Jeremiah 36 (UGV3)

1 Yahūdāh ke bādshāh Yahūyaqīm bin Yūsiyāh kī hukūmat ke chauthe sāl meṅ Rab kā kalām Yarmiyāh par nāzil huā, 2 “Tūmār le kar us meṅ Isrāīl, Yahūdāh aur bāqī tamām qaumoṅ ke bāre meṅ wuh tamām paiġhāmāt qalamband kar jo maiṅ ne Yūsiyāh kī hukūmat se le kar āj tak tujh par nāzil kie haiṅ. 3 Shāyad Yahūdāh ke gharāne meṅ har ek apnī burī rāh se bāz ā kar wāpas āe agar us āfat kī pūrī ḳhabar un tak pahuṅche jo maiṅ is qaum par nāzil karne ko hūṅ. Phir maiṅ un kī bedīnī aur gunāh ko muāf karūṅga.” 4 Chunāṅche Yarmiyāh ne Bārūk bin Nairiyāh ko bulā kar us se wuh tamām paiġhāmāt tūmār meṅ likhwāe jo Rab ne us par nāzil kie the. 5 Phir Yarmiyāh ne Bārūk se kahā, “Mujhe nazarband kiyā gayā hai, is lie maiṅ Rab ke ghar meṅ nahīṅ jā saktā. 6 Lekin āp to jā sakte haiṅ. Roze ke din yih tūmār apne sāth le kar Rab ke ghar meṅ jāeṅ. Hāzirīn ke sāmne Rab kī un tamām bātoṅ ko paṛh kar sunāeṅ jo maiṅ ne āp se likhwāī haiṅ. Sab ko tūmār kī bāteṅ sunāeṅ, unheṅ bhī jo Yahūdāh kī dīgar ābādiyoṅ se yahāṅ pahuṅche haiṅ. 7 Shāyad wuh iltijā kareṅ ki Rab un par rahm kare. Shāyad har ek apnī burī rāh se bāz ā kar wāpas āe. Kyoṅki jo ġhazab is qaum par nāzil hone wālā hai aur jis kā elān Rab kar chukā hai wuh bahut saḳht hai.” 8 Bārūk bin Nairiyāh ne aisā hī kiyā. Yarmiyāh Nabī kī hidāyat ke mutābiq us ne Rab ke ghar meṅ tūmār meṅ darj Rab ke kalām kī tilāwat kī. 9 Us waqt log rozā rakhe hue the, kyoṅki bādshāh Yahūyaqīm bin Yūsiyāh kī hukūmat ke pāṅchweṅ sāl aur naweṅ mahīne meṅ elān kiyā gayā thā ki Yarūshalam ke bāshinde aur Yahūdāh ke dīgar shahroṅ se āe hue tamām log Rab ke huzūr rozā rakheṅ. 10 Jab Bārūk ne tūmār kī tilāwat kī to tamām log hāzir the. Us waqt wuh Rab ke ghar meṅ shāhī muharrir Jamariyāh bin Sāfan ke kamre meṅ baiṭhā thā. Yih kamrā Rab ke ghar ke ūpar wāle sahan meṅ thā, aur sahan kā Nayā Darwāzā wahāṅ se dūr nahīṅ thā. 11 Tūmār meṅ darj Rab ke tamām paiġhāmāt sun kar Jamariyāh bin Sāfan kā beṭā Mīkāyāh 12 shāhī mahal meṅ mīrmunshī ke daftar meṅ chalā gayā. Wahāṅ tamām sarkārī afsar baiṭhe the yānī Ilīsamā mīrmunshī, Dilāyāh bin Samāyāh, Ilnātan bin Akbor, Jamariyāh bin Sāfan, Sidqiyāh bin Hananiyāh aur bāqī tamām mulāzim. 13 Mīkāyāh ne unheṅ sab kuchh sunāyā jo Bārūk ne tūmār kī tilāwat karke pesh kiyā thā. 14 Tab tamām buzurgoṅ ne Yahūdī bin Nataniyāh bin Salamiyāh bin Kūshī ko Bārūk ke pās bhej kar use ittalā dī, “Jis tūmār kī tilāwat āp ne logoṅ ke sāmne kī use le kar hamāre pās āeṅ.” Chunāṅche Bārūk bin Nairiyāh hāth meṅ tūmār ko thāme hue un ke pās āyā. 15 Afsaroṅ ne kahā, “Zarā baiṭh kar hamāre lie bhī tūmār kī tilāwat kareṅ.” Chunāṅche Bārūk ne unheṅ sab kuchh paṛh kar sunā diyā. 16 Yarmiyāh kī tamām peshgoiyāṅ sunte hī wuh ghabrā gae aur ḍar ke māre ek dūsre ko deḳhne lage. Phir unhoṅ ne Bārūk se kahā, “Lāzim hai ki ham bādshāh ko in tamām bātoṅ se āgāh kareṅ. 