Numbers 32 (UGV3)

1 Rūbin aur Jad ke qabīloṅ ke pās bahut-se maweshī the. Jab unhoṅ ne dekhā ki Yāzer aur Jiliyād kā ilāqā maweshī pālne ke lie achchhā hai 2 to unhoṅ ne Mūsā, Iliyazar Imām aur jamāt ke rāhnumāoṅ ke pās ā kar kahā, 3 3-4 “Jis ilāqe ko Rab ne Isrāīl kī jamāt ke āge āge shikast dī hai wuh maweshī pālne ke lie achchhā hai. Atārāt, Dībon, Yāzer, Nimrā, Hasbon, Iliyālī, Sabām, Nabū aur Baūn jo is meṅ shāmil haiṅ hamāre kām āeṅge, kyoṅki āp ke ḳhādimoṅ ke pās maweshī haiṅ. 5 Agar āp kī nazar-e-karm ham par ho to hameṅ yih ilāqā diyā jāe. Yih hamārī milkiyat ban jāe aur hameṅ Dariyā-e-Yardan ko pār karne par majbūr na kiyā jāe.” 6 Mūsā ne Jad aur Rūbin ke afrād se kahā, “Kyā tum yahāṅ pīchhe rah kar apne bhāiyoṅ ko chhoṛnā chāhte ho jab wuh jang laṛne ke lie āge nikleṅge? 7 Us waqt jab Isrāīlī Dariyā-e-Yardan ko pār karke us mulk meṅ dāḳhil hone wāle haiṅ jo Rab ne unheṅ diyā hai to tum kyoṅ un kī hauslāshiknī kar rahe ho? 8 Tumhāre bāpdādā ne bhī yihī kuchh kiyā jab maiṅ ne unheṅ Qādis-barnīa se mulk ke bāre meṅ mālūmāt hāsil karne ke lie bhejā. 9 Iskāl kī Wādī meṅ pahuṅch kar mulk kī taftīsh karne ke bād unhoṅ ne Isrāīliyoṅ kī hauslāshiknī kī tāki wuh us mulk meṅ dāḳhil na hoṅ jo Rab ne unheṅ diyā thā. 10 Us din Rab ne ġhusse meṅ ā kar qasam khāī, 11 ‘Un ādmiyoṅ meṅ se jo Misr se nikal āe haiṅ koī us mulk ko nahīṅ dekhegā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā thā. Kyoṅki unhoṅ ne pūrī wafādārī se merī pairawī na kī. Sirf wuh jin kī umr us waqt 20 sāl se kam hai dāḳhil hoṅge. 12 Buzurgoṅ meṅ se sirf Kālib bin Yafunnā Qanizzī aur Yashua bin Nūn mulk meṅ dāḳhil hoṅge, is lie ki unhoṅ ne pūrī wafādārī se merī pairawī kī.’ 13 Us waqt Rab kā ġhazab un par ān paṛā, aur unheṅ 40 sāl tak registān meṅ māre māre phirnā paṛā, jab tak ki wuh tamām nasl ḳhatm na ho gaī jis ne us ke nazdīk ġhalat kām kiyā thā. 14 Ab tum gunāhgāroṅ kī aulād apne bāpdādā kī jagah khaṛe ho kar Rab kā Isrāīl par ġhussā mazīd baṛhā rahe ho. 15 Agar tum us kī pairawī se haṭoge to wuh dubārā in logoṅ ko registān meṅ rahne degā, aur tum in kī halākat kā bāis banoge.” 16 Is ke bād Rūbin aur Jad ke afrād dubārā Mūsā ke pās āe aur kahā, “Ham yahāṅ filhāl apne maweshī ke lie bāṛe aur apne bāl-bachchoṅ ke lie shahr banānā chāhte haiṅ. 17 Is ke bād ham musallah ho kar Isrāīliyoṅ ke āge āge chaleṅge aur har ek ko us kī apnī jagah tak pahuṅchāeṅge. Itne meṅ hamāre bāl-bachche hamāre shahroṅ kī fasīloṅ ke andar mulk ke muḳhālif bāshindoṅ se mahfūz raheṅge. 