Luke 7 (UGV3)

1 Yih sab kuchh logoṅ ko sunāne ke bād Īsā Kafarnahūm chalā gayā. 2 Wahāṅ sau faujiyoṅ par muqarrar ek afsar rahtā thā. Un dinoṅ meṅ us kā ek ġhulām jo use bahut azīz thā bīmār paṛ gayā. Ab wuh marne ko thā. 3 Chūṅki afsar ne Īsā ke bāre meṅ sunā thā is lie us ne Yahūdiyoṅ ke kuchh buzurg yih darḳhāst karne ke lie us ke pās bhej die ki wuh ā kar ġhulām ko shifā de. 4 Wuh Īsā ke pās pahuṅch kar baṛe zor se iltijā karne lage, “Yih ādmī is lāyq hai ki āp us kī darḳhāst pūrī kareṅ, 5 kyoṅki wuh hamārī qaum se pyār kartā hai, yahāṅ tak ki us ne hamāre lie ibādatḳhānā bhī tāmīr karwāyā hai.” 6 Chunāṅche Īsā un ke sāth chal paṛā. Lekin jab wuh ghar ke qarīb pahuṅch gayā to afsar ne apne kuchh dost yih kah kar us ke pās bhej die ki “Ḳhudāwand, mere ghar meṅ āne kī taklīf na kareṅ, kyoṅki maiṅ is lāyq nahīṅ hūṅ. 7 Is lie maiṅ ne ḳhud ko āp ke pās āne ke lāyq bhī na samjhā. Bas wahīṅ se kah deṅ to merā ġhulām shifā pā jāegā. 8 Kyoṅki mujhe ḳhud ālā afsaroṅ ke hukm par chalnā paṛtā hai aur mere mātaht bhī faujī haiṅ. Ek ko kahtā hūṅ, ‘Jā!’ To wuh jātā hai aur dūsre ko ‘Ā!’ To wuh ātā hai. Isī tarah maiṅ apne naukar ko hukm detā hūṅ, ‘Yih kar!’ To wuh kartā hai.” 9 Yih sun kar Īsā nihāyat hairān huā. Us ne muṛ kar apne pīchhe āne wāle hujūm se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, maiṅ ne Isrāīl meṅ bhī is qism kā īmān nahīṅ pāyā.” 10 Jab afsar kā paiġhām pahuṅchāne wāle ghar wāpas āe to unhoṅ ne dekhā ki ġhulām kī sehhat bahāl ho chukī hai. 11 Kuchh der ke bād Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth Nāyn Shahr ke lie rawānā huā. Ek baṛā hujūm bhī sāth chal rahā thā. 12 Jab wuh shahr ke darwāze ke qarīb pahuṅchā to ek janāzā niklā. Jo naujawān faut huā thā us kī māṅ bewā thī aur wuh us kā iklautā beṭā thā. Māṅ ke sāth shahr ke bahut-se log chal rahe the. 13 Use dekh kar Ḳhudāwand ko us par baṛā tars āyā. Us ne us se kahā, “Mat ro.” 14 Phir wuh janāze ke pās gayā aur use chhuā. Use uṭhāne wāle ruk gae to Īsā ne kahā, “Ai naujawān, maiṅ tujhe kahtā hūṅ ki uṭh.” 15 Murdā uṭh baiṭhā aur bolne lagā. Īsā ne use us kī māṅ ke sapurd kar diyā. 16 Yih dekh kar tamām logoṅ par ḳhauf tārī ho gayā aur wuh Allāh kī tamjīd karke kahne lage, “Hamāre darmiyān ek baṛā nabī barpā huā hai. Allāh ne apnī qaum par nazar kī hai.” 17 Aur Īsā ke bāre meṅ yih ḳhabar pūre Yahūdiyā aur irdgird ke ilāqe meṅ phail gaī. 18 Yahyā ko bhī apne shāgirdoṅ kī mārifat in tamām wāqiyāt ke bāre meṅ patā chalā. Is par us ne do shāgirdoṅ ko bulā kar 19 unheṅ yih pūchhne ke lie Ḳhudāwand ke pās bhejā, “Kyā āp wuhī haiṅ jise ānā hai yā ham kisī aur ke intazār meṅ raheṅ?” 