2 Kings 11 (UGV3)
1 Jab Aḳhaziyāh kī māṅ Ataliyāh ko mālūm huā ki merā beṭā mar gayā hai to wuh Aḳhaziyāh kī tamām aulād ko qatl karne lagī. 2 Lekin Aḳhaziyāh kī sagī bahan Yahūsabā ne Aḳhaziyāh ke chhoṭe beṭe Yuās ko chupke se un shahzādoṅ meṅ se nikāl liyā jinheṅ qatl karnā thā aur use us kī dāyā ke sāth ek sṭor meṅ chhupā diyā jis meṅ bistar waġhairā mahfūz rakhe jāte the. Is tarah wuh bach gayā. 3 Bād meṅ Yuās ko Rab ke ghar meṅ muntaqil kiyā gayā jahāṅ wuh us ke sāth un chhih sāloṅ ke daurān chhupā rahā jab Ataliyāh malikā thī. 4 Ataliyāh kī hukūmat ke sātweṅ sāl meṅ Yahoyadā Imām ne sau sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsaroṅ, Kārī nāmī dastoṅ aur shāhī muhāfizoṅ ko Rab ke ghar meṅ bulā liyā. Wahāṅ us ne qasam khilā kar un se ahd bāndhā. Phir us ne bādshāh ke beṭe Yuās ko pesh karke 5 unheṅ hidāyat kī, “Agle Sabat ke din āp meṅ se jitne ḍyūṭī par āeṅge wuh tīn hissoṅ meṅ taqsīm ho jāeṅ. Ek hissā shāhī mahal par pahrā de, 6 dūsrā Sūr nāmī darwāze par aur tīsrā shāhī muhāfizoṅ ke pīchhe ke darwāze par. Yoṅ āp Rab ke ghar kī hifāzat kareṅge. 7 Dūsre do guroh jo Sabat ke din ḍyūṭī nahīṅ karte unheṅ Rab ke ghar meṅ ā kar Yuās Bādshāh kī pahrādārī karnī hai. 8 Wuh us ke irdgird dāyrā banā kar apne hathiyāroṅ ko pakaṛe rakheṅ aur jahāṅ bhī wuh jāe use ghere rakheṅ. Jo bhī is dāyre meṅ ghusne kī koshish kare use mār ḍālnā.” 9 So sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsaroṅ ne aisā hī kiyā. Agle Sabat ke din wuh sab apne faujiyoṅ samet Yahoyadā Imām ke pās āe. Wuh bhī āe jo ḍyūṭī par the aur wuh bhī jin kī ab chhuṭṭī thī. 10 Imām ne afsaroṅ ko Dāūd Bādshāh ke wuh neze aur ḍhāleṅ dīṅ jo ab tak Rab ke ghar meṅ mahfūz rakhī huī thīṅ. 11 Phir muhāfiz hathiyāroṅ ko hāth meṅ pakaṛe bādshāh ke gird khaṛe ho gae. Qurbāngāh aur Rab ke ghar ke darmiyān un kā dāyrā Rab ke ghar kī junūbī dīwār se le kar us kī shimālī dīwār tak phailā huā thā. 12 Phir Yahoyadā bādshāh ke beṭe Yuās ko bāhar lāyā aur us ke sar par tāj rakh kar use qawānīn kī kitāb de dī. Yoṅ Yuās ko bādshāh banā diyā gayā. Unhoṅ ne use masah karke tāliyāṅ bajāīṅ aur buland āwāz se nārā lagāne lage, “Bādshāh zindābād!” 13 Jab muhāfizoṅ aur bāqī logoṅ kā shor Ataliyāh tak pahuṅchā to wuh Rab ke ghar ke sahan meṅ un ke pās āī. 14 Wahāṅ pahuṅch kar wuh kyā deḳhtī hai ki nayā bādshāh us satūn ke pās khaṛā hai jahāṅ bādshāh riwāj ke mutābiq khaṛā hotā hai, aur wuh afsaroṅ aur turam bajāne wāloṅ se ghirā huā hai. Tamām ummat bhī sāth khaṛī turam bajā bajā kar ḳhushī manā rahī hai. Ataliyāh ranjish ke māre apne kapṛe phāṛ kar chīḳh uṭhī, “Ġhaddārī, ġhaddārī!” 