18 Ham us waqt tak apne gharoṅ ko nahīṅ lauṭeṅge jab tak har Isrāīlī ko us kī maurūsī zamīn na mil jāe. 19 Dūsre, ham ḳhud un ke sāth Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ mīrās meṅ kuchh nahīṅ pāeṅge, kyoṅki hameṅ apnī maurūsī zamīn Dariyā-e-Yardan ke mashriqī kināre par mil chukī hai.” 20 Yih sun kar Mūsā ne kahā, “Agar tum aisā hī karoge to ṭhīk hai. Phir Rab ke sāmne jang ke lie taiyār ho jāo 21 aur sab hathiyār bāndh kar Rab ke sāmne Dariyā-e-Yardan ko pār karo. Us waqt tak na lauṭo jab tak Rab ne apne tamām dushmanoṅ ko apne āge se nikāl na diyā ho. 22 Phir jab mulk par Rab kā qabzā ho gayā hogā to tum lauṭ sakoge. Tab tum ne Rab aur apne hamwatan bhāiyoṅ ke lie apne farāyz adā kar die hoṅge, aur yih ilāqā Rab ke sāmne tumhārā maurūsī haq hogā. 23 Lekin agar tum aisā na karo to phir tum Rab hī kā gunāh karoge. Yaqīn jāno tumheṅ apne gunāh kī sazā milegī. 24 Ab apne bāl-bachchoṅ ke lie shahr aur apne maweshiyoṅ ke lie bāṛe banā lo. Lekin apne wāde ko zarūr pūrā karnā.” 25 Jad aur Rūbin ke afrād ne Mūsā se kahā, “Ham āp ke ḳhādim haiṅ, ham apne āqā ke hukm ke mutābiq hī kareṅge. 26 Hamāre bāl-bachche aur maweshī yihīṅ Jiliyād ke shahroṅ meṅ raheṅge. 27 Lekin āp ke ḳhādim musallah ho kar dariyā ko pār kareṅge aur Rab ke sāmne jang kareṅge. Ham sab kuchh waisā hī kareṅge jaisā hamāre āqā ne hameṅ hukm diyā hai.” 28 Tab Mūsā ne Iliyazar Imām, Yashua bin Nūn aur qabāylī kunboṅ ke sarparastoṅ ko hidāyat dī, 29 “Lāzim hai ki Jad aur Rūbin ke mard musallah ho kar tumhāre sāth hī Rab ke sāmne Dariyā-e-Yardan ko pār kareṅ aur mulk par qabzā kareṅ. Agar wuh aisā kareṅ to unheṅ mīrās meṅ Jiliyād kā ilāqā do. 30 Lekin agar wuh aisā na kareṅ to phir unheṅ Mulk-e-Kanān hī meṅ tumhāre sāth maurūsī zamīn mile.” 31 Jad aur Rūbin ke afrād ne isrār kiyā, “Āp ke ḳhādim sab kuchh kareṅge jo Rab ne kahā hai. 32 Ham musallah ho kar Rab ke sāmne Dariyā-e-Yardan ko pār kareṅge aur Kanān ke mulk meṅ dāḳhil hoṅge, agarche hamārī maurūsī zamīn Yardan ke mashriqī kināre par hogī.” 33 Tab Mūsā ne Jad, Rūbin aur Manassī ke ādhe qabīle ko yih ilāqā diyā. Us meṅ wuh pūrā mulk shāmil thā jis par pahle Amoriyoṅ kā bādshāh Sīhon aur Basan kā bādshāh Oj hukūmat karte the. In shikastḳhurdā mamālik ke dehātoṅ samet tamām shahr un ke hawāle kie gae. 34 Jad ke qabīle ne Dībon, Atārāt, Aroīr, 35 Atarāt-shofān, Yāzer, Yugbahā, 36 Bait-nimrā aur Bait-hārān ke shahroṅ ko dubārā tāmīr kiyā. Unhoṅ ne un kī fasīleṅ banāīṅ aur apne maweshiyoṅ ke lie bāṛe bhī. 37 Rūbin ke qabīle ne Hasbon, Iliyālī, Qiriyatāym, 38 Nabū, Bāl-maūn aur Sibmāh dubārā tāmīr kie. Nabū aur Bāl-maūn ke nām badal gae. Kyoṅki unhoṅ ne un shahroṅ ko nae nām die jo unhoṅ ne dubārā tāmīr kie. 39 Manassī ke beṭe Makīr kī aulād ne Jiliyād jā kar us par qabzā kar liyā aur us ke tamām Amorī bāshindoṅ ko nikāl diyā. 40 Chunāṅche Mūsā ne makīriyoṅ ko Jiliyād kī sarzamīn de dī, aur wuh wahāṅ ābād hue. 41 Manassī ke ek ādmī banām Yāīr ne us ilāqe meṅ kuchh bastiyoṅ par qabzā karke unheṅ Hawwot-yāīr yānī ‘Yāīr kī Bastiyāṅ’ kā nām diyā. 42 Isī tarah us qabīle ke ek aur ādmī banām Nūbah ne jā kar Qanāt aur us ke dehātoṅ par qabzā kar liyā. Us ne shahr kā nām Nūbah rakhā.

