Joshua 10 (UGV3)
1 Yarūshalam ke bādshāh Adūnī-sidq ko ḳhabar milī ki Yashua ne Aī par yoṅ qabzā karke use mukammal taur par tabāh kar diyā hai jis tarah us ne Yarīhū aur us ke bādshāh ke sāth bhī kiyā thā. Use yih ittalā bhī dī gaī ki Jibaūn ke bāshinde Isrāīliyoṅ ke sāth sulah kā muāhadā karke un ke darmiyān rah rahe haiṅ. 2 Yih sun kar wuh aur us kī qaum nihāyat ḍar gae. Kyoṅki Jibaūn baṛā shahr thā. Wuh ahmiyat ke lihāz se un shahroṅ ke barābar thā jin ke bādshāh the, balki wuh Aī Shahr se bhī baṛā thā, aur us ke tamām mard behtarīn faujī the. 3 Chunāṅche Yarūshalam ke bādshāh Adūnī-sidq ne apne qāsid Habrūn ke bādshāh Hūhām, Yarmūt ke bādshāh Pīrām, Lakīs ke bādshāh Yafīa aur Ijlūn ke bādshāh Dabīr ke pās bhej die. 4 Paiġhām yih thā, “Āeṅ aur Jibaūn par hamlā karne meṅ merī madad kareṅ, kyoṅki us ne Yashua aur Isrāīliyoṅ ke sāth sulah kā muāhadā kar liyā hai.” 5 Yarūshalam, Habrūn, Yarmūt, Lakīs aur Ijlūn ke yih pāṅch Amorī bādshāh muttahid hue. Wuh apne tamām faujiyoṅ ko le kar chal paṛe aur Jibaūn kā muhāsarā karke us se jang karne lage. 6 Us waqt Yashua ne apne ḳhaime Jiljāl meṅ lagāe the. Jibaūn ke logoṅ ne use paiġhām bhej diyā, “Apne ḳhādimoṅ ko tark na kareṅ. Jaldī se hamāre pās ā kar hameṅ bachāeṅ! Hamārī madad kījie, kyoṅki pahāṛī ilāqe ke tamām Amorī bādshāh hamāre ḳhilāf muttahid ho gae haiṅ.” 7 Yih sun kar Yashua apnī pūrī fauj ke sāth Jiljāl se niklā aur Jibaūn ke lie rawānā huā. Us ke behtarīn faujī bhī sab us ke sāth the. 8 Rab ne Yashua se kahā, “Un se mat ḍarnā, kyoṅki maiṅ unheṅ tere hāth meṅ kar chukā hūṅ. Un meṅ se ek bhī terā muqābalā nahīṅ karne pāegā.” 9 Aur Yashua ne Jiljāl se sārī rāt safr karte karte achānak dushman par hamlā kiyā. 10 Us waqt Rab ne Isrāīliyoṅ ke deḳhte deḳhte dushman meṅ abtarī paidā kar dī, aur unhoṅ ne Jibaūn ke qarīb dushman ko zabardast shikast dī. Isrāīlī Bait-haurūn tak pahuṅchāne wāle rāste par Amoriyoṅ kā tāqqub karte karte unheṅ Azīqā aur Maqqedā tak maut ke ghāṭ utārte gae. 11 Aur jab Amorī is rāste par Azīqā kī taraf bhāg rahe the to Rab ne āsmān se un par baṛe baṛe ole barsāe jinhoṅ ne Isrāīliyoṅ kī nisbat zyādā dushmanoṅ ko halāk kar diyā. 12 Us din jab Rab ne Amoriyoṅ ko Isrāīl ke hāth meṅ kar diyā to Yashua ne Isrāīliyoṅ kī maujūdagī meṅ Rab se kahā,“Ai sūraj, Jibaūn ke ūpar ruk jā!Ai chāṅd, Wādī-e-Aiyālon par ṭhahar jā!” 13 Tab sūraj ruk gayā, aur chāṅd ne āge harkat na kī. Jab