Exodus 18 (UGV3)

1 Mūsā kā susar Yitro ab tak Midiyān meṅ imām thā. Jab us ne sab kuchh sunā jo Allāh ne Mūsā aur apnī qaum ke lie kiyā hai, ki wuh unheṅ Misr se nikāl lāyā hai 2 to wuh Mūsā ke pās āyā. Wuh us kī bīwī Saffūrā ko apne sāth lāyā, kyoṅki Mūsā ne use apne beṭoṅ samet maike bhej diyā thā. 3 Yitro Mūsā ke donoṅ beṭoṅ ko bhī sāth lāyā. Pahle beṭe kā nām Jairsom yānī ‘Ajnabī Mulk meṅ Pardesī’ thā, kyoṅki jab wuh paidā huā to Mūsā ne kahā thā, “Maiṅ ajnabī mulk meṅ pardesī hūṅ.” 4 Dūsre beṭe kā nām Iliyazar yānī ‘Merā Ḳhudā Madadgār Hai’ thā, kyoṅki jab wuh paidā huā to Mūsā ne kahā thā, “Mere bāp ke Ḳhudā ne merī madad karke mujhe Firaun kī talwār se bachāyā hai.” 5 Yitro Mūsā kī bīwī aur beṭe sāth le kar us waqt Mūsā ke pās pahuṅchā jab us ne registān meṅ Allāh ke pahāṛ yānī Sīnā ke qarīb ḳhaimā lagāyā huā thā. 6 Us ne Mūsā ko paiġhām bhejā thā, “Maiṅ, āp kā susar Yitro āp kī bīwī aur do beṭoṅ ko sāth le kar āp ke pās ā rahā hūṅ.” 7 Mūsā apne susar ke istiqbāl ke lie bāhar niklā, us ke sāmne jhukā aur use bosā diyā. Donoṅ ne ek dūsre kā hāl pūchhā, phir ḳhaime meṅ chale gae. 8 Mūsā ne Yitro ko tafsīl se batāyā ki Rab ne Isrāīliyoṅ kī ḳhātir Firaun aur Misriyoṅ ke sāth kyā kuchh kiyā hai. Us ne rāste meṅ pesh āī tamām mushkilāt kā zikr bhī kiyā ki Rab ne hameṅ kis tarah un se bachāyā hai. 9 Yitro un sāre achchhe kāmoṅ ke bāre meṅ sun kar ḳhush huā jo Rab ne Isrāīliyoṅ ke lie kie the jab us ne unheṅ Misriyoṅ ke hāth se bachāyā thā. 10 Us ne kahā, “Rab kī tamjīd ho jis ne āp ko Misriyoṅ aur Firaun ke qabze se najāt dilāī hai. Usī ne qaum ko ġhulāmī se chhuṛāyā hai! 11 Ab maiṅ ne jān liyā hai ki Rab tamām mābūdoṅ se azīm hai, kyoṅki us ne yih sab kuchh un logoṅ ke sāth kiyā jinhoṅ ne apne ġhurūr meṅ Isrāīliyoṅ ke sāth burā sulūk kiyā thā.” 12 Phir Yitro ne Allāh ko bhasm hone wālī qurbānī aur dīgar kaī qurbāniyāṅ pesh kīṅ. Tab Hārūn aur tamām buzurg Mūsā ke susar Yitro ke sāth Allāh ke huzūr khānā khāne baiṭhe. 