17 Hameṅ zarā batāeṅ, āp ne yih tamām bāteṅ kis tarah qalamband kīṅ? Kyā Yarmiyāh ne sab kuchh zabānī āp ko pesh kiyā?” 18 Bārūk ne jawāb diyā, “Jī, wuh mujhe yih tamām bāteṅ sunātā gayā, aur maiṅ sab kuchh siyāhī se is tūmār meṅ darj kartā gayā.” 19 Yih sun kar afsaroṅ ne Bārūk se kahā, “Ab chale jāeṅ, āp aur Yarmiyāh donoṅ chhup jāeṅ! Kisī ko bhī patā na chale ki āp kahāṅ haiṅ.” 20 Afsaroṅ ne tūmār ko shāhī mīrmunshī Ilīsamā ke daftar meṅ mahfūz rakh diyā, phir darbār meṅ dāḳhil ho kar bādshāh ko sab kuchh batā diyā. 21 Bādshāh ne Yahūdī ko tūmār le āne kā hukm diyā. Yahūdī, Ilīsamā mīrmunshī ke daftar se tūmār ko le kar bādshāh aur tamām afsaroṅ kī maujūdagī meṅ us kī tilāwat karne lagā. 22 Chūṅki nawāṅ mahīnā thā is lie bādshāh mahal ke us hisse meṅ baiṭhā thā jo sardiyoṅ ke mausam ke lie banāyā gayā thā. Us ke sāmne paṛī angīṭhī meṅ āg jal rahī thī. 23 Jab bhī Yahūdī tīn yā chār kālam paṛhne se fāriġh huā to bādshāh ne munshī kī chhurī le kar unheṅ tūmār se kāṭ liyā aur āg meṅ phaiṅk diyā. Yahūdī paṛhtā aur bādshāh kāṭtā gayā. Āḳhirkār pūrā tūmār rākh ho gayā thā. 24 Go bādshāh aur us ke tamām mulāzimoṅ ne yih tamām bāteṅ sunīṅ to bhī na wuh ghabrāe, na unhoṅ ne pareshān ho kar apne kapṛe phāṛe. 25 Aur go Ilnātan, Dilāyāh aur Jamariyāh ne bādshāh se minnat kī ki wuh tūmār ko na jalāe to bhī us ne un kī na mānī 26 balki bād meṅ Yarahmiyel shāhzādā, Sirāyāh bin Azriyel aur Salamiyāh bin Abdiyel ko bhejā tāki wuh Bārūk munshī aur Yarmiyāh Nabī ko giriftār kareṅ. Lekin Rab ne unheṅ chhupāe rakhā thā. 27 Bādshāh ke tūmār ko jalāne ke bād Rab Yarmiyāh se dubārā hamkalām huā, 28 “Nayā tūmār le kar us meṅ wuhī tamām paiġhāmāt qalamband kar jo us tūmār meṅ darj the jise Shāh-e-Yahūdāh ne jalā diyā thā. 29 Sāth sāth Yahūyaqīm ke bāre meṅ elān kar ki Rab farmātā hai, ‘Tū ne tūmār ko jalā kar Yarmiyāh se shikāyat kī ki tū ne is kitāb meṅ kyoṅ likhā hai ki Shāh-e-Bābal zarūr ā kar is mulk ko tabāh karegā, aur is meṅ na insān, na haiwān rahegā?’ 30 Chunāṅche Yahūdāh ke bādshāh ke bāre meṅ Rab kā faislā sun!Āindā us ke ḳhāndān kā koī bhī fard Dāūd ke taḳht par nahīṅ baiṭhegā. Yahūyaqīm kī lāsh bāhar phaiṅkī jāegī, aur wahāṅ wuh khule maidān meṅ paṛī rahegī. Koī bhī use din kī taptī garmī yā rāt kī shadīd sardī se bachāe nahīṅ rakhegā. 31 Maiṅ use us ke bachchoṅ aur mulāzimoṅ samet un kī bedīnī kā munāsib ajr dūṅgā. Kyoṅki maiṅ un par aur Yarūshalam aur Yahūdāh ke bāshindoṅ par wuh tamām āfat nāzil karūṅga jis kā elān maiṅ kar chukā hūṅ. Afsos, unhoṅ ne merī nahīṅ sunī.” 32 Chunāṅche Yarmiyāh ne nayā tūmār le kar use Bārūk bin Nairiyāh ko de diyā. Phir us ne Bārūk munshī se wuh tamām paiġhāmāt dubārā likhwāe jo us tūmār meṅ darj the jise Shāh-e-Yahūdāh Yahūyaqīm ne jalā diyā thā. Un ke alāwā mazīd bahut-se paiġhāmāt kā izāfā huā.

