2 Chronicles 28 (UGV3)

1 Āḳhaz 20 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl hukūmat kartā rahā. Wuh apne bāp Dāūd ke namūne par na chalā balki wuh kuchh kartā rahā jo Rab ko nāpasand thā. 2 Kyoṅki us ne Isrāīl ke bādshāhoṅ kā chāl-chalan apnāyā. Bāl ke but ḍhalwā kar 3 us ne na sirf Wādī-e-Bin-hinnūm meṅ butoṅ ko qurbāniyāṅ pesh kīṅ balki apne beṭoṅ ko bhī qurbānī ke taur par jalā diyā. Yoṅ wuh un qaumoṅ ke ghinaune rasm-o-riwāj adā karne lagā jinheṅ Rab ne Isrāīliyoṅ ke āge mulk se nikāl diyā thā. 4 Āḳhaz baḳhūr jalā kar apnī qurbāniyāṅ ūṅche maqāmoṅ, pahāṛiyoṅ kī choṭiyoṅ aur har ghane daraḳht ke sāy meṅ chaṛhātā thā. 5 Isī lie Rab us ke Ḳhudā ne use Shām ke bādshāh ke hawāle kar diyā. Shām kī fauj ne use shikast dī aur Yahūdāh ke bahut-se logoṅ ko qaidī banā kar Damishq le gaī. Āḳhaz ko Isrāīl ke bādshāh Fiqah bin Ramaliyāh ke hawāle bhī kar diyā gayā jis ne use shadīd nuqsān pahuṅchāyā. 6 Ek hī din meṅ Yahūdāh ke 1,20,000 tajrabākār faujī shahīd hue. Yih sab kuchh is lie huā ki qaum ne Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ko tark kar diyā thā. 7 Us waqt Ifrāīm ke qabīle ke pahalwān Zikrī ne Āḳhaz ke beṭe Māsiyāh, mahal ke inchārj Azrīqām aur bādshāh ke bād sab se ālā afsar Ilqānā ko mār ḍālā. 8 Isrāīliyoṅ ne Yahūdāh kī 2,00,000 aurateṅ aur bachche chhīn lie aur kasrat kā māl lūṭ kar Sāmariya le gae. 9 Sāmariya meṅ Rab kā ek nabī banām Odīd rahtā thā. Jab Isrāīlī faujī maidān-e-jang se wāpas āe to Odīd un se milne ke lie niklā. Us ne un se kahā, “Dekheṅ, Rab āp ke bāpdādā kā Ḳhudā Yahūdāh se nārāz thā, is lie us ne unheṅ āp ke hawāle kar diyā. Lekin āp log taish meṅ ā kar un par yoṅ ṭūṭ paṛe ki un kā qatl-e-ām āsmān tak pahuṅch gayā hai. 10 Lekin yih kāfī nahīṅ thā. Ab āp Yahūdāh aur Yarūshalam ke bache huoṅ ko apne ġhulām banānā chāhte haiṅ. Kyā āp samajhte haiṅ ki ham un se achchhe haiṅ? Nahīṅ, āp se bhī Rab apne Ḳhudā ke ḳhilāf gunāh sarzad hue haiṅ. 11 Chunāṅche merī bāt suneṅ! In qaidiyoṅ ko wāpas kareṅ jo āp ne apne bhāiyoṅ se chhīn lie haiṅ. Kyoṅki Rab kā saḳht ġhazab āp par nāzil hone wālā hai.” 12 Ifrāīm ke qabīle ke kuchh sarparastoṅ ne bhī faujiyoṅ kā sāmnā kiyā. Un ke nām Azariyāh bin Yūhanān, Barakiyāh bin Masillamot, Yahizqiyāh bin Sallūm aur Amāsā bin Ḳhadlī the. 13 Unhoṅ ne kahā, “In qaidiyoṅ ko yahāṅ mat le āeṅ, warnā ham Rab ke sāmne qusūrwār ṭhahreṅge. Kyā āp chāhte haiṅ ki ham apne gunāhoṅ meṅ izāfā kareṅ? Hamārā qusūr pahle hī bahut baṛā hai. Hāṅ, Rab Isrāīl par saḳht ġhusse hai.” 14 Tab faujiyoṅ ne apne qaidiyoṅ ko āzād karke unheṅ lūṭe hue māl ke sāth buzurgoṅ aur pūrī jamāt ke hawāle kar diyā. 