In Other Versions

Numbers 32 in the ANGEFD

Numbers 32 in the ANTPNG2D

Numbers 32 in the AS21

Numbers 32 in the BAGH

Numbers 32 in the BBPNG

Numbers 32 in the BBT1E

Numbers 32 in the BDS

Numbers 32 in the BEV

Numbers 32 in the BHAD

Numbers 32 in the BIB

Numbers 32 in the BLPT

Numbers 32 in the BNT

Numbers 32 in the BNTABOOT

Numbers 32 in the BNTLV

Numbers 32 in the BOATCB

Numbers 32 in the BOATCB2

Numbers 32 in the BOBCV

Numbers 32 in the BOCNT

Numbers 32 in the BOECS

Numbers 32 in the BOGWICC

Numbers 32 in the BOHCB

Numbers 32 in the BOHCV

Numbers 32 in the BOHLNT

Numbers 32 in the BOHNTLTAL

Numbers 32 in the BOICB

Numbers 32 in the BOILNTAP

Numbers 32 in the BOITCV

Numbers 32 in the BOKCV

Numbers 32 in the BOKCV2

Numbers 32 in the BOKHWOG

Numbers 32 in the BOKSSV

Numbers 32 in the BOLCB

Numbers 32 in the BOLCB2

Numbers 32 in the BOMCV

Numbers 32 in the BONAV

Numbers 32 in the BONCB

Numbers 32 in the BONLT

Numbers 32 in the BONUT2

Numbers 32 in the BOPLNT

Numbers 32 in the BOSCB

Numbers 32 in the BOSNC

Numbers 32 in the BOTLNT

Numbers 32 in the BOVCB

Numbers 32 in the BOYCB

Numbers 32 in the BPBB

Numbers 32 in the BPH

Numbers 32 in the BSB

Numbers 32 in the CCB

Numbers 32 in the CUV

Numbers 32 in the CUVS

Numbers 32 in the DBT

Numbers 32 in the DGDNT

Numbers 32 in the DHNT

Numbers 32 in the DNT

Numbers 32 in the ELBE

Numbers 32 in the EMTV

Numbers 32 in the ESV

Numbers 32 in the FBV

Numbers 32 in the FEB

Numbers 32 in the GGMNT

Numbers 32 in the GNT

Numbers 32 in the HARY

Numbers 32 in the HNT

Numbers 32 in the IRVA

Numbers 32 in the IRVB

Numbers 32 in the IRVG

Numbers 32 in the IRVH

Numbers 32 in the IRVK

Numbers 32 in the IRVM

Numbers 32 in the IRVM2

Numbers 32 in the IRVO

Numbers 32 in the IRVP

Numbers 32 in the IRVT

Numbers 32 in the IRVT2

Numbers 32 in the IRVU

Numbers 32 in the ISVN

Numbers 32 in the JSNT

Numbers 32 in the KAPI

Numbers 32 in the KBT1ETNIK

Numbers 32 in the KBV

Numbers 32 in the KJV

Numbers 32 in the KNFD

Numbers 32 in the LBA

Numbers 32 in the LBLA

Numbers 32 in the LNT

Numbers 32 in the LSV

Numbers 32 in the MAAL

Numbers 32 in the MBV

Numbers 32 in the MBV2

Numbers 32 in the MHNT

Numbers 32 in the MKNFD

Numbers 32 in the MNG

Numbers 32 in the MNT

Numbers 32 in the MNT2

Numbers 32 in the MRS1T

Numbers 32 in the NAA

Numbers 32 in the NASB

Numbers 32 in the NBLA

Numbers 32 in the NBS

Numbers 32 in the NBVTP

Numbers 32 in the NET2

Numbers 32 in the NIV11

Numbers 32 in the NNT

Numbers 32 in the NNT2

Numbers 32 in the NNT3

Numbers 32 in the PDDPT

Numbers 32 in the PFNT

Numbers 32 in the RMNT

Numbers 32 in the SBIAS

Numbers 32 in the SBIBS

Numbers 32 in the SBIBS2

Numbers 32 in the SBICS

Numbers 32 in the SBIDS

Numbers 32 in the SBIGS

Numbers 32 in the SBIHS

Numbers 32 in the SBIIS

Numbers 32 in the SBIIS2

Numbers 32 in the SBIIS3

Numbers 32 in the SBIKS

Numbers 32 in the SBIKS2

Numbers 32 in the SBIMS

Numbers 32 in the SBIOS

Numbers 32 in the SBIPS

Numbers 32 in the SBISS

Numbers 32 in the SBITS

Numbers 32 in the SBITS2

Numbers 32 in the SBITS3

Numbers 32 in the SBITS4

Numbers 32 in the SBIUS

Numbers 32 in the SBIVS

Numbers 32 in the SBT

Numbers 32 in the SBT1E

Numbers 32 in the SCHL

Numbers 32 in the SNT

Numbers 32 in the SUSU

Numbers 32 in the SUSU2

Numbers 32 in the SYNO

Numbers 32 in the TBIAOTANT

Numbers 32 in the TBT1E

Numbers 32 in the TBT1E2

Numbers 32 in the TFTIP

Numbers 32 in the TFTU

Numbers 32 in the TGNTATF3T

Numbers 32 in the THAI

Numbers 32 in the TNFD

Numbers 32 in the TNT

Numbers 32 in the TNTIK

Numbers 32 in the TNTIL

Numbers 32 in the TNTIN

Numbers 32 in the TNTIP

Numbers 32 in the TNTIZ

Numbers 32 in the TOMA

Numbers 32 in the TTENT

Numbers 32 in the UBG

Numbers 32 in the UGV

Numbers 32 in the UGV2

Numbers 32 in the VBL

Numbers 32 in the VDCC

Numbers 32 in the YALU

Numbers 32 in the YAPE

Numbers 32 in the YBVTP

Numbers 32 in the ZBP