13 Agle din Mūsā logoṅ kā insāf karne ke lie baiṭh gayā. Un kī tādād itnī zyādā thī ki wuh subah se le kar shām tak Mūsā ke sāmne khaṛe rahe. 14 Jab Yitro ne yih sab kuchh dekhā to us ne pūchhā, “Yih kyā hai jo āp logoṅ ke sāth kar rahe haiṅ? Sārā din wuh āp ko ghere rahte aur āp un kī adālat karte rahte haiṅ. Āp yih sab kuchh akele hī kyoṅ kar rahe haiṅ?” 15 Mūsā ne jawāb diyā, “Log mere pās ā kar Allāh kī marzī mālūm karte haiṅ. 16 Jab kabhī koī tanāzā yā jhagaṛā hotā hai to donoṅ pārṭiyāṅ mere pās ātī haiṅ. Maiṅ faislā karke unheṅ Allāh ke ahkām aur hidāyāt batātā hūṅ.” 17 Mūsā ke susar ne us se kahā, “Āp kā tarīqā achchhā nahīṅ hai. 18 Kām itnā wasī hai ki āp use akele nahīṅ saṅbhāl sakte. Is se āp aur wuh log jo āp ke pās āte haiṅ burī tarah thak jāte haiṅ. 19 Merī bāt suneṅ! Maiṅ āp ko ek mashwarā detā hūṅ. Allāh us meṅ āp kī madad kare. Lāzim hai ki āp Allāh ke sāmne qaum ke numāindā raheṅ aur un ke muāmalāt us ke sāmne pesh kareṅ. 20 Yih bhī zarūrī hai ki āp unheṅ Allāh ke ahkām aur hidāyāt sikhāeṅ, ki wuh kis tarah zindagī guzāreṅ aur kyā kyā kareṅ. 21 Lekin sāth sāth qaum meṅ se qābil-e-etamād ādmī chuneṅ. Wuh aise log hoṅ jo Allāh kā ḳhauf mānte hoṅ, rāstdil hoṅ aur rishwat se nafrat karte hoṅ. Unheṅ hazār hazār, sau sau, pachās pachās aur das das ādmiyoṅ par muqarrar kareṅ. 22 Un ādmiyoṅ kī zimmedārī yih hogī ki wuh har waqt logoṅ kā insāf kareṅ. Agar koī bahut hī pechīdā muāmalā ho to wuh faisle ke lie āp ke pās āeṅ, lekin dīgar muāmaloṅ kā faislā wuh ḳhud kareṅ. Yoṅ wuh kām meṅ āp kā hāth baṭāeṅge aur āp kā bojh halkā ho jāegā. 23 Agar merā yih mashwarā Allāh kī marzī ke mutābiq ho aur āp aisā kareṅ to āp apnī zimmedārī nibhā sakeṅge aur yih tamām log insāf ke milne par salāmatī ke sāth apne apne ghar jā sakeṅge.” 24 Mūsā ne apne susar kā mashwarā mān liyā aur aisā hī kiyā. 25 Us ne Isrāīliyoṅ meṅ se qābil-e-etamād ādmī chune aur unheṅ hazār hazār, sau sau, pachās pachās aur das das ādmiyoṅ par muqarrar kiyā. 26 Yih mard qāzī ban kar mustaqil taur par logoṅ kā insāf karne lage. Āsān masloṅ kā faislā wuh ḳhud karte aur mushkil muāmaloṅ ko Mūsā ke pās le āte the. 27 Kuchh arse bād Mūsā ne apne susar ko ruḳhsat kiyā to Yitro apne watan wāpas chalā gayā.

