1 Kings 22 (UGV3)

1 Tīn sāl tak Shām aur Isrāīl ke darmiyān sulah rahī. 2 Tīsre sāl Yahūdāh kā bādshāh Yahūsafat Isrāīl ke bādshāh Aḳhiyab se milne gayā. 3 Us waqt Isrāīl ke bādshāh ne apne afsaroṅ se bāt kī, “Dekheṅ, Rāmāt-jiliyād hamārā hī shahr hai. To phir ham kyoṅ kuchh nahīṅ kar rahe? Hameṅ use Shām ke bādshāh ke qabze se chhuṛwānā chāhie.” 4 Us ne Yahūsafat se sawāl kiyā, “Kyā āp mere sāth Rāmāt-jiliyād jāeṅge tāki us par qabzā kareṅ?” Yahūsafat ne jawāb diyā, “Jī zarūr. Ham to bhāī haiṅ. Merī qaum ko apnī qaum aur mere ghoṛoṅ ko apne ghoṛe samjheṅ! 5 Lekin mehrbānī karke pahle Rab kī marzī mālūm kar leṅ.” 6 Isrāīl ke bādshāh ne taqrīban 400 nabiyoṅ ko bulā kar un se pūchhā, “Kyā maiṅ Rāmāt-jiliyād par hamlā karūṅ yā is irāde se bāz rahūṅ?” Nabiyoṅ ne jawāb diyā, “Jī kareṅ, kyoṅki Rab use bādshāh ke hawāle kar degā.” 7 Lekin Yahūsafat mutma'in na huā. Us ne pūchhā, “Kyā yahāṅ Rab kā koī nabī nahīṅ jis se ham dariyāft kar sakeṅ?” 8 Isrāīl kā bādshāh bolā, “Hāṅ, ek to hai jis ke zariye ham Rab kī marzī mālūm kar sakte haiṅ. Lekin maiṅ us se nafrat kartā hūṅ, kyoṅki wuh mere bāre meṅ kabhī bhī achchhī peshgoī nahīṅ kartā. Wuh hameshā burī peshgoiyāṅ sunātā hai. Us kā nām Mīkāyāh bin Imlā hai.” Yahūsafat ne etarāz kiyā, “Bādshāh aisī bāt na kahe!” 9 Tab Isrāīl ke bādshāh ne kisī mulāzim ko bulā kar hukm diyā, “Mīkāyāh bin Imlā ko fauran hamāre pās pahuṅchā denā!” 10 Aḳhiyab aur Yahūsafat apne shāhī libās pahne hue Sāmariya ke darwāze ke qarīb apne apne taḳht par baiṭhe the. Yih aisī khulī jagah thī jahāṅ anāj gāhā jātā thā. Tamām 400 nabī wahāṅ un ke sāmne apnī peshgoiyāṅ pesh kar rahe the. 11 Ek nabī banām Sidqiyāh bin Kanānā ne apne lie lohe ke sīṅg banā kar elān kiyā, “Rab farmātā hai ki in sīṅgoṅ se tū Shām ke faujiyoṅ ko mār mār kar halāk kar degā.” 12 Dūsre nabī bhī is qism kī peshgoiyāṅ kar rahe the, “Rāmāt-jiliyād par hamlā kareṅ, kyoṅki āp zarūr kāmyāb ho jāeṅge. Rab shahr ko āp ke hawāle kar degā.” 13 Jis mulāzim ko Mīkāyāh ko bulāne ke lie bhejā gayā thā us ne rāste meṅ use samjhāyā, “Dekheṅ, bāqī tamām nabī mil kar kah rahe haiṅ ki bādshāh ko kāmyābī hāsil hogī. Āp bhī aisī hī bāteṅ kareṅ, āp bhī fatah kī peshgoī kareṅ!” 14 Lekin Mīkāyāh ne etarāz kiyā, “Rab kī hayāt kī qasam, maiṅ bādshāh ko sirf wuhī kuchh batāūṅgā jo Rab mujhe farmāegā.” 15 Jab Mīkāyāh Aḳhiyab ke sāmne khaṛā huā to bādshāh ne pūchhā, “Mīkāyāh, kyā ham Rāmāt-jiliyād par hamlā kareṅ yā maiṅ is irāde se bāz rahūṅ?” Mīkāyāh ne jawāb diyā, “Us par hamlā kareṅ, kyoṅki Rab shahr ko āp ke hawāle karke āp ko kāmyābī baḳhshegā.” 16 Bādshāh nārāz huā, “Mujhe kitnī dafā āp ko samjhānā paṛegā ki āp qasam khā kar mujhe Rab ke nām meṅ sirf wuh kuchh sunāeṅ jo haqīqat hai.” 17 Tab Mīkāyāh ne jawāb meṅ kahā, “Mujhe tamām Isrāīl gallābān se mahrūm bheṛ-bakriyoṅ kī tarah pahāṛoṅ par bikhrā huā nazar āyā. Phir Rab mujh se hamkalām huā, ‘In kā koī mālik nahīṅ hai. Har ek salāmatī se apne ghar wāpas chalā jāe.’” 18 Isrāīl ke bādshāh ne Yahūsafat se kahā, “Lo, kyā maiṅ ne āp ko nahīṅ batāyā thā ki yih shaḳhs hameshā mere bāre meṅ burī peshgoiyāṅ kartā hai?” 19 Lekin Mīkāyāh ne apnī bāt jārī rakhī, “Rab kā farmān suneṅ! Maiṅ ne Rab ko us ke taḳht par baiṭhe dekhā. Āsmān kī pūrī fauj us ke dāeṅ aur bāeṅ hāth khaṛī thī. 20 Rab ne pūchhā, ‘Kaun Aḳhiyab ko Rāmāt-jiliyād par hamlā karne par uksāegā tāki wuh wahāṅ jā kar mar jāe?’ Ek ne yih mashwarā diyā, dūsre ne wuh. 21 Āḳhirkār ek rūh Rab ke sāmne khaṛī huī aur kahne lagī, ‘Maiṅ use uksāūṅgī.’ 22 Rab ne sawāl kiyā, ‘Kis tarah?’ Rūh ne jawāb diyā, ‘Maiṅ nikal kar us ke tamām nabiyoṅ par yoṅ qābū pāūṅgī ki wuh jhūṭ hī boleṅge.’ Rab ne farmāyā, ‘Tū kāmyāb hogī. Jā aur yoṅ hī kar!’ 23 Ai bādshāh, Rab ne āp par āfat lāne kā faislā kar liyā hai, is lie us ne jhūṭī rūh ko āp ke in tamām nabiyoṅ ke muṅh meṅ ḍāl diyā hai.” 24 Tab Sidqiyāh bin Kanānā ne āge baṛh kar Mīkāyāh ke muṅh par thappaṛ mārā aur bolā, “Rab kā Rūh kis tarah mujh se nikal gayā tāki tujh se bāt kare?” 25 Mīkāyāh ne jawāb diyā, “Jis din āp kabhī is kamre meṅ, kabhī us meṅ khisak kar chhupne kī koshish kareṅge us din āp ko patā chalegā.” 26 Tab Aḳhiyab Bādshāh ne hukm diyā, “Mīkāyāh ko shahr par muqarrar afsar Amūn aur mere beṭe Yuās ke pās wāpas bhej do! 27 Unheṅ batā denā, ‘Is ādmī ko jel meṅ ḍāl kar mere sahīh-salāmat wāpas āne tak kam se kam roṭī aur pānī diyā kareṅ.’” 28 Mīkāyāh bolā, “Agar āp sahīh-salāmat wāpas āeṅ to matlab hogā ki Rab ne merī mārifat bāt nahīṅ kī.” Phir wuh sāth khaṛe logoṅ se muḳhātib huā, “Tamām log dhyān deṅ!” 29 Is ke bād Isrāīl kā bādshāh Aḳhiyab aur Yahūdāh kā bādshāh Yahūsafat mil kar Rāmāt-jiliyād par hamlā karne ke lie rawānā hue. 30 Jang se pahle Aḳhiyab ne Yahūsafat se kahā, “Maiṅ apnā bhes badal kar maidān-e-jang meṅ jāūṅgā. Lekin āp apnā shāhī libās na utāreṅ.” Chunāṅche Isrāīl kā bādshāh apnā bhes badal kar maidān-e-jang meṅ āyā. 31 Shām ke bādshāh ne rathoṅ par muqarrar apne 32 afsaroṅ ko hukm diyā thā, “Sirf aur sirf bādshāh par hamlā kareṅ. Kisī aur se mat laṛnā, ḳhāh wuh chhoṭā ho yā baṛā.” 32 Jab laṛāī chhiṛ gaī to rathoṅ ke afsar Yahūsafat par ṭūṭ paṛe, kyoṅki unhoṅ ne kahā, “Yaqīnan yihī Isrāīl kā bādshāh hai!” Lekin jab Yahūsafat madad ke lie chillā uṭhā 33 to dushmanoṅ ko mālūm huā ki yih Aḳhiyab Bādshāh nahīṅ hai, aur wuh us kā tāqqub karne se bāz āe. 34 Lekin kisī ne ḳhās nishānā bāndhe baġhair apnā tīr chalāyā to wuh Aḳhiyab ko aisī jagah jā lagā jahāṅ zirābaktar kā joṛ thā. Bādshāh ne apne rathbān ko hukm diyā, “Rath ko moṛ kar mujhe maidān-e-jang se bāhar le jāo! Mujhe choṭ lag gaī