Joshua 8 (UGV3)
1 Phir Rab ne Yashua se kahā, “Mat ḍar aur mat ghabrā balki tamām faujī apne sāth le kar Aī Shahr par hamlā kar. Kyoṅki maiṅ ne Aī ke bādshāh, us kī qaum, us ke shahr aur mulk ko tere hāth meṅ kar diyā hai. 2 Lāzim hai ki tū Aī aur us ke bādshāh ke sāth wuh kuchh kare jo tū ne Yarīhū aur us ke bādshāh ke sāth kiyā thā. Lekin is martabā tum us kā māl aur maweshī apne pās rakh sakte ho. Hamlā karte waqt shahr ke pīchhe ghāt lagā.” 3 Chunāṅche Yashua pūre lashkar ke sāth Aī par hamlā karne ke lie niklā. Us ne apne sab se achchhe faujiyoṅ meṅ se 30,000 ko chun liyā aur unheṅ rāt ke waqt Aī ke ḳhilāf bhej kar 4 hukm diyā, “Dhyān deṅ ki āp shahr ke pīchhe ghāt lagāeṅ. Sab ke sab shahr ke qarīb hī taiyār raheṅ. 5 Itne meṅ maiṅ bāqī mardoṅ ke sāth shahr ke qarīb ā jāūṅgā. Aur jab shahr ke log pahle kī tarah hamāre sāth laṛne ke lie nikleṅge to ham un ke āge āge bhāg jāeṅge. 6 Wuh hamāre pīchhe paṛ jāeṅge aur yoṅ ham unheṅ shahr se dūr le jāeṅge, kyoṅki wuh samjheṅge ki ham is dafā bhī pahle kī tarah un se bhāg rahe haiṅ. 7 Phir āp us jagah se nikleṅ jahāṅ āp ghāt meṅ baiṭhe hoṅge aur shahr par qabzā kar leṅ. Rab āp kā Ḳhudā use āp ke hāth meṅ kar degā. 8 Jab shahr āp ke qabze meṅ hogā to use jalā denā. Wuhī kareṅ jo Rab ne farmāyā hai. Merī in hidāyāt par dhyān deṅ.” 9 Yih kah kar Yashua ne unheṅ Aī kī taraf bhej diyā. Wuh rawānā ho kar Aī ke maġhrib meṅ ghāt meṅ baiṭh gae. Yih jagah Baitel aur Aī ke darmiyān thī. Lekin Yashua ne yih rāt bāqī logoṅ ke sāth ḳhaimāgāh meṅ guzārī. 10 Agle din subah-sawere Yashua ne ādmiyoṅ ko jamā karke un kā jāyzā liyā. Phir wuh Isrāīl ke buzurgoṅ ke sāth un ke āge āge Aī kī taraf chal diyā. 11 Jo lashkar us ke sāth thā wuh chalte chalte Aī ke sāmne pahuṅch gayā. Unhoṅ ne shahr ke shimāl meṅ apne ḳhaime lagāe. Un ke aur shahr ke darmiyān wādī thī. 12 Jo shahr ke maġhrib meṅ Aī aur Baitel ke darmiyān ghāt lagāe baiṭhe the wuh taqrīban 5,000 mard the. 13 Yoṅ shahr ke maġhrib aur shimāl meṅ ādmī laṛne ke lie taiyār hue. Rāt ke waqt Yashua wādī meṅ pahuṅch gayā. 14 Jab Aī ke bādshāh ne shimāl meṅ Isrāīliyoṅ ko dekhā to us ne jaldī jaldī taiyāriyāṅ kīṅ. Agle din subah-sawere wuh apne ādmiyoṅ ke sāth shahr se niklā tāki Isrāīliyoṅ ke sāth laṛe. Yih jagah Wādī-e-Yardan kī taraf thī. Bādshāh ko mālūm na huā ki Isrāīlī shahr ke pīchhe ghāt meṅ baiṭhe haiṅ. 15 Jab Aī ke mard nikle to Yashua aur us kā lashkar shikast kā izhār karke registān kī taraf bhāgne lage. 16 Tab Aī ke tamām mardoṅ ko Isrāīliyoṅ kā tāqqub karne ke lie bulāyā gayā, aur Yashua ke pīchhe bhāgte bhāgte wuh shahr se dūr nikal gae. 17 Ek mard bhī Aī yā Baitel meṅ na rahā balki sab ke sab Isrāīliyoṅ ke pīchhe paṛ gae. Na sirf yih balki unhoṅ ne shahr kā darwāzā khulā chhoṛ diyā. 18 Phir Rab ne Yashua se kahā, “Jo shamshīr tere hāth meṅ hai use Aī ke ḳhilāf uṭhāe rakh, kyoṅki maiṅ yih shahr tere hāth meṅ kar dūṅgā.” Yashua ne aisā hī kiyā, 19 aur jyoṅ hī us ne apnī shamshīr se Aī kī taraf ishārā kiyā ghāt meṅ baiṭhe ādmī jaldī se apnī jagah se nikal āe aur dauṛ dauṛ kar shahr par jhapaṭ paṛe. Unhoṅ ne us par qabzā karke jaldī se use jalā diyā. 20 Jab Aī ke ādmiyoṅ ne muṛ kar nazar ḍālī to dekhā ki shahr se dhueṅ ke bādal uṭh rahe haiṅ. Lekin ab un ke lie bhī bachne kā koī rāstā na rahā, kyoṅki jo Isrāīlī ab tak un ke āge āge registān kī taraf bhāg rahe the wuh achānak muṛ kar tāqqub karne wāloṅ par ṭūṭ paṛe. 21 Kyoṅki jab Yashua aur us ke sāth ke ādmiyoṅ ne dekhā ki ghāt meṅ baiṭhe Isrāīliyoṅ ne shahr par qabzā kar liyā hai aur ki shahr se dhuāṅ uṭh rahā hai to unhoṅ ne muṛ kar Aī ke ādmiyoṅ par hamlā kar diyā. 22 Sāth sāth shahr meṅ dāḳhil hue Isrāīlī shahr se nikal kar pīchhe se un se laṛne lage. Chunāṅche Aī ke ādmī bīch meṅ phaṅs gae. Isrāīliyoṅ ne sab ko qatl kar diyā, aur na koī bachā, na koī farār ho sakā. 23 Sirf Aī ke bādshāh ko zindā pakaṛā aur Yashua ke pās lāyā gayā. 24 Aī ke mardoṅ kā tāqqub karte karte un sab ko khule maidān aur registān meṅ talwār se mār dene ke bād Isrāīliyoṅ ne Aī Shahr meṅ wāpas ā kar tamām bāshindoṅ ko halāk kar diyā. 25 Us din Aī ke tamām mard aur aurateṅ māre gae. Kul 12,000 afrād. 26 Kyoṅki Yashua ne us waqt tak apnī shamshīr uṭhāe rakhī jab tak Aī ke tamām bāshindoṅ ko halāk na kar diyā gayā. 27 Sirf shahr ke maweshī aur lūṭā huā māl bach gayā, kyoṅki is dafā Rab ne hidāyat kī thī ki Isrāīlī use le jā sakte haiṅ. 28 Yashua ne Aī ko jalā kar use hameshā ke lie malbe kā ḍher banā diyā. Yih maqām āj tak wīrān hai. 29 Aī ke bādshāh kī lāsh us ne shām tak daraḳht se laṭkāe rakhī. Phir jab sūraj ḍūbne lagā to Yashua ne apne logoṅ ko hukm diyā ki bādshāh kī lāsh ko daraḳht se utār deṅ. Tab unhoṅ ne use shahr ke darwāze ke pās phaiṅk kar us par patthar kā baṛā ḍher lagā diyā. Yih ḍher āj tak maujūd hai. 30 Us waqt Yashua ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī tāzīm meṅ Aibāl Pahāṛ par qurbāngāh banāī 31 jis tarah Rab ke ḳhādim Mūsā ne Isrāīliyoṅ ko hukm diyā thā. Us ne use Mūsā kī Sharīat kī Kitāb meṅ darj hidāyāt ke mutābiq banāyā. Qurbāngāh ke patthar tarāshe baġhair lagāe gae. Aur un par lohe kā ālā na chalāyā gayā. Us par unhoṅ ne Rab ko bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh kīṅ. 32 Wahāṅ Yashua ne Isrāīliyoṅ kī maujūdagī meṅ pattharoṅ par Mūsā kī sharīat dubārā likh dī. 33 Phir buzurgoṅ, nigahbānoṅ aur qāziyoṅ ke sāth mil kar tamām Isrāīlī do gurohoṅ meṅ taqsīm hue. Pardesī bhī un meṅ shāmil the. Ek guroh Garizīm Pahāṛ ke sāmne khaṛā huā aur dūsrā Aibāl Pahāṛ ke sāmne. Donoṅ guroh ek dūsre ke muqābil khaṛe rahe jabki Lāwī ke qabīle ke imām un ke darmiyān khaṛe hue. Unhoṅ ne Rab ke ahd kā sandūq uṭhā rakhā thā. Sab kuchh un hidāyāt ke ain mutābiq huā jo Rab ke ḳhādim Mūsā ne Isrāīliyoṅ ko barkat dene ke lie dī thīṅ. 34 Phir Yashua ne sharīat kī tamām bātoṅ kī tilāwat kī, us kī barakāt bhī aur us kī lānateṅ bhī. Sab kuchh us ne waisā hī paṛhā jaisā ki Sharīat kī Kitāb meṅ darj thā. 35 Jo bhī hukm Mūsā ne diyā thā us kā ek bhī lafz na rahā jis kī tilāwat Yashua ne tamām Isrāīliyoṅ kī pūrī jamāt ke sāmne na kī ho. Aur sab ne yih bāteṅ sunīṅ. Is meṅ aurateṅ, bachche aur un ke darmiyān rahne wāle pardesī sab shāmil the.