Judges 11 (UGV3)

1 Us waqt Jiliyād meṅ ek zabardast sūrmā banām Iftāh thā. Bāp kā nām Jiliyād thā jabki māṅ kasbī thī. 2 Lekin bāp kī bīwī ke beṭe bhī the. Jab bāliġh hue to unhoṅ ne Iftāh se kahā, “Ham mīrās tere sāth nahīṅ bāṅṭeṅge, kyoṅki tū hamārā sagā bhāī nahīṅ hai.” Unhoṅ ne use bhagā diyā, 3 aur wuh wahāṅ se hijrat karke Mulk-e-Tob meṅ jā basā. Wahāṅ kuchh āwārā log us ke pīchhe ho lie jo us ke sāth idhar-udhar ghūmte-phirte rahe. 4 Jab kuchh der ke bād Ammonī fauj Isrāīl se laṛne āī 5 to Jiliyād ke buzurg Iftāh ko wāpas lāne ke lie Mulk-e-Tob meṅ āe. 6 Unhoṅ ne guzārish kī, “Āeṅ, Ammoniyoṅ se laṛne meṅ hamārī rāhnumāī kareṅ.” 7 Lekin Iftāh ne etarāz kiyā, “Āp is waqt mere pās kyoṅ āe haiṅ jab musībat meṅ haiṅ? Āp hī ne mujh se nafrat karke mujhe bāp ke ghar se nikāl diyā thā.” 8 Buzurgoṅ ne jawāb diyā, “Ham is lie āp ke pās wāpas āe haiṅ ki āp Ammoniyoṅ ke sāth jang meṅ hamārī madad kareṅ. Agar āp aisā kareṅ to ham āp ko pūre Jiliyād kā hukmrān banā leṅge.” 9 Iftāh ne pūchhā, “Agar maiṅ āp ke sāth Ammoniyoṅ ke ḳhilāf laṛūṅ aur Rab mujhe un par fatah de to kyā āp wāqaī mujhe apnā hukmrān banā leṅge?” 10 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Rab hamārā gawāh hai! Wuhī hameṅ sazā de agar ham apnā wādā pūrā na kareṅ.” 11 Yih sun kar Iftāh Jiliyād ke buzurgoṅ ke sāth Misfāh gayā. Wahāṅ logoṅ ne use apnā sardār aur fauj kā kamānḍar banā liyā. Misfāh meṅ us ne Rab ke huzūr wuh tamām bāteṅ dohrāīṅ jin kā faislā us ne buzurgoṅ ke sāth kiyā thā. 12 Phir Iftāh ne Ammonī bādshāh ke pās apne qāsidoṅ ko bhej kar pūchhā, “Hamārā āp se kyā wāstā ki āp ham se laṛne āe haiṅ?” 13 Bādshāh ne jawāb diyā, “Jab Isrāīlī Misr se nikle to unhoṅ ne Arnon, Yabboq aur Yardan ke dariyāoṅ ke darmiyān kā ilāqā mujh se chhīn liyā. Ab use jhagaṛā kie baġhair mujhe wāpas kar do.” 14 Phir Iftāh ne apne qāsidoṅ ko dubārā Ammonī bādshāh ke pās bhej kar 15 kahā, “Isrāīl ne na to Moābiyoṅ se aur na Ammoniyoṅ se zamīn chhīnī. 16 Haqīqat yih hai ki jab hamārī qaum Misr se niklī to wuh registān meṅ se guzar kar Bahr-e-Qulzum aur wahāṅ se ho kar Qādis pahuṅch gaī. 17 Qādis se unhoṅ ne Adom ke bādshāh ke pās qāsid bhej kar guzārish kī, ‘Hameṅ apne mulk meṅ se guzarne deṅ.’ Lekin us ne inkār kiyā. Phir Isrāīliyoṅ ne Moāb ke bādshāh se darḳhāst kī, lekin us ne bhī apne mulk meṅ se guzarne kī ijāzat na dī. Is par hamārī qaum kuchh der ke lie Qādis meṅ rahī. 18 Āḳhirkār wuh registān meṅ wāpas jā kar Adom aur Moāb ke junūb meṅ chalte chalte Moāb ke mashriqī kināre par pahuṅchī, wahāṅ jahāṅ Dariyā-e-Arnon us kī sarhad hai. Lekin wuh Moāb ke ilāqe meṅ dāḳhil na hue balki dariyā ke mashriq meṅ ḳhaimāzan hue. 19 Wahāṅ se Isrāīliyoṅ ne Hasbon ke rahne wāle Amorī bādshāh Sīhon ko paiġhām bhijwāyā, ‘Hameṅ apne mulk meṅ se guzarne deṅ tāki ham apne mulk meṅ dāḳhil ho sakeṅ.’ 20 Lekin Sīhon ko shak huā. Use yaqīn nahīṅ thā ki wuh mulk meṅ se guzar kar āge baṛheṅge. Us ne na sirf inkār kiyā balki apne faujiyoṅ ko jamā karke Yahaz Shahr meṅ ḳhaimāzan huā aur Isrāīliyoṅ ke sāth laṛne lagā. 21 Lekin Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne Sīhon aur us ke tamām faujiyoṅ ko Isrāīl ke hawāle kar diyā. Unhoṅ ne unheṅ shikast de kar Amoriyoṅ ke pūre mulk par qabzā kar liyā. 22 Yih tamām ilāqā junūb meṅ Dariyā-e-Arnon se le kar shimāl meṅ Dariyā-e-Yabboq tak aur mashriq ke registān se le kar maġhrib meṅ Dariyā-e-Yardan tak hamāre qabze meṅ ā gayā. 23 Dekheṅ, Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne apnī qaum ke āge āge Amoriyoṅ ko nikāl diyā hai. To phir āp kā is mulk par qabzā karne kā kyā haq hai? 24 Āp bhī samajhte haiṅ ki jise āp ke dewatā Kamos ne āp ke āge se nikāl diyā hai us ke mulk par qabzā karne kā āp kā haq hai. Isī tarah jise Rab hamāre Ḳhudā ne hamāre āge āge nikāl diyā hai us ke mulk par qabzā karne kā haq hamārā hai. 25 Kyā āp apne āp ko Moābī bādshāh Balaq bin Safor se behtar samajhte haiṅ? Us ne to Isrāīl se laṛne balki jhagaṛne tak kī himmat na kī. 26 Ab Isrāīlī 300 sāl se Hasbon aur Aroīr ke shahroṅ meṅ un ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet ābād haiṅ aur isī tarah Dariyā-e-Arnon ke kināre par ke shahroṅ meṅ. Āp ne is daurān in jaghoṅ par qabzā kyoṅ na kiyā? 27 Chunāṅche maiṅ ne āp se ġhalat sulūk