2 Kings 7 (UGV3)

1 Tab Ilīshā bolā, “Rab kā farmān suneṅ! Rab farmātā hai ki kal isī waqt shahr ke darwāze par sāṛhe 5 kilogrām behtarīn maidā aur 11 kilogrām jau chāṅdī ke ek sikke ke lie bikegā.” 2 Jis afsar ke bāzū kā sahārā bādshāh letā thā wuh mard-e-Ḳhudā kī bāt sun kar bol uṭhā, “Yih nāmumkin hai, ḳhāh Rab āsmān ke darīche kyoṅ na khol de.” Ilīshā ne jawāb diyā, “Āp apnī āṅkhoṅ se is kā mushāhadā kareṅge, lekin ḳhud us meṅ se kuchh na khāeṅge.” 3 Shahr se bāhar darwāze ke qarīb koṛh ke chār marīz baiṭhe the. Ab yih ādmī ek dūsre se kahne lage, “Ham yahāṅ baiṭh kar maut kā intazār kyoṅ kareṅ? 4 Shahr meṅ kāl hai. Agar us meṅ jāeṅ to bhūke mar jāeṅge, lekin yahāṅ rahne se bhī koī farq nahīṅ paṛtā. To kyoṅ na ham Shām kī lashkargāh meṅ jā kar apne āp ko un ke hawāle kareṅ. Agar wuh hameṅ zindā rahne deṅ to achchhā rahegā, aur agar wuh hameṅ qatl bhī kar deṅ to koī farq nahīṅ paṛegā. Yahāṅ rah kar bhī hameṅ marnā hī hai.” 5 Shām ke dhundalke meṅ wuh rawānā hue. Lekin jab lashkargāh ke kināre tak pahuṅche to ek bhī ādmī nazar na āyā. 6 Kyoṅki Rab ne Shām ke faujiyoṅ ko rathoṅ, ghoṛoṅ aur ek baṛī fauj kā shor sunā diyā thā. Wuh ek dūsre se kahne lage, “Isrāīl ke bādshāh ne Hittī aur Misrī bādshāhoṅ ko ujrat par bulāyā tāki wuh ham par hamlā kareṅ!” 7 Ḍar ke māre wuh shām ke dhundalke meṅ farār ho gae the. Un ke ḳhaime, ghoṛe, gadhe balki pūrī lashkargāh pīchhe rah gaī thī jabki wuh apnī jān bachāne ke lie bhāg gae the. 8 Jab koṛhī lashkargāh meṅ dāḳhil hue to unhoṅ ne ek ḳhaime meṅ jā kar jī bhar kar khānā khāyā aur mai pī. Phir unhoṅ ne sonā, chāṅdī aur kapṛe uṭhā kar kahīṅ chhupā die. Wuh wāpas ā kar kisī aur ḳhaime meṅ gae aur us kā sāmān jamā karke use bhī chhupā diyā. 9 Lekin phir wuh āpas meṅ kahne lage, “Jo kuchh ham kar rahe haiṅ ṭhīk nahīṅ. Āj ḳhushī kā din hai, aur ham yih ḳhushḳhabrī dūsroṅ tak nahīṅ pahuṅchā rahe. Agar ham subah tak intazār kareṅ to qusūrwār ṭhahreṅge. Āeṅ, ham fauran wāpas jā kar bādshāh ke gharāne ko ittalā deṅ.” 10 Chunāṅche wuh shahr ke darwāze ke pās gae aur pahredāroṅ ko āwāz de kar unheṅ sab kuchh sunāyā, “Ham Shām kī lashkargāh meṅ gae to wahāṅ na koī dikhāī diyā, na kisī kī āwāz sunāī dī. Ghoṛe aur gadhe bandhe hue the aur ḳhaime tartīb se khaṛe the, lekin ādmī ek bhī maujūd nahīṅ thā!” 11 Darwāze ke pahredāroṅ ne āwāz de kar dūsroṅ ko ḳhabar pahuṅchāī to shahr ke andar bādshāh ke gharāne ko ittalā dī gaī. 12 Go rāt kā waqt thā to bhī bādshāh ne uṭh kar apne afsaroṅ ko bulāyā aur kahā, “Maiṅ āp ko batātā hūṅ ki Shām ke faujī kyā kar rahe haiṅ. Wuh to ḳhūb jānte haiṅ ki ham bhūke mar rahe haiṅ. Ab wuh apnī lashkargāh ko chhoṛ kar khule maidān meṅ chhup gae haiṅ, kyoṅki wuh samajhte haiṅ ki Isrāīlī ḳhālī lashkargāh ko dekh kar shahr se zarūr nikleṅge aur phir ham unheṅ zindā pakaṛ kar shahr meṅ dāḳhil ho jāeṅge.” 13 Lekin ek afsar ne mashwarā diyā, “Behtar hai ki ham chand ek ādmiyoṅ ko pāṅch bache hue ghoṛoṅ ke sāth lashkargāh meṅ bhejeṅ. Agar wuh pakaṛe jāeṅ to koī bāt nahīṅ. Kyoṅki agar wuh yahāṅ raheṅ to phir bhī unheṅ hamāre sāth marnā hī hai.” 14 Chunāṅche do rathoṅ ko ghoṛoṅ samet taiyār kiyā gayā, aur bādshāh ne unheṅ Shām kī lashkargāh meṅ bhej diyā. Rathbānoṅ ko us ne hukm diyā, “Jāeṅ aur patā kareṅ ki kyā huā hai.” 15 Wuh rawānā hue aur Shām ke faujiyoṅ ke pīchhe pīchhe chalne lage. Rāste meṅ har taraf kapṛe aur sāmān bikhrā paṛā thā, kyoṅki faujiyoṅ ne bhāgte bhāgte sab kuchh phaiṅk kar rāste meṅ chhoṛ diyā thā. Isrāīlī rathsawār Dariyā-e-Yardan tak pahuṅche aur phir bādshāh ke pās wāpas ā kar sab kuchh kah sunāyā. 16 Tab Sāmariya ke bāshinde shahr se nikal āe aur Shām kī lashkargāh meṅ jā kar sab kuchh lūṭ liyā. Yoṅ wuh kuchh pūrā huā jo Rab ne farmāyā thā ki sāṛhe 5 kilogrām behtarīn maidā aur 11 kilogrām jau chāṅdī ke ek sikke ke lie bikegā. 17 Jis afsar ke bāzū kā sahārā bādshāh letā thā use us ne darwāze kī nigarānī karne ke lie bhej diyā thā. Lekin jab log bāhar nikle to afsar un kī zad meṅ ā kar un ke pairoṅ tale kuchlā gayā. Yoṅ waisā hī huā jaisā mard-e-Ḳhudā ne us waqt kahā thā jab bādshāh us ke ghar āyā thā. 18 Kyoṅki Ilīshā ne bādshāh ko batāyā thā, “Kal isī waqt shahr ke darwāze par sāṛhe 5 kilogrām behtarīn maidā aur 11 kilogrām jau chāṅdī ke ek sikke ke lie bikegā.” 19 Afsar ne etarāz kiyā thā, “Yih nāmumkin hai, ḳhāh Rab āsmān ke darīche kyoṅ na khol de.” Aur mard-e-Ḳhudā ne jawāb diyā thā, “Āp apnī āṅkhoṅ se is kā mushāhadā kareṅge, lekin ḳhud us meṅ se kuchh nahīṅ khāeṅge.” 20 Ab yih peshgoī pūrī huī, kyoṅki beqābū logoṅ ne use shahr ke darwāze par pāṅwoṅ tale kuchal diyā, aur wuh mar gayā.

