Matthew 8 (UGV3)

1 Īsā pahāṛ se utrā to baṛī bhīṛ us ke pīchhe chalne lagī. 2 Phir ek ādmī us ke pās āyā jo koṛh kā marīz thā. Muṅh ke bal gir kar us ne kahā, “Ḳhudāwand, agar āp chāheṅ to mujhe pāk-sāf kar sakte haiṅ.” 3 Īsā ne apnā hāth baṛhā kar use chhuā aur kahā, “Maiṅ chāhtā hūṅ, pāk-sāf ho jā.” Is par wuh fauran us bīmārī se pāk-sāf ho gayā. 4 Īsā ne us se kahā, “Ḳhabardār! Yih bāt kisī ko na batānā balki Baitul-muqaddas meṅ imām ke pās jā tāki wuh terā muāynā kare. Apne sāth wuh qurbānī le jā jis kā taqāzā Mūsā kī sharīat un se kartī hai jinheṅ koṛh se shifā milī hai. Yoṅ alāniyā tasdīq ho jāegī ki tū wāqaī pāk-sāf ho gayā hai.” 5 Jab Īsā Kafarnahūm meṅ dāḳhil huā to sau faujiyoṅ par muqarrar ek afsar us ke pās ā kar us kī minnat karne lagā, 6 “Ḳhudāwand, merā ġhulām maflūj hālat meṅ ghar meṅ paṛā hai, aur use shadīd dard ho rahā hai.” 7 Īsā ne us se kahā, “Maiṅ ā kar use shifā dūṅgā.” 8 Afsar ne jawāb diyā, “Nahīṅ Ḳhudāwand, maiṅ is lāyq nahīṅ ki āp mere ghar jāeṅ. Bas yihīṅ se hukm kareṅ to merā ġhulām shifā pā jāegā. 9 Kyoṅki mujhe ḳhud ālā afsaroṅ ke hukm par chalnā paṛtā hai aur mere mātaht bhī faujī haiṅ. Ek ko kahtā hūṅ, ‘Jā!’ To wuh jātā hai aur dūsre ko ‘Ā!’ To wuh ātā hai. Isī tarah maiṅ apne naukar ko hukm detā hūṅ, ‘Yih kar’ to wuh kartā hai.” 10 Yih sun kar Īsā nihāyat hairān huā. Us ne muṛ kar apne pīchhe āne wāloṅ se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, maiṅ ne Isrāīl meṅ bhī is qism kā īmān nahīṅ pāyā. 11 Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, bahut-se log mashriq aur maġhrib se ā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb ke sāth āsmān kī bādshāhī kī ziyāfat meṅ sharīk hoṅge. 12 Lekin bādshāhī ke asal wārisoṅ ko nikāl kar andhere meṅ ḍāl diyā jāegā, us jagah jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.” 13 Phir Īsā afsar se muḳhātib huā, “Jā, tere sāth waisā hī ho jaisā terā īmān hai.”Aur afsar ke ġhulām ko usī ghaṛī shifā mil gaī. 14 Īsā Patras ke ghar meṅ āyā. Wahāṅ us ne Patras kī sās ko bistar par paṛe dekhā. Use buḳhār thā. 15 Us ne us kā hāth chhū liyā to buḳhār utar gayā aur wuh uṭh kar us kī ḳhidmat karne lagī. 16 Shām huī to badrūhoṅ kī girift meṅ paṛe bahut-se logoṅ ko Īsā ke pās lāyā gayā. Us ne