1 Chronicles 11 (UGV3)

1 Us waqt tamām Isrāīl Habrūn meṅ Dāūd ke pās āyā aur kahā, “Ham āp hī kī qaum aur āp hī ke rishtedār haiṅ. 2 Māzī meṅ bhī jab Sāūl bādshāh thā to āp hī faujī muhimmoṅ meṅ Isrāīl kī qiyādat karte rahe. Aur Rab āp ke Ḳhudā ne āp se wādā bhī kiyā hai ki tū merī qaum Isrāīl kā charwāhā ban kar us par hukūmat karegā.” 3 Jab Isrāīl ke tamām buzurg Habrūn pahuṅche to Dāūd Bādshāh ne Rab ke huzūr un ke sāth ahd bāndhā, aur unhoṅ ne use masah karke Isrāīl kā bādshāh banā diyā. Yoṅ Rab kā Samuel kī mārifat kiyā huā wādā pūrā huā. 4 Bādshāh banane ke bād Dāūd tamām Isrāīliyoṅ ke sāth Yarūshalam gayā tāki us par hamlā kare. Us zamāne meṅ us kā nām Yabūs thā, aur Yabūsī us meṅ baste the. 5 Dāūd ko dekh kar Yabūsiyoṅ ne us se kahā, “Āp hamāre shahr meṅ kabhī dāḳhil nahīṅ ho pāeṅge!”To bhī Dāūd ne Siyyūn ke qile par qabzā kar liyā jo ājkal ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai. 6 Yabūs par hamlā karne se pahle Dāūd ne kahā thā, “Jo bhī Yabūsiyoṅ par hamlā karne meṅ rāhnumāī kare wuh fauj kā kamānḍar banegā.” Tab Yoāb bin Zarūyāh ne pahle shahr par chaṛhāī kī. Chunāṅche use kamānḍar muqarrar kiyā gayā. 7 Yarūshalam par fatah pāne ke bād Dāūd qile meṅ rahne lagā. Us ne use ‘Dāūd kā Shahr’ qarār diyā 8 aur us ke irdgird shahr ko baṛhāne lagā. Dāūd kā yih tāmīrī kām irdgird ke chabūtaroṅ se shurū huā aur chāroṅ taraf phailtā gayā jabki Yoāb ne shahr kā bāqī hissā bahāl kar diyā. 9 Yoṅ Dāūd zor pakaṛtā gayā, kyoṅki Rabbul-afwāj us ke sāth thā. 10 Darj-e-zail Dāūd ke sūrmāoṅ kī fahrist hai. Pūre Isrāīl ke sāth unhoṅ ne mazbūtī se us kī bādshāhī kī himāyat karke Dāūd ko Rab ke farmān ke mutābiq apnā bādshāh banā diyā. 11 Jo tīn afsar Yoāb ke bhāī Abīshai ke ain bād āte the un meṅ Yasūbiyām Hakmūnī pahle nambar par ātā thā. Ek bār us ne apne neze se 300 ādmiyoṅ ko mār diyā. 12 In tīn afsaroṅ meṅ se dūsrī jagah par Iliyazar bin Dodo bin Aḳhūhī ātā thā. 13 Yih Fas-dammīm meṅ Dāūd ke sāth thā jab Filistī wahāṅ laṛne ke lie jamā ho gae the. Maidān-e-jang meṅ jau kā khet thā, aur laṛte laṛte Isrāīlī Filistiyoṅ ke sāmne bhāgne lage. 14 Lekin Iliyazar Dāūd ke sāth khet ke bīch meṅ Filistiyoṅ kā muqābalā kartā rahā. Filistiyoṅ ko mārte mārte unhoṅ ne khet kā difā karke Rab kī madad se baṛī fatah pāī. 15 15-16 Ek aur jang ke daurān Dāūd Adullām ke ġhār ke pahāṛī qile meṅ thā jabki Filistī fauj ne Wādī-e-Rafāīm meṅ apnī lashkargāh lagāī thī. Un ke dastoṅ ne Bait-laham par bhī qabzā kar liyā thā. Dāūd ke tīs ālā afsaroṅ meṅ se tīn us se milne āe. 17 Dāūd ko shadīd pyās lagī, aur wuh kahne lagā, “Kaun mere lie Bait-laham ke darwāze par ke hauz se kuchh pānī lāegā?” 