15 Yahoyadā Imām ne sau sau faujiyoṅ par muqarrar un afsaroṅ ko bulāyā jin ke sapurd fauj kī gaī thī aur unheṅ hukm diyā, “Use bāhar le jāeṅ, kyoṅki munāsib nahīṅ ki use Rab ke ghar ke pās mārā jāe. Aur jo bhī us ke pīchhe āe use talwār se mār denā.” 16 Wuh Ataliyāh ko pakaṛ kar us rāste par le gae jis par chalte hue ghoṛe mahal ke pās pahuṅchte haiṅ. Wahāṅ use mār diyā gayā. 17 Phir Yahoyadā ne bādshāh aur qaum ke sāth mil kar Rab se ahd bāndh kar wādā kiyā ki ham Rab kī qaum raheṅge. Is ke alāwā bādshāh ne Yahoyadā kī mārifat qaum se bhī ahd bāndhā. 18 Is ke bād ummat ke tamām log Bāl ke mandir par ṭūṭ paṛe aur use ḍhā diyā. Us kī qurbāngāhoṅ aur butoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe karke unhoṅ ne Bāl ke pujārī Mattān ko qurbāngāhoṅ ke sāmne hī mār ḍālā. Rab ke ghar par pahredār khaṛe karne ke bād 19 Yahoyadā sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ, Kārī nāmī dastoṅ, mahal ke muhāfizoṅ aur bāqī pūrī ummat ke hamrāh julūs nikāl kar bādshāh ko Rab ke ghar se mahal meṅ le gayā. Wuh muhāfizoṅ ke darwāze se ho kar dāḳhil hue. Bādshāh shāhī taḳht par baiṭh gayā, 20 aur tamām ummat ḳhushī manātī rahī. Yoṅ Yarūshalam Shahr ko sukūn milā, kyoṅki Ataliyāh ko mahal ke pās talwār se mār diyā gayā thā. 21 Yuās sāt sāl kā thā jab taḳhtnashīn huā.
In Other Versions
2 Kings 11 in the ANGEFD
2 Kings 11 in the ANTPNG2D
2 Kings 11 in the AS21
2 Kings 11 in the BAGH
2 Kings 11 in the BBPNG
2 Kings 11 in the BBT1E
2 Kings 11 in the BDS
2 Kings 11 in the BEV
2 Kings 11 in the BHAD
2 Kings 11 in the BIB
2 Kings 11 in the BLPT
2 Kings 11 in the BNT
2 Kings 11 in the BNTABOOT
2 Kings 11 in the BNTLV
2 Kings 11 in the BOATCB
2 Kings 11 in the BOATCB2
2 Kings 11 in the BOBCV
2 Kings 11 in the BOCNT
2 Kings 11 in the BOECS
2 Kings 11 in the BOGWICC
2 Kings 11 in the BOHCB
2 Kings 11 in the BOHCV
2 Kings 11 in the BOHLNT
2 Kings 11 in the BOHNTLTAL
2 Kings 11 in the BOICB
2 Kings 11 in the BOILNTAP
2 Kings 11 in the BOITCV
2 Kings 11 in the BOKCV
2 Kings 11 in the BOKCV2
2 Kings 11 in the BOKHWOG
2 Kings 11 in the BOKSSV
2 Kings 11 in the BOLCB
2 Kings 11 in the BOLCB2
2 Kings 11 in the BOMCV
2 Kings 11 in the BONAV
2 Kings 11 in the BONCB
2 Kings 11 in the BONLT
2 Kings 11 in the BONUT2
2 Kings 11 in the BOPLNT
2 Kings 11 in the BOSCB
2 Kings 11 in the BOSNC
2 Kings 11 in the BOTLNT
2 Kings 11 in the BOVCB
2 Kings 11 in the BOYCB
2 Kings 11 in the BPBB
2 Kings 11 in the BPH
2 Kings 11 in the BSB
2 Kings 11 in the CCB
2 Kings 11 in the CUV
2 Kings 11 in the CUVS
2 Kings 11 in the DBT
2 Kings 11 in the DGDNT
