1 Kings 19 (UGV3)

1 Aḳhiyab ne Īzabil ko sab kuchh sunāyā jo Iliyās ne kahā thā, yih bhī ki us ne Bāl ke nabiyoṅ ko kis tarah talwār se mār diyā thā. 2 Tab Īzabil ne qāsid ko Iliyās ke pās bhej kar use ittalā dī, “Dewatā mujhe saḳht sazā deṅ agar maiṅ kal is waqt tak āp ko un nabiyoṅ kī-sī sazā na dūṅ.” 3 Iliyās saḳht ḍar gayā aur apnī jān bachāne ke lie bhāg gayā. Chalte chalte wuh Yahūdāh ke shahr Bair-sabā tak pahuṅch gayā. Wahāṅ wuh apne naukar ko chhoṛ kar 4 āge registān meṅ jā niklā. Ek din ke safr ke bād wuh sīṅk kī jhāṛī ke pās pahuṅch gayā aur us ke sāy meṅ baiṭh kar duā karne lagā, “Ai Rab, mujhe marne de. Bas ab kāfī hai. Merī jān le le, kyoṅki maiṅ apne bāpdādā se behtar nahīṅ hūṅ.” 5 Phir wuh jhāṛī ke sāy meṅ leṭ kar so gayā.Achānak ek farishte ne use chhū kar kahā, “Uṭh, khānā khā le!” 6 Jab us ne apnī āṅkheṅ kholīṅ to dekhā ki sirhāne ke qarīb koeloṅ par banāī gaī roṭī aur pānī kī surāhī paṛī hai. Us ne roṭī khāī, pānī piyā aur dubārā so gayā. 7 Lekin Rab kā farishtā ek bār phir āyā aur use hāth lagā kar kahā, “Uṭh, khānā khā le, warnā āge kā lambā safr tere bas kī bāt nahīṅ hogī.” 8 Tab Iliyās ne uṭh kar dubārā khānā khāyā aur pānī piyā. Is ḳhurāk ne use itnī taqwiyat dī ki wuh chālīs din aur chālīs rāt safr karte karte Allāh ke pahāṛ Horib yānī Sīnā tak pahuṅch gayā. 9 Wahāṅ wuh rāt guzārne ke lie ek ġhār meṅ chalā gayā.ġhār meṅ Rab us se hamkalām huā. Us ne pūchhā, “Iliyās, tū yahāṅ kyā kar rahā hai?” 10 Iliyās ne jawāb diyā, “Maiṅ ne Rab, āsmānī lashkaroṅ ke Ḳhudā kī ḳhidmat karne kī sirtoṛ koshish kī hai, kyoṅki Isrāīliyoṅ ne tere ahd ko tark kar diyā hai. Unhoṅ ne terī qurbāngāhoṅ ko girā kar tere nabiyoṅ ko talwār se qatl kar diyā hai. Maiṅ akelā hī bachā hūṅ, aur wuh mujhe bhī mār ḍālne ke darpai haiṅ.” 11 Jawāb meṅ Rab ne farmāyā, “Ġhār se nikal kar pahāṛ par Rab ke sāmne khaṛā ho jā!” Phir Rab wahāṅ se guzarā. Us ke āge āge baṛī aur zabardast āṅdhī āī jis ne pahāṛoṅ ko chīr kar chaṭānoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā. Lekin Rab āṅdhī meṅ nahīṅ thā. 12 Is ke bād zalzalā āyā, lekin Rab zalzale meṅ nahīṅ thā. 13 Zalzale ke bād bhaṛaktī huī āg wahāṅ se guzarī, lekin Rab āg meṅ bhī nahīṅ thā. Phir narm hawā kī dhīmī dhīmī āwāz sunāī dī. Yih āwāz sun kar Iliyās ne apne chehre ko chādar se ḍhāṅp liyā aur nikal kar ġhār ke muṅh par khaṛā ho gayā. Ek āwāz us se muḳhātib huī, “Iliyās, tū yahāṅ kyā kar rahā hai?” 14 Iliyās ne jawāb diyā, “Maiṅ ne Rab, āsmānī lashkaroṅ ke Ḳhudā kī ḳhidmat karne kī sirtoṛ koshish kī hai, kyoṅki Isrāīliyoṅ ne tere ahd ko tark kar diyā hai. Unhoṅ ne terī qurbāngāhoṅ ko girā kar tere nabiyoṅ ko talwār se qatl kar diyā hai. Maiṅ akelā hī bachā hūṅ, aur wuh mujhe bhī mār ḍālne ke darpai haiṅ.” 15 Rab ne jawāb meṅ kahā, “Registān meṅ us rāste se ho kar wāpas jā jis ne tujhe yahāṅ pahuṅchāyā hai. Phir Damishq chalā jā. Wahāṅ Hazāel ko tel se masah karke Shām kā bādshāh qarār de. 16 Isī tarah Yāhū bin Nimsī ko masah karke Isrāīl kā bādshāh qarār de aur Abīl-mahūlā ke rahne wāle Ilīshā bin Sāfat ko masah karke apnā jānashīn muqarrar kar. 17 Jo Hazāel kī talwār se bach jāegā use Yāhū mār degā, aur jo Yāhū kī talwār se bach jāegā use Ilīshā mār degā. 18 Lekin maiṅ ne apne lie Isrāīl meṅ 7,000 afrād ko bachā liyā hai, un tamām logoṅ ko jo ab tak na Bāl Dewatā ke sāmne jhuke, na us ke but ko bosā diyā hai.” 19 Iliyās wahāṅ se chalā gayā. Isrāīl meṅ wāpas ā kar use Ilīshā bin Sāfat milā jo bailoṅ kī bārah joṛiyoṅ kī madad se hal chalā rahā thā. Ḳhud wuh bārhwīṅ joṛī ke sāth chal rahā thā. Iliyās ne us ke pās ā kar apnī chādar us ke kandhoṅ par ḍāl dī aur ruke baġhair āge nikal gayā. 20 Ilīshā fauran apne bailoṅ ko chhoṛ kar Iliyās ke pīchhe bhāgā. Us ne kahā, “Pahle mujhe apne māṅ-bāp ko bosā de kar ḳhairbād kahne dījie. Phir maiṅ āp ke pīchhe ho lūṅgā.” Iliyās ne jawāb diyā, “Chaleṅ, wāpas jāeṅ. Lekin wuh kuchh yād rahe jo maiṅ ne āp ke sāth kiyā hai.” 21 Tab Ilīshā wāpas chalā gayā. Bailoṅ kī ek joṛī ko le kar us ne donoṅ ko zabah kiyā. Hal chalāne kā sāmān us ne gosht pakāne ke lie jalā diyā. Jab gosht taiyār thā to us ne use logoṅ meṅ taqsīm karke unheṅ khilā diyā. Is ke bād Ilīshā Iliyās ke pīchhe ho kar us kī ḳhidmat karne lagā.