18 Yih sun kar tīnoṅ afsar Filistiyoṅ kī lashkargāh par hamlā karke us meṅ ghus gae aur laṛte laṛte Bait-laham ke hauz tak pahuṅch gae. Us se kuchh pānī bhar kar wuh use Dāūd ke pās le āe. Lekin us ne pīne se inkār kar diyā balki use qurbānī ke taur par unḍel kar Rab ko pesh kiyā 19 aur bolā, “Allāh na kare ki maiṅ yih pānī piyūṅ. Agar aisā kartā to un ādmiyoṅ kā ḳhūn pītā jo apnī jān par khel kar pānī lāe haiṅ.” Is lie wuh use pīnā nahīṅ chāhtā thā. Yih in tīn sūrmāoṅ ke zabardast kāmoṅ kī ek misāl hai. 20 20-21 Yoāb kā bhāī Abīshai mazkūrā tīn sūrmāoṅ par muqarrar thā. Ek dafā us ne apne neze se 300 ādmiyoṅ ko mār ḍālā. Tīnoṅ kī nisbat us kī zyādā izzat kī jātī thī, lekin wuh ḳhud in meṅ ginā nahīṅ jātā thā. 22 Bināyāh bin Yahoyadā bhī zabardast faujī thā. Wuh Qabziyel kā rahne wālā thā, aur us ne bahut dafā apnī mardānagī dikhāī. Moāb ke do baṛe sūrmā us ke hāthoṅ halāk hue. Ek bār jab bahut barf paṛ gaī to us ne ek hauz meṅ utar kar ek sherbabar ko mār ḍālā jo us meṅ gir gayā thā. 23 Ek aur mauqe par us kā wāstā ek Misrī se paṛā jis kā qad sāṛhe sāt fuṭ thā. Misrī ke hāth meṅ khaḍḍī ke shahtīr jaisā baṛā nezā thā jabki us ke apne pās sirf lāṭhī thī. Lekin Bināyāh ne us par hamlā karke us ke hāth se nezā chhīn liyā aur use us ke apne hathiyār se mār ḍālā. 24 Aisī bahādurī dikhāne kī binā par Bināyāh bin Yahoyadā mazkūrā tīn ādmiyoṅ ke barābar mashhūr huā. 25 Tīs afsaroṅ ke dīgar mardoṅ kī nisbat us kī zyādā izzat kī jātī thī, lekin wuh mazkūrā tīn ādmiyoṅ meṅ ginā nahīṅ jātā thā. Dāūd ne use apne muhāfizoṅ par muqarrar kiyā. 26 Zail ke ādmī bādshāh ke sūrmāoṅ meṅ shāmil the.Yoāb kā bhāī Asāhel, Bait-laham kā Ilhanān bin Dodo, 27 Sammot Harorī, Ḳhalis Falūnī, 28 Taqua kā Īrā bin Aqqīs, Anatot kā Abiyazar, 29 Sibbakī Hūsātī, Īlī Aḳhūhī, 30 Mahrī Natūfātī, Halid bin Bānā Natūfātī, 31 Binyamīnī shahr Jibiyā kā Ittī bin Rībī, Bināyāh Fir'ātonī 32 Nahle-jās kā Hūrī, Abiyel Arbātī, 33 Azmāwat Bahrūmī, Iliyahbā Sa'ālbūnī, 34 Hashīm Jizūnī ke beṭe, Yūnatan bin Shajī Harārī, 35 Aḳhiyām bin Sakār Harārī, Ilīfal bin Ūr, 36 Hifar Makīrātī, Aḳhiyāh Falūnī, 37 Hasro Karmilī, Nārī bin Azbī, 38 Nātan kā bhāī Yoel, Mibḳhār bin Hājirī, 39 Silaq Ammonī, Yoāb bin Zarūyāh kā silāhbardār Nahrī Bairotī, 40 Īrā Itrī, Jarīb Itrī, 41 Ūriyāh Hittī, Zabad bin Aḳhlī, 42 Adīnā bin Sīzā (Rūbin ke qabīle kā yih sardār 30 faujiyoṅ par muqarrar thā), 43 Hanān bin Mākā, Yūsafat Mitnī, 44 Uzziyāh Astarātī, Ḳhūtām Aroīrī ke beṭe Samā aur Ya'iyel, 45 Yadiyael bin Simrī, us kā bhāī Yūḳhā Tīsī, 46 Iliyel Mahāwī, Ilnām ke beṭe Yarībī aur Yūsāwiyāh, Yitmā Moābī, 47 Iliyel, Obed aur Yāsiyel Mazobāī.