20 Chunāṅche yih shāgird Īsā ke pās pahuṅch kar kahne lage, “Yahyā baptismā dene wāle ne hameṅ yih pūchhne ke lie bhejā hai ki kyā āp wuhī haiṅ jise ānā hai yā ham kisī aur kā intazār kareṅ?” 21 Īsā ne usī waqt bahut-se logoṅ ko shifā dī thī jo muḳhtalif qism kī bīmāriyoṅ, musībatoṅ aur badrūhoṅ kī girift meṅ the. Andhoṅ kī āṅkheṅ bhī bahāl ho gaī thīṅ. 22 Is lie us ne jawāb meṅ Yahyā ke qāsidoṅ se kahā, “Yahyā ke pās wāpas jā kar use sab kuchh batā denā jo tum ne dekhā aur sunā hai. ‘Andhe deḳhte, langaṛe chalte phirte haiṅ, koṛhiyoṅ ko pāk-sāf kiyā jātā hai, bahre sunte haiṅ, murdoṅ ko zindā kiyā jātā hai aur ġharīboṅ ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī jātī hai.’ 23 Yahyā ko batāo, ‘Mubārak hai wuh jo mere sabab se ṭhokar khā kar bargashtā nahīṅ hotā.’” 24 Yahyā ke yih qāsid chale gae to Īsā hujūm se Yahyā ke bāre meṅ bāt karne lagā, “Tum registān meṅ kyā deḳhne gae the? Ek sarkanḍā jo hawā ke har jhoṅke se hiltā hai? Beshak nahīṅ. 25 Yā kyā wahāṅ jā kar aise ādmī kī tawaqqo kar rahe the jo nafīs aur mulāym libās pahne hue hai? Nahīṅ, jo shāndār kapṛe pahante aur aish-o-ishrat meṅ zindagī guzārte haiṅ wuh shāhī mahaloṅ meṅ pāe jāte haiṅ. 26 To phir tum kyā deḳhne gae the? Ek nabī ko? Bilkul sahīh, balki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki wuh nabī se bhī baṛā hai. 27 Usī ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Dekh maiṅ apne paiġhambar ko tere āge āge bhej detā hūṅ jo tere sāmne rāstā taiyār karegā.’ 28 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki is duniyā meṅ paidā hone wālā koī bhī shaḳhs Yahyā se baṛā nahīṅ hai. To bhī Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone wālā sab se chhoṭā shaḳhs us se baṛā hai.” 29 Bāt yih thī ki tamām qaum bashamūl ṭaiks lene wāloṅ ne Yahyā kā paiġhām sun kar Allāh kā insāf mān liyā aur Yahyā se baptismā liyā thā. 30 Sirf Farīsī aur sharīat ke ulamā ne apne bāre meṅ Allāh kī marzī ko radd karke Yahyā kā baptismā lene se inkār kiyā thā. 31 Īsā ne bāt jārī rakhī, “Chunāṅche maiṅ is nasl ke logoṅ ko kis se tashbīh dūṅ? Wuh kis se mutābiqat rakhte haiṅ? 32 Wuh un bachchoṅ kī mānind haiṅ jo bāzār meṅ baiṭhe khel rahe haiṅ. Un meṅ se kuchh ūṅchī āwāz se dūsre bachchoṅ se shikāyat kar rahe haiṅ, ‘Ham ne bāṅsrī bajāī to tum na nāche. Phir ham ne nohā ke gīt gāe, lekin tum na