In Other Versions

2 Kings 7 in the ANGEFD

2 Kings 7 in the ANTPNG2D

2 Kings 7 in the AS21

2 Kings 7 in the BAGH

2 Kings 7 in the BBPNG

2 Kings 7 in the BBT1E

2 Kings 7 in the BDS

2 Kings 7 in the BEV

2 Kings 7 in the BHAD

2 Kings 7 in the BIB

2 Kings 7 in the BLPT

2 Kings 7 in the BNT

2 Kings 7 in the BNTABOOT

2 Kings 7 in the BNTLV

2 Kings 7 in the BOATCB

2 Kings 7 in the BOATCB2

2 Kings 7 in the BOBCV

2 Kings 7 in the BOCNT

2 Kings 7 in the BOECS

2 Kings 7 in the BOGWICC

2 Kings 7 in the BOHCB

2 Kings 7 in the BOHCV

2 Kings 7 in the BOHLNT

2 Kings 7 in the BOHNTLTAL

2 Kings 7 in the BOICB

2 Kings 7 in the BOILNTAP

2 Kings 7 in the BOITCV

2 Kings 7 in the BOKCV

2 Kings 7 in the BOKCV2

2 Kings 7 in the BOKHWOG

2 Kings 7 in the BOKSSV

2 Kings 7 in the BOLCB

2 Kings 7 in the BOLCB2

2 Kings 7 in the BOMCV

2 Kings 7 in the BONAV

2 Kings 7 in the BONCB

2 Kings 7 in the BONLT

2 Kings 7 in the BONUT2

2 Kings 7 in the BOPLNT

2 Kings 7 in the BOSCB

2 Kings 7 in the BOSNC

2 Kings 7 in the BOTLNT

2 Kings 7 in the BOVCB

2 Kings 7 in the BOYCB

2 Kings 7 in the BPBB

2 Kings 7 in the BPH

2 Kings 7 in the BSB

2 Kings 7 in the CCB

2 Kings 7 in the CUV

2 Kings 7 in the CUVS

2 Kings 7 in the DBT

2 Kings 7 in the DGDNT

2 Kings 7 in the DHNT

2 Kings 7 in the DNT

2 Kings 7 in the ELBE

2 Kings 7 in the EMTV

2 Kings 7 in the ESV

2 Kings 7 in the FBV

2 Kings 7 in the FEB

2 Kings 7 in the GGMNT

2 Kings 7 in the GNT

2 Kings 7 in the HARY

2 Kings 7 in the HNT

2 Kings 7 in the IRVA

2 Kings 7 in the IRVB

2 Kings 7 in the IRVG

2 Kings 7 in the IRVH

2 Kings 7 in the IRVK

2 Kings 7 in the IRVM

2 Kings 7 in the IRVM2

2 Kings 7 in the IRVO

2 Kings 7 in the IRVP

2 Kings 7 in the IRVT

2 Kings 7 in the IRVT2

2 Kings 7 in the IRVU

2 Kings 7 in the ISVN

2 Kings 7 in the JSNT

2 Kings 7 in the KAPI

2 Kings 7 in the KBT1ETNIK

2 Kings 7 in the KBV

2 Kings 7 in the KJV

2 Kings 7 in the KNFD

2 Kings 7 in the LBA

2 Kings 7 in the LBLA

2 Kings 7 in the LNT

2 Kings 7 in the LSV

2 Kings 7 in the MAAL

2 Kings 7 in the MBV

2 Kings 7 in the MBV2

2 Kings 7 in the MHNT

2 Kings 7 in the MKNFD

2 Kings 7 in the MNG

2 Kings 7 in the MNT

2 Kings 7 in the MNT2

2 Kings 7 in the MRS1T

2 Kings 7 in the NAA

2 Kings 7 in the NASB

2 Kings 7 in the NBLA

2 Kings 7 in the NBS

2 Kings 7 in the NBVTP

2 Kings 7 in the NET2

2 Kings 7 in the NIV11

2 Kings 7 in the NNT

2 Kings 7 in the NNT2

2 Kings 7 in the NNT3

2 Kings 7 in the PDDPT

2 Kings 7 in the PFNT

2 Kings 7 in the RMNT

2 Kings 7 in the SBIAS

2 Kings 7 in the SBIBS

2 Kings 7 in the SBIBS2

2 Kings 7 in the SBICS

2 Kings 7 in the SBIDS

2 Kings 7 in the SBIGS

2 Kings 7 in the SBIHS

2 Kings 7 in the SBIIS

2 Kings 7 in the SBIIS2

2 Kings 7 in the SBIIS3

2 Kings 7 in the SBIKS

2 Kings 7 in the SBIKS2

2 Kings 7 in the SBIMS

2 Kings 7 in the SBIOS

2 Kings 7 in the SBIPS

2 Kings 7 in the SBISS

2 Kings 7 in the SBITS

2 Kings 7 in the SBITS2

2 Kings 7 in the SBITS3

2 Kings 7 in the SBITS4

2 Kings 7 in the SBIUS

2 Kings 7 in the SBIVS

2 Kings 7 in the SBT

2 Kings 7 in the SBT1E

2 Kings 7 in the SCHL

2 Kings 7 in the SNT

2 Kings 7 in the SUSU

2 Kings 7 in the SUSU2

2 Kings 7 in the SYNO

2 Kings 7 in the TBIAOTANT

2 Kings 7 in the TBT1E

2 Kings 7 in the TBT1E2

2 Kings 7 in the TFTIP

2 Kings 7 in the TFTU

2 Kings 7 in the TGNTATF3T

2 Kings 7 in the THAI

2 Kings 7 in the TNFD

2 Kings 7 in the TNT

2 Kings 7 in the TNTIK

2 Kings 7 in the TNTIL

2 Kings 7 in the TNTIN

2 Kings 7 in the TNTIP

2 Kings 7 in the TNTIZ

2 Kings 7 in the TOMA

2 Kings 7 in the TTENT

2 Kings 7 in the UBG

2 Kings 7 in the UGV

2 Kings 7 in the UGV2

2 Kings 7 in the VBL

2 Kings 7 in the VDCC

2 Kings 7 in the YALU

2 Kings 7 in the YAPE

2 Kings 7 in the YBVTP

2 Kings 7 in the ZBP