In Other Versions

Jeremiah 36 in the ANGEFD

Jeremiah 36 in the ANTPNG2D

Jeremiah 36 in the AS21

Jeremiah 36 in the BAGH

Jeremiah 36 in the BBPNG

Jeremiah 36 in the BBT1E

Jeremiah 36 in the BDS

Jeremiah 36 in the BEV

Jeremiah 36 in the BHAD

Jeremiah 36 in the BIB

Jeremiah 36 in the BLPT

Jeremiah 36 in the BNT

Jeremiah 36 in the BNTABOOT

Jeremiah 36 in the BNTLV

Jeremiah 36 in the BOATCB

Jeremiah 36 in the BOATCB2

Jeremiah 36 in the BOBCV

Jeremiah 36 in the BOCNT

Jeremiah 36 in the BOECS

Jeremiah 36 in the BOGWICC

Jeremiah 36 in the BOHCB

Jeremiah 36 in the BOHCV

Jeremiah 36 in the BOHLNT

Jeremiah 36 in the BOHNTLTAL

Jeremiah 36 in the BOICB

Jeremiah 36 in the BOILNTAP

Jeremiah 36 in the BOITCV

Jeremiah 36 in the BOKCV

Jeremiah 36 in the BOKCV2

Jeremiah 36 in the BOKHWOG

Jeremiah 36 in the BOKSSV

Jeremiah 36 in the BOLCB

Jeremiah 36 in the BOLCB2

Jeremiah 36 in the BOMCV

Jeremiah 36 in the BONAV

Jeremiah 36 in the BONCB

Jeremiah 36 in the BONLT

Jeremiah 36 in the BONUT2

Jeremiah 36 in the BOPLNT

Jeremiah 36 in the BOSCB

Jeremiah 36 in the BOSNC

Jeremiah 36 in the BOTLNT

Jeremiah 36 in the BOVCB

Jeremiah 36 in the BOYCB

Jeremiah 36 in the BPBB

Jeremiah 36 in the BPH

Jeremiah 36 in the BSB

Jeremiah 36 in the CCB

Jeremiah 36 in the CUV

Jeremiah 36 in the CUVS

Jeremiah 36 in the DBT

Jeremiah 36 in the DGDNT

Jeremiah 36 in the DHNT

Jeremiah 36 in the DNT

Jeremiah 36 in the ELBE

Jeremiah 36 in the EMTV

Jeremiah 36 in the ESV

Jeremiah 36 in the FBV

Jeremiah 36 in the FEB

Jeremiah 36 in the GGMNT

Jeremiah 36 in the GNT

Jeremiah 36 in the HARY

Jeremiah 36 in the HNT

Jeremiah 36 in the IRVA

Jeremiah 36 in the IRVB

Jeremiah 36 in the IRVG

Jeremiah 36 in the IRVH

Jeremiah 36 in the IRVK

Jeremiah 36 in the IRVM

Jeremiah 36 in the IRVM2

Jeremiah 36 in the IRVO

Jeremiah 36 in the IRVP

Jeremiah 36 in the IRVT

Jeremiah 36 in the IRVT2

Jeremiah 36 in the IRVU

Jeremiah 36 in the ISVN

Jeremiah 36 in the JSNT

Jeremiah 36 in the KAPI

Jeremiah 36 in the KBT1ETNIK

Jeremiah 36 in the KBV