15 Mazkūrā chār ādmiyoṅ ne sāmne ā kar qaidiyoṅ ko apne pās mahfūz rakhā. Lūṭe hue māl meṅ se kapṛe nikāl kar unhoṅ ne unheṅ un meṅ taqsīm kiyā jo barahnā the. Is ke bād unhoṅ ne tamām qaidiyoṅ ko kapṛe aur jūte de die, unheṅ khānā khilāyā, pānī pilāyā aur un ke zaḳhmoṅ kī marham-paṭṭī kī. Jitne thakāwaṭ kī wajah se chal na sakte the unheṅ unhoṅ ne gadhoṅ par biṭhāyā, phir chalte chalte sab ko Khajūr ke Shahr Yarīhū tak pahuṅchāyā jahāṅ un ke apne log the. Phir wuh Sāmariya lauṭ āe. 16 Us waqt Āḳhaz Bādshāh ne Asūr ke bādshāh se iltamās kī, “Hamārī madad karne āeṅ.” 17 Kyoṅki Adomī Yahūdāh meṅ ghus kar kuchh logoṅ ko giriftār karke apne sāth le gae the. 18 Sāth sāth Filistī maġhribī Yahūdāh ke nashebī pahāṛī ilāqe aur junūbī ilāqe meṅ ghus āe the aur zail ke shahroṅ par qabzā karke un meṅ rahne lage the: Bait-shams, Aiyālon, Jadīrot, nīz Sokā, Timnat aur Jimzū gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet. 19 Is tarah Rab ne Yahūdāh ko Āḳhaz kī wajah se zer kar diyā, kyoṅki bādshāh ne Yahūdāh meṅ belagām berāhrawī phailne dī aur Rab se apnī bewafāī kā sāf izhār kiyā thā. 20 Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar apnī fauj le kar mulk meṅ āyā, lekin Āḳhaz kī madad karne ke bajāe us ne use tang kiyā. 21 Āḳhaz ne Rab ke ghar, shāhī mahal aur apne ālā afsaroṅ ke ḳhazānoṅ ko lūṭ kar sārā māl Asūr ke bādshāh ko bhej diyā, lekin befāydā. Is se use sahīh madad na milī. 22 Go wuh us waqt baṛī musībat meṅ thā to bhī Rab se aur dūr ho gayā. 23 Wuh Shām ke dewatāoṅ ko qurbāniyāṅ pesh karne lagā, kyoṅki us kā ḳhayāl thā ki inhīṅ ne mujhe shikast dī hai. Us ne sochā, “Shām ke dewatā apne bādshāhoṅ kī madad karte haiṅ! Ab se maiṅ unheṅ qurbāniyāṅ pesh karūṅga tāki wuh merī bhī madad kareṅ.” Lekin yih dewatā bādshāh Āḳhaz aur pūrī qaum ke lie tabāhī kā bāis ban gae. 24 Āḳhaz ne hukm diyā ki Allāh ke ghar kā sārā sāmān nikāl kar ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jāe. Phir us ne Rab ke ghar ke darwāzoṅ par tālā lagā diyā. Us kī jagah us ne Yarūshalam ke kone kone meṅ qurbāngāheṅ khaṛī kar dīṅ. 25 Sāth sāth us ne dīgar mābūdoṅ ko qurbāniyāṅ pesh karne ke lie Yahūdāh ke har shahr kī ūṅchī jaghoṅ par mandir tāmīr kie. Aisī harkatoṅ se wuh Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ko taish dilātā rahā. 26 Bāqī jo kuchh us kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh shurū se le kar āḳhir tak ‘Shāhān-e-Yahūdāh-o-Isrāīl’ kī kitāb meṅ darj hai. 27 Jab Āḳhaz mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam meṅ dafn kiyā gayā, lekin shāhī qabristān meṅ nahīṅ. Phir us kā beṭā Hizqiyāh taḳhtnashīn huā.

