Judges 21 (UGV3)

1 Jab Isrāīlī Misfāh meṅ jamā hue the to sab ne qasam khā kar kahā thā, “Ham kabhī bhī apnī beṭiyoṅ kā kisī Binyamīnī mard ke sāth rishtā nahīṅ bāndheṅge.” 2 Ab wuh Baitel chale gae aur shām tak Allāh ke huzūr baiṭhe rahe. Ro ro kar unhoṅ ne duā kī, 3 “Ai Rab, Isrāīl ke Ḳhudā, hamārī qaum kā ek pūrā qabīlā miṭ gayā hai! Yih musībat Isrāīl par kyoṅ āī?” 4 Agle din wuh subah-sawere uṭhe aur qurbāngāh banā kar us par bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. 5 Phir wuh ek dūsre se pūchhne lage, “Jab ham Misfāh meṅ Rab ke huzūr jamā hue to hamārī qaum meṅ se kaun kaun ijtimā meṅ sharīk na huā?” Kyoṅki us waqt unhoṅ ne qasam khā kar elān kiyā thā, “Jis ne yahāṅ Rab ke huzūr āne se inkār kiyā use zarūr sazā-e-maut dī jāegī.” 6 Ab Isrāīliyoṅ ko Binyamīniyoṅ par afsos huā. Unhoṅ ne kahā, “Ek pūrā qabīlā miṭ gayā hai. 7 Ab ham un thoṛe bache-khuche ādmiyoṅ ko bīwiyāṅ kis tarah muhaiyā kar sakte haiṅ? Ham ne to Rab ke huzūr qasam khāī hai ki apnī beṭiyoṅ kā un ke sāth rishtā nahīṅ bāndheṅge. 8 Lekin ho saktā hai koī ḳhāndān Misfāh ke ijtimā meṅ na āyā ho. Āo, ham patā kareṅ.” Mālūm huā ki Yabīs-jiliyād ke bāshinde nahīṅ āe the. 9 Yih bāt faujiyoṅ ko ginane se patā chalī, kyoṅki ginte waqt Yabīs-jiliyād kā koī bhī shaḳhs fauj meṅ nahīṅ thā. 10 Tab unhoṅ ne 12,000 faujiyoṅ ko chun kar unheṅ hukm diyā, “Yabīs-jiliyād par hamlā karke tamām bāshindoṅ ko bāl-bachchoṅ samet mār ḍālo. 11 Sirf kuṅwāriyoṅ ko zindā rahne do.” 12 Faujiyoṅ ne Yabīs meṅ 400 kuṅwāriyāṅ pāīṅ. Wuh unheṅ Sailā le āe jahāṅ Isrāīliyoṅ kā lashkar ṭhahrā huā thā. 13 Wahāṅ se unhoṅ ne apne qāsidoṅ ko Rimmon kī chaṭān ke pās bhej kar Binyamīniyoṅ ke sāth sulah kar lī. 14 Phir Binyamīn ke 600 mard registān se wāpas āe, aur un ke sāth Yabīs-jiliyād kī kuṅwāriyoṅ kī shādī huī. Lekin yih