Exodus 28 (UGV3)
1 Apne bhāī Hārūn aur us ke beṭoṅ Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar ko bulā. Maiṅ ne unheṅ Isrāīliyoṅ meṅ se chun liyā hai tāki wuh imāmoṅ kī haisiyat se merī ḳhidmat kareṅ. 2 Apne bhāī Hārūn ke lie muqaddas libās banwānā jo purwaqār aur shāndār hoṅ. 3 Libās banāne kī zimmedārī un tamām logoṅ ko denā jo aise kāmoṅ meṅ māhir haiṅ aur jin ko maiṅ ne hikmat kī rūh se bhar diyā hai. Kyoṅki jab Hārūn ko maḳhsūs kiyā jāegā aur wuh muqaddas ḳhaime kī ḳhidmat saranjām degā to use in kapṛoṅ kī zarūrat hogī. 4 Us ke lie yih libās banāne haiṅ: sīne kā kīsā, bālāposh, choġhā, bunā huā zerjāmā, pagaṛī aur kamarband. Yih kapṛe apne bhāī Hārūn aur us ke beṭoṅ ke lie banwāne haiṅ tāki wuh imām ke taur par ḳhidmat kar sakeṅ. 5 In kapṛoṅ ke lie sonā aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl kiyā jāe. 6 Bālāposh ko bhī sone aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banānā hai. Us par kisī māhir kārīgar se kaṛhāī kā kām karwāyā jāe. 7 Us kī do paṭṭiyāṅ hoṅ jo kandhoṅ par rakh kar sāmne aur pīchhe se bālāposh ke sāth lagī hoṅ. 8 Is ke alāwā ek paṭkā bunanā hai jis se bālāposh ko bāndhā jāe aur jo bālāposh ke sāth ek ṭukṛā ho. Us ke lie bhī sonā, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl kiyā jāe. 9 Phir aqīq-e-ahmar ke do patthar chun kar un par Isrāīl ke bārah beṭoṅ ke nām kandā karnā. 10 Har jauhar par chhih chhih nām un kī paidāish kī tartīb ke mutābiq kandā kie jāeṅ. 11 Yih nām us tarah jauharoṅ par kandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandā kī jātī hai. Phir donoṅ jauhar sone ke ḳhānoṅ meṅ jaṛ kar 12 bālāposh kī do paṭṭiyoṅ par aise lagānā ki kandhoṅ par ā jāeṅ. Jab Hārūn mere huzūr āegā to jauharoṅ par ke yih nām us ke kandhoṅ par hoṅge aur mujhe Isrāīliyoṅ kī yād dilāeṅge. 13 Sone ke ḳhāne banānā 14 aur ḳhālis sone kī do zanjīreṅ jo ḍorī kī tarah gundhī huī hoṅ. Phir in do zanjīroṅ ko sone ke ḳhānoṅ ke sāth lagānā. 15 Sīne ke lie kīsā banānā. Us meṅ wuh qur'e paṛe raheṅ jin kī mārifat merī marzī mālūm kī jāegī. Māhir kārīgar use unhīṅ chīzoṅ se banāe jin se Hārūn kā bālāposh banāyā gayā hai yānī sone aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se. 16 Jab kapṛe ko ek dafā tah kiyā gayā ho to kīse kī lambāī aur chauṛāī nau nau inch ho. 17 Us par chār qatāroṅ meṅ jawāhar jaṛnā. Har qatār meṅ tīn tīn jauhar hoṅ. Pahlī qatār meṅ lāl, zabarjad aur zumurrad. 18 Dūsrī meṅ fīrozā, sang-e-lājaward aur hajrul-qamar. 19 tīsrī meṅ zarqon, aqīq aur yāqūt-e-arġhawānī. 20 chauthī meṅ pukhrāj, aqīq-e-ahmar aur yashab. har jauhar sone ke ḳhāne meṅ jaṛā huā ho. 21 Yih bārah jawāhar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kī numāindagī karte haiṅ. Ek ek jauhar par ek qabīle kā nām kandā kiyā jāe. Yih nām us tarah kandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandā kī jātī hai. 22 Sīne ke kīse par ḳhālis sone kī do zanjīreṅ lagānā jo ḍorī kī tarah gundhī huī hoṅ. 23 Unheṅ lagāne ke lie do kaṛe banā kar kīse ke ūpar ke do konoṅ par lagānā. 24 Ab donoṅ zanjīreṅ un do kaṛoṅ se lagānā. 25 Un ke dūsre sire bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ ke do ḳhānoṅ ke sāth joṛ denā, phir sāmne kī taraf lagānā. 26 Kīse ke nichle do konoṅ par bhī sone ke do kaṛe lagānā. Wuh andar, bālāposh kī taraf lage hoṅ. 27 Ab do aur kaṛe banā kar bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ par lagānā. Yih bhī sāmne kī taraf lage hoṅ lekin nīche, bālāposh ke paṭke ke ūpar hī. 28 Sīne ke kīse ke nichle kaṛe nīlī ḍorī se bālāposh ke in nichle kaṛoṅ ke sāth bāndhe jāeṅ. Yoṅ kīsā paṭke ke ūpar achchhī tarah sīne ke sāth lagā rahegā. 29 Jab bhī Hārūn maqdis meṅ dāḳhil ho kar Rab ke huzūr āegā wuh Isrāīlī qabīloṅ ke nām apne dil par sīne ke kīse kī sūrat meṅ sāth le jāegā. Yoṅ wuh qaum kī yād dilātā rahegā. 30 Sīne ke kīse meṅ donoṅ qur'e banām Ūrīm aur Tummīm rakhe jāeṅ. Wuh bhī maqdis meṅ Rab ke sāmne āte waqt Hārūn ke dil par hoṅ. Yoṅ jab Hārūn Rab ke huzūr hogā to Rab kī marzī pūchhne kā wasīlā hameshā us ke dil par hogā. 31 Choġhā bhī bunanā. Wuh pūrī tarah nīle dhāge se banāyā jāe. Choġhe ko bālāposh se pahle pahnā jāe. 32 Us ke garebān ko bune hue kālar se mazbūt kiyā jāe tāki wuh na phaṭe. 33 Nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se anār banā kar unheṅ choġhe ke dāman meṅ lagā denā. Un ke darmiyān sone kī ghanṭiyāṅ lagānā. 34 Dāman meṅ anār aur ghanṭiyāṅ bārī bārī lagānā. 35 Hārūn ḳhidmat karte waqt hameshā choġhā pahne. Jab wuh maqdis meṅ Rab ke huzūr āegā aur wahāṅ se niklegā to ghanṭiyāṅ sunāī deṅgī. Phir wuh nahīṅ maregā. 36 Ḳhālis sone kī taḳhtī banā kar us par yih alfāz kandā karnā, ‘Rab ke lie Maḳhsūs-o-Muqaddas.’ Yih alfāz yoṅ kandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandā kī jātī hai. 37 Use nīlī ḍorī se pagaṛī ke sāmne wāle hisse se lagāyā jāe 38 tāki wuh Hārūn ke māthe par paṛī rahe. Jab bhī wuh maqdis meṅ jāe to yih taḳhtī sāth ho. Jab Isrāīlī apne nazarāne lā kar Rab ke lie maḳhsūs kareṅ lekin kisī ġhaltī ke bāis qusūrwār hoṅ to un kā yih qusūr Hārūn par muntaqil hogā. Is lie yih taḳhtī har waqt us ke māthe par ho tāki Rab Isrāīliyoṅ ko qabūl kar le. 39 Zerjāme ko bārīk katān se bunanā aur is tarah pagaṛī bhī. Phir kamarband banānā. Us par kaṛhāī kā kām kiyā jāe. 40 Hārūn ke beṭoṅ ke lie bhī zerjāme, kamarband aur pagaṛiyāṅ banānā tāki wuh purwaqār aur shāndār nazar āeṅ. 41 Yih sab apne bhāī Hārūn aur us ke beṭoṅ ko pahnānā. Un ke saroṅ par tel unḍel kar unheṅ masah karnā. Yoṅ unheṅ un ke ohde par muqarrar karke merī ḳhidmat ke lie maḳhsūs karnā. 42 Un ke lie katān ke pājāme bhī banānā tāki wuh zerjāme ke nīche nange na hoṅ. Un kī lambāī kamr se rān tak ho. 43 Jab bhī Hārūn aur us ke beṭe mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil hoṅ to unheṅ yih pājāme pahnane haiṅ. Isī tarah jab unheṅ Muqaddas Kamre meṅ ḳhidmat karne ke lie qurbāngāh ke pās ānā hotā hai to wuh yih pahneṅ, warnā wuh qusūrwār ṭhahar kar mar jāeṅge. Yih Hārūn aur us kī aulād ke lie ek abadī usūl hai.