Numbers 15 (UGV3)

1 Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā 3 3-4 to jalne wālī qurbāniyāṅ yoṅ pesh karnā:Agar tum apne gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ meṅ se aisī qurbānī pesh karnā chāho jis kī ḳhushbū Rab ko pasand ho to sāth sāth ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karo jo ek liṭar zaitūn ke tel ke sāth milāyā gayā ho. Is meṅ koī farq nahīṅ ki yih bhasm hone wālī qurbānī, mannat kī qurbānī, dilī ḳhushī kī qurbānī yā kisī īd kī qurbānī ho. 5 Har bheṛ ko pesh karte waqt ek liṭar mai bhī mai kī nazar ke taur par pesh karnā. 6 Jab menḍhā qurbān kiyā jāe to 3 kilogrām behtarīn maidā bhī sāth pesh karnā jo sawā liṭar tel ke sāth milāyā gayā ho. 7 Sawā liṭar mai bhī mai kī nazar ke taur par pesh kī jāe. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand āegī. 8 Agar tū Rab ko bhasm hone wālī qurbānī, mannat kī qurbānī yā salāmatī kī qurbānī ke taur par jawān bail pesh karnā chāhe 9 to us ke sāth sāṛhe 4 kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karnā jo do liṭar tel ke sāth milāyā gayā ho. 10 Do liṭar mai bhī mai kī nazar ke taur par pesh kī jāe. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai. 11 Lāzim hai ki jab bhī kisī gāy, bail, bheṛ, menḍhe, bakrī yā bakre ko chaṛhāyā jāe to aisā hī kiyā jāe. 12 Agar ek se zāyd jānwaroṅ ko qurbān karnā hai to har ek ke lie muqarrarā ġhallā aur mai kī nazareṅ bhī sāth hī pesh kī jāeṅ. 13 Lāzim hai ki har desī Isrāīlī jalne wālī qurbāniyāṅ pesh karte waqt aisā hī kare. Phir un kī ḳhushbū Rab ko pasand āegī. 14 Yih bhī lāzim hai ki Isrāīl meṅ ārizī yā mustaqil taur par rahne wāle pardesī in usūloṅ ke mutābiq apnī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ. Phir un kī ḳhushbū Rab ko pasand āegī. 15 Mulk-e-Kanān meṅ rahne wāle tamām logoṅ ke lie pābandiyāṅ ek jaisī haiṅ, ḳhāh wuh desī hoṅ yā pardesī, kyoṅki Rab kī nazar meṅ pardesī tumhāre barābar hai. Yih tumhāre aur tumhārī aulād ke lie dāymī usūl hai. 16 Tumhāre aur tumhāre sāth rahne wāle pardesī ke lie ek hī sharīat hai.” 17 Rab ne Mūsā se kahā, 18 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jis meṅ maiṅ tumheṅ le jā rahā hūṅ 19 aur wahāṅ kī paidāwār khāoge to pahle us kā ek hissā uṭhāne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh karnā. 