In Other Versions

1 Kings 19 in the ANGEFD

1 Kings 19 in the ANTPNG2D

1 Kings 19 in the AS21

1 Kings 19 in the BAGH

1 Kings 19 in the BBPNG

1 Kings 19 in the BBT1E

1 Kings 19 in the BDS

1 Kings 19 in the BEV

1 Kings 19 in the BHAD

1 Kings 19 in the BIB

1 Kings 19 in the BLPT

1 Kings 19 in the BNT

1 Kings 19 in the BNTABOOT

1 Kings 19 in the BNTLV

1 Kings 19 in the BOATCB

1 Kings 19 in the BOATCB2

1 Kings 19 in the BOBCV

1 Kings 19 in the BOCNT

1 Kings 19 in the BOECS

1 Kings 19 in the BOGWICC

1 Kings 19 in the BOHCB

1 Kings 19 in the BOHCV

1 Kings 19 in the BOHLNT

1 Kings 19 in the BOHNTLTAL

1 Kings 19 in the BOICB

1 Kings 19 in the BOILNTAP

1 Kings 19 in the BOITCV

1 Kings 19 in the BOKCV

1 Kings 19 in the BOKCV2

1 Kings 19 in the BOKHWOG

1 Kings 19 in the BOKSSV

1 Kings 19 in the BOLCB

1 Kings 19 in the BOLCB2

1 Kings 19 in the BOMCV

1 Kings 19 in the BONAV

1 Kings 19 in the BONCB

1 Kings 19 in the BONLT

1 Kings 19 in the BONUT2

1 Kings 19 in the BOPLNT

1 Kings 19 in the BOSCB

1 Kings 19 in the BOSNC

1 Kings 19 in the BOTLNT

1 Kings 19 in the BOVCB

1 Kings 19 in the BOYCB

1 Kings 19 in the BPBB

1 Kings 19 in the BPH

1 Kings 19 in the BSB

1 Kings 19 in the CCB

1 Kings 19 in the CUV

1 Kings 19 in the CUVS

1 Kings 19 in the DBT

1 Kings 19 in the DGDNT

1 Kings 19 in the DHNT

1 Kings 19 in the DNT

1 Kings 19 in the ELBE

1 Kings 19 in the EMTV

1 Kings 19 in the ESV

1 Kings 19 in the FBV

1 Kings 19 in the FEB

1 Kings 19 in the GGMNT

1 Kings 19 in the GNT

1 Kings 19 in the HARY

1 Kings 19 in the HNT

1 Kings 19 in the IRVA

1 Kings 19 in the IRVB

1 Kings 19 in the IRVG

1 Kings 19 in the IRVH

1 Kings 19 in the IRVK

1 Kings 19 in the IRVM

1 Kings 19 in the IRVM2

1 Kings 19 in the IRVO

1 Kings 19 in the IRVP

1 Kings 19 in the IRVT

1 Kings 19 in the IRVT2

1 Kings 19 in the IRVU

1 Kings 19 in the ISVN

1 Kings 19 in the JSNT

1 Kings 19 in the KAPI

1 Kings 19 in the KBT1ETNIK

1 Kings 19 in the KBV

1 Kings 19 in the KJV

1 Kings 19 in the KNFD

1 Kings 19 in the LBA

1 Kings 19 in the LBLA

1 Kings 19 in the LNT

1 Kings 19 in the LSV

1 Kings 19 in the MAAL

1 Kings 19 in the MBV

1 Kings 19 in the MBV2

1 Kings 19 in the MHNT

1 Kings 19 in the MKNFD

1 Kings 19 in the MNG

1 Kings 19 in the MNT

1 Kings 19 in the MNT2

1 Kings 19 in the MRS1T

1 Kings 19 in the NAA

1 Kings 19 in the NASB

1 Kings 19 in the NBLA

1 Kings 19 in the NBS

1 Kings 19 in the NBVTP

1 Kings 19 in the NET2

1 Kings 19 in the NIV11

1 Kings 19 in the NNT

1 Kings 19 in the NNT2

1 Kings 19 in the NNT3

1 Kings 19 in the PDDPT

1 Kings 19 in the PFNT

1 Kings 19 in the RMNT

1 Kings 19 in the SBIAS

1 Kings 19 in the SBIBS

1 Kings 19 in the SBIBS2

1 Kings 19 in the SBICS

1 Kings 19 in the SBIDS

1 Kings 19 in the SBIGS

1 Kings 19 in the SBIHS

1 Kings 19 in the SBIIS

1 Kings 19 in the SBIIS2

1 Kings 19 in the SBIIS3

1 Kings 19 in the SBIKS

1 Kings 19 in the SBIKS2

1 Kings 19 in the SBIMS

1 Kings 19 in the SBIOS

1 Kings 19 in the SBIPS

1 Kings 19 in the SBISS

1 Kings 19 in the SBITS

1 Kings 19 in the SBITS2

1 Kings 19 in the SBITS3

1 Kings 19 in the SBITS4

1 Kings 19 in the SBIUS

1 Kings 19 in the SBIVS

1 Kings 19 in the SBT

1 Kings 19 in the SBT1E

1 Kings 19 in the SCHL

1 Kings 19 in the SNT

1 Kings 19 in the SUSU

1 Kings 19 in the SUSU2

1 Kings 19 in the SYNO

1 Kings 19 in the TBIAOTANT

1 Kings 19 in the TBT1E

1 Kings 19 in the TBT1E2

1 Kings 19 in the TFTIP

1 Kings 19 in the TFTU

1 Kings 19 in the TGNTATF3T

1 Kings 19 in the THAI

1 Kings 19 in the TNFD

1 Kings 19 in the TNT

1 Kings 19 in the TNTIK

1 Kings 19 in the TNTIL

1 Kings 19 in the TNTIN

1 Kings 19 in the TNTIP

1 Kings 19 in the TNTIZ

1 Kings 19 in the TOMA

1 Kings 19 in the TTENT

1 Kings 19 in the UBG

1 Kings 19 in the UGV

1 Kings 19 in the UGV2

1 Kings 19 in the VBL

1 Kings 19 in the VDCC

1 Kings 19 in the YALU

1 Kings 19 in the YAPE

1 Kings 19 in the YBVTP

1 Kings 19 in the ZBP