sab ke lie kāfī nahīṅ thīṅ. 15 Isrāīliyoṅ ko Binyamīn par afsos huā, kyoṅki Rab ne Isrāīl ke qabīloṅ meṅ ḳhalā ḍāl diyā thā. 16 Jamāt ke buzurgoṅ ne dubārā pūchhā, “Hameṅ Binyamīn ke bāqī mardoṅ ke lie kahāṅ se bīwiyāṅ mileṅgī? Un kī tamām aurateṅ to halāk ho gaī haiṅ. 17 Lāzim hai ki unheṅ un kā maurūsī ilāqā wāpas mil jāe. Aisā na ho ki wuh bilkul miṭ jāeṅ. 18 Lekin ham apnī beṭiyoṅ kī un ke sāth shādī nahīṅ karā sakte, kyoṅki ham ne qasam khā kar elān kiyā hai, ‘Jo apnī beṭī kā rishtā Binyamīn ke kisī mard se bāndhegā us par Allāh kī lānat ho.’” 19 Yoṅ sochte sochte unheṅ āḳhirkār yih tarkīb sūjhī, “Kuchh der ke bād yahāṅ Sailā meṅ Rab kī sālānā īd manāī jāegī. Sailā Baitel ke shimāl meṅ, Labūnā ke junūb meṅ aur us rāste ke mashriq meṅ hai jo Baitel se Sikam tak le jātā hai. 20 Ab Binyamīnī mardoṅ ke lie hamārā mashwarā hai ki īd ke dinoṅ meṅ angūr ke bāġhoṅ meṅ chhup kar ghāt meṅ baiṭh jāeṅ. 21 Jab laṛkiyāṅ loknāch ke lie Sailā se nikleṅgī to phir bāġhoṅ se nikal kar un par jhapaṭ paṛnā. Har ādmī ek laṛkī ko pakaṛ kar use apne ghar le jāe. 22 Jab un ke bāp aur bhāī hamāre pās ā kar āp kī shikāyat kareṅge to ham un se kaheṅge, ‘Binyamīniyoṅ par tars khāeṅ, kyoṅki jab ham ne Yabīs par fatah pāī to ham un ke lie kāfī aurateṅ hāsil na kar sake. Āp bequsūr haiṅ, kyoṅki āp ne unheṅ apnī beṭiyoṅ ko irādatan to nahīṅ diyā.’” 23 Binyamīniyoṅ ne buzurgoṅ kī is hidāyat par amal kiyā. Īd ke dinoṅ meṅ jab laṛkiyāṅ nāch rahī thīṅ to Binyamīniyoṅ ne utnī pakaṛ līṅ ki un kī kamī pūrī ho gaī. Phir wuh unheṅ apne qabāylī ilāqe meṅ le gae aur shahroṅ ko dubārā tāmīr karke un meṅ basne lage. 24 Bāqī Isrāīlī bhī wahāṅ se chale gae. Har ek apne qabāylī ilāqe meṅ wāpas chalā gayā. 25 Us zamāne meṅ Isrāīl meṅ koī bādshāh nahīṅ thā. Har ek wuhī kuchh kartā jo use munāsib lagtā thā.