20 Fasal ke pahle ḳhālis āṭe meṅ se mere lie ek roṭī banā kar uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh karo. Wuh gāhne kī jagah kī taraf se Rab ke lie uṭhāne wālī qurbānī hogī. 21 Apnī fasal ke pahle ḳhālis āṭe meṅ se yih qurbānī pesh kiyā karo. Yih usūl hameshā tak lāgū rahe. 22 Ho saktā hai ki ġhairirādī taur par tum se ġhaltī huī hai aur tum ne un ahkām par pūre taur par amal nahīṅ kiyā jo Rab Mūsā ko de chukā hai 23 yā jo wuh āne wālī nasloṅ ko degā. 24 Agar jamāt is bāt se nāwāqif thī aur ġhairirādī taur par us se ġhaltī huī to phir pūrī jamāt ek jawān bail bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kare. Sāth hī wuh muqarrarā ġhallā aur mai kī nazareṅ bhī pesh kare. Is kī ḳhushbū Rab ko pasand hogī. Is ke alāwā jamāt gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā pesh kare. 25 Imām Isrāīl kī pūrī jamāt kā kaffārā de to unheṅ muāfī milegī, kyoṅki un kā gunāh ġhairirādī thā aur unhoṅ ne Rab ko bhasm hone wālī qurbānī aur gunāh kī qurbānī pesh kī hai. 26 Isrāīliyoṅ kī pūrī jamāt ko pardesiyoṅ samet muāfī milegī, kyoṅki gunāh ġhairirādī thā. 27 Agar sirf ek shaḳhs se ġhairirādī taur par gunāh huā ho to gunāh kī qurbānī ke lie wuh ek yaksālā bakrī pesh kare. 28 Imām Rab ke sāmne us shaḳhs kā kaffārā de. Jab kaffārā de diyā gayā to use muāfī hāsil hogī. 29 Yihī usūl pardesī par bhī lāgū hai. Agar us se ġhairirādī taur par gunāh huā ho to wuh muāfī hāsil karne ke lie wuhī kuchh kare jo Isrāīlī ko karnā hotā hai. 30 Lekin agar koī desī yā pardesī jān-būjh kar gunāh kartā hai to aisā shaḳhs Rab kī ihānat kartā hai, is lie lāzim hai ki use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe. 31 Us ne Rab kā kalām haqīr jān kar us ke ahkām toṛ ḍāle haiṅ, is lie use zarūr qaum meṅ se miṭāyā jāe. Wuh apne gunāh kā zimmedār hai.” 32 Jab Isrāīlī registān meṅ se guzar rahe the to ek ādmī ko pakaṛā gayā jo hafte ke din lakaṛiyāṅ jamā kar rahā thā. 33 Jinhoṅ ne use pakaṛā thā wuh use Mūsā, Hārūn aur pūrī jamāt ke pās le āe. 34 Chūṅki sāf mālūm nahīṅ thā ki us ke sāth kyā kiyā jāe is lie unhoṅ ne use giriftār kar liyā. 35 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Is ādmī ko zarūr sazā-e-maut dī jāe. Pūrī jamāt use ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar sangsār kare.” 36 Chunāṅche jamāt ne use ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar sangsār kiyā, jis tarah Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā. 37 Rab ne Mūsā se kahā, 38 “Isrāīliyoṅ ko batānā ki tum aur tumhāre bād kī nasleṅ apne libās ke kināroṅ par phundne lagāeṅ. Har phundnā ek qirmizī ḍorī se libās ke sāth lagā ho. 39 In phundnoṅ ko dekh kar tumheṅ Rab ke tamām ahkām yād raheṅge aur tum un par amal karoge. Phir tum apne diloṅ aur āṅkhoṅ kī ġhalat ḳhāhishoṅ ke pīchhe nahīṅ paṛoge balki zinākārī se dūr rahoge. 40 Phir tum mere ahkām ko yād karke un par amal karoge aur apne Ḳhudā ke sāmne maḳhsūs-o-muqaddas rahoge. 41 Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ jo tumheṅ Misr se nikāl lāyā tāki tumhārā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”