In Other Versions

2 Chronicles 28 in the ANGEFD

2 Chronicles 28 in the ANTPNG2D

2 Chronicles 28 in the AS21

2 Chronicles 28 in the BAGH

2 Chronicles 28 in the BBPNG

2 Chronicles 28 in the BBT1E

2 Chronicles 28 in the BDS

2 Chronicles 28 in the BEV

2 Chronicles 28 in the BHAD

2 Chronicles 28 in the BIB

2 Chronicles 28 in the BLPT

2 Chronicles 28 in the BNT

2 Chronicles 28 in the BNTABOOT

2 Chronicles 28 in the BNTLV

2 Chronicles 28 in the BOATCB

2 Chronicles 28 in the BOATCB2

2 Chronicles 28 in the BOBCV

2 Chronicles 28 in the BOCNT

2 Chronicles 28 in the BOECS

2 Chronicles 28 in the BOGWICC

2 Chronicles 28 in the BOHCB

2 Chronicles 28 in the BOHCV

2 Chronicles 28 in the BOHLNT

2 Chronicles 28 in the BOHNTLTAL

2 Chronicles 28 in the BOICB

2 Chronicles 28 in the BOILNTAP

2 Chronicles 28 in the BOITCV

2 Chronicles 28 in the BOKCV

2 Chronicles 28 in the BOKCV2

2 Chronicles 28 in the BOKHWOG

2 Chronicles 28 in the BOKSSV

2 Chronicles 28 in the BOLCB

2 Chronicles 28 in the BOLCB2

2 Chronicles 28 in the BOMCV

2 Chronicles 28 in the BONAV

2 Chronicles 28 in the BONCB

2 Chronicles 28 in the BONLT

2 Chronicles 28 in the BONUT2

2 Chronicles 28 in the BOPLNT

2 Chronicles 28 in the BOSCB

2 Chronicles 28 in the BOSNC

2 Chronicles 28 in the BOTLNT

2 Chronicles 28 in the BOVCB

2 Chronicles 28 in the BOYCB

2 Chronicles 28 in the BPBB

2 Chronicles 28 in the BPH

2 Chronicles 28 in the BSB

2 Chronicles 28 in the CCB

2 Chronicles 28 in the CUV

2 Chronicles 28 in the CUVS

2 Chronicles 28 in the DBT

2 Chronicles 28 in the DGDNT

2 Chronicles 28 in the DHNT

2 Chronicles 28 in the DNT

2 Chronicles 28 in the ELBE

2 Chronicles 28 in the EMTV

2 Chronicles 28 in the ESV

2 Chronicles 28 in the FBV

2 Chronicles 28 in the FEB

2 Chronicles 28 in the GGMNT

2 Chronicles 28 in the GNT

2 Chronicles 28 in the HARY

2 Chronicles 28 in the HNT

2 Chronicles 28 in the IRVA

2 Chronicles 28 in the IRVB

2 Chronicles 28 in the IRVG

2 Chronicles 28 in the IRVH

2 Chronicles 28 in the IRVK

2 Chronicles 28 in the IRVM

2 Chronicles 28 in the IRVM2

2 Chronicles 28 in the IRVO

2 Chronicles 28 in the IRVP

2 Chronicles 28 in the IRVT

2 Chronicles 28 in the IRVT2

2 Chronicles 28 in the IRVU

2 Chronicles 28 in the ISVN

2 Chronicles 28 in the JSNT

2 Chronicles 28 in the KAPI

2 Chronicles 28 in the KBT1ETNIK

2 Chronicles 28 in the KBV

2 Chronicles 28 in the KJV

2 Chronicles 28 in the KNFD

2 Chronicles 28 in the LBA

2 Chronicles 28 in the LBLA

2 Chronicles 28 in the LNT

2 Chronicles 28 in the LSV

2 Chronicles 28 in the MAAL

2 Chronicles 28 in the MBV

2 Chronicles 28 in the MBV2

2 Chronicles 28 in the MHNT

2 Chronicles 28 in the MKNFD

2 Chronicles 28 in the MNG

2 Chronicles 28 in the MNT

2 Chronicles 28 in the MNT2

2 Chronicles 28 in the MRS1T

2 Chronicles 28 in the NAA

2 Chronicles 28 in the NASB

2 Chronicles 28 in the NBLA

2 Chronicles 28 in the NBS

2 Chronicles 28 in the NBVTP

2 Chronicles 28 in the NET2

2 Chronicles 28 in the NIV11

2 Chronicles 28 in the NNT

2 Chronicles 28 in the NNT2

2 Chronicles 28 in the NNT3

2 Chronicles 28 in the PDDPT

2 Chronicles 28 in the PFNT

2 Chronicles 28 in the RMNT

2 Chronicles 28 in the SBIAS

2 Chronicles 28 in the SBIBS

2 Chronicles 28 in the SBIBS2

2 Chronicles 28 in the SBICS

2 Chronicles 28 in the SBIDS

2 Chronicles 28 in the SBIGS

2 Chronicles 28 in the SBIHS

2 Chronicles 28 in the SBIIS

2 Chronicles 28 in the SBIIS2

2 Chronicles 28 in the SBIIS3

2 Chronicles 28 in the SBIKS

2 Chronicles 28 in the SBIKS2

2 Chronicles 28 in the SBIMS

2 Chronicles 28 in the SBIOS

2 Chronicles 28 in the SBIPS

2 Chronicles 28 in the SBISS

2 Chronicles 28 in the SBITS

2 Chronicles 28 in the SBITS2

2 Chronicles 28 in the SBITS3

2 Chronicles 28 in the SBITS4

2 Chronicles 28 in the SBIUS

2 Chronicles 28 in the SBIVS

2 Chronicles 28 in the SBT

2 Chronicles 28 in the SBT1E

2 Chronicles 28 in the SCHL

2 Chronicles 28 in the SNT

2 Chronicles 28 in the SUSU

2 Chronicles 28 in the SUSU2

2 Chronicles 28 in the SYNO

2 Chronicles 28 in the TBIAOTANT

2 Chronicles 28 in the TBT1E

2 Chronicles 28 in the TBT1E2

2 Chronicles 28 in the TFTIP

2 Chronicles 28 in the TFTU

2 Chronicles 28 in the TGNTATF3T

2 Chronicles 28 in the THAI

2 Chronicles 28 in the TNFD

2 Chronicles 28 in the TNT

2 Chronicles 28 in the TNTIK

2 Chronicles 28 in the TNTIL

2 Chronicles 28 in the TNTIN

2 Chronicles 28 in the TNTIP

2 Chronicles 28 in the TNTIZ

2 Chronicles 28 in the TOMA

2 Chronicles 28 in the TTENT

2 Chronicles 28 in the UBG

2 Chronicles 28 in the UGV

2 Chronicles 28 in the UGV2

2 Chronicles 28 in the VBL

2 Chronicles 28 in the VDCC

2 Chronicles 28 in the YALU

2 Chronicles 28 in the YAPE

2 Chronicles 28 in the YBVTP

2 Chronicles 28 in the ZBP