roe.’ 33 Dekho, Yahyā baptismā dene wālā āyā aur na roṭī khāī, na mai pī. Yih dekh kar tum kahte ho ki us meṅ badrūh hai. 34 Phir Ibn-e-Ādam khātā aur pītā huā āyā. Ab tum kahte ho, ‘Dekho yih kaisā peṭū aur sharābī hai. Aur wuh ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ kā dost bhī hai.’ 35 Lekin hikmat apne tamām bachchoṅ se hī sahīh sābit huī hai.” 36 Ek Farīsī ne Īsā ko khānā khāne kī dāwat dī. Īsā us ke ghar jā kar khānā khāne ke lie baiṭh gayā. 37 Us shahr meṅ ek badchalan aurat rahtī thī. Jab use patā chalā ki Īsā us Farīsī ke ghar meṅ khānā khā rahā hai to wuh itrdān meṅ beshqīmat itr lā kar 38 pīchhe se us ke pāṅwoṅ ke pās khaṛī ho gaī. Wuh ro paṛī aur us ke āṅsū ṭapak ṭapak kar Īsā ke pāṅwoṅ ko tar karne lage. Phir us ne us ke pāṅwoṅ ko apne bāloṅ se poṅchh kar unheṅ chūmā aur un par itr ḍālā. 39 Jab Īsā ke Farīsī mezbān ne yih dekhā to us ne dil meṅ kahā, “Agar yih ādmī nabī hotā to use mālūm hotā ki yih kis qism kī aurat hai jo use chhū rahī hai, ki yih gunāhgār hai.” 40 Īsā ne in ḳhayālāt ke jawāb meṅ us se kahā, “Shamāūn, maiṅ tujhe kuchh batānā chāhtā hūṅ.”Us ne kahā, “Jī ustād, batāeṅ.” 41 Īsā ne kahā, “Ek sāhūkār ke do qarzdār the. Ek ko us ne chāṅdī ke 500 sikke die the aur dūsre ko 50 sikke. 42 Lekin donoṅ apnā qarz adā na kar sake. Yih dekh kar us ne donoṅ kā qarz muāf kar diyā. Ab mujhe batā, donoṅ qarzdāroṅ meṅ se kaun use zyādā azīz rakhegā?” 43 Shamāūn ne jawāb diyā, “Mere ḳhayāl meṅ wuh jise zyādā muāf kiyā gayā.”Īsā ne kahā, “Tū ne ṭhīk andāzā lagāyā hai.” 44 Aur aurat kī taraf muṛ kar us ne Shamāūn se bāt jārī rakhī, “Kyā tū is aurat ko deḳhtā hai? 45 Jab maiṅ is ghar meṅ āyā to tū ne mujhe pāṅw dhone ke lie pānī na diyā. Lekin is ne mere pāṅwoṅ ko apne āṅsuoṅ se tar karke apne bāloṅ se poṅchh kar ḳhushk kar diyā hai. Tū ne mujhe bosā na diyā, lekin yih mere andar āne se le kar ab tak mere pāṅwoṅ ko chūmne se bāz nahīṅ rahī. 46 Tū ne mere sar par zaitūn kā tel na ḍālā, lekin is ne mere pāṅwoṅ par itr ḍālā. 47 Is lie maiṅ tujhe batātā hūṅ ki is ke gunāhoṅ ko go wuh bahut haiṅ muāf kar diyā gayā hai, kyoṅki is ne bahut muhabbat kā izhār kiyā hai. Lekin jise kam muāf kiyā gayā ho wuh kam muhabbat rakhtā hai.” 48 Phir Īsā ne aurat se kahā, “Tere gunāhoṅ ko muāf kar diyā gayā hai.” 49 Yih sun kar jo sāth baiṭhe the āpas meṅ kahne lage, “Yih kis qism kā shaḳhs hai jo gunāhoṅ ko bhī muāf kartā hai?” 50 Lekin Īsā ne ḳhātūn se kahā, “Tere īmān ne tujhe bachā liyā hai. Salāmatī se chalī jā.”

