2 Kings 8 (UGV3)

1 Ek din Ilīshā ne us aurat ko jis kā beṭā us ne zindā kiyā thā mashwarā diyā, “Apne ḳhāndān ko le kar ārizī taur par bairūn-e-mulk chalī jāeṅ, kyoṅki Rab ne hukm diyā hai ki mulk meṅ sāt sāl tak kāl hogā.” 2 Shūnīm kī aurat ne mard-e-Ḳhudā kī bāt mān lī. Apne ḳhāndān ko le kar wuh chalī gaī aur sāt sāl Filistī mulk meṅ rahī. 3 Sāt sāl guzar gae to wuh us mulk se wāpas āī. Lekin kisī aur ne us ke ghar aur zamīn par qabzā kar rakhā thā, is lie wuh madad ke lie bādshāh ke pās gaī. 4 Ain us waqt jab wuh darbār meṅ pahuṅchī to bādshāh mard-e-Ḳhudā Ilīshā ke naukar Jaihāzī se guftgū kar rahā thā. Bādshāh ne us se darḳhāst kī thī, “Mujhe wuh tamām baṛe kām sunā do jo Ilīshā ne kie haiṅ.” 5 Aur ab jab Jaihāzī sunā rahā thā ki Ilīshā ne murdā laṛke ko kis tarah zindā kar diyā to us kī māṅ andar ā kar bādshāh se iltamās karne lagī, “Ghar aur zamīn wāpas milne meṅ merī madad kījie.” Use dekh kar Jaihāzī ne bādshāh se kahā, “Mere āqā aur bādshāh, yih wuhī aurat hai aur yih us kā wuhī beṭā hai jise Ilīshā ne zindā kar diyā thā.” 6 Bādshāh ne aurat se sawāl kiyā, “Kyā yih sahīh hai?” Aurat ne tasdīq meṅ use dubārā sab kuchh sunāyā. Tab us ne aurat kā muāmalā kisī darbārī afsar ke sapurd karke hukm diyā, “Dhyān deṅ ki ise pūrī milkiyat wāpas mil jāe! Aur jitne paise qabzā karne wālā aurat kī ġhairmaujūdagī meṅ zamīn kī fasloṅ se kamā sakā wuh bhī aurat ko de die jāeṅ.” 7 Ek din Ilīshā Damishq āyā. Us waqt Shām kā bādshāh Bin-hadad bīmār thā. Jab use ittalā milī ki mard-e-Ḳhudā āyā hai 8 to us ne apne afsar Hazāel ko hukm diyā, “Mard-e-Ḳhudā ke lie tohfā le kar use milne jāeṅ. Wuh Rab se dariyāft kare ki kyā maiṅ bīmārī se shifā pāūṅgā yā nahīṅ?” 9 Hazāel 40 ūṅṭoṅ par Damishq kī behtarīn paidāwār lād kar Ilīshā se milne gayā. Us ke pās pahuṅch kar wuh us ke sāmne khaṛā huā aur kahā, “Āp ke beṭe Shām ke bādshāh Bin-hadad ne mujhe āp ke pās bhejā hai. Wuh yih jānanā chāhtā hai ki kyā maiṅ apnī bīmārī se shifā pāūṅgā yā nahīṅ?” 10 Ilīshā ne jawāb diyā, “Jāeṅ aur use ittalā deṅ, ‘Āp zarūr shifā pāeṅge.’ Lekin Rab ne mujh par zāhir kiyā hai ki wuh haqīqat meṅ mar jāegā.” 11 Ilīshā ḳhāmosh ho gayā aur ṭikṭikī bāndh kar baṛī der tak use ghūrtā rahā, phir rone lagā. 12 Hazāel ne pūchhā, “Mere āqā, āp kyoṅ ro rahe haiṅ?” Ilīshā ne jawāb diyā, “Mujhe mālūm hai ki āp Isrāīliyoṅ ko kitnā nuqsān pahuṅchāeṅge. Āp un kī qilāband ābādiyoṅ ko āg lagā kar un ke jawānoṅ ko talwār se qatl kar deṅge, un ke chhoṭe bachchoṅ ko zamīn par paṭaḳh deṅge aur un kī hāmilā auratoṅ ke peṭ chīr ḍāleṅge.” 13 Hazāel bolā, “Mujh jaise kutte kī kyā haisiyat hai ki itnā baṛā kām karūṅ?” Ilīshā ne kahā, “Rab ne mujhe dikhā diyā hai ki āp Shām ke bādshāh ban jāeṅge.” 