tak ki Isrāīl ne apne dushmanoṅ se pūrā badlā na le liyā us waqt tak wuh ruke rahe. Is bāt kā zikr Yāshar kī Kitāb meṅ kiyā gayā hai. Sūraj āsmān ke bīch meṅ ruk gayā aur taqrīban ek pūre din ke daurān ġhurūb na huā. 14 Yih din munfarid thā. Rab ne insān kī is tarah kī duā na kabhī is se pahle, na kabhī is ke bād sunī. Kyoṅki Rab ḳhud Isrāīl ke lie laṛ rahā thā. 15 Is ke bād Yashua pūre Isrāīl samet Jiljāl kī ḳhaimāgāh meṅ lauṭ āyā. 16 Lekin pāṅchoṅ Amorī bādshāh farār ho kar Maqqedā ke ek ġhār meṅ chhup gae the. 17 Yashua ko ittalā dī gaī 18 to us ne kahā, “Kuchh baṛe baṛe patthar luṛhkā kar ġhār kā muṅh band karnā, aur kuchh ādmī us kī pahrādārī kareṅ. 19 Lekin bāqī log na rukeṅ balki dushmanoṅ kā tāqqub karke pīchhe se unheṅ mārte jāeṅ. Unheṅ dubārā apne shahroṅ meṅ dāḳhil hone kā mauqā mat denā, kyoṅki Rab āp ke Ḳhudā ne unheṅ āp ke hāth meṅ kar diyā hai.” 20 Chunāṅche Yashua aur bāqī Isrāīlī unheṅ halāk karte rahe, aur kam hī apne shahroṅ kī fasīl meṅ dāḳhil ho sake. 21 Is ke bād pūrī fauj sahīh-salāmat Yashua ke pās Maqqedā kī lashkargāh meṅ wāpas pahuṅch gaī.Ab se kisī meṅ bhī Isrāīliyoṅ ko dhamkī dene kī jurrat na rahī. 22 Phir Yashua ne kahā, “Ġhār ke muṅh ko khol kar yih pāṅch bādshāh mere pās nikāl lāeṅ.” 23 Log ġhār ko khol kar Yarūshalam, Habrūn, Yarmūt, Lakīs aur Ijlūn ke bādshāhoṅ ko Yashua ke pās nikāl lāe. 24 Yashua ne Isrāīl ke mardoṅ ko bulā kar apne sāth khaṛe faujī afsaroṅ se kahā, “Idhar ā kar apne pairoṅ ko bādshāhoṅ kī gardanoṅ par rakh deṅ.” Afsaroṅ ne aisā hī kiyā. 25 Phir Yashua ne un se kahā, “Na ḍareṅ aur na hauslā hāreṅ. Mazbūt aur diler hoṅ. Rab yihī kuchh un tamām dushmanoṅ ke sāth karegā jin se āp laṛeṅge.” 26 Yih kah kar us ne bādshāhoṅ ko halāk karke un kī lāsheṅ pāṅch daraḳhtoṅ se laṭkā dīṅ. Wahāṅ wuh shām tak laṭkī rahīṅ. 27 Jab sūraj ḍūbne lagā to logoṅ ne Yashua ke hukm par lāsheṅ utār kar us ġhār meṅ phaiṅk dīṅ jis meṅ bādshāh chhup gae the. Phir unhoṅ ne ġhār ke muṅh ko baṛe baṛe pattharoṅ se band kar diyā. Yih patthar āj tak wahāṅ paṛe hue haiṅ. 28 Us din Maqqedā Yashua ke qabze meṅ ā gayā. Us ne pūre shahr ko talwār se Rab ke lie maḳhsūs karke tabāh kar diyā. Bādshāh samet sab halāk hue aur ek bhī na bachā. Shahr ke bādshāh ke sāth us ne wuh sulūk kiyā jo us ne Yarīhū ke bādshāh ke sāth kiyā thā. 29 Phir Yashua ne tamām Isrāīliyoṅ ke sāth wahāṅ se āge nikal kar Libnā par hamlā kiyā. 30 Rab ne us