Psalms 98 (UGV3)
1 Rab kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, kyoṅki us ne mojize kie haiṅ. Apne dahne hāth aur muqaddas bāzū se us ne najāt dī hai. 2 Rab ne apnī najāt kā elān kiyā aur apnī rāstī qaumoṅ ke rūbarū zāhir kī hai. 3 Us ne Isrāīl ke lie apnī shafqat aur wafā yād kī hai. Duniyā kī intahāoṅ ne sab hamāre Ḳhudā kī najāt dekhī hai. 4 Ai pūrī duniyā, nāre lagā kar Rab kī madahsarāī karo! Āpe meṅ na samāo aur jashn manā kar hamd ke gīt gāo! 5 Sarod bajā kar Rab kī madahsarāī karo, sarod aur gīt se us kī satāish karo. 6 Turam aur narsingā phūṅk kar Rab Bādshāh ke huzūr ḳhushī ke nāre lagāo! 7 Samundar aur jo kuchh us meṅ hai, duniyā aur us ke bāshinde ḳhushī se garaj uṭheṅ. 8 Dariyā tāliyāṅ bajāeṅ, pahāṛ mil kar ḳhushī manāeṅ, 9 wuh Rab ke sāmne ḳhushī manāeṅ. Kyoṅki wuh zamīn kī adālat karne ā rahā hai. Wuh insāf se duniyā kī adālat karegā, rāstī se qaumoṅ kā faislā karegā.