nahīṅ kiyā balki āp hī mere sāth ġhalat sulūk kar rahe haiṅ. Kyoṅki mujh se jang chheṛnā ġhalat hai. Rab jo munsif hai wuhī āj Isrāīl aur Ammon ke jhagaṛe kā faislā kare!” 28 Lekin Ammonī bādshāh ne Iftāh ke paiġhām par dhyān na diyā. 29 Phir Rab kā Rūh Iftāh par nāzil huā, aur wuh Jiliyād aur Manassī meṅ se guzar gayā, phir Jiliyād ke Misfāh ke pās wāpas āyā. Wahāṅ se wuh apnī fauj le kar Ammoniyoṅ se laṛne niklā. 30 Pahle us ne Rab ke sāmne qasam khāī, “Agar tū mujhe Ammoniyoṅ par fatah de 31 aur maiṅ sahīh-salāmat lauṭūṅ to jo kuchh bhī pahle mere ghar ke darwāze se nikal kar mujh se mile wuh tere lie maḳhsūs kiyā jāegā. Maiṅ use bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh karūṅga.” 32 Phir Iftāh Ammoniyoṅ se laṛne gayā, aur Rab ne use un par fatah dī. 33 Iftāh ne Aroīr meṅ dushman ko shikast dī aur isī tarah Minnīt aur Abīl-karāmīm tak mazīd bīs shahroṅ par qabzā kar liyā. Yoṅ Isrāīl ne Ammon ko zer kar diyā. 34 Is ke bād Iftāh Misfāh wāpas chalā gayā. Wuh abhī ghar ke qarīb thā ki us kī iklautī beṭī daf bajātī aur nāchtī huī ghar se nikal āī. Iftāh kā koī aur beṭā yā beṭī nahīṅ thī. 35 Apnī beṭī ko dekh kar wuh ranj ke māre apne kapṛe phāṛ kar chīḳh uṭhā, “Hāy merī beṭī! Tū ne mujhe ḳhāk meṅ dabā kar tabāh kar diyā hai, kyoṅki maiṅ ne Rab ke sāmne aisī qasam khāī hai jo badlī nahīṅ jā saktī.” 36 Beṭī ne kahā, “Abbū, āp ne qasam khā kar Rab se wādā kiyā hai, is lie lāzim hai ki mere sāth wuh kuchh kareṅ jis kī qasam āp ne khāī hai. Āḳhir usī ne āp ko dushman se badlā lene kī kāmyābī baḳhsh dī hai. 37 Lekin merī ek guzārish hai. Mujhe do māh kī muhlat deṅ tāki maiṅ apnī saheliyoṅ ke sāth pahāṛoṅ meṅ jā kar apnī ġhairshādīshudā hālat par mātam karūṅ.” 38 Iftāh ne ijāzat dī. Phir beṭī do māh ke lie apnī saheliyoṅ ke sāth pahāṛoṅ meṅ chalī gaī aur apnī ġhairshādīshudā hālat par mātam kiyā. 39 Phir wuh apne bāp ke pās wāpas āī, aur us ne apnī qasam kā wādā pūrā kiyā. Beṭī ġhairshādīshudā thī.Us waqt se Isrāīl meṅ dastūr rāyj hai 40 ki Isrāīl kī jawān aurateṅ sālānā chār din ke lie apne gharoṅ se nikal kar Iftāh kī beṭī kī yād meṅ jashn manātī haiṅ.