Jeremiah 36 in the KJV

Jeremiah 36 in the KNFD

Jeremiah 36 in the LBA

Jeremiah 36 in the LBLA

Jeremiah 36 in the LNT

Jeremiah 36 in the LSV

Jeremiah 36 in the MAAL

Jeremiah 36 in the MBV

Jeremiah 36 in the MBV2

Jeremiah 36 in the MHNT

Jeremiah 36 in the MKNFD

Jeremiah 36 in the MNG

Jeremiah 36 in the MNT

Jeremiah 36 in the MNT2

Jeremiah 36 in the MRS1T

Jeremiah 36 in the NAA

Jeremiah 36 in the NASB

Jeremiah 36 in the NBLA

Jeremiah 36 in the NBS

Jeremiah 36 in the NBVTP

Jeremiah 36 in the NET2

Jeremiah 36 in the NIV11

Jeremiah 36 in the NNT

Jeremiah 36 in the NNT2

Jeremiah 36 in the NNT3

Jeremiah 36 in the PDDPT

Jeremiah 36 in the PFNT

Jeremiah 36 in the RMNT

Jeremiah 36 in the SBIAS

Jeremiah 36 in the SBIBS

Jeremiah 36 in the SBIBS2

Jeremiah 36 in the SBICS

Jeremiah 36 in the SBIDS

Jeremiah 36 in the SBIGS

Jeremiah 36 in the SBIHS

Jeremiah 36 in the SBIIS

Jeremiah 36 in the SBIIS2

Jeremiah 36 in the SBIIS3

Jeremiah 36 in the SBIKS

Jeremiah 36 in the SBIKS2

Jeremiah 36 in the SBIMS

Jeremiah 36 in the SBIOS

Jeremiah 36 in the SBIPS

Jeremiah 36 in the SBISS

Jeremiah 36 in the SBITS

Jeremiah 36 in the SBITS2

Jeremiah 36 in the SBITS3

Jeremiah 36 in the SBITS4

Jeremiah 36 in the SBIUS

Jeremiah 36 in the SBIVS

Jeremiah 36 in the SBT

Jeremiah 36 in the SBT1E

Jeremiah 36 in the SCHL

Jeremiah 36 in the SNT

Jeremiah 36 in the SUSU

Jeremiah 36 in the SUSU2

Jeremiah 36 in the SYNO

Jeremiah 36 in the TBIAOTANT

Jeremiah 36 in the TBT1E

Jeremiah 36 in the TBT1E2

Jeremiah 36 in the TFTIP

Jeremiah 36 in the TFTU

Jeremiah 36 in the TGNTATF3T

Jeremiah 36 in the THAI

Jeremiah 36 in the TNFD

Jeremiah 36 in the TNT

Jeremiah 36 in the TNTIK

Jeremiah 36 in the TNTIL

Jeremiah 36 in the TNTIN

Jeremiah 36 in the TNTIP

Jeremiah 36 in the TNTIZ

Jeremiah 36 in the TOMA

Jeremiah 36 in the TTENT

Jeremiah 36 in the UBG

Jeremiah 36 in the UGV

Jeremiah 36 in the UGV2

Jeremiah 36 in the VBL

Jeremiah 36 in the VDCC

Jeremiah 36 in the YALU

Jeremiah 36 in the YAPE

Jeremiah 36 in the YBVTP

Jeremiah 36 in the ZBP