Proverbs 25 (UGV3)
1 Zail meṅ Sulemān kī mazīd kahāwateṅ darj haiṅ jinheṅ Yahūdāh ke bādshāh Hizqiyāh ke logoṅ ne jamā kiyā. 2 Allāh kā jalāl is meṅ zāhir hotā hai ki wuh muāmalā poshīdā rakhtā hai, bādshāh kā jalāl is meṅ ki wuh muāmale kī tahqīq kartā hai. 3 Jitnā āsmān buland aur zamīn gahrī hai utnā hī bādshāhoṅ ke dil kā khoj nahīṅ lagāyā jā saktā. 4 Chāṅdī se mail dūr karo to sunār bartan banāne meṅ kāmyāb ho jāegā, 5 bedīn ko bādshāh ke huzūr se dūr karo to us kā taḳht rāstī kī buniyād par qāym rahegā. 6 Bādshāh ke huzūr apne āp par faḳhr na kar, na izzat kī us jagah par khaṛā ho jā jo buzurgoṅ ke lie maḳhsūs hai. 7 Is se pahle ki shurafā ke sāmne hī terī be'izzatī ho jāe behtar hai ki tū pīchhe khaṛā ho jā aur bād meṅ koī tujh se kahe, “Yahāṅ sāmne ā jāeṅ.”Jo kuchh terī āṅkhoṅ ne dekhā use adālat meṅ pesh karne meṅ 8 jaldbāzī na kar, kyoṅki tū kyā karegā agar terā paṛosī tere muāmale ko jhuṭlā kar tujhe sharmindā kare? 9 Adālat meṅ apne paṛosī se laṛte waqt wuh bāt bayān na kar jo kisī ne poshīdagī meṅ tere sapurd kī, 10 aisā na ho ki sunane wālā terī be'izzatī kare. Tab terī badnāmī kabhī nahīṅ miṭegī. 11 Waqt par mauzūṅ bāt chāṅdī ke bartan meṅ sone ke seb kī mānind hai. 12 Dānishmand kī nasīhat qabūl karne wāle ke lie sone kī bālī aur ḳhālis sone ke gulūband kī mānind hai. 13 Qābil-e-etamād qāsid bhejne wāle ke lie fasal kāṭte waqt barf kī ṭhanḍak jaisā hai, is tarah wuh apne mālik kī jān ko tar-o-tāzā kar detā hai. 14 Jo sheḳhī mār kar tohfoṅ kā wādā kare lekin kuchh na de wuh un tūfānī bādaloṅ kī mānind hai jo barse baġhair guzar jāte haiṅ. 15 Hukmrān ko tahammul se qāyl kiyā jā saktā, aur narm zabān haḍḍiyāṅ toṛne ke qābil hai. 16 Agar shahd mil jāe to zarūrat se zyādā mat khā, had se zyādā khāne se tujhe qai āegī. 17 Apne paṛosī ke ghar meṅ bār bār jāne se apne qadmoṅ ko rok, warnā wuh tang ā kar tujh se nafrat karne lagegā. 18 Jo apne paṛosī ke ḳhilāf jhūṭī gawāhī de wuh hathauṛe, talwār aur tez tīr jaisā nuqsāndeh hai. 19 Musībat ke waqt bewafā par etibār karnā ḳharāb dāṅt yā ḍagmagāte pāṅwoṅ kī tarah taklīfdeh hai. 20 Dukhte dil ke lie gīt gānā utnā hī ġhairmauzūṅ hai jitnā sardiyoṅ ke mausam meṅ qamīs utārnā yā soḍe par sirkā ḍālnā. 21 Agar terā dushman bhūkā ho to use khānā khilā, agar pyāsā ho to pānī pilā. 22 Kyoṅki aisā karne se tū us ke sar par jalte hue koeloṅ kā ḍher lagāegā, aur Rab tujhe ajr degā. 23 Jis tarah kāle bādal lāne wālī hawā bārish paidā kartī hai usī tarah bātūnī kī chupke se kī gaī bātoṅ se logoṅ ke muṅh bigaṛ jāte haiṅ. 24 Jhagaṛālū bīwī ke sāth ek hī ghar meṅ rahne kī nisbat chhat ke kisī kone meṅ guzārā karnā behtar hai. 25 Dūr-darāz mulk kī ḳhushḳhabrī pyāse gale meṅ ṭhanḍā pānī hai. 26 Jo rāstbāz bedīn ke sāmne ḍagmagāne lage, wuh gadlā chashmā aur ālūdā kuāṅ hai. 27 Zyādā shahd khānā achchhā nahīṅ, aur na hī zyādā apnī izzat kī fikr karnā. 28 Jo apne āp par qābū na pā sake wuh us shahr kī mānind hai jis kī fasīl ḍhā dī gaī hai.