badrūhoṅ ko hukm de kar nikāl diyā aur tamām marīzoṅ ko shifā dī. 17 Yoṅ Yasāyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī huī ki “Us ne hamārī kamzoriyāṅ le līṅ aur hamārī bīmāriyāṅ uṭhā līṅ.” 18 Jab Īsā ne apne gird baṛā hujūm dekhā to us ne shāgirdoṅ ko jhīl pār karne kā hukm diyā. 19 Rawānā hone se pahle sharīat kā ek ālim us ke pās ā kar kahne lagā, “Ustād, jahāṅ bhī āp jāeṅge maiṅ āp ke pīchhe chaltā rahūṅgā.” 20 Īsā ne jawāb diyā, “Lomṛiyāṅ apne bhaṭoṅ meṅ aur parinde apne ghoṅsloṅ meṅ ārām kar sakte haiṅ, lekin Ibn-e-Ādam ke pās sar rakh kar ārām karne kī koī jagah nahīṅ.” 21 Kisī aur shāgird ne us se kahā, “Ḳhudāwand, mujhe pahle jā kar apne bāp ko dafn karne kī ijāzat deṅ.” 22 Lekin Īsā ne use batāyā, “Mere pīchhe ho le aur murdoṅ ko apne murde dafn karne de.” 23 Phir wuh kashtī par sawār huā aur us ke pīchhe us ke shāgird bhī. 24 Achānak jhīl par saḳht āṅdhī chalne lagī aur kashtī lahroṅ meṅ ḍūbne lagī. Lekin Īsā so rahā thā. 25 Shāgird us ke pās gae aur use jagā kar kahne lage, “Ḳhudāwand, hameṅ bachā, ham tabāh ho rahe haiṅ!” 26 Us ne jawāb diyā, “Ai kam-etaqādo! Ghabrāte kyoṅ ho?” Khaṛe ho kar us ne āṅdhī aur maujoṅ ko ḍānṭā to lahreṅ bilkul sākit ho gaīṅ. 27 Shāgird hairān ho kar kahne lage, “Yih kis qism kā shaḳhs hai? Hawā aur jhīl bhī us kā hukm māntī haiṅ.” 28 Wuh jhīl ke pār Gadarīniyoṅ ke ilāqe meṅ pahuṅche to badrūh-giriftā do ādmī qabroṅ meṅ se nikal kar Īsā ko mile. Wuh itne ḳhatarnāk the ki wahāṅ se koī guzar nahīṅ saktā thā. 29 Chīḳheṅ mār mār kar unhoṅ ne kahā, “Allāh ke Farzand, hamārā āp ke sāth kyā wāstā? Kyā āp hameṅ muqarrarā waqt se pahle azāb meṅ ḍālne āe haiṅ?” 30 Kuchh fāsile par suaroṅ kā baṛā ġhol char rahā thā. 31 Badrūhoṅ ne Īsā se iltijā kī, “Agar āp hameṅ nikālte haiṅ to suaroṅ ke us ġhol meṅ bhej deṅ.” 32 Īsā ne unheṅ hukm diyā, “Jāo.” Badrūheṅ nikal kar suaroṅ meṅ jā ghusīṅ. Is par pūre kā pūrā ġhol bhāg bhāg kar pahāṛī kī ḍhalān par se utrā aur jhīl meṅ jhapaṭ kar ḍūb marā. 33 Yih dekh kar suaroṅ ke gallābān bhāg gae. Shahr meṅ jā kar unhoṅ ne logoṅ ko sab kuchh sunāyā aur wuh bhī jo badrūh-giriftā ādmiyoṅ ke sāth huā thā. 34 Phir pūrā shahr nikal kar Īsā ko milne āyā. Use dekh kar unhoṅ ne us kī minnat kī ki hamāre ilāqe se chale jāeṅ.

