Galatians 5 (UGV3)
1 Masīh ne hameṅ āzād rahne ke lie hī āzād kiyā hai. To ab qāym raheṅ aur dubārā apne gale meṅ ġhulāmī kā juā ḍālne na deṅ. 2 Suneṅ! Maiṅ Paulus āp ko batātā hūṅ ki agar āp apnā ḳhatnā karwāeṅ to āp ko Masīh kā koī fāydā nahīṅ hogā. 3 Maiṅ ek bār phir is bāt kī tasdīq kartā hūṅ ki jis ne bhī apnā ḳhatnā karwāyā us kā farz hai ki wuh pūrī sharīat kī pairawī kare. 4 Āp jo sharīat kī pairawī karne se rāstbāz bananā chāhte haiṅ āp kā Masīh ke sāth koī wāstā na rahā. Hāṅ, āp Allāh ke fazl se dūr ho gae haiṅ. 5 Lekin hameṅ ek farq ummīd dilāī gaī hai. Ummīd yih hai ki Ḳhudā hī hameṅ rāstbāz qarār detā hai. Chunāṅche ham Rūhul-quds ke bāis īmān rakh kar isī rāstbāzī ke lie taṛapte rahte haiṅ. 6 Kyoṅki jab ham Masīh Īsā meṅ hