Ezekiel 43 (UGV3)
1 Merā rāhnumā mujhe dubārā Rab ke ghar ke mashriqī darwāze ke pās le gayā. 2 Achānak Isrāīl ke Ḳhudā kā jalāl mashriq se ātā huā dikhāī diyā. Zabardast ābshār kā-sā shor sunāī diyā, aur zamīn us ke jalāl se chamak rahī thī. 3 Rab mujh par yoṅ zāhir huā jis tarah dīgar royāoṅ meṅ, pahle Dariyā-e-Kibār ke kināre aur phir us waqt jab wuh Yarūshalam ko tabāh karne āyā thā.Maiṅ muṅh ke bal gir gayā. 4 Rab kā jalāl mashriqī darwāze meṅ se Rab ke ghar meṅ dāḳhil huā. 5 Phir Allāh kā Rūh mujhe uṭhā kar andarūnī sahan meṅ le gayā. Wahāṅ maiṅ ne dekhā ki pūrā ghar Rab ke jalāl se māmūr hai. 6 Mere pās khaṛe ādmī kī maujūdagī meṅ koī Rab ke ghar meṅ se mujh se muḳhātib huā, 7 “Ai ādamzād, yih mere taḳht aur mere pāṅwoṅ ke talwoṅ kā maqām hai. Yihīṅ maiṅ hameshā tak Isrāīliyoṅ ke darmiyān sukūnat karūṅga. Āindā na kabhī Isrāīlī aur na un ke bādshāh mere muqaddas nām kī behurmatī kareṅge. Na wuh apnī zinākārānā butparastī se, na bādshāhoṅ kī lāshoṅ se mere nām kī behurmatī kareṅge. 8 Māzī meṅ Isrāīl ke bādshāhoṅ ne apne mahaloṅ ko mere ghar ke sāth hī tāmīr kiyā. Un kī dahlīz merī dahlīz ke sāth aur un ke darwāze kā bāzū mere darwāze ke bāzū ke sāth lagtā thā. Ek hī dīwār unheṅ mujh se alag rakhtī thī. Yoṅ unhoṅ ne apnī makrūh harkatoṅ se mere muqaddas nām kī behurmatī kī, aur jawāb meṅ maiṅ ne apne ġhazab meṅ unheṅ halāk kar diyā. 9 Lekin ab wuh apnī zinākārānā butparastī aur apne bādshāhoṅ kī lāsheṅ mujh se dūr rakheṅge. Tab maiṅ hameshā tak un ke darmiyān sukūnat karūṅga. 10 Ai ādamzād, Isrāīliyoṅ ko is ghar ke bāre meṅ batā de tāki unheṅ apne gunāhoṅ par sharm āe. Wuh dhyān se nae ghar ke naqshe kā mutāla'ā kareṅ. 11 Agar unheṅ apnī harkatoṅ par sharm āe to unheṅ ghar kī tafsīlāt bhī dikhā de, yānī us kī tartīb, us ke āne jāne ke rāste aur us kā pūrā intazām tamām qawāyd aur ahkām samet. Sab kuchh un ke sāmne hī likh de tāki wuh us ke pūre intazām ke pāband raheṅ aur us ke tamām qawāyd kī pairawī kareṅ. 12 Rab ke ghar ke lie merī hidāyat sun! Is pahāṛ kī choṭī gird-o-nawāh ke tamām ilāqe samet muqaddastarīn jagah hai. Yih ghar ke lie merī hidāyat hai.” 13 Qurbāngāh yoṅ banāī gaī thī ki us kā pāyā nālī se ghirā huā thā jo 21 inch gahrī aur utnī hī chauṛī thī. Bāhar kī taraf nālī ke kināre par chhoṭī-sī dīwār thī jis kī ūṅchāī 9 inch thī. 14 Qurbāngāh ke tīn hisse the. Sab se nichlā hissā sāṛhe tīn fuṭ ūṅchā thā. Is par banā huā hissā 7 fuṭ ūṅchā thā, lekin us kī chauṛāī kuchh kam thī, is lie chāroṅ taraf nichle hisse kā ūpar wālā kinārā nazar ātā thā. Is kināre kī chauṛāī 21 inch thī. Tīsrā aur sab se ūpar wālā hissā bhī isī tarah banāyā gayā thā. Wuh dūsre hisse kī nisbat kam chauṛā thā, is lie chāroṅ taraf dūsre hisse kā ūpar wālā kinārā nazar ātā thā. Is kināre kī chauṛāī bhī 21 inch thī. 15 Tīsre hisse par qurbāniyāṅ jalāī jātī thīṅ, aur chāroṅ konoṅ par sīṅg lage the. Yih hissā bhī 7 fuṭ ūṅchā thā. 16 Qurbāngāh kī ūpar wālī satah murabbā shakl kī thī. Us kī chauṛāī aur lambāī ikkīs ikkīs fuṭ thī. 17 Dūsrā hissā bhī murabbā shakl kā thā. Us kī chauṛāī aur lambāī sāṛhe chaubīs chaubīs fuṭ thī. Us kā ūpar wālā kinārā nazar ātā thā, aur us par 21 inch chauṛī nālī thī, yoṅ ki kināre par chhoṭī-sī dīwār thī jis kī ūṅchāī sāṛhe 10 inch thī. Qurbāngāh par chaṛhnī ke lie us ke mashriq meṅ sīṛhī thī. 18 Phir Rab mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki is qurbāngāh ko tāmīr karne ke bād tujhe is par qurbāniyāṅ jalā kar ise maḳhsūs karnā hai. Sāth sāth is par qurbāniyoṅ kā ḳhūn bhī chhiṛaknā hai. Is silsile meṅ merī hidāyāt sun! 19 Sirf Lāwī ke qabīle ke un imāmoṅ ko Rab ke ghar meṅ mere huzūr ḳhidmat karne kī ijāzat hai jo Sadoq kī aulād haiṅ.Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki unheṅ ek jawān bail de tāki wuh use gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kareṅ. 20 Is bail kā kuchh ḳhūn le kar qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ, nichle hisse ke chāroṅ konoṅ aur irdgird us ke kināre par lagā de. Yoṅ tū qurbāngāh kā kaffārā de kar use pāk-sāf karegā. 21 Is ke bād jawān bail ko maqdis se bāhar kisī muqarrarā jagah par le jā. Wahāṅ use jalā denā hai. 22 Agle din ek beaib bakre ko qurbān kar. Yih bhī gunāh kī qurbānī hai, aur is ke zariye qurbāngāh ko pahlī qurbānī kī tarah pāk-sāf karnā hai. 23 Pāk-sāf karne ke is silsile kī takmīl par ek beaib bail aur ek beaib menḍhe ko chun kar 24 Rab ko pesh kar. Imām in jānwaroṅ par namak chhiṛak kar inheṅ Rab ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kareṅ. 25 Lāzim hai ki tū sāt din tak rozānā ek bakrā, ek jawān bail aur ek menḍhā qurbān kare. Sab jānwar beaib hoṅ. 26 Sāt dinoṅ kī is kār-rawāī se tum qurbāngāh kā kaffārā de kar use pāk-sāf aur maḳhsūs karoge. 27 Āṭhweṅ din se imām bāqāydā qurbāniyāṅ shurū kar sakeṅge. Us waqt se wuh tumhāre lie bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅge. Tab tum mujhe manzūr hoge. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”