2 Corinthians 11 (UGV3)

1 Ḳhudā kare ki jab maiṅ apnī hamāqat kā kuchh izhār kartā hūṅ to āp mujhe bardāsht kareṅ. Hāṅ, zarūr mujhe bardāsht kareṅ, 2 kyoṅki maiṅ āp ke lie Allāh kī-sī ġhairat rakhtā hūṅ. Maiṅ ne āp kā rishtā ek hī mard ke sāth bāndhā, aur maiṅ āp ko pākdāman kuṅwārī kī haisiyat se us mard Masīh ke huzūr pesh karnā chāhtā thā. 3 Lekin afsos, mujhe ḍar hai ki āp Hawwā kī tarah gunāh meṅ gir jāeṅge, ki jis tarah sāṅp ne apnī chālākī se Hawwā ko dhokā diyā usī tarah āp kī soch bhī bigaṛ jāegī aur wuh ḳhulūsdilī aur pāk lagan ḳhatm ho jāegī jo āp Masīh ke lie mahsūs karte haiṅ. 4 Kyoṅki āp ḳhushī se har ek ko bardāsht karte haiṅ jo āp ke pās ā kar ek farq qism kā Īsā pesh kartā hai, ek aisā Īsā jo ham ne āp ko pesh nahīṅ kiyā thā. Aur āp ek aisī rūh aur aisī “Ḳhushḳhabrī” qabūl karte haiṅ jo us Rūh aur ḳhushḳhabrī se bilkul farq hai jo āp ko ham se milī thī. 5 Merā nahīṅ ḳhayāl ki maiṅ in nām-nihād ‘ḳhās’ rasūloṅ kī nisbat kam hūṅ. 6 Ho saktā hai ki maiṅ bolne meṅ māhir nahīṅ hūṅ, lekin yih mere ilm ke bāre meṅ nahīṅ kahā jā saktā. Yih ham ne āp ko sāf sāf aur har lihāz se dikhāyā hai. 7 Maiṅ ne Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāne ke lie āp se koī bhī muāwazā na liyā. Yoṅ maiṅ ne apne āp ko nīchā kar diyā tāki āp ko sarfarāz kar diyā jāe. Kyā is meṅ mujh se ġhaltī huī? 8 Jab maiṅ āp kī ḳhidmat kar rahā thā to mujhe Ḳhudā kī dīgar jamātoṅ se paise mil rahe the, yānī āp kī madad karne ke lie maiṅ unheṅ lūṭ rahā thā. 9 Aur jab maiṅ āp ke pās thā aur zarūratmand thā to maiṅ kisī par bojh na banā, kyoṅki jo bhāī Makiduniyā se āe unhoṅ ne merī zarūriyāt pūrī kīṅ. Māzī meṅ maiṅ āp par bojh na banā aur āindā bhī nahīṅ banūṅgā. 10 Masīh kī us sachchāī kī qasam jo mere andar hai, Aḳhayā ke pūre sūbe meṅ koī mujhe is par faḳhr karne se nahīṅ rokegā. 11 Maiṅ yih kyoṅ kah rahā hūṅ? Is lie ki maiṅ āp se muhabbat nahīṅ rakhtā? Ḳhudā hī jāntā hai ki maiṅ āp se muhabbat rakhtā hūṅ. 12 Aur jo kuchh maiṅ ab kar rahā hūṅ wuhī kartā rahūṅgā, tāki maiṅ nām-nihād rasūloṅ ko wuh mauqā na dūṅ jo wuh ḍhūnḍ rahe haiṅ. Kyoṅki yihī un kā maqsad hai ki wuh faḳhr karke yih kah sakeṅ ki wuh ham jaise haiṅ. 13 Aise log to jhūṭe rasūl haiṅ, dhokebāz mazdūr jinhoṅ ne Masīh ke rasūloṅ kā rūp dhār liyā hai. 14 Aur kyā ajab, kyoṅki Iblīs bhī nūr ke farishte kā rūp dhār kar ghūmtā-phirtā hai. 15 To phir yih baṛī bāt nahīṅ ki us ke chele rāstbāzī ke ḳhādim kā rūp dhār kar ghūmte-phirte haiṅ. Un kā anjām un ke āmāl ke mutābiq hī hogā. 16 Maiṅ dubārā kahtā hūṅ ki koī mujhe ahmaq na samjhe. Lekin agar āp yih socheṅ bhī to kam az kam mujhe ahmaq kī haisiyat se qabūl kareṅ tāki maiṅ bhī thoṛā-bahut apne āp par faḳhr karūṅ. 