In Other Versions

Luke 7 in the ANGEFD

Luke 7 in the ANTPNG2D

Luke 7 in the AS21

Luke 7 in the BAGH

Luke 7 in the BBPNG

Luke 7 in the BBT1E

Luke 7 in the BDS

Luke 7 in the BEV

Luke 7 in the BHAD

Luke 7 in the BIB

Luke 7 in the BLPT

Luke 7 in the BNT

Luke 7 in the BNTABOOT

Luke 7 in the BNTLV

Luke 7 in the BOATCB

Luke 7 in the BOATCB2

Luke 7 in the BOBCV

Luke 7 in the BOCNT

Luke 7 in the BOECS

Luke 7 in the BOGWICC

Luke 7 in the BOHCB

Luke 7 in the BOHCV

Luke 7 in the BOHLNT

Luke 7 in the BOHNTLTAL

Luke 7 in the BOICB

Luke 7 in the BOILNTAP

Luke 7 in the BOITCV

Luke 7 in the BOKCV

Luke 7 in the BOKCV2

Luke 7 in the BOKHWOG

Luke 7 in the BOKSSV

Luke 7 in the BOLCB

Luke 7 in the BOLCB2

Luke 7 in the BOMCV

Luke 7 in the BONAV

Luke 7 in the BONCB

Luke 7 in the BONLT

Luke 7 in the BONUT2

Luke 7 in the BOPLNT

Luke 7 in the BOSCB

Luke 7 in the BOSNC

Luke 7 in the BOTLNT

Luke 7 in the BOVCB

Luke 7 in the BOYCB

Luke 7 in the BPBB

Luke 7 in the BPH

Luke 7 in the BSB

Luke 7 in the CCB

Luke 7 in the CUV

Luke 7 in the CUVS

Luke 7 in the DBT

Luke 7 in the DGDNT

Luke 7 in the DHNT

Luke 7 in the DNT

Luke 7 in the ELBE

Luke 7 in the EMTV

Luke 7 in the ESV

Luke 7 in the FBV

Luke 7 in the FEB

Luke 7 in the GGMNT

Luke 7 in the GNT

Luke 7 in the HARY

Luke 7 in the HNT

Luke 7 in the IRVA

Luke 7 in the IRVB

Luke 7 in the IRVG

Luke 7 in the IRVH

Luke 7 in the IRVK

Luke 7 in the IRVM

Luke 7 in the IRVM2

Luke 7 in the IRVO

Luke 7 in the IRVP

Luke 7 in the IRVT

Luke 7 in the IRVT2

Luke 7 in the IRVU

Luke 7 in the ISVN

Luke 7 in the JSNT

Luke 7 in the KAPI

Luke 7 in the KBT1ETNIK

Luke 7 in the KBV

Luke 7 in the KJV

Luke 7 in the KNFD

Luke 7 in the LBA

Luke 7 in the LBLA

Luke 7 in the LNT

Luke 7 in the LSV

Luke 7 in the MAAL

Luke 7 in the MBV

Luke 7 in the MBV2

Luke 7 in the MHNT

Luke 7 in the MKNFD

Luke 7 in the MNG

Luke 7 in the MNT

Luke 7 in the MNT2

Luke 7 in the MRS1T

Luke 7 in the NAA

Luke 7 in the NASB

Luke 7 in the NBLA

Luke 7 in the NBS

Luke 7 in the NBVTP

Luke 7 in the NET2

Luke 7 in the NIV11

Luke 7 in the NNT

Luke 7 in the NNT2

Luke 7 in the NNT3

Luke 7 in the PDDPT

Luke 7 in the PFNT

Luke 7 in the RMNT

Luke 7 in the SBIAS

Luke 7 in the SBIBS

Luke 7 in the SBIBS2

Luke 7 in the SBICS

Luke 7 in the SBIDS

Luke 7 in the SBIGS

Luke 7 in the SBIHS

Luke 7 in the SBIIS

Luke 7 in the SBIIS2

Luke 7 in the SBIIS3

Luke 7 in the SBIKS

Luke 7 in the SBIKS2

Luke 7 in the SBIMS

Luke 7 in the SBIOS

Luke 7 in the SBIPS

Luke 7 in the SBISS

Luke 7 in the SBITS

Luke 7 in the SBITS2

Luke 7 in the SBITS3

Luke 7 in the SBITS4

Luke 7 in the SBIUS

Luke 7 in the SBIVS

Luke 7 in the SBT

Luke 7 in the SBT1E

Luke 7 in the SCHL

Luke 7 in the SNT

Luke 7 in the SUSU

Luke 7 in the SUSU2

Luke 7 in the SYNO

Luke 7 in the TBIAOTANT

Luke 7 in the TBT1E

Luke 7 in the TBT1E2

Luke 7 in the TFTIP

Luke 7 in the TFTU

Luke 7 in the TGNTATF3T

Luke 7 in the THAI

Luke 7 in the TNFD

Luke 7 in the TNT

Luke 7 in the TNTIK

Luke 7 in the TNTIL

Luke 7 in the TNTIN

Luke 7 in the TNTIP

Luke 7 in the TNTIZ

Luke 7 in the TOMA

Luke 7 in the TTENT

Luke 7 in the UBG

Luke 7 in the UGV

Luke 7 in the UGV2

Luke 7 in the VBL

Luke 7 in the VDCC

Luke 7 in the YALU

Luke 7 in the YAPE

Luke 7 in the YBVTP

Luke 7 in the ZBP