Luke 5 (UGV3)

1 Ek din Īsā Galīl kī Jhīl Gannesarat ke kināre par khaṛā hujūm ko Allāh kā kalām sunā rahā thā. Log sunte sunte itne qarīb ā gae ki us ke lie jagah kam ho gaī. 2 Phir use do kashtiyāṅ nazar āīṅ jo jhīl ke kināre lagī thīṅ. Machhere un meṅ se utar chuke the aur ab apne jāloṅ ko dho rahe the. 3 Īsā ek kashtī par sawār huā. Us ne kashtī ke mālik Shamāūn se darḳhāst kī ki wuh kashtī ko kināre se thoṛā-sā dūr le chale. Phir wuh kashtī meṅ baiṭhā aur hujūm ko tālīm dene lagā. 4 Tālīm dene ke iḳhtitām par us ne Shamāūn se kahā, “Ab kashtī ko wahāṅ le jā jahāṅ pānī gahrā hai aur apne jāloṅ ko machhliyāṅ pakaṛne ke lie ḍāl do.” 5 Lekin Shamāūn ne etarāz kiyā, “Ustād, ham ne to pūrī rāt baṛī koshish kī, lekin ek bhī na pakaṛī. Tāham āp ke kahne par maiṅ jāloṅ ko dubārā ḍālūṅgā.” 6 Yih kah kar unhoṅ ne gahre pānī meṅ jā kar apne jāl ḍāl die. Aur wāqaī, machhliyoṅ kā itnā baṛā ġhol jāloṅ meṅ phaṅs gayā ki wuh phaṭne lage. 7 Yih dekh kar unhoṅ ne apne sāthiyoṅ ko ishārā karke bulāyā tāki wuh dūsrī kashtī meṅ ā kar un kī madad kareṅ. Wuh āe aur sab ne mil kar donoṅ kashtiyoṅ ko itnī machhliyoṅ se bhar diyā ki āḳhirkār donoṅ ḍūbne ke ḳhatre meṅ thīṅ. 8 Jab Shamāūn Patras ne yih sab kuchh dekhā to us ne Īsā ke sāmne muṅh ke bal gir kar kahā, “Ḳhudāwand, mujh se dūr chale jāeṅ. Maiṅ to gunāhgār hūṅ.” 9 Kyoṅki wuh aur us ke sāthī itnī machhliyāṅ pakaṛne kī wajah se saḳht hairān the. 10 Aur Zabdī ke beṭe Yāqūb aur Yūhannā kī hālat bhī yihī thī jo Shamāūn ke sāth mil kar kām karte the.Lekin Īsā ne Shamāūn se kahā, “Mat ḍar. Ab se tū ādmiyoṅ ko pakaṛā karegā.” 11 Wuh apnī kashtiyoṅ ko kināre par le āe aur sab kuchh chhoṛ kar Īsā ke pīchhe ho lie. 12 Ek din Īsā kisī shahr meṅ se guzar rahā thā ki wahāṅ ek marīz milā jis kā pūrā jism koṛh se muta'assir thā. Jab us ne Īsā ko dekhā to wuh muṅh ke bal gir paṛā aur iltijā kī, “Ai Ḳhudāwand, agar āp chāheṅ to mujhe pāk-sāf kar sakte haiṅ.” 13 Īsā ne apnā hāth baṛhā kar use chhuā aur kahā, “Maiṅ chāhtā hūṅ, pāk-sāf ho jā.” Is par bīmārī fauran dūr ho gaī. 14 Īsā ne use hidāyat kī ki wuh kisī ko na batāe ki kyā huā hai. Us ne kahā, “Sīdhā Baitul-muqaddas meṅ imām ke pās jā tāki wuh terā muāynā kare. Apne sāth wuh qurbānī le jā jis kā taqāzā Mūsā kī sharīat un se kartī hai jinheṅ koṛh se shifā miltī hai. Yoṅ alāniyā tasdīq ho jāegī ki tū wāqaī pāk-sāf ho gayā hai.” 15 Tāham Īsā ke bāre meṅ ḳhabar aur zyādā tezī se phailtī gaī. Logoṅ ke baṛe guroh us ke pās āte rahe tāki us kī bāteṅ suneṅ aur us ke hāth se shifā pāeṅ. 16 Phir bhī wuh kaī bār unheṅ chhoṛ kar duā karne ke lie wīrān jaghoṅ par jāyā kartā thā. 17 Ek din wuh logoṅ ko tālīm de rahā thā. Farīsī aur sharīat ke ālim bhī Galīl aur Yahūdiyā ke har gāṅw aur Yarūshalam se ā kar us ke pās baiṭhe the. Aur Rab kī qudrat use shifā dene ke lie tahrīk de rahī thī. 18 Itne meṅ kuchh ādmī ek maflūj ko chārpāī par ḍāl kar wahāṅ pahuṅche. Unhoṅ ne use ghar ke andar Īsā ke sāmne rakhne kī koshish kī, 19 lekin befāydā. Ghar meṅ itne log the ki andar jānā nāmumkin thā. Is lie wuh āḳhirkār chhat par chaṛh gae aur kuchh ṭāyleṅ udheṛ kar chhat kā ek hissā khol diyā. Phir unhoṅ ne chārpāī ko maflūj samet hujūm ke darmiyān Īsā ke sāmne utārā. 