14 Is ke bād Hazāel chalā gayā aur apne mālik ke pās wāpas āyā. Bādshāh ne pūchhā, “Ilīshā ne āp ko kyā batāyā?” Hazāel ne jawāb diyā, “Us ne mujhe yaqīn dilāyā ki āp shifā pāeṅge.” 15 Lekin agle din Hazāel ne kambal le kar pānī meṅ bhigo diyā aur use bādshāh ke muṅh par rakh diyā. Bādshāh kā sāṅs ruk gayā aur wuh mar gayā. Phir Hazāel taḳhtnashīn huā. 16 Yahūrām bin Yahūsafat Isrāīl ke bādshāh Yūrām kī hukūmat ke pāṅchweṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā. Shurū meṅ wuh apne bāp ke sāth hukūmat kartā thā. 17 Yahūrām 32 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 8 sāl tak hukūmat kartā rahā. 18 Us kī shādī Isrāīl ke bādshāh Aḳhiyab kī beṭī se huī thī, aur wuh Isrāīl ke bādshāhoṅ aur ḳhāskar Aḳhiyab ke ḳhāndān ke bure namūne par chaltā rahā. Us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. 19 To bhī wuh apne ḳhādim Dāūd kī ḳhātir Yahūdāh ko tabāh nahīṅ karnā chāhtā thā, kyoṅki us ne Dāūd se wādā kiyā thā ki terā aur terī aulād kā charāġh hameshā tak jaltā rahegā. 20 Yahūrām kī hukūmat ke daurān Adomiyoṅ ne baġhāwat kī aur Yahūdāh kī hukūmat ko radd karke apnā bādshāh muqarrar kiyā. 21 Tab Yahūrām apne tamām rathoṅ ko le kar Saīr ke qarīb āyā. Jab jang chhiṛ gaī to Adomiyoṅ ne use aur us ke rathoṅ par muqarrar afsaroṅ ko gher liyā. Rāt ko bādshāh gherne wāloṅ kī safoṅ ko toṛne meṅ kāmyāb ho gayā, lekin us ke faujī use chhoṛ kar apne apne ghar bhāg gae. 22 Is wajah se Mulk-e-Adom āj tak dubārā Yahūdāh kī hukūmat ke taht nahīṅ āyā. Usī waqt Libnā Shahr bhī sarkash ho kar ḳhudmuḳhtār ho gayā. 23 Bāqī jo kuchh Yahūrām kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. 24 Jab Yahūrām mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Aḳhaziyāh taḳhtnashīn huā. 25 Aḳhaziyāh bin Yahūrām Isrāīl ke bādshāh Yūrām bin Aḳhiyab kī hukūmat ke 12weṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā. 26 Wuh 22 sāl kī umr meṅ taḳhtnashīn huā aur Yarūshalam meṅ rah kar ek sāl bādshāh rahā. Us kī māṅ Ataliyāh Isrāīl ke bādshāh Umrī kī potī thī. 27 Aḳhaziyāh bhī Aḳhiyab ke ḳhāndān ke bure namūne par chal paṛā. Aḳhiyab ke gharāne kī tarah us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. Wajah yih thī ki us kā rishtā Aḳhiyab ke ḳhāndān ke sāth bandh gayā thā. 28 Ek din Aḳhaziyāh Bādshāh Yūrām bin Aḳhiyab ke sāth mil kar Rāmāt-jiliyād gayā tāki Shām ke bādshāh Hazāel se laṛe. Jab jang chhiṛ gaī to Yūrām Shām ke faujiyoṅ ke hāthoṅ zaḳhmī huā 29 aur maidān-e-jang ko chhoṛ kar Yazrael wāpas āyā tāki zaḳhm bhar jāeṅ. Jab wuh wahāṅ ṭhahrā huā thā to Yahūdāh kā bādshāh Aḳhaziyāh bin Yahūrām us kā hāl pūchhne ke lie Yazrael āyā.

