1 Samuel 31 (UGV3)
1 Itne meṅ Filistiyoṅ aur Isrāīliyoṅ ke darmiyān jang chhiṛ gaī thī. Laṛte laṛte Isrāīlī farār hone lage, lekin bahut-se log Jilbua ke pahāṛī silsile par shahīd ho gae. 2 Phir Filistī Sāūl aur us ke beṭoṅ Yūnatan, Abīnadāb aur Malkīshua ke pās jā pahuṅche. Tīnoṅ beṭe halāk ho gae 3 jabki laṛāī Sāūl ke irdgird urūj tak pahuṅch gaī. Phir wuh tīrandāzoṅ kā nishānā ban kar burī tarah zaḳhmī ho gayā. 4 Us ne apne silāhbardār ko hukm diyā, “Apnī talwār miyān se khīṅch kar mujhe mār ḍāl, warnā yih nāmaḳhtūn mujhe chhed kar be'izzat kareṅge.” Lekin silāhbardār ne inkār kiyā, kyoṅki wuh bahut ḍarā huā thā. Āḳhir meṅ Sāūl apnī talwār le kar ḳhud us par gir gayā. 5 Jab silāhbardār ne dekhā ki merā mālik mar gayā hai to wuh bhī apnī talwār par gir kar mar gayā. 6 Yoṅ us din Sāūl, us ke tīn beṭe, us kā silāhbardār aur us ke tamām ādmī halāk ho gae. 7 Jab Maidān-e-Yazrael ke pār aur Dariyā-e-Yardan ke pār rahne wāle Isrāīliyoṅ ko ḳhabar milī ki Isrāīlī fauj bhāg gaī aur Sāūl apne beṭoṅ samet mārā gayā hai to wuh apne shahroṅ ko chhoṛ kar bhāg nikle, aur Filistī chhoṛe hue shahroṅ par qabzā karke un meṅ basne lage. 8 Agle din Filistī lāshoṅ ko lūṭne ke lie dubārā maidān-e-jang meṅ ā gae. Jab unheṅ Jilbua ke pahāṛī silsile par Sāūl aur us ke tīnoṅ beṭe murdā mile 9 to unhoṅ ne Sāūl kā sar kāṭ kar us kā zirābaktar utār liyā aur qāsidoṅ ko apne pūre mulk meṅ bhej kar apne butoṅ ke mandir meṅ aur apnī qaum ko fatah kī ittalā dī. 10 Sāūl kā zirābaktar unhoṅ ne Astārāt Dewī ke mandir meṅ mahfūz kar liyā aur us kī lāsh ko Bait-shān kī fasīl se laṭkā diyā. 11 Jab Yabīs-jiliyād ke bāshindoṅ ko ḳhabar milī ki Filistiyoṅ ne Sāūl kī lāsh ke sāth kyā kuchh kiyā hai 12 to shahr ke tamām laṛne ke qābil ādmī Bait-shān ke lie rawānā hue. Pūrī rāt chalte hue wuh shahr ke pās pahuṅch gae. Sāūl aur us ke beṭoṅ kī lāshoṅ ko fasīl se utār kar wuh unheṅ Yabīs ko le gae. Wahāṅ unhoṅ ne lāshoṅ ko bhasm kar diyā 13 aur bachī huī haḍḍiyoṅ ko shahr meṅ jhāū ke daraḳht ke sāy meṅ dafnāyā. Unhoṅ ne rozā rakh kar pūre hafte tak un kā mātam kiyā.