20 Jab Īsā ne un kā īmān dekhā to us ne maflūj se kahā, “Ai ādmī, tere gunāh muāf kar die gae haiṅ.” 21 Yih sun kar sharīat ke ālim aur Farīsī soch-bichār meṅ paṛ gae. “Yih kis tarah kā bandā hai jo is qism kā kufr baktā hai? Sirf Allāh hī gunāh muāf kar saktā hai.” 22 Lekin Īsā ne jān liyā ki yih kyā soch rahe haiṅ, is lie us ne pūchhā, “Tum dil meṅ is tarah kī bāteṅ kyoṅ soch rahe ho? 23 Kyā maflūj se yih kahnā zyādā āsān hai ki ‘Tere gunāh muāf kar die gae haiṅ’ yā yih ki ‘Uṭh kar chal-phir’? 24 Lekin maiṅ tum ko dikhātā hūṅ ki Ibn-e-Ādam ko wāqaī duniyā meṅ gunāh muāf karne kā iḳhtiyār hai.” Yih kah kar wuh maflūj se muḳhātib huā, “Uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar apne ghar chalā jā.” 25 Logoṅ ke deḳhte deḳhte wuh ādmī khaṛā huā aur apnī chārpāī uṭhā kar Allāh kī hamd-o-sanā karte hue apne ghar chalā gayā. 26 Yih dekh kar sab saḳht hairatzadā hue aur Allāh kī tamjīd karne lage. Un par ḳhauf chhā gayā aur wuh kah uṭhe, “Āj ham ne nāqābil-e-yaqīn bāteṅ dekhī haiṅ.” 27 Is ke bād Īsā nikal kar ek ṭaiks lene wāle ke pās se guzarā jo apnī chaukī par baiṭhā thā. Us kā nām Lāwī thā. Use dekh kar Īsā ne kahā, “Mere pīchhe ho le.” 28 Wuh uṭhā aur sab kuchh chhoṛ kar us ke pīchhe ho liyā. 29 Bād meṅ us ne apne ghar meṅ Īsā kī baṛī ziyāfat kī. Bahut-se ṭaiks lene wāle aur dīgar mehmān is meṅ sharīk hue. 30 Yih dekh kar kuchh Farīsiyoṅ aur un se tālluq rakhne wāle sharīat ke ālimoṅ ne Īsā ke shāgirdoṅ se shikāyat kī. Unhoṅ ne kahā, “Tum ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth kyoṅ khāte-pīte ho?” 31 Īsā ne jawāb diyā, “Sehhatmandoṅ ko ḍākṭar kī zarūrat nahīṅ hotī balki marīzoṅ ko. 32 Maiṅ rāstbāzoṅ ko nahīṅ balki gunāhgāroṅ ko bulāne āyā hūṅ tāki wuh taubā kareṅ.” 33 Kuchh logoṅ ne Īsā se ek aur sawāl pūchhā, “Yahyā ke shāgird aksar rozā rakhte haiṅ. Aur sāth sāth wuh duā bhī karte rahte haiṅ. Farīsiyoṅ ke shāgird bhī isī tarah karte haiṅ. Lekin āp ke shāgird khāne-pīne kā silsilā jārī rakhte haiṅ.” 34 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum shādī ke mehmānoṅ ko rozā rakhne ko kah sakte ho jab dūlhā un ke darmiyān hai? Hargiz nahīṅ! 35 Lekin ek din āegā jab dūlhā un se le liyā jāegā. Us waqt wuh zarūr rozā rakheṅge.” 36 Us ne unheṅ yih misāl bhī dī, “Kaun kisī nae libās ko phāṛ kar us kā ek ṭukṛā kisī purāne libās meṅ lagāegā? Koī bhī nahīṅ! Agar wuh aisā kare to na sirf nayā libās ḳharāb hogā balki us se liyā gayā ṭukṛā purāne libās ko bhī ḳharāb kar degā. 37 Isī tarah koī bhī angūr kā tāzā ras purānī aur belachak mashkoṅ meṅ nahīṅ ḍālegā. Agar wuh aisā kare to purānī mashkeṅ paidā hone wālī gais ke bāis phaṭ jāeṅgī. Natīje meṅ mai aur mashkeṅ donoṅ zāe ho jāeṅgī. 38 Is lie angūr kā tāzā ras naī mashkoṅ meṅ ḍālā jātā hai jo lachakdār hotī haiṅ. 39 Lekin jo bhī purānī mai pīnā pasand kare wuh angūr kā nayā aur tāzā ras pasand nahīṅ karegā. Wuh kahegā ki purānī hī behtar hai.”

In Other Versions

Luke 5 in the ANGEFD

Luke 5 in the ANTPNG2D

Luke 5 in the AS21

Luke 5 in the BAGH

Luke 5 in the BBPNG

Luke 5 in the BBT1E

Luke 5 in the BDS

Luke 5 in the BEV

Luke 5 in the BHAD

Luke 5 in the BIB

Luke 5 in the BLPT

Luke 5 in the BNT

Luke 5 in the BNTABOOT

Luke 5 in the BNTLV

Luke 5 in the BOATCB

Luke 5 in the BOATCB2

Luke 5 in the BOBCV

Luke 5 in the BOCNT

Luke 5 in the BOECS

Luke 5 in the BOGWICC

Luke 5 in the BOHCB

Luke 5 in the BOHCV

Luke 5 in the BOHLNT

Luke 5 in the BOHNTLTAL

Luke 5 in the BOICB

Luke 5 in the BOILNTAP

Luke 5 in the BOITCV

Luke 5 in the BOKCV

Luke 5 in the BOKCV2

Luke 5 in the BOKHWOG

Luke 5 in the BOKSSV

Luke 5 in the BOLCB

Luke 5 in the BOLCB2

Luke 5 in the BOMCV

Luke 5 in the BONAV

Luke 5 in the BONCB

Luke 5 in the BONLT

Luke 5 in the BONUT2

Luke 5 in the BOPLNT

Luke 5 in the BOSCB

Luke 5 in the BOSNC

Luke 5 in the BOTLNT

Luke 5 in the BOVCB

Luke 5 in the BOYCB

Luke 5 in the BPBB

Luke 5 in the BPH

Luke 5 in the BSB

Luke 5 in the CCB

Luke 5 in the CUV

Luke 5 in the CUVS

Luke 5 in the DBT

Luke 5 in the DGDNT

Luke 5 in the DHNT

Luke 5 in the DNT

Luke 5 in the ELBE

Luke 5 in the EMTV

Luke 5 in the ESV

Luke 5 in the FBV

Luke 5 in the FEB

Luke 5 in the GGMNT

Luke 5 in the GNT

Luke 5 in the HARY

Luke 5 in the HNT

Luke 5 in the IRVA

Luke 5 in the IRVB

Luke 5 in the IRVG

Luke 5 in the IRVH

Luke 5 in the IRVK

Luke 5 in the IRVM

Luke 5 in the IRVM2

Luke 5 in the IRVO

Luke 5 in the IRVP

Luke 5 in the IRVT

Luke 5 in the IRVT2

Luke 5 in the IRVU

Luke 5 in the ISVN

Luke 5 in the JSNT

Luke 5 in the KAPI

Luke 5 in the KBT1ETNIK

Luke 5 in the KBV

Luke 5 in the KJV

Luke 5 in the KNFD

Luke 5 in the LBA

Luke 5 in the LBLA

Luke 5 in the LNT

Luke 5 in the LSV

Luke 5 in the MAAL

Luke 5 in the MBV

Luke 5 in the MBV2

Luke 5 in the MHNT

Luke 5 in the MKNFD

Luke 5 in the MNG

Luke 5 in the MNT

Luke 5 in the MNT2

Luke 5 in the MRS1T

Luke 5 in the NAA

Luke 5 in the NASB

Luke 5 in the NBLA

Luke 5 in the NBS

Luke 5 in the NBVTP

Luke 5 in the NET2

Luke 5 in the NIV11

Luke 5 in the NNT

Luke 5 in the NNT2

Luke 5 in the NNT3

Luke 5 in the PDDPT

Luke 5 in the PFNT

Luke 5 in the RMNT

Luke 5 in the SBIAS

Luke 5 in the SBIBS

Luke 5 in the SBIBS2

Luke 5 in the SBICS

Luke 5 in the SBIDS

Luke 5 in the SBIGS

Luke 5 in the SBIHS

Luke 5 in the SBIIS

Luke 5 in the SBIIS2

Luke 5 in the SBIIS3

Luke 5 in the SBIKS

Luke 5 in the SBIKS2

Luke 5 in the SBIMS

Luke 5 in the SBIOS

Luke 5 in the SBIPS

Luke 5 in the SBISS

Luke 5 in the SBITS

Luke 5 in the SBITS2

Luke 5 in the SBITS3

Luke 5 in the SBITS4

Luke 5 in the SBIUS

Luke 5 in the SBIVS

Luke 5 in the SBT

Luke 5 in the SBT1E

Luke 5 in the SCHL

Luke 5 in the SNT

Luke 5 in the SUSU

Luke 5 in the SUSU2

Luke 5 in the SYNO

Luke 5 in the TBIAOTANT

Luke 5 in the TBT1E

Luke 5 in the TBT1E2

Luke 5 in the TFTIP

Luke 5 in the TFTU

Luke 5 in the TGNTATF3T

Luke 5 in the THAI

Luke 5 in the TNFD

Luke 5 in the TNT

Luke 5 in the TNTIK

Luke 5 in the TNTIL

Luke 5 in the TNTIN

Luke 5 in the TNTIP

Luke 5 in the TNTIZ

Luke 5 in the TOMA

Luke 5 in the TTENT

Luke 5 in the UBG

Luke 5 in the UGV

Luke 5 in the UGV2

Luke 5 in the VBL

Luke 5 in the VDCC

Luke 5 in the YALU

Luke 5 in the YAPE

Luke 5 in the YBVTP

Luke 5 in the ZBP