In Other Versions

Exodus 18 in the ANGEFD

Exodus 18 in the ANTPNG2D

Exodus 18 in the AS21

Exodus 18 in the BAGH

Exodus 18 in the BBPNG

Exodus 18 in the BBT1E

Exodus 18 in the BDS

Exodus 18 in the BEV

Exodus 18 in the BHAD

Exodus 18 in the BIB

Exodus 18 in the BLPT

Exodus 18 in the BNT

Exodus 18 in the BNTABOOT

Exodus 18 in the BNTLV

Exodus 18 in the BOATCB

Exodus 18 in the BOATCB2

Exodus 18 in the BOBCV

Exodus 18 in the BOCNT

Exodus 18 in the BOECS

Exodus 18 in the BOGWICC

Exodus 18 in the BOHCB

Exodus 18 in the BOHCV

Exodus 18 in the BOHLNT

Exodus 18 in the BOHNTLTAL

Exodus 18 in the BOICB

Exodus 18 in the BOILNTAP

Exodus 18 in the BOITCV

Exodus 18 in the BOKCV

Exodus 18 in the BOKCV2

Exodus 18 in the BOKHWOG

Exodus 18 in the BOKSSV

Exodus 18 in the BOLCB

Exodus 18 in the BOLCB2

Exodus 18 in the BOMCV

Exodus 18 in the BONAV

Exodus 18 in the BONCB

Exodus 18 in the BONLT

Exodus 18 in the BONUT2

Exodus 18 in the BOPLNT

Exodus 18 in the BOSCB

Exodus 18 in the BOSNC

Exodus 18 in the BOTLNT

Exodus 18 in the BOVCB

Exodus 18 in the BOYCB

Exodus 18 in the BPBB

Exodus 18 in the BPH

Exodus 18 in the BSB

Exodus 18 in the CCB

Exodus 18 in the CUV

Exodus 18 in the CUVS

Exodus 18 in the DBT

Exodus 18 in the DGDNT

Exodus 18 in the DHNT

Exodus 18 in the DNT

Exodus 18 in the ELBE

Exodus 18 in the EMTV

Exodus 18 in the ESV

Exodus 18 in the FBV

Exodus 18 in the FEB

Exodus 18 in the GGMNT

Exodus 18 in the GNT

Exodus 18 in the HARY

Exodus 18 in the HNT

Exodus 18 in the IRVA

Exodus 18 in the IRVB

Exodus 18 in the IRVG

Exodus 18 in the IRVH

Exodus 18 in the IRVK

Exodus 18 in the IRVM

Exodus 18 in the IRVM2

Exodus 18 in the IRVO

Exodus 18 in the IRVP

Exodus 18 in the IRVT

Exodus 18 in the IRVT2

Exodus 18 in the IRVU

Exodus 18 in the ISVN

Exodus 18 in the JSNT

Exodus 18 in the KAPI

Exodus 18 in the KBT1ETNIK

Exodus 18 in the KBV

Exodus 18 in the KJV

Exodus 18 in the KNFD

Exodus 18 in the LBA

Exodus 18 in the LBLA

Exodus 18 in the LNT

Exodus 18 in the LSV

Exodus 18 in the MAAL

Exodus 18 in the MBV

Exodus 18 in the MBV2

Exodus 18 in the MHNT

Exodus 18 in the MKNFD

Exodus 18 in the MNG

Exodus 18 in the MNT

Exodus 18 in the MNT2

Exodus 18 in the MRS1T

Exodus 18 in the NAA

Exodus 18 in the NASB

Exodus 18 in the NBLA

Exodus 18 in the NBS

Exodus 18 in the NBVTP

Exodus 18 in the NET2

Exodus 18 in the NIV11

Exodus 18 in the NNT

Exodus 18 in the NNT2

Exodus 18 in the NNT3

Exodus 18 in the PDDPT

Exodus 18 in the PFNT

Exodus 18 in the RMNT

Exodus 18 in the SBIAS

Exodus 18 in the SBIBS

Exodus 18 in the SBIBS2

Exodus 18 in the SBICS

Exodus 18 in the SBIDS

Exodus 18 in the SBIGS

Exodus 18 in the SBIHS

Exodus 18 in the SBIIS

Exodus 18 in the SBIIS2

Exodus 18 in the SBIIS3

Exodus 18 in the SBIKS

Exodus 18 in the SBIKS2

Exodus 18 in the SBIMS

Exodus 18 in the SBIOS

Exodus 18 in the SBIPS

Exodus 18 in the SBISS

Exodus 18 in the SBITS

Exodus 18 in the SBITS2

Exodus 18 in the SBITS3

Exodus 18 in the SBITS4

Exodus 18 in the SBIUS

Exodus 18 in the SBIVS

Exodus 18 in the SBT

Exodus 18 in the SBT1E

Exodus 18 in the SCHL

Exodus 18 in the SNT

Exodus 18 in the SUSU

Exodus 18 in the SUSU2

Exodus 18 in the SYNO

Exodus 18 in the TBIAOTANT

Exodus 18 in the TBT1E

Exodus 18 in the TBT1E2

Exodus 18 in the TFTIP

Exodus 18 in the TFTU

Exodus 18 in the TGNTATF3T

Exodus 18 in the THAI

Exodus 18 in the TNFD

Exodus 18 in the TNT

Exodus 18 in the TNTIK

Exodus 18 in the TNTIL

Exodus 18 in the TNTIN

Exodus 18 in the TNTIP

Exodus 18 in the TNTIZ

Exodus 18 in the TOMA

Exodus 18 in the TTENT

Exodus 18 in the UBG

Exodus 18 in the UGV

Exodus 18 in the UGV2

Exodus 18 in the VBL

Exodus 18 in the VDCC

Exodus 18 in the YALU

Exodus 18 in the YAPE

Exodus 18 in the YBVTP

Exodus 18 in the ZBP