Amos 1 (UGV3)

1 Zail meṅ Āmūs ke paiġhāmāt qalamband haiṅ. Āmūs Taqua Shahr kā gallābān thā. Zalzale se do sāl pahle us ne Isrāīl ke bāre meṅ royā meṅ yih kuchh dekhā. Us waqt Uzziyāh Yahūdāh kā aur Yarubiyām bin Yuās Isrāīl kā bādshāh thā. 2 Āmūs bolā, “Rab Koh-e-Siyyūn par se dahāṛtā hai, us kī garajtī āwāz Yarūshalam se sunāī detī hai. Tab gallābānoṅ kī charāgāheṅ sūkh jātī haiṅ aur Karmil kī choṭī par jangal murjhā jātā hai.” 3 Rab farmātā hai, “Damishq ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne Jiliyād ko gāhne ke āhnī auzār se ḳhūb kūṭ kar gāh liyā hai. 4 Chunāṅche maiṅ Hazāel ke gharāne par āg nāzil karūṅga, aur Bin-hadad ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. 5 Maiṅ Damishq ke kunḍe ko toṛ kar Biq'at-āwan aur Bait-adan ke hukmrānoṅ ko maut ke ghāṭ utārūṅga. Arām kī qaum jilāwatan ho kar Qīr meṅ jā basegī.” Yih Rab kā farmān hai. 6 Rab farmātā hai, “Ġhazzā ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne pūrī ābādiyoṅ ko jilāwatan karke Adom ke hawāle kar diyā hai. 7 Chunāṅche maiṅ Ġhazzā kī fasīl par āg nāzil karūṅga, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. 8 Ashdūd aur Askqalūn ke hukmrānoṅ ko maiṅ mār ḍālūṅgā, Aqrūn par bhī hamlā karūṅga. Tab bache-khuche Filistī bhī halāk ho jāeṅge.” Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai. 9 Rab farmātā hai, “Sūr ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne barādarānā ahd kā lihāz na kiyā balki pūrī ābādiyoṅ ko jilāwatan karke Adom ke hawāle kar diyā. 10 Chunāṅche maiṅ Sūr kī fasīl par āg nāzil karūṅga, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge.” 11 Rab farmātā hai, “Adom ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne apne Isrāīlī bhāiyoṅ ko talwār se mār mār kar un kā tāqqub kiyā aur saḳhtī se un par rahm karne se inkār kiyā. Un kā qahr bhaṛaktā rahā, un kā taish kabhī ṭhanḍā na huā. 12 Chunāṅche maiṅ Temān par āg nāzil karūṅga, aur Busrā ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge.” 13 Rab farmātā hai, “Ammon ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is lie maiṅ unheṅ sazā die baġhair nahīṅ chhoṛūṅgā. Kyoṅki apnī sarhaddoṅ ko baṛhāne ke lie unhoṅ ne Jiliyād kī hāmilā auratoṅ ke peṭ chīr ḍāle. 14 Chunāṅche maiṅ Rabbā kī fasīl ko āg lagā dūṅgā, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. Jang ke us din har taraf faujiyoṅ ke nāre buland ho jāeṅge, tūfān ke us din un par saḳht āṅdhī ṭūṭ paṛegī. 15 Un kā bādshāh apne afsaroṅ samet qaidī ban kar jilāwatan ho jāegā.” Yih Rab kā farmān hai.