In Other Versions

1 Chronicles 11 in the ANGEFD

1 Chronicles 11 in the ANTPNG2D

1 Chronicles 11 in the AS21

1 Chronicles 11 in the BAGH

1 Chronicles 11 in the BBPNG

1 Chronicles 11 in the BBT1E

1 Chronicles 11 in the BDS

1 Chronicles 11 in the BEV

1 Chronicles 11 in the BHAD

1 Chronicles 11 in the BIB

1 Chronicles 11 in the BLPT

1 Chronicles 11 in the BNT

1 Chronicles 11 in the BNTABOOT

1 Chronicles 11 in the BNTLV

1 Chronicles 11 in the BOATCB

1 Chronicles 11 in the BOATCB2

1 Chronicles 11 in the BOBCV

1 Chronicles 11 in the BOCNT

1 Chronicles 11 in the BOECS

1 Chronicles 11 in the BOGWICC

1 Chronicles 11 in the BOHCB

1 Chronicles 11 in the BOHCV

1 Chronicles 11 in the BOHLNT

1 Chronicles 11 in the BOHNTLTAL

1 Chronicles 11 in the BOICB

1 Chronicles 11 in the BOILNTAP

1 Chronicles 11 in the BOITCV

1 Chronicles 11 in the BOKCV

1 Chronicles 11 in the BOKCV2

1 Chronicles 11 in the BOKHWOG

1 Chronicles 11 in the BOKSSV

1 Chronicles 11 in the BOLCB

1 Chronicles 11 in the BOLCB2

1 Chronicles 11 in the BOMCV

1 Chronicles 11 in the BONAV

1 Chronicles 11 in the BONCB

1 Chronicles 11 in the BONLT

1 Chronicles 11 in the BONUT2

1 Chronicles 11 in the BOPLNT

1 Chronicles 11 in the BOSCB

1 Chronicles 11 in the BOSNC

1 Chronicles 11 in the BOTLNT

1 Chronicles 11 in the BOVCB

1 Chronicles 11 in the BOYCB

1 Chronicles 11 in the BPBB

1 Chronicles 11 in the BPH

1 Chronicles 11 in the BSB

1 Chronicles 11 in the CCB

1 Chronicles 11 in the CUV

1 Chronicles 11 in the CUVS

1 Chronicles 11 in the DBT

1 Chronicles 11 in the DGDNT

1 Chronicles 11 in the DHNT

1 Chronicles 11 in the DNT

1 Chronicles 11 in the ELBE

1 Chronicles 11 in the EMTV

1 Chronicles 11 in the ESV

1 Chronicles 11 in the FBV

1 Chronicles 11 in the FEB

1 Chronicles 11 in the GGMNT

1 Chronicles 11 in the GNT

1 Chronicles 11 in the HARY

1 Chronicles 11 in the HNT

1 Chronicles 11 in the IRVA

1 Chronicles 11 in the IRVB

1 Chronicles 11 in the IRVG

1 Chronicles 11 in the IRVH

1 Chronicles 11 in the IRVK

1 Chronicles 11 in the IRVM

1 Chronicles 11 in the IRVM2

1 Chronicles 11 in the IRVO

1 Chronicles 11 in the IRVP

1 Chronicles 11 in the IRVT

1 Chronicles 11 in the IRVT2

1 Chronicles 11 in the IRVU

1 Chronicles 11 in the ISVN

1 Chronicles 11 in the JSNT

1 Chronicles 11 in the KAPI

1 Chronicles 11 in the KBT1ETNIK

1 Chronicles 11 in the KBV