In Other Versions

Judges 21 in the ANGEFD

Judges 21 in the ANTPNG2D

Judges 21 in the AS21

Judges 21 in the BAGH

Judges 21 in the BBPNG

Judges 21 in the BBT1E

Judges 21 in the BDS

Judges 21 in the BEV

Judges 21 in the BHAD

Judges 21 in the BIB

Judges 21 in the BLPT

Judges 21 in the BNT

Judges 21 in the BNTABOOT

Judges 21 in the BNTLV

Judges 21 in the BOATCB

Judges 21 in the BOATCB2

Judges 21 in the BOBCV

Judges 21 in the BOCNT

Judges 21 in the BOECS

Judges 21 in the BOGWICC

Judges 21 in the BOHCB

Judges 21 in the BOHCV

Judges 21 in the BOHLNT

Judges 21 in the BOHNTLTAL

Judges 21 in the BOICB

Judges 21 in the BOILNTAP

Judges 21 in the BOITCV

Judges 21 in the BOKCV

Judges 21 in the BOKCV2

Judges 21 in the BOKHWOG

Judges 21 in the BOKSSV

Judges 21 in the BOLCB

Judges 21 in the BOLCB2

Judges 21 in the BOMCV

Judges 21 in the BONAV

Judges 21 in the BONCB

Judges 21 in the BONLT

Judges 21 in the BONUT2

Judges 21 in the BOPLNT

Judges 21 in the BOSCB

Judges 21 in the BOSNC

Judges 21 in the BOTLNT

Judges 21 in the BOVCB

Judges 21 in the BOYCB

Judges 21 in the BPBB

Judges 21 in the BPH

Judges 21 in the BSB

Judges 21 in the CCB

Judges 21 in the CUV

Judges 21 in the CUVS

Judges 21 in the DBT

Judges 21 in the DGDNT

Judges 21 in the DHNT

Judges 21 in the DNT

Judges 21 in the ELBE

Judges 21 in the EMTV

Judges 21 in the ESV

Judges 21 in the FBV

Judges 21 in the FEB

Judges 21 in the GGMNT

Judges 21 in the GNT

Judges 21 in the HARY

Judges 21 in the HNT

Judges 21 in the IRVA

Judges 21 in the IRVB

Judges 21 in the IRVG

Judges 21 in the IRVH

Judges 21 in the IRVK

Judges 21 in the IRVM

Judges 21 in the IRVM2

Judges 21 in the IRVO

Judges 21 in the IRVP

Judges 21 in the IRVT

Judges 21 in the IRVT2

Judges 21 in the IRVU

Judges 21 in the ISVN

Judges 21 in the JSNT

Judges 21 in the KAPI

Judges 21 in the KBT1ETNIK

Judges 21 in the KBV

Judges 21 in the KJV

Judges 21 in the KNFD

Judges 21 in the LBA

Judges 21 in the LBLA

Judges 21 in the LNT

Judges 21 in the LSV

Judges 21 in the MAAL

Judges 21 in the MBV

Judges 21 in the MBV2

Judges 21 in the MHNT

Judges 21 in the MKNFD

Judges 21 in the MNG

Judges 21 in the MNT

Judges 21 in the MNT2

Judges 21 in the MRS1T

Judges 21 in the NAA

Judges 21 in the NASB

Judges 21 in the NBLA

Judges 21 in the NBS

Judges 21 in the NBVTP

Judges 21 in the NET2

Judges 21 in the NIV11

Judges 21 in the NNT

Judges 21 in the NNT2

Judges 21 in the NNT3

Judges 21 in the PDDPT

Judges 21 in the PFNT

Judges 21 in the RMNT

Judges 21 in the SBIAS

Judges 21 in the SBIBS

Judges 21 in the SBIBS2

Judges 21 in the SBICS

Judges 21 in the SBIDS

Judges 21 in the SBIGS

Judges 21 in the SBIHS

Judges 21 in the SBIIS

Judges 21 in the SBIIS2

Judges 21 in the SBIIS3

Judges 21 in the SBIKS

Judges 21 in the SBIKS2

Judges 21 in the SBIMS

Judges 21 in the SBIOS

Judges 21 in the SBIPS

Judges 21 in the SBISS

Judges 21 in the SBITS

Judges 21 in the SBITS2

Judges 21 in the SBITS3

Judges 21 in the SBITS4

Judges 21 in the SBIUS

Judges 21 in the SBIVS

Judges 21 in the SBT

Judges 21 in the SBT1E

Judges 21 in the SCHL

Judges 21 in the SNT

Judges 21 in the SUSU

Judges 21 in the SUSU2

Judges 21 in the SYNO

Judges 21 in the TBIAOTANT

Judges 21 in the TBT1E

Judges 21 in the TBT1E2

Judges 21 in the TFTIP

Judges 21 in the TFTU

Judges 21 in the TGNTATF3T

Judges 21 in the THAI

Judges 21 in the TNFD

Judges 21 in the TNT

Judges 21 in the TNTIK

Judges 21 in the TNTIL

Judges 21 in the TNTIN

Judges 21 in the TNTIP

Judges 21 in the TNTIZ

Judges 21 in the TOMA

Judges 21 in the TTENT

Judges 21 in the UBG

Judges 21 in the UGV

Judges 21 in the UGV2

Judges 21 in the VBL

Judges 21 in the VDCC

Judges 21 in the YALU

Judges 21 in the YAPE

Judges 21 in the YBVTP

Judges 21 in the ZBP