In Other Versions

2 Kings 8 in the ANGEFD

2 Kings 8 in the ANTPNG2D

2 Kings 8 in the AS21

2 Kings 8 in the BAGH

2 Kings 8 in the BBPNG

2 Kings 8 in the BBT1E

2 Kings 8 in the BDS

2 Kings 8 in the BEV

2 Kings 8 in the BHAD

2 Kings 8 in the BIB

2 Kings 8 in the BLPT

2 Kings 8 in the BNT

2 Kings 8 in the BNTABOOT

2 Kings 8 in the BNTLV

2 Kings 8 in the BOATCB

2 Kings 8 in the BOATCB2

2 Kings 8 in the BOBCV

2 Kings 8 in the BOCNT

2 Kings 8 in the BOECS

2 Kings 8 in the BOGWICC

2 Kings 8 in the BOHCB

2 Kings 8 in the BOHCV

2 Kings 8 in the BOHLNT

2 Kings 8 in the BOHNTLTAL

2 Kings 8 in the BOICB

2 Kings 8 in the BOILNTAP

2 Kings 8 in the BOITCV

2 Kings 8 in the BOKCV

2 Kings 8 in the BOKCV2

2 Kings 8 in the BOKHWOG

2 Kings 8 in the BOKSSV

2 Kings 8 in the BOLCB

2 Kings 8 in the BOLCB2

2 Kings 8 in the BOMCV

2 Kings 8 in the BONAV

2 Kings 8 in the BONCB

2 Kings 8 in the BONLT

2 Kings 8 in the BONUT2

2 Kings 8 in the BOPLNT

2 Kings 8 in the BOSCB

2 Kings 8 in the BOSNC

2 Kings 8 in the BOTLNT

2 Kings 8 in the BOVCB

2 Kings 8 in the BOYCB

2 Kings 8 in the BPBB

2 Kings 8 in the BPH

2 Kings 8 in the BSB

2 Kings 8 in the CCB

2 Kings 8 in the CUV

2 Kings 8 in the CUVS

2 Kings 8 in the DBT

2 Kings 8 in the DGDNT

2 Kings 8 in the DHNT

2 Kings 8 in the DNT

2 Kings 8 in the ELBE

2 Kings 8 in the EMTV

2 Kings 8 in the ESV

2 Kings 8 in the FBV

2 Kings 8 in the FEB

2 Kings 8 in the GGMNT

2 Kings 8 in the GNT

2 Kings 8 in the HARY

2 Kings 8 in the HNT

2 Kings 8 in the IRVA

2 Kings 8 in the IRVB

2 Kings 8 in the IRVG

2 Kings 8 in the IRVH

2 Kings 8 in the IRVK

2 Kings 8 in the IRVM

2 Kings 8 in the IRVM2

2 Kings 8 in the IRVO

2 Kings 8 in the IRVP

2 Kings 8 in the IRVT

2 Kings 8 in the IRVT2

2 Kings 8 in the IRVU

2 Kings 8 in the ISVN

2 Kings 8 in the JSNT

2 Kings 8 in the KAPI

2 Kings 8 in the KBT1ETNIK

2 Kings 8 in the KBV

2 Kings 8 in the KJV

2 Kings 8 in the KNFD

2 Kings 8 in the LBA

2 Kings 8 in the LBLA

2 Kings 8 in the LNT

2 Kings 8 in the LSV

2 Kings 8 in the MAAL

2 Kings 8 in the MBV

2 Kings 8 in the MBV2

2 Kings 8 in the MHNT

2 Kings 8 in the MKNFD

2 Kings 8 in the MNG

2 Kings 8 in the MNT

2 Kings 8 in the MNT2

2 Kings 8 in the MRS1T

2 Kings 8 in the NAA

2 Kings 8 in the NASB

2 Kings 8 in the NBLA

2 Kings 8 in the NBS

2 Kings 8 in the NBVTP

2 Kings 8 in the NET2

2 Kings 8 in the NIV11

2 Kings 8 in the NNT

2 Kings 8 in the NNT2

2 Kings 8 in the NNT3

2 Kings 8 in the PDDPT

2 Kings 8 in the PFNT

2 Kings 8 in the RMNT

2 Kings 8 in the SBIAS

2 Kings 8 in the SBIBS

2 Kings 8 in the SBIBS2

2 Kings 8 in the SBICS

2 Kings 8 in the SBIDS

2 Kings 8 in the SBIGS

2 Kings 8 in the SBIHS

2 Kings 8 in the SBIIS

2 Kings 8 in the SBIIS2

2 Kings 8 in the SBIIS3

2 Kings 8 in the SBIKS

2 Kings 8 in the SBIKS2

2 Kings 8 in the SBIMS

2 Kings 8 in the SBIOS

2 Kings 8 in the SBIPS

2 Kings 8 in the SBISS

2 Kings 8 in the SBITS

2 Kings 8 in the SBITS2

2 Kings 8 in the SBITS3

2 Kings 8 in the SBITS4

2 Kings 8 in the SBIUS

2 Kings 8 in the SBIVS

2 Kings 8 in the SBT

2 Kings 8 in the SBT1E

2 Kings 8 in the SCHL

2 Kings 8 in the SNT

2 Kings 8 in the SUSU

2 Kings 8 in the SUSU2

2 Kings 8 in the SYNO

2 Kings 8 in the TBIAOTANT

2 Kings 8 in the TBT1E

2 Kings 8 in the TBT1E2

2 Kings 8 in the TFTIP

2 Kings 8 in the TFTU

2 Kings 8 in the TGNTATF3T

2 Kings 8 in the THAI

2 Kings 8 in the TNFD

2 Kings 8 in the TNT

2 Kings 8 in the TNTIK

2 Kings 8 in the TNTIL

2 Kings 8 in the TNTIN

2 Kings 8 in the TNTIP

2 Kings 8 in the TNTIZ

2 Kings 8 in the TOMA

2 Kings 8 in the TTENT

2 Kings 8 in the UBG

2 Kings 8 in the UGV

2 Kings 8 in the UGV2

2 Kings 8 in the VBL

2 Kings 8 in the VDCC

2 Kings 8 in the YALU

2 Kings 8 in the YAPE

2 Kings 8 in the YBVTP

2 Kings 8 in the ZBP