Numbers 5 (UGV3)

1 Rab ne Mūsā se kahā, 2 “Isrāīliyoṅ ko hukm de ki har us shaḳhs ko ḳhaimāgāh se bāhar kar do jis ko wabāī jildī bīmārī hai, jis ke zaḳhmoṅ se māe nikaltā rahtā hai yā jo kisī lāsh ko chhūne se nāpāk hai. 3 Ḳhāh mard ho yā aurat, sab ko ḳhaimāgāh ke bāhar bhej denā tāki wuh ḳhaimāgāh ko nāpāk na kareṅ jahāṅ maiṅ tumhāre darmiyān sukūnat kartā hūṅ.” 4 Isrāīliyoṅ ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ko kahā thā. Unhoṅ ne Rab ke hukm ke ain mutābiq is tarah ke tamām logoṅ ko ḳhaimāgāh se bāhar kar diyā. 5 Rab ne Mūsā se kahā, 6 “Isrāīliyoṅ ko hidāyat denā ki jo bhī kisī se ġhalat sulūk kare wuh mere sāth bewafāī kartā hai aur qusūrwār hai, ḳhāh mard ho yā aurat. 7 Lāzim hai ki wuh apnā gunāh taslīm kare aur us kā pūrā muāwazā de balki muta'assirā shaḳhs kā nuqsān pūrā karne ke alāwā 20 fīsad zyādā de. 8 Lekin agar wuh shaḳhs jis kā qusūr kiyā gayā thā mar chukā ho aur us kā koī wāris na ho jo yih muāwazā wasūl kar sake to phir use Rab ko denā hai. Imām ko yih muāwazā us menḍhe ke alāwā milegā jo qusūrwār apne kaffārā ke lie degā. 9 9-10 Nīz imām ko Isrāīliyoṅ kī qurbāniyoṅ meṅ se wuh kuchh milnā hai jo uṭhāne wālī qurbānī ke taur par use diyā jātā hai. Yih hissā sirf imāmoṅ ko hī milnā hai.” 11 Rab ne Mūsā se kahā, 12 “Isrāīliyoṅ ko batānā, ho saktā hai ki koī shādīshudā aurat bhaṭak kar apne shauhar se bewafā ho jāe aur 13 kisī aur se hambistar ho kar nāpāk ho jāe. Us ke shauhar ne use nahīṅ dekhā, kyoṅki yih poshīdagī meṅ huā hai aur na kisī ne use pakaṛā, na is kā koī gawāh hai. 14 Agar shauhar ko apnī bīwī kī wafādārī par shak ho aur wuh ġhairat khāne lage, lekin yaqīn se nahīṅ kah saktā ki merī bīwī qusūrwār hai ki nahīṅ 15 to wuh apnī bīwī ko imām ke pās le āe. Sāth sāth wuh apnī bīwī ke lie qurbānī ke taur par jau kā ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā le āe. Is par na tel unḍelā jāe, na baḳhūr ḍālā jāe, kyoṅki ġhallā kī yih nazar