17 Asal meṅ jo kuchh maiṅ ab bayān kar rahā hūṅ wuh Ḳhudāwand ko pasand nahīṅ hai, balki maiṅ ahmaq kī tarah bāt kar rahā hūṅ. 18 Lekin chūṅki itne log jismānī taur par faḳhr kar rahe haiṅ is lie maiṅ bhī faḳhr karūṅga. 19 Beshak āp ḳhud itne dānishmand haiṅ ki āp ahmaqoṅ ko ḳhushī se bardāsht karte haiṅ. 20 Hāṅ, balki āp yih bhī bardāsht karte haiṅ jab log āp ko ġhulām banāte, āp ko lūṭte, āp se ġhalat fāydā uṭhāte, naḳhre karte aur āp ko thappaṛ mārte haiṅ. 21 Yih kah kar mujhe sharm ātī hai ki ham itne kamzor the ki ham aisā na kar sake.Lekin agar koī kisī bāt par faḳhr karne kī jurrat kare (maiṅ ahmaq kī-sī bāt kar rahā hūṅ) to maiṅ bhī utnī hī jurrat karūṅga. 22 Kyā wuh Ibrānī haiṅ? Maiṅ bhī hūṅ. Kyā wuh Isrāīlī haiṅ? Maiṅ bhī hūṅ. Kyā wuh Ibrāhīm kī aulād haiṅ? Maiṅ bhī hūṅ. 23 Kyā wuh Masīh ke ḳhādim haiṅ? (Ab to maiṅ goyā beḳhud ho gayā hūṅ ki is tarah kī bāteṅ kar rahā hūṅ!) Maiṅ un se zyādā Masīh kī ḳhidmat kartā hūṅ. Maiṅ ne un se kahīṅ zyādā mehnat-mashaqqat kī, zyādā dafā jel meṅ rahā, mere zyādā saḳhtī se koṛe lagāe gae aur maiṅ bār bār marne ke ḳhatroṅ meṅ rahā hūṅ. 24 Mujhe Yahūdiyoṅ se pāṅch dafā 39 koṛoṅ kī sazā milī hai. 25 Tīn dafā Romiyoṅ ne mujhe lāṭhī se mārā. Ek bār mujhe sangsār kiyā gayā. Jab maiṅ samundar meṅ safr kar rahā thā to tīn martabā merā jahāz tabāh huā. Hāṅ, ek dafā mujhe jahāz ke tabāh hone par ek pūrī rāt aur din samundar meṅ guzārnā paṛā. 26 Mere beshumār safroṅ ke daurān mujhe kaī tarah ke ḳhatroṅ kā sāmnā karnā paṛā, dariyāoṅ aur ḍākuoṅ kā ḳhatrā, apne hamwatanoṅ aur Ġhairyahūdiyoṅ ke hamloṅ kā ḳhatrā. Jahāṅ bhī maiṅ gayā hūṅ wahāṅ yih ḳhatre maujūd rahe, ḳhāh maiṅ shahr meṅ thā, ḳhāh ġhairābād ilāqe meṅ yā samundar meṅ. Jhūṭe bhāiyoṅ kī taraf se bhī ḳhatre rahe haiṅ. 27 Maiṅ ne jāṅfishānī se saḳht mehnat-mashaqqat kī hai aur kaī rāt jāgtā rahā hūṅ, maiṅ bhūkā aur pyāsā rahā hūṅ, maiṅ ne bahut roze rakhe haiṅ. Mujhe sardī aur nangepan kā tajrabā huā hai. 28 Aur yih un fikroṅ ke alāwā hai jo maiṅ Ḳhudā kī tamām jamātoṅ ke lie mahsūs kartā hūṅ aur jo mujhe dabātī rahtī haiṅ. 29 Jab koī kamzor hai to maiṅ apne āp ko bhī kamzor mahsūs kartā hūṅ. Jab kisī ko ġhalat rāh par lāyā jātā hai to maiṅ us ke lie shadīd ranjish mahsūs kartā hūṅ. 30 Agar mujhe faḳhr karnā paṛe to maiṅ un chīzoṅ par faḳhr karūṅga jo merī kamzor hālat zāhir kartī haiṅ. 31 Hamārā Ḳhudā aur Ḳhudāwand Īsā kā Bāp (us kī hamd-o-sanā abad tak ho) jāntā hai ki maiṅ jhūṭ nahīṅ bol rahā. 32 Jab maiṅ Damishq Shahr meṅ thā to bādshāh Aritās ke gawarnar ne shahr ke tamām darwāzoṅ par apne pahredār muqarrar kie tāki wuh mujhe giriftār kareṅ. 33 Lekin shahr kī fasīl meṅ ek darīchā thā, aur mujhe ek ṭokre meṅ rakh kar wahāṅ se utārā gayā. Yoṅ maiṅ us ke hāthoṅ se bach niklā.

