the YAPE
Genesis 35 in the YBVTP
Genesis 35 in the ZBP