In Other Versions

Judges 11 in the ANGEFD

Judges 11 in the ANTPNG2D

Judges 11 in the AS21

Judges 11 in the BAGH

Judges 11 in the BBPNG

Judges 11 in the BBT1E

Judges 11 in the BDS

Judges 11 in the BEV

Judges 11 in the BHAD

Judges 11 in the BIB

Judges 11 in the BLPT

Judges 11 in the BNT

Judges 11 in the BNTABOOT

Judges 11 in the BNTLV

Judges 11 in the BOATCB

Judges 11 in the BOATCB2

Judges 11 in the BOBCV

Judges 11 in the BOCNT

Judges 11 in the BOECS

Judges 11 in the BOGWICC

Judges 11 in the BOHCB

Judges 11 in the BOHCV

Judges 11 in the BOHLNT

Judges 11 in the BOHNTLTAL

Judges 11 in the BOICB

Judges 11 in the BOILNTAP

Judges 11 in the BOITCV

Judges 11 in the BOKCV

Judges 11 in the BOKCV2

Judges 11 in the BOKHWOG

Judges 11 in the BOKSSV

Judges 11 in the BOLCB

Judges 11 in the BOLCB2

Judges 11 in the BOMCV

Judges 11 in the BONAV

Judges 11 in the BONCB

Judges 11 in the BONLT

Judges 11 in the BONUT2

Judges 11 in the BOPLNT

Judges 11 in the BOSCB

Judges 11 in the BOSNC

Judges 11 in the BOTLNT

Judges 11 in the BOVCB

Judges 11 in the BOYCB

Judges 11 in the BPBB

Judges 11 in the BPH

Judges 11 in the BSB

Judges 11 in the CCB

Judges 11 in the CUV

Judges 11 in the CUVS

Judges 11 in the DBT

Judges 11 in the DGDNT

Judges 11 in the DHNT

Judges 11 in the DNT

Judges 11 in the ELBE

Judges 11 in the EMTV

Judges 11 in the ESV

Judges 11 in the FBV

Judges 11 in the FEB

Judges 11 in the GGMNT

Judges 11 in the GNT

Judges 11 in the HARY

Judges 11 in the HNT

Judges 11 in the IRVA

Judges 11 in the IRVB

Judges 11 in the IRVG

Judges 11 in the IRVH

Judges 11 in the IRVK

Judges 11 in the IRVM

Judges 11 in the IRVM2

Judges 11 in the IRVO

Judges 11 in the IRVP

Judges 11 in the IRVT

Judges 11 in the IRVT2

Judges 11 in the IRVU

Judges 11 in the ISVN

Judges 11 in the JSNT

Judges 11 in the KAPI

Judges 11 in the KBT1ETNIK

Judges 11 in the KBV

Judges 11 in the KJV

Judges 11 in the KNFD

Judges 11 in the LBA

Judges 11 in the LBLA

Judges 11 in the LNT

Judges 11 in the LSV

Judges 11 in the MAAL

Judges 11 in the MBV

Judges 11 in the MBV2

Judges 11 in the MHNT

Judges 11 in the MKNFD

Judges 11 in the MNG

Judges 11 in the MNT

Judges 11 in the MNT2

Judges 11 in the MRS1T

Judges 11 in the NAA

Judges 11 in the NASB

Judges 11 in the NBLA

Judges 11 in the NBS

Judges 11 in the NBVTP

Judges 11 in the NET2

Judges 11 in the NIV11

Judges 11 in the NNT

Judges 11 in the NNT2

Judges 11 in the NNT3

Judges 11 in the PDDPT

Judges 11 in the PFNT

Judges 11 in the RMNT

Judges 11 in the SBIAS

Judges 11 in the SBIBS

Judges 11 in the SBIBS2

Judges 11 in the SBICS

Judges 11 in the SBIDS

Judges 11 in the SBIGS

Judges 11 in the SBIHS

Judges 11 in the SBIIS

Judges 11 in the SBIIS2

Judges 11 in the SBIIS3

Judges 11 in the SBIKS

Judges 11 in the SBIKS2

Judges 11 in the SBIMS

Judges 11 in the SBIOS

Judges 11 in the SBIPS

Judges 11 in the SBISS

Judges 11 in the SBITS

Judges 11 in the SBITS2

Judges 11 in the SBITS3

Judges 11 in the SBITS4

Judges 11 in the SBIUS

Judges 11 in the SBIVS

Judges 11 in the SBT

Judges 11 in the SBT1E

Judges 11 in the SCHL

Judges 11 in the SNT

Judges 11 in the SUSU

Judges 11 in the SUSU2

Judges 11 in the SYNO

Judges 11 in the TBIAOTANT

Judges 11 in the TBT1E

Judges 11 in the TBT1E2

Judges 11 in the TFTIP

Judges 11 in the TFTU

Judges 11 in the TGNTATF3T

Judges 11 in the THAI

Judges 11 in the TNFD

Judges 11 in the TNT

Judges 11 in the TNTIK

Judges 11 in the TNTIL

Judges 11 in the TNTIN

Judges 11 in the TNTIP

Judges 11 in the TNTIZ

Judges 11 in the TOMA

Judges 11 in the TTENT

Judges 11 in the UBG

Judges 11 in the UGV

Judges 11 in the UGV2

Judges 11 in the VBL

Judges 11 in the VDCC

Judges 11 in the YALU

Judges 11 in the YAPE

Judges 11 in the YBVTP

Judges 11 in the ZBP