hai.” 35 Lekin chūṅki us pūre din shadīd qism kī laṛāī jārī rahī, is lie bādshāh apne rath meṅ ṭek lagā kar dushman ke muqābil khaṛā rahā. Ḳhūn zaḳhm se rath ke farsh par ṭapaktā rahā, aur shām ke waqt Aḳhiyab mar gayā. 36 Jab sūraj ġhurūb hone lagā to Isrāīlī fauj meṅ buland āwāz se elān kiyā gayā, “Har ek apne shahr aur apne ilāqe meṅ wāpas chalā jāe!” 37 Bādshāh kī maut ke bād us kī lāsh ko Sāmariya lā kar dafnāyā gayā. 38 Shāhī rath ko Sāmariya ke ek tālāb ke pās lāyā gayā jahāṅ kasbiyoṅ kī nahāne kī jagah thī. Wahāṅ use dhoyā gayā. Kutte bhī ā kar ḳhūn ko chāṭne lage. Yoṅ Rab kā farmān pūrā huā. 39 Bāqī jo kuchh Aḳhiyab kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us meṅ bādshāh kā tāmīrkardā hāthīdāṅt kā mahal aur wuh shahr bayān kie gae haiṅ jin kī qilābandī us ne kī. 40 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā Aḳhaziyāh taḳhtnashīn huā. 41 Āsā kā beṭā Yahūsafat Isrāīl ke bādshāh Aḳhiyab kī hukūmat ke chauthe sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā. 42 Us waqt us kī umr 35 sāl thī. Us kā dārul-hukūmat Yarūshalam rahā, aur us kī hukūmat kā daurāniyā 25 sāl thā. Māṅ kā nām Azūbā bint Silhī thā. 43 Wuh har kām meṅ apne bāp Āsā ke namūne par chaltā aur wuh kuchh kartā rahā jo Rab ko pasand thā. Lekin us ne bhī ūṅche maqāmoṅ ke mandiroṅ ko ḳhatm na kiyā. Aisī jaghoṅ par jānwaroṅ ko qurbān karne aur baḳhūr jalāne kā intazām jārī rahā. 44 Yahūsafat aur Isrāīl ke bādshāh ke darmiyān sulah qāym rahī. 45 Bāqī jo kuchh Yahūsafat kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us kī kāmyābiyāṅ aur jangeṅ sab us meṅ bayān kī gaī haiṅ. 46 Jo jismfarosh mard aur aurateṅ Āsā ke zamāne meṅ bach gae the unheṅ Yahūsafat ne mulk meṅ se miṭā diyā. 47 Us waqt Mulk-e-Adom kā bādshāh na thā balki Yahūdāh kā ek afsar us par hukmrānī kartā thā. 48 Yahūsafat ne bahrī jahāzoṅ kā beṛā banwāyā tāki wuh tijārat karke Ofīr se sonā lāeṅ. Lekin wuh kabhī istemāl na hue balki apnī hī bandargāh Asyūn-jābar meṅ tabāh ho gae. 49 Tabāh hone se pahle Isrāīl ke bādshāh Aḳhaziyāh bin Aḳhiyab ne Yahūsafat se darḳhāst kī thī ki Isrāīl ke kuchh log jahāzoṅ par sāth chaleṅ. Lekin Yahūsafat ne inkār kiyā thā. 50 Jab Yahūsafat mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Yahūrām taḳhtnashīn huā. 51 Aḳhiyab kā beṭā Aḳhaziyāh Yahūdāh ke bādshāh Yahūsafat kī hukūmat ke 17weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Wuh do sāl tak Isrāīl par hukmrān rahā. Sāmariya us kā dārul-hukūmat thā. 52 Jo kuchh us ne kiyā wuh Rab ko nāpasand thā, kyoṅki wuh apne māṅ-bāp aur Yarubiyām bin Nabāt ke namūne par chaltā rahā, usī Yarubiyām ke namūne par jis ne Isrāīl ko gunāh karne par uksāyā thā. 53 Apne bāp kī tarah Bāl Dewatā kī ḳhidmat aur pūjā karne se us ne Rab, Isrāīl ke Ḳhudā ko taish dilāyā.