2 Kings 11 in the DHNT
2 Kings 11 in the DNT
2 Kings 11 in the ELBE
2 Kings 11 in the EMTV
2 Kings 11 in the ESV
2 Kings 11 in the FBV
2 Kings 11 in the FEB
2 Kings 11 in the GGMNT
2 Kings 11 in the GNT
2 Kings 11 in the HARY
2 Kings 11 in the HNT
2 Kings 11 in the IRVA
2 Kings 11 in the IRVB
2 Kings 11 in the IRVG
2 Kings 11 in the IRVH
2 Kings 11 in the IRVK
2 Kings 11 in the IRVM
2 Kings 11 in the IRVM2
2 Kings 11 in the IRVO
2 Kings 11 in the IRVP
2 Kings 11 in the IRVT
2 Kings 11 in the IRVT2
2 Kings 11 in the IRVU
2 Kings 11 in the ISVN
2 Kings 11 in the JSNT
2 Kings 11 in the KAPI
2 Kings 11 in the KBT1ETNIK
2 Kings 11 in the KBV
2 Kings 11 in the KJV
2 Kings 11 in the KNFD
2 Kings 11 in the LBA
2 Kings 11 in the LBLA
2 Kings 11 in the LNT
2 Kings 11 in the LSV
2 Kings 11 in the MAAL
2 Kings 11 in the MBV
2 Kings 11 in the MBV2
2 Kings 11 in the MHNT
2 Kings 11 in the MKNFD
2 Kings 11 in the MNG
2 Kings 11 in the MNT
2 Kings 11 in the MNT2
2 Kings 11 in the MRS1T
2 Kings 11 in the NAA
2 Kings 11 in the NASB
2 Kings 11 in the NBLA
2 Kings 11 in the NBS
2 Kings 11 in the NBVTP
2 Kings 11 in the NET2
2 Kings 11 in the NIV11
2 Kings 11 in the NNT
2 Kings 11 in the NNT2
2 Kings 11 in the NNT3
2 Kings 11 in the PDDPT
2 Kings 11 in the PFNT
2 Kings 11 in the RMNT
2 Kings 11 in the SBIAS
2 Kings 11 in the SBIBS
2 Kings 11 in the SBIBS2
2 Kings 11 in the SBICS
2 Kings 11 in the SBIDS
2 Kings 11 in the SBIGS
2 Kings 11 in the SBIHS
2 Kings 11 in the SBIIS
2 Kings 11 in the SBIIS2
2 Kings 11 in the SBIIS3
2 Kings 11 in the SBIKS
2 Kings 11 in the SBIKS2
2 Kings 11 in the SBIMS
2 Kings 11 in the SBIOS
2 Kings 11 in the SBIPS
2 Kings 11 in the SBISS
2 Kings 11 in the SBITS
2 Kings 11 in the SBITS2
2 Kings 11 in the SBITS3
2 Kings 11 in the SBITS4
2 Kings 11 in the SBIUS
2 Kings 11 in the SBIVS
2 Kings 11 in the SBT
2 Kings 11 in the SBT1E
2 Kings 11 in the SCHL
2 Kings 11 in the SNT
2 Kings 11 in the SUSU
2 Kings 11 in the SUSU2
2 Kings 11 in the SYNO
2 Kings 11 in the TBIAOTANT
2 Kings 11 in the TBT1E
2 Kings 11 in the TBT1E2
2 Kings 11 in the TFTIP
2 Kings 11 in the TFTU
2 Kings 11 in the TGNTATF3T
2 Kings 11 in the THAI
2 Kings 11 in the TNFD
2 Kings 11 in the TNT
2 Kings 11 in the TNTIK
2 Kings 11 in the TNTIL
2 Kings 11 in the TNTIN
2 Kings 11 in the TNTIP
2 Kings 11 in the TNTIZ
2 Kings 11 in the TOMA
2 Kings 11 in the TTENT
2 Kings 11 in the UBG
2 Kings 11 in the UGV
2 Kings 11 in the UGV2
2 Kings 11 in the VBL
2 Kings 11 in the VDCC
2 Kings 11 in the YALU
2 Kings 11 in the YAPE
2 Kings 11 in the YBVTP
2 Kings 11 in the ZBP