In Other Versions

Amos 1 in the ANGEFD

Amos 1 in the ANTPNG2D

Amos 1 in the AS21

Amos 1 in the BAGH

Amos 1 in the BBPNG

Amos 1 in the BBT1E

Amos 1 in the BDS

Amos 1 in the BEV

Amos 1 in the BHAD

Amos 1 in the BIB

Amos 1 in the BLPT

Amos 1 in the BNT

Amos 1 in the BNTABOOT

Amos 1 in the BNTLV

Amos 1 in the BOATCB

Amos 1 in the BOATCB2

Amos 1 in the BOBCV

Amos 1 in the BOCNT

Amos 1 in the BOECS

Amos 1 in the BOGWICC

Amos 1 in the BOHCB

Amos 1 in the BOHCV

Amos 1 in the BOHLNT

Amos 1 in the BOHNTLTAL

Amos 1 in the BOICB

Amos 1 in the BOILNTAP

Amos 1 in the BOITCV

Amos 1 in the BOKCV

Amos 1 in the BOKCV2

Amos 1 in the BOKHWOG

Amos 1 in the BOKSSV

Amos 1 in the BOLCB

Amos 1 in the BOLCB2

Amos 1 in the BOMCV

Amos 1 in the BONAV

Amos 1 in the BONCB

Amos 1 in the BONLT

Amos 1 in the BONUT2

Amos 1 in the BOPLNT

Amos 1 in the BOSCB

Amos 1 in the BOSNC

Amos 1 in the BOTLNT

Amos 1 in the BOVCB

Amos 1 in the BOYCB

Amos 1 in the BPBB

Amos 1 in the BPH

Amos 1 in the BSB

Amos 1 in the CCB

Amos 1 in the CUV

Amos 1 in the CUVS

Amos 1 in the DBT

Amos 1 in the DGDNT

Amos 1 in the DHNT

Amos 1 in the DNT

Amos 1 in the ELBE

Amos 1 in the EMTV

Amos 1 in the ESV

Amos 1 in the FBV

Amos 1 in the FEB

Amos 1 in the GGMNT

Amos 1 in the GNT

Amos 1 in the HARY

Amos 1 in the HNT

Amos 1 in the IRVA

Amos 1 in the IRVB

Amos 1 in the IRVG

Amos 1 in the IRVH

Amos 1 in the IRVK

Amos 1 in the IRVM

Amos 1 in the IRVM2

Amos 1 in the IRVO

Amos 1 in the IRVP

Amos 1 in the IRVT

Amos 1 in the IRVT2

Amos 1 in the IRVU

Amos 1 in the ISVN

Amos 1 in the JSNT

Amos 1 in the KAPI

Amos 1 in the KBT1ETNIK

Amos 1 in the KBV

Amos 1 in the KJV

Amos 1 in the KNFD

Amos 1 in the LBA

Amos 1 in the LBLA

Amos 1 in the LNT

Amos 1 in the LSV

Amos 1 in the MAAL

Amos 1 in the MBV

Amos 1 in the MBV2

Amos 1 in the MHNT

Amos 1 in the MKNFD

Amos 1 in the MNG

Amos 1 in the MNT

Amos 1 in the MNT2

Amos 1 in the MRS1T

Amos 1 in the NAA

Amos 1 in the NASB

Amos 1 in the NBLA

Amos 1 in the NBS

Amos 1 in the NBVTP

Amos 1 in the NET2

Amos 1 in the NIV11

Amos 1 in the NNT

Amos 1 in the NNT2

Amos 1 in the NNT3

Amos 1 in the PDDPT

Amos 1 in the PFNT

Amos 1 in the RMNT

Amos 1 in the SBIAS

Amos 1 in the SBIBS

Amos 1 in the SBIBS2

Amos 1 in the SBICS

Amos 1 in the SBIDS

Amos 1 in the SBIGS

Amos 1 in the SBIHS

Amos 1 in the SBIIS

Amos 1 in the SBIIS2

Amos 1 in the SBIIS3

Amos 1 in the SBIKS

Amos 1 in the SBIKS2

Amos 1 in the SBIMS

Amos 1 in the SBIOS

Amos 1 in the SBIPS

Amos 1 in the SBISS

Amos 1 in the SBITS

Amos 1 in the SBITS2

Amos 1 in the SBITS3

Amos 1 in the SBITS4

Amos 1 in the SBIUS

Amos 1 in the SBIVS

Amos 1 in the SBT

Amos 1 in the SBT1E

Amos 1 in the SCHL

Amos 1 in the SNT

Amos 1 in the SUSU

Amos 1 in the SUSU2

Amos 1 in the SYNO

Amos 1 in the TBIAOTANT

Amos 1 in the TBT1E

Amos 1 in the TBT1E2

Amos 1 in the TFTIP

Amos 1 in the TFTU

Amos 1 in the TGNTATF3T

Amos 1 in the THAI

Amos 1 in the TNFD

Amos 1 in the TNT

Amos 1 in the TNTIK

Amos 1 in the TNTIL

Amos 1 in the TNTIN

Amos 1 in the TNTIP

Amos 1 in the TNTIZ

Amos 1 in the TOMA

Amos 1 in the TTENT

Amos 1 in the UBG

Amos 1 in the UGV

Amos 1 in the UGV2

Amos 1 in the VBL

Amos 1 in the VDCC

Amos 1 in the YALU

Amos 1 in the YAPE

Amos 1 in the YBVTP

Amos 1 in the ZBP