In Other Versions

1 Kings 22 in the ANGEFD

1 Kings 22 in the ANTPNG2D

1 Kings 22 in the AS21

1 Kings 22 in the BAGH

1 Kings 22 in the BBPNG

1 Kings 22 in the BBT1E

1 Kings 22 in the BDS

1 Kings 22 in the BEV

1 Kings 22 in the BHAD

1 Kings 22 in the BIB

1 Kings 22 in the BLPT

1 Kings 22 in the BNT

1 Kings 22 in the BNTABOOT

1 Kings 22 in the BNTLV

1 Kings 22 in the BOATCB

1 Kings 22 in the BOATCB2

1 Kings 22 in the BOBCV

1 Kings 22 in the BOCNT

1 Kings 22 in the BOECS

1 Kings 22 in the BOGWICC

1 Kings 22 in the BOHCB

1 Kings 22 in the BOHCV

1 Kings 22 in the BOHLNT

1 Kings 22 in the BOHNTLTAL

1 Kings 22 in the BOICB

1 Kings 22 in the BOILNTAP

1 Kings 22 in the BOITCV

1 Kings 22 in the BOKCV

1 Kings 22 in the BOKCV2

1 Kings 22 in the BOKHWOG

1 Kings 22 in the BOKSSV

1 Kings 22 in the BOLCB

1 Kings 22 in the BOLCB2

1 Kings 22 in the BOMCV

1 Kings 22 in the BONAV

1 Kings 22 in the BONCB

1 Kings 22 in the BONLT

1 Kings 22 in the BONUT2

1 Kings 22 in the BOPLNT

1 Kings 22 in the BOSCB

1 Kings 22 in the BOSNC

1 Kings 22 in the BOTLNT

1 Kings 22 in the BOVCB

1 Kings 22 in the BOYCB

1 Kings 22 in the BPBB

1 Kings 22 in the BPH

1 Kings 22 in the BSB

1 Kings 22 in the CCB

1 Kings 22 in the CUV

1 Kings 22 in the CUVS

1 Kings 22 in the DBT

1 Kings 22 in the DGDNT

1 Kings 22 in the DHNT

1 Kings 22 in the DNT

1 Kings 22 in the ELBE

1 Kings 22 in the EMTV

1 Kings 22 in the ESV

1 Kings 22 in the FBV

1 Kings 22 in the FEB

1 Kings 22 in the GGMNT

1 Kings 22 in the GNT

1 Kings 22 in the HARY

1 Kings 22 in the HNT

1 Kings 22 in the IRVA

1 Kings 22 in the IRVB

1 Kings 22 in the IRVG

1 Kings 22 in the IRVH

1 Kings 22 in the IRVK

1 Kings 22 in the IRVM

1 Kings 22 in the IRVM2

1 Kings 22 in the IRVO

1 Kings 22 in the IRVP

1 Kings 22 in the IRVT

1 Kings 22 in the IRVT2

1 Kings 22 in the IRVU

1 Kings 22 in the ISVN

1 Kings 22 in the JSNT

1 Kings 22 in the KAPI

1 Kings 22 in the KBT1ETNIK

1 Kings 22 in the KBV