In Other Versions
Proverbs 25 in the ANGEFD
Proverbs 25 in the ANTPNG2D
Proverbs 25 in the AS21
Proverbs 25 in the BAGH
Proverbs 25 in the BBPNG
Proverbs 25 in the BBT1E
Proverbs 25 in the BDS
Proverbs 25 in the BEV
Proverbs 25 in the BHAD
Proverbs 25 in the BIB
Proverbs 25 in the BLPT
Proverbs 25 in the BNT
Proverbs 25 in the BNTABOOT
Proverbs 25 in the BNTLV
Proverbs 25 in the BOATCB
Proverbs 25 in the BOATCB2
Proverbs 25 in the BOBCV
Proverbs 25 in the BOCNT
Proverbs 25 in the BOECS
Proverbs 25 in the BOGWICC
Proverbs 25 in the BOHCB
Proverbs 25 in the BOHCV
Proverbs 25 in the BOHLNT
Proverbs 25 in the BOHNTLTAL
Proverbs 25 in the BOICB
Proverbs 25 in the BOILNTAP
Proverbs 25 in the BOITCV
Proverbs 25 in the BOKCV
Proverbs 25 in the BOKCV2
Proverbs 25 in the BOKHWOG
Proverbs 25 in the BOKSSV
Proverbs 25 in the BOLCB
Proverbs 25 in the BOLCB2
Proverbs 25 in the BOMCV
Proverbs 25 in the BONAV
Proverbs 25 in the BONCB
Proverbs 25 in the BONLT
Proverbs 25 in the BONUT2
Proverbs 25 in the BOPLNT
Proverbs 25 in the BOSCB
Proverbs 25 in the BOSNC
Proverbs 25 in the BOTLNT
Proverbs 25 in the BOVCB
Proverbs 25 in the BOYCB
Proverbs 25 in the BPBB
Proverbs 25 in the BPH
Proverbs 25 in the BSB
Proverbs 25 in the CCB
Proverbs 25 in the CUV
Proverbs 25 in the CUVS
Proverbs 25 in the DBT
Proverbs 25 in the DGDNT
Proverbs 25 in the DHNT
Proverbs 25 in the DNT
Proverbs 25 in the ELBE
Proverbs 25 in the EMTV
Proverbs 25 in the ESV
Proverbs 25 in the FBV
Proverbs 25 in the FEB
Proverbs 25 in the GGMNT
Proverbs 25 in the GNT
Proverbs 25 in the HARY
Proverbs 25 in the HNT
Proverbs 25 in the IRVA
Proverbs 25 in the IRVB
Proverbs 25 in the IRVG
Proverbs 25 in the IRVH
Proverbs 25 in the IRVK
Proverbs 25 in the IRVM
Proverbs 25 in the IRVM2
Proverbs 25 in the IRVO
Proverbs 25 in the IRVP
Proverbs 25 in the IRVT
Proverbs 25 in the IRVT2
Proverbs 25 in the IRVU
Proverbs 25 in the ISVN
Proverbs 25 in the JSNT
Proverbs 25 in the KAPI
Proverbs 25 in the KBT1ETNIK
Proverbs 25 in the KBV
Proverbs 25 in the KJV
Proverbs 25 in the KNFD
Proverbs 25 in the LBA
Proverbs 25 in the LBLA
Proverbs 25 in the LNT
Proverbs 25 in the LSV
Proverbs 25 in the MAAL
Proverbs 25 in the MBV
Proverbs 25 in the MBV2
Proverbs 25 in the MHNT
Proverbs 25 in the MKNFD
Proverbs 25 in the MNG
Proverbs 25 in the MNT
Proverbs 25 in the MNT2
Proverbs 25 in the MRS1T
Proverbs 25 in the NAA
Proverbs 25 in the NASB
Proverbs 25 in the NBLA
Proverbs 25 in the NBS
Proverbs 25 in the NBVTP
Proverbs 25 in the NET2
Proverbs 25 in the NIV11
Proverbs 25 in the NNT
Proverbs 25 in the NNT2
Proverbs 25 in the NNT3
Proverbs 25 in the PDDPT
Proverbs 25 in the PFNT
Proverbs 25 in the RMNT
Proverbs 25 in the SBIAS
Proverbs 25 in the SBIBS
Proverbs 25 in the SBIBS2
Proverbs 25 in the SBICS
Proverbs 25 in the SBIDS
Proverbs 25 in the SBIGS
Proverbs 25 in the SBIHS
Proverbs 25 in the SBIIS
Proverbs 25 in the SBIIS2
Proverbs 25 in the SBIIS3
Proverbs 25 in the SBIKS
Proverbs 25 in the SBIKS2
Proverbs 25 in the SBIMS
Proverbs 25 in the SBIOS
Proverbs 25 in the SBIPS
Proverbs 25 in the SBISS
Proverbs 25 in the SBITS
Proverbs 25 in the SBITS2
Proverbs 25 in the SBITS3
Proverbs 25 in the SBITS4
Proverbs 25 in the SBIUS
Proverbs 25 in the SBIVS
Proverbs 25 in the SBT
Proverbs 25 in the SBT1E
Proverbs 25 in the SCHL
Proverbs 25 in the SNT
Proverbs 25 in the SUSU
Proverbs 25 in the SUSU2
Proverbs 25 in the SYNO
Proverbs 25 in the TBIAOTANT
Proverbs 25 in the TBT1E
Proverbs 25 in the TBT1E2
Proverbs 25 in the TFTIP
Proverbs 25 in the TFTU
Proverbs 25 in the TGNTATF3T
Proverbs 25 in the THAI
Proverbs 25 in the TNFD
Proverbs 25 in the TNT
Proverbs 25 in the TNTIK
Proverbs 25 in the TNTIL
Proverbs 25 in the TNTIN
Proverbs 25 in the TNTIP
Proverbs 25 in the TNTIZ
Proverbs 25 in the TOMA
Proverbs 25 in the TTENT
Proverbs 25 in the UBG
Proverbs 25 in the UGV
Proverbs 25 in the UGV2
Proverbs 25 in the VBL
Proverbs 25 in the VDCC
Proverbs 25 in the YALU
Proverbs 25 in the YAPE
Proverbs 25 in the YBVTP
Proverbs 25 in the ZBP