shahr aur us ke bādshāh ko bhī Isrāīl ke hāth meṅ kar diyā. Yashua ne talwār se shahr ke tamām bāshindoṅ ko halāk kiyā, aur ek bhī na bachā. Bādshāh ke sāth us ne wuhī sulūk kiyā jo us ne Yarīhū ke bādshāh ke sāth kiyā thā. 31 Is ke bād us ne tamām Isrāīliyoṅ ke sāth Libnā se āge baṛh kar Lakīs kā muhāsarā kiyā. Jab us ne us par hamlā kiyā 32 to Rab ne yih shahr us ke bādshāh samet Isrāīl ke hāth meṅ kar diyā. Dūsre din wuh Yashua ke qabze meṅ ā gayā. Shahr ke sāre bāshindoṅ ko us ne talwār se halāk kiyā, jis tarah ki us ne Libnā ke sāth bhī kiyā thā. 33 Sāth sāth Yashua ne Jazar ke bādshāh Hūram aur us ke logoṅ ko bhī shikast dī jo Lakīs kī madad karne ke lie āe the. Un meṅ se ek bhī na bachā. 34 Phir Yashua ne tamām Isrāīliyoṅ ke sāth Lakīs se āge baṛh kar Ijlūn kā muhāsarā kar liyā. Usī din unhoṅ ne us par hamlā karke 35 us par qabzā kar liyā. Jis tarah Lakīs ke sāth huā usī tarah Ijlūn ke sāth bhī kiyā gayā yānī shahr ke tamām bāshinde talwār se halāk hue. 36 Is ke bād Yashua ne tamām Isrāīliyoṅ ke sāth Ijlūn se āge baṛh kar Habrūn par hamlā kiyā. 37 Shahr par qabzā karke unhoṅ ne bādshāh, irdgird kī ābādiyāṅ aur bāshinde sab ke sab tah-e-teġh kar die. Koī na bachā. Ijlūn kī tarah unhoṅ ne use pūre taur par tamām bāshindoṅ samet Rab ke lie maḳhsūs karke tabāh kar diyā. 38 Phir Yashua tamām Isrāīliyoṅ ke sāth muṛ kar Dabīr kī taraf baṛh gayā. Us par hamlā karke 39 us ne shahr, us ke bādshāh aur irdgird kī ābādiyoṅ par qabzā kar liyā. Sab ko nest kar diyā gayā, ek bhī na bachā. Yoṅ Dabīr ke sāth wuh kuchh huā jo pahle Habrūn aur Libnā us ke bādshāh samet huā thā. 40 Is tarah Yashua ne junūbī Kanān ke tamām bādshāhoṅ ko shikast de kar un ke pūre mulk par qabzā kar liyā yānī mulk ke pahāṛī ilāqe par, junūb ke Dasht-e-Najab par, maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe par aur Wādī-e-Yardan ke maġhrib meṅ wāqe pahāṛī ḍhalānoṅ par. Us ne kisī ko bhī bachne na diyā balki har jāndār ko Rab ke lie maḳhsūs karke halāk kar diyā. Yih sab kuchh waisā hī huā jaisā Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne hukm diyā thā. 41 Yashua ne unheṅ Qādis-barnīa se le kar Ġhazzā tak aur Jushan ke pūre ilāqe se le kar Jibaūn tak shikast dī. 42 In tamām bādshāhoṅ aur un ke mamālik par Yashua ne ek hī waqt fatah pāī, kyoṅki Isrāīl kā Ḳhudā Isrāīl ke lie laṛā. 43 Is ke bād Yashua tamām Isrāīliyoṅ ke sāth Jiljāl kī ḳhaimāgāh meṅ lauṭ āyā.