1 Kings 22 in the KJV

1 Kings 22 in the KNFD

1 Kings 22 in the LBA

1 Kings 22 in the LBLA

1 Kings 22 in the LNT

1 Kings 22 in the LSV

1 Kings 22 in the MAAL

1 Kings 22 in the MBV

1 Kings 22 in the MBV2

1 Kings 22 in the MHNT

1 Kings 22 in the MKNFD

1 Kings 22 in the MNG

1 Kings 22 in the MNT

1 Kings 22 in the MNT2

1 Kings 22 in the MRS1T

1 Kings 22 in the NAA

1 Kings 22 in the NASB

1 Kings 22 in the NBLA

1 Kings 22 in the NBS

1 Kings 22 in the NBVTP

1 Kings 22 in the NET2

1 Kings 22 in the NIV11

1 Kings 22 in the NNT

1 Kings 22 in the NNT2

1 Kings 22 in the NNT3

1 Kings 22 in the PDDPT

1 Kings 22 in the PFNT

1 Kings 22 in the RMNT

1 Kings 22 in the SBIAS

1 Kings 22 in the SBIBS

1 Kings 22 in the SBIBS2

1 Kings 22 in the SBICS

1 Kings 22 in the SBIDS

1 Kings 22 in the SBIGS

1 Kings 22 in the SBIHS

1 Kings 22 in the SBIIS

1 Kings 22 in the SBIIS2

1 Kings 22 in the SBIIS3

1 Kings 22 in the SBIKS

1 Kings 22 in the SBIKS2

1 Kings 22 in the SBIMS

1 Kings 22 in the SBIOS

1 Kings 22 in the SBIPS

1 Kings 22 in the SBISS

1 Kings 22 in the SBITS

1 Kings 22 in the SBITS2

1 Kings 22 in the SBITS3

1 Kings 22 in the SBITS4

1 Kings 22 in the SBIUS

1 Kings 22 in the SBIVS

1 Kings 22 in the SBT

1 Kings 22 in the SBT1E

1 Kings 22 in the SCHL

1 Kings 22 in the SNT

1 Kings 22 in the SUSU

1 Kings 22 in the SUSU2

1 Kings 22 in the SYNO

1 Kings 22 in the TBIAOTANT

1 Kings 22 in the TBT1E

1 Kings 22 in the TBT1E2

1 Kings 22 in the TFTIP

1 Kings 22 in the TFTU

1 Kings 22 in the TGNTATF3T

1 Kings 22 in the THAI

1 Kings 22 in the TNFD

1 Kings 22 in the TNT

1 Kings 22 in the TNTIK

1 Kings 22 in the TNTIL

1 Kings 22 in the TNTIN

1 Kings 22 in the TNTIP

1 Kings 22 in the TNTIZ

1 Kings 22 in the TOMA

1 Kings 22 in the TTENT

1 Kings 22 in the UBG

1 Kings 22 in the UGV

1 Kings 22 in the UGV2

1 Kings 22 in the VBL

1 Kings 22 in the VDCC

1 Kings 22 in the YALU

1 Kings 22 in the YAPE

1 Kings 22 in the YBVTP

1 Kings 22 in the ZBP