In Other Versions

Matthew 8 in the ANGEFD

Matthew 8 in the ANTPNG2D

Matthew 8 in the AS21

Matthew 8 in the BAGH

Matthew 8 in the BBPNG

Matthew 8 in the BBT1E

Matthew 8 in the BDS

Matthew 8 in the BEV

Matthew 8 in the BHAD

Matthew 8 in the BIB

Matthew 8 in the BLPT

Matthew 8 in the BNT

Matthew 8 in the BNTABOOT

Matthew 8 in the BNTLV

Matthew 8 in the BOATCB

Matthew 8 in the BOATCB2

Matthew 8 in the BOBCV

Matthew 8 in the BOCNT

Matthew 8 in the BOECS

Matthew 8 in the BOGWICC

Matthew 8 in the BOHCB

Matthew 8 in the BOHCV

Matthew 8 in the BOHLNT

Matthew 8 in the BOHNTLTAL

Matthew 8 in the BOICB

Matthew 8 in the BOILNTAP

Matthew 8 in the BOITCV

Matthew 8 in the BOKCV

Matthew 8 in the BOKCV2

Matthew 8 in the BOKHWOG

Matthew 8 in the BOKSSV

Matthew 8 in the BOLCB

Matthew 8 in the BOLCB2

Matthew 8 in the BOMCV

Matthew 8 in the BONAV

Matthew 8 in the BONCB

Matthew 8 in the BONLT

Matthew 8 in the BONUT2

Matthew 8 in the BOPLNT

Matthew 8 in the BOSCB

Matthew 8 in the BOSNC

Matthew 8 in the BOTLNT

Matthew 8 in the BOVCB

Matthew 8 in the BOYCB

Matthew 8 in the BPBB

Matthew 8 in the BPH

Matthew 8 in the BSB

Matthew 8 in the CCB

Matthew 8 in the CUV

Matthew 8 in the CUVS

Matthew 8 in the DBT

Matthew 8 in the DGDNT

Matthew 8 in the DHNT

Matthew 8 in the DNT

Matthew 8 in the ELBE

Matthew 8 in the EMTV

Matthew 8 in the ESV

Matthew 8 in the FBV

Matthew 8 in the FEB

Matthew 8 in the GGMNT

Matthew 8 in the GNT

Matthew 8 in the HARY

Matthew 8 in the HNT

Matthew 8 in the IRVA

Matthew 8 in the IRVB

Matthew 8 in the IRVG

Matthew 8 in the IRVH

Matthew 8 in the IRVK

Matthew 8 in the IRVM

Matthew 8 in the IRVM2

Matthew 8 in the IRVO

Matthew 8 in the IRVP

Matthew 8 in the IRVT

Matthew 8 in the IRVT2

Matthew 8 in the IRVU

Matthew 8 in the ISVN

Matthew 8 in the JSNT

Matthew 8 in the KAPI

Matthew 8 in the KBT1ETNIK

Matthew 8 in the KBV

Matthew 8 in the KJV

Matthew 8 in the KNFD

Matthew 8 in the LBA

Matthew 8 in the LBLA

Matthew 8 in the LNT

Matthew 8 in the LSV

Matthew 8 in the MAAL

Matthew 8 in the MBV

Matthew 8 in the MBV2

Matthew 8 in the MHNT

Matthew 8 in the MKNFD

Matthew 8 in the MNG

Matthew 8 in the MNT

Matthew 8 in the MNT2

Matthew 8 in the MRS1T

Matthew 8 in the NAA

Matthew 8 in the NASB

Matthew 8 in the NBLA

Matthew 8 in the NBS

Matthew 8 in the NBVTP

Matthew 8 in the NET2

Matthew 8 in the NIV11

Matthew 8 in the NNT

Matthew 8 in the NNT2

Matthew 8 in the NNT3

Matthew 8 in the PDDPT

Matthew 8 in the PFNT

Matthew 8 in the RMNT

Matthew 8 in the SBIAS

Matthew 8 in the SBIBS

Matthew 8 in the SBIBS2

Matthew 8 in the SBICS

Matthew 8 in the SBIDS

Matthew 8 in the SBIGS

Matthew 8 in the SBIHS

Matthew 8 in the SBIIS

Matthew 8 in the SBIIS2

Matthew 8 in the SBIIS3

Matthew 8 in the SBIKS

Matthew 8 in the SBIKS2

Matthew 8 in the SBIMS

Matthew 8 in the SBIOS

Matthew 8 in the SBIPS

Matthew 8 in the SBISS

Matthew 8 in the SBITS

Matthew 8 in the SBITS2

Matthew 8 in the SBITS3

Matthew 8 in the SBITS4

Matthew 8 in the SBIUS

Matthew 8 in the SBIVS

Matthew 8 in the SBT

Matthew 8 in the SBT1E

Matthew 8 in the SCHL

Matthew 8 in the SNT

Matthew 8 in the SUSU

Matthew 8 in the SUSU2

Matthew 8 in the SYNO

Matthew 8 in the TBIAOTANT

Matthew 8 in the TBT1E

Matthew 8 in the TBT1E2

Matthew 8 in the TFTIP

Matthew 8 in the TFTU

Matthew 8 in the TGNTATF3T

Matthew 8 in the THAI

Matthew 8 in the TNFD

Matthew 8 in the TNT

Matthew 8 in the TNTIK

Matthew 8 in the TNTIL

Matthew 8 in the TNTIN

Matthew 8 in the TNTIP

Matthew 8 in the TNTIZ

Matthew 8 in the TOMA

Matthew 8 in the TTENT

Matthew 8 in the UBG

Matthew 8 in the UGV

Matthew 8 in the UGV2

Matthew 8 in the VBL

Matthew 8 in the VDCC

Matthew 8 in the YALU

Matthew 8 in the YAPE

Matthew 8 in the YBVTP

Matthew 8 in the ZBP