In Other Versions

2 Corinthians 11 in the ANGEFD

2 Corinthians 11 in the ANTPNG2D

2 Corinthians 11 in the AS21

2 Corinthians 11 in the BAGH

2 Corinthians 11 in the BBPNG

2 Corinthians 11 in the BBT1E

2 Corinthians 11 in the BDS

2 Corinthians 11 in the BEV

2 Corinthians 11 in the BHAD

2 Corinthians 11 in the BIB

2 Corinthians 11 in the BLPT

2 Corinthians 11 in the BNT

2 Corinthians 11 in the BNTABOOT

2 Corinthians 11 in the BNTLV

2 Corinthians 11 in the BOATCB

2 Corinthians 11 in the BOATCB2

2 Corinthians 11 in the BOBCV

2 Corinthians 11 in the BOCNT

2 Corinthians 11 in the BOECS

2 Corinthians 11 in the BOGWICC

2 Corinthians 11 in the BOHCB

2 Corinthians 11 in the BOHCV

2 Corinthians 11 in the BOHLNT

2 Corinthians 11 in the BOHNTLTAL

2 Corinthians 11 in the BOICB

2 Corinthians 11 in the BOILNTAP

2 Corinthians 11 in the BOITCV

2 Corinthians 11 in the BOKCV

2 Corinthians 11 in the BOKCV2

2 Corinthians 11 in the BOKHWOG

2 Corinthians 11 in the BOKSSV

2 Corinthians 11 in the BOLCB

2 Corinthians 11 in the BOLCB2

2 Corinthians 11 in the BOMCV

2 Corinthians 11 in the BONAV

2 Corinthians 11 in the BONCB

2 Corinthians 11 in the BONLT

2 Corinthians 11 in the BONUT2

2 Corinthians 11 in the BOPLNT

2 Corinthians 11 in the BOSCB

2 Corinthians 11 in the BOSNC

2 Corinthians 11 in the BOTLNT

2 Corinthians 11 in the BOVCB

2 Corinthians 11 in the BOYCB

2 Corinthians 11 in the BPBB

2 Corinthians 11 in the BPH

2 Corinthians 11 in the BSB

2 Corinthians 11 in the CCB

2 Corinthians 11 in the CUV

2 Corinthians 11 in the CUVS

2 Corinthians 11 in the DBT

2 Corinthians 11 in the DGDNT

2 Corinthians 11 in the DHNT

2 Corinthians 11 in the DNT

2 Corinthians 11 in the ELBE

2 Corinthians 11 in the EMTV

2 Corinthians 11 in the ESV

2 Corinthians 11 in the FBV

2 Corinthians 11 in the FEB

2 Corinthians 11 in the GGMNT

2 Corinthians 11 in the GNT

2 Corinthians 11 in the HARY

2 Corinthians 11 in the HNT

2 Corinthians 11 in the IRVA

2 Corinthians 11 in the IRVB

2 Corinthians 11 in the IRVG

2 Corinthians 11 in the IRVH

2 Corinthians 11 in the IRVK

2 Corinthians 11 in the IRVM

2 Corinthians 11 in the IRVM2

2 Corinthians 11 in the IRVO

2 Corinthians 11 in the IRVP

2 Corinthians 11 in the IRVT

2 Corinthians 11 in the IRVT2

2 Corinthians 11 in the IRVU

2 Corinthians 11 in the ISVN

2 Corinthians 11 in the JSNT

2 Corinthians 11 in the KAPI

2 Corinthians 11 in the KBT1ETNIK

2 Corinthians 11 in the KBV