In Other Versions

Numbers 15 in the ANGEFD

Numbers 15 in the ANTPNG2D

Numbers 15 in the AS21

Numbers 15 in the BAGH

Numbers 15 in the BBPNG

Numbers 15 in the BBT1E

Numbers 15 in the BDS

Numbers 15 in the BEV

Numbers 15 in the BHAD

Numbers 15 in the BIB

Numbers 15 in the BLPT

Numbers 15 in the BNT

Numbers 15 in the BNTABOOT

Numbers 15 in the BNTLV

Numbers 15 in the BOATCB

Numbers 15 in the BOATCB2

Numbers 15 in the BOBCV

Numbers 15 in the BOCNT

Numbers 15 in the BOECS

Numbers 15 in the BOGWICC

Numbers 15 in the BOHCB

Numbers 15 in the BOHCV

Numbers 15 in the BOHLNT

Numbers 15 in the BOHNTLTAL

Numbers 15 in the BOICB

Numbers 15 in the BOILNTAP

Numbers 15 in the BOITCV

Numbers 15 in the BOKCV

Numbers 15 in the BOKCV2

Numbers 15 in the BOKHWOG

Numbers 15 in the BOKSSV

Numbers 15 in the BOLCB

Numbers 15 in the BOLCB2

Numbers 15 in the BOMCV

Numbers 15 in the BONAV

Numbers 15 in the BONCB

Numbers 15 in the BONLT

Numbers 15 in the BONUT2

Numbers 15 in the BOPLNT

Numbers 15 in the BOSCB

Numbers 15 in the BOSNC

Numbers 15 in the BOTLNT

Numbers 15 in the BOVCB

Numbers 15 in the BOYCB

Numbers 15 in the BPBB

Numbers 15 in the BPH

Numbers 15 in the BSB

Numbers 15 in the CCB

Numbers 15 in the CUV

Numbers 15 in the CUVS

Numbers 15 in the DBT

Numbers 15 in the DGDNT

Numbers 15 in the DHNT

Numbers 15 in the DNT

Numbers 15 in the ELBE

Numbers 15 in the EMTV

Numbers 15 in the ESV

Numbers 15 in the FBV

Numbers 15 in the FEB

Numbers 15 in the GGMNT

Numbers 15 in the GNT

Numbers 15 in the HARY

Numbers 15 in the HNT

Numbers 15 in the IRVA

Numbers 15 in the IRVB

Numbers 15 in the IRVG

Numbers 15 in the IRVH

Numbers 15 in the IRVK

Numbers 15 in the IRVM

Numbers 15 in the IRVM2

Numbers 15 in the IRVO

Numbers 15 in the IRVP

Numbers 15 in the IRVT

Numbers 15 in the IRVT2

Numbers 15 in the IRVU

Numbers 15 in the ISVN

Numbers 15 in the JSNT

Numbers 15 in the KAPI

Numbers 15 in the KBT1ETNIK

Numbers 15 in the KBV

Numbers 15 in the KJV

Numbers 15 in the KNFD

Numbers 15 in the LBA

Numbers 15 in the LBLA

Numbers 15 in the LNT

Numbers 15 in the LSV

Numbers 15 in the MAAL

Numbers 15 in the MBV

Numbers 15 in the MBV2

Numbers 15 in the MHNT

Numbers 15 in the MKNFD

Numbers 15 in the MNG

Numbers 15 in the MNT

Numbers 15 in the MNT2

Numbers 15 in the MRS1T

Numbers 15 in the NAA

Numbers 15 in the NASB

Numbers 15 in the NBLA

Numbers 15 in the NBS

Numbers 15 in the NBVTP

Numbers 15 in the NET2

Numbers 15 in the NIV11

Numbers 15 in the NNT

Numbers 15 in the NNT2

Numbers 15 in the NNT3

Numbers 15 in the PDDPT

Numbers 15 in the PFNT

Numbers 15 in the RMNT

Numbers 15 in the SBIAS

Numbers 15 in the SBIBS

Numbers 15 in the SBIBS2

Numbers 15 in the SBICS

Numbers 15 in the SBIDS

Numbers 15 in the SBIGS

Numbers 15 in the SBIHS

Numbers 15 in the SBIIS

Numbers 15 in the SBIIS2

Numbers 15 in the SBIIS3

Numbers 15 in the SBIKS

Numbers 15 in the SBIKS2

Numbers 15 in the SBIMS

Numbers 15 in the SBIOS

Numbers 15 in the SBIPS

Numbers 15 in the SBISS

Numbers 15 in the SBITS

Numbers 15 in the SBITS2

Numbers 15 in the SBITS3

Numbers 15 in the SBITS4

Numbers 15 in the SBIUS

Numbers 15 in the SBIVS

Numbers 15 in the SBT

Numbers 15 in the SBT1E

Numbers 15 in the SCHL

Numbers 15 in the SNT

Numbers 15 in the SUSU

Numbers 15 in the SUSU2

Numbers 15 in the SYNO

Numbers 15 in the TBIAOTANT

Numbers 15 in the TBT1E

Numbers 15 in the TBT1E2

Numbers 15 in the TFTIP

Numbers 15 in the TFTU

Numbers 15 in the TGNTATF3T

Numbers 15 in the THAI

Numbers 15 in the TNFD

Numbers 15 in the TNT

Numbers 15 in the TNTIK

Numbers 15 in the TNTIL

Numbers 15 in the TNTIN

Numbers 15 in the TNTIP

Numbers 15 in the TNTIZ

Numbers 15 in the TOMA

Numbers 15 in the TTENT

Numbers 15 in the UBG

Numbers 15 in the UGV

Numbers 15 in the UGV2

Numbers 15 in the VBL

Numbers 15 in the VDCC

Numbers 15 in the YALU

Numbers 15 in the YAPE

Numbers 15 in the YBVTP

Numbers 15 in the ZBP