1 Chronicles 11 in the KJV

1 Chronicles 11 in the KNFD

1 Chronicles 11 in the LBA

1 Chronicles 11 in the LBLA

1 Chronicles 11 in the LNT

1 Chronicles 11 in the LSV

1 Chronicles 11 in the MAAL

1 Chronicles 11 in the MBV

1 Chronicles 11 in the MBV2

1 Chronicles 11 in the MHNT

1 Chronicles 11 in the MKNFD

1 Chronicles 11 in the MNG

1 Chronicles 11 in the MNT

1 Chronicles 11 in the MNT2

1 Chronicles 11 in the MRS1T

1 Chronicles 11 in the NAA

1 Chronicles 11 in the NASB

1 Chronicles 11 in the NBLA

1 Chronicles 11 in the NBS

1 Chronicles 11 in the NBVTP

1 Chronicles 11 in the NET2

1 Chronicles 11 in the NIV11

1 Chronicles 11 in the NNT

1 Chronicles 11 in the NNT2

1 Chronicles 11 in the NNT3

1 Chronicles 11 in the PDDPT

1 Chronicles 11 in the PFNT

1 Chronicles 11 in the RMNT

1 Chronicles 11 in the SBIAS

1 Chronicles 11 in the SBIBS

1 Chronicles 11 in the SBIBS2

1 Chronicles 11 in the SBICS

1 Chronicles 11 in the SBIDS

1 Chronicles 11 in the SBIGS

1 Chronicles 11 in the SBIHS

1 Chronicles 11 in the SBIIS

1 Chronicles 11 in the SBIIS2

1 Chronicles 11 in the SBIIS3

1 Chronicles 11 in the SBIKS

1 Chronicles 11 in the SBIKS2

1 Chronicles 11 in the SBIMS

1 Chronicles 11 in the SBIOS

1 Chronicles 11 in the SBIPS

1 Chronicles 11 in the SBISS

1 Chronicles 11 in the SBITS

1 Chronicles 11 in the SBITS2

1 Chronicles 11 in the SBITS3

1 Chronicles 11 in the SBITS4

1 Chronicles 11 in the SBIUS

1 Chronicles 11 in the SBIVS

1 Chronicles 11 in the SBT

1 Chronicles 11 in the SBT1E

1 Chronicles 11 in the SCHL

1 Chronicles 11 in the SNT

1 Chronicles 11 in the SUSU

1 Chronicles 11 in the SUSU2

1 Chronicles 11 in the SYNO

1 Chronicles 11 in the TBIAOTANT

1 Chronicles 11 in the TBT1E

1 Chronicles 11 in the TBT1E2

1 Chronicles 11 in the TFTIP

1 Chronicles 11 in the TFTU

1 Chronicles 11 in the TGNTATF3T

1 Chronicles 11 in the THAI

1 Chronicles 11 in the TNFD

1 Chronicles 11 in the TNT

1 Chronicles 11 in the TNTIK

1 Chronicles 11 in the TNTIL

1 Chronicles 11 in the TNTIN

1 Chronicles 11 in the TNTIP

1 Chronicles 11 in the TNTIZ

1 Chronicles 11 in the TOMA

1 Chronicles 11 in the TTENT

1 Chronicles 11 in the UBG

1 Chronicles 11 in the UGV

1 Chronicles 11 in the UGV2

1 Chronicles 11 in the VBL

1 Chronicles 11 in the VDCC

1 Chronicles 11 in the YALU

1 Chronicles 11 in the YAPE

1 Chronicles 11 in the YBVTP

1 Chronicles 11 in the ZBP