2 Corinthians 11 in the KJV

2 Corinthians 11 in the KNFD

2 Corinthians 11 in the LBA

2 Corinthians 11 in the LBLA

2 Corinthians 11 in the LNT

2 Corinthians 11 in the LSV

2 Corinthians 11 in the MAAL

2 Corinthians 11 in the MBV

2 Corinthians 11 in the MBV2

2 Corinthians 11 in the MHNT

2 Corinthians 11 in the MKNFD

2 Corinthians 11 in the MNG

2 Corinthians 11 in the MNT

2 Corinthians 11 in the MNT2

2 Corinthians 11 in the MRS1T

2 Corinthians 11 in the NAA

2 Corinthians 11 in the NASB

2 Corinthians 11 in the NBLA

2 Corinthians 11 in the NBS

2 Corinthians 11 in the NBVTP

2 Corinthians 11 in the NET2

2 Corinthians 11 in the NIV11

2 Corinthians 11 in the NNT

2 Corinthians 11 in the NNT2

2 Corinthians 11 in the NNT3

2 Corinthians 11 in the PDDPT

2 Corinthians 11 in the PFNT

2 Corinthians 11 in the RMNT

2 Corinthians 11 in the SBIAS

2 Corinthians 11 in the SBIBS

2 Corinthians 11 in the SBIBS2

2 Corinthians 11 in the SBICS

2 Corinthians 11 in the SBIDS

2 Corinthians 11 in the SBIGS

2 Corinthians 11 in the SBIHS

2 Corinthians 11 in the SBIIS

2 Corinthians 11 in the SBIIS2

2 Corinthians 11 in the SBIIS3

2 Corinthians 11 in the SBIKS

2 Corinthians 11 in the SBIKS2

2 Corinthians 11 in the SBIMS

2 Corinthians 11 in the SBIOS

2 Corinthians 11 in the SBIPS

2 Corinthians 11 in the SBISS

2 Corinthians 11 in the SBITS

2 Corinthians 11 in the SBITS2

2 Corinthians 11 in the SBITS3

2 Corinthians 11 in the SBITS4

2 Corinthians 11 in the SBIUS

2 Corinthians 11 in the SBIVS

2 Corinthians 11 in the SBT

2 Corinthians 11 in the SBT1E

2 Corinthians 11 in the SCHL

2 Corinthians 11 in the SNT

2 Corinthians 11 in the SUSU

2 Corinthians 11 in the SUSU2

2 Corinthians 11 in the SYNO

2 Corinthians 11 in the TBIAOTANT

2 Corinthians 11 in the TBT1E

2 Corinthians 11 in the TBT1E2

2 Corinthians 11 in the TFTIP

2 Corinthians 11 in the TFTU

2 Corinthians 11 in the TGNTATF3T

2 Corinthians 11 in the THAI

2 Corinthians 11 in the TNFD

2 Corinthians 11 in the TNT

2 Corinthians 11 in the TNTIK

2 Corinthians 11 in the TNTIL

2 Corinthians 11 in the TNTIN

2 Corinthians 11 in the TNTIP

2 Corinthians 11 in the TNTIZ

2 Corinthians 11 in the TOMA

2 Corinthians 11 in the TTENT

2 Corinthians 11 in the UBG

2 Corinthians 11 in the UGV

2 Corinthians 11 in the UGV2

2 Corinthians 11 in the VBL

2 Corinthians 11 in the VDCC

2 Corinthians 11 in the YALU

2 Corinthians 11 in the YAPE

2 Corinthians 11 in the YBVTP

2 Corinthians 11 in the ZBP