ġhairat kī nazar hai jis kā maqsad hai ki poshīdā qusūr zāhir ho jāe. 16 Imām aurat ko qarīb āne de aur Rab ke sāmne khaṛā kare. 17 Wuh miṭṭī kā bartan muqaddas pānī se bhar kar us meṅ maqdis ke farsh kī kuchh ḳhāk ḍāle. 18 Phir wuh aurat ko Rab ko pesh karke us ke bāl khulwāe aur us ke hāthoṅ par maide kī nazar rakhe. Imām ke apne hāth meṅ kaṛwe pānī kā wuh bartan ho jo lānat kā bāis hai. 19 Phir wuh aurat ko qasam khilā kar kahe, ‘Agar koī aur ādmī āp se hambistar nahīṅ huā hai aur āp nāpāk nahīṅ huī haiṅ to is kaṛwe pānī kī lānat kā āp par koī asar na ho. 20 Lekin agar āp bhaṭak kar apne shauhar se bewafā ho gaī haiṅ aur kisī aur se hambistar ho kar nāpāk ho gaī haiṅ 21 to Rab āp ko āp kī qaum ke sāmne lānatī banāe. Āp bāṅjh ho jāeṅ aur āp kā peṭ phūl jāe. 22 Jab lānat kā yih pānī āp ke peṭ meṅ utre to āp bāṅjh ho jāeṅ aur āp kā peṭ phūl jāe.’ Is par aurat kahe, ‘Āmīn, aisā hī ho.’ 23 Phir imām yih lānat likh kar kāġhaz ko bartan ke pānī meṅ yoṅ dho de ki us par likhī huī bāteṅ pānī meṅ ghul jāeṅ. 24 Bād meṅ wuh aurat ko yih pānī pilāe tāki wuh us ke jism meṅ jā kar use lānat pahuṅchāe. 25 Lekin pahle imām us ke hāthoṅ meṅ se ġhairat kī qurbānī le kar use ġhallā kī nazar ke taur par Rab ke sāmne hilāe aur phir qurbāngāh ke pās le āe. 26 Us par wuh muṭṭhī-bhar yādgārī kī qurbānī ke taur par jalāe. Is ke bād wuh aurat ko pānī pilāe. 27 Agar wuh apne shauhar se bewafā thī aur nāpāk ho gaī hai to wuh bāṅjh ho jāegī, us kā peṭ phūl jāegā aur wuh apnī qaum ke sāmne lānatī ṭhahregī. 28 Lekin agar wuh pāk-sāf hai to use sazā nahīṅ dī jāegī aur wuh bachche janm dene ke qābil rahegī. 29 29-30 Chunāṅche aisā hī karnā hai jab shauhar ġhairat khāe aur use apnī bīwī par zinā kā shak ho. Bīwī ko qurbāngāh ke sāmne khaṛā kiyā jāe aur imām yih sab kuchh kare. 31 Is sūrat meṅ shauhar bequsūr ṭhahregā, lekin agar us kī bīwī ne wāqaī zinā kiyā ho to use apne gunāh ke natīje bardāsht karne paṛeṅge.”

In Other Versions

Numbers 5 in the ANGEFD

Numbers 5 in the ANTPNG2D

Numbers 5 in the AS21

Numbers 5 in the BAGH

Numbers 5 in the BBPNG

Numbers 5 in the BBT1E

Numbers 5 in the BDS

Numbers 5 in the BEV

Numbers 5 in the BHAD

Numbers 5 in the BIB

Numbers 5 in the BLPT

Numbers 5 in the BNT

Numbers 5 in the BNTABOOT

Numbers 5 in the BNTLV

Numbers 5 in the BOATCB

Numbers 5 in the BOATCB2

Numbers 5 in the BOBCV

Numbers 5 in the BOCNT

Numbers 5 in the BOECS

Numbers 5 in the BOGWICC

Numbers 5 in the BOHCB

Numbers 5 in the BOHCV

Numbers 5 in the BOHLNT

Numbers 5 in the BOHNTLTAL

Numbers 5 in the BOICB

Numbers 5 in the BOILNTAP

Numbers 5 in the BOITCV

Numbers 5 in the BOKCV

Numbers 5 in the BOKCV2

Numbers 5 in the BOKHWOG

Numbers 5 in the BOKSSV

Numbers 5 in the BOLCB

Numbers 5 in the BOLCB2

Numbers 5 in the BOMCV

Numbers 5 in the BONAV

Numbers 5 in the BONCB

Numbers 5 in the BONLT

Numbers 5 in the BONUT2

Numbers 5 in the BOPLNT

Numbers 5 in the BOSCB

Numbers 5 in the BOSNC

Numbers 5 in the BOTLNT

Numbers 5 in the BOVCB

Numbers 5 in the BOYCB

Numbers 5 in the BPBB

Numbers 5 in the BPH

Numbers 5 in the BSB

Numbers 5 in the CCB

Numbers 5 in the CUV

Numbers 5 in the CUVS

Numbers 5 in the DBT

Numbers 5 in the DGDNT

Numbers 5 in the DHNT

Numbers 5 in the DNT

Numbers 5 in the ELBE

Numbers 5 in the EMTV

Numbers 5 in the ESV

Numbers 5 in the FBV

Numbers 5 in the FEB

Numbers 5 in the GGMNT

Numbers 5 in the GNT

Numbers 5 in the HARY

Numbers 5 in the HNT

Numbers 5 in the IRVA

Numbers 5 in the IRVB

Numbers 5 in the IRVG

Numbers 5 in the IRVH

Numbers 5 in the IRVK

Numbers 5 in the IRVM

Numbers 5 in the IRVM2

Numbers 5 in the IRVO

Numbers 5 in the IRVP

Numbers 5 in the IRVT

Numbers 5 in the IRVT2

Numbers 5 in the IRVU

Numbers 5 in the ISVN

Numbers 5 in the JSNT

Numbers 5 in the KAPI

Numbers 5 in the KBT1ETNIK

Numbers 5 in the KBV

Numbers 5 in the KJV

Numbers 5 in the KNFD

Numbers 5 in the LBA

Numbers 5 in the LBLA

Numbers 5 in the LNT

Numbers 5 in the LSV

Numbers 5 in the MAAL

Numbers 5 in the MBV

Numbers 5 in the MBV2

Numbers 5 in the MHNT

Numbers 5 in the MKNFD

Numbers 5 in the MNG

Numbers 5 in the MNT

Numbers 5 in the MNT2

Numbers 5 in the MRS1T

Numbers 5 in the NAA

Numbers 5 in the NASB

Numbers 5 in the NBLA

Numbers 5 in the NBS

Numbers 5 in the NBVTP

Numbers 5 in the NET2

Numbers 5 in the NIV11

Numbers 5 in the NNT

Numbers 5 in the NNT2

Numbers 5 in the NNT3

Numbers 5 in the PDDPT

Numbers 5 in the PFNT

Numbers 5 in the RMNT

Numbers 5 in the SBIAS

Numbers 5 in the SBIBS

Numbers 5 in the SBIBS2

Numbers 5 in the SBICS

Numbers 5 in the SBIDS

Numbers 5 in the SBIGS

Numbers 5 in the SBIHS

Numbers 5 in the SBIIS

Numbers 5 in the SBIIS2

Numbers 5 in the SBIIS3

Numbers 5 in the SBIKS

Numbers 5 in the SBIKS2

Numbers 5 in the SBIMS

Numbers 5 in the SBIOS

Numbers 5 in the SBIPS

Numbers 5 in the SBISS

Numbers 5 in the SBITS

Numbers 5 in the SBITS2

Numbers 5 in the SBITS3

Numbers 5 in the SBITS4

Numbers 5 in the SBIUS

Numbers 5 in the SBIVS

Numbers 5 in the SBT

Numbers 5 in the SBT1E

Numbers 5 in the SCHL

Numbers 5 in the SNT

Numbers 5 in the SUSU

Numbers 5 in the SUSU2

Numbers 5 in the SYNO

Numbers 5 in the TBIAOTANT

Numbers 5 in the TBT1E

Numbers 5 in the TBT1E2

Numbers 5 in the TFTIP

Numbers 5 in the TFTU

Numbers 5 in the TGNTATF3T

Numbers 5 in the THAI

Numbers 5 in the TNFD

Numbers 5 in the TNT

Numbers 5 in the TNTIK

Numbers 5 in the TNTIL

Numbers 5 in the TNTIN

Numbers 5 in the TNTIP

Numbers 5 in the TNTIZ

Numbers 5 in the TOMA

Numbers 5 in the TTENT

Numbers 5 in the UBG

Numbers 5 in the UGV

Numbers 5 in the UGV2

Numbers 5 in the VBL

Numbers 5 in the VDCC

Numbers 5 in the YALU

Numbers 5 in the YAPE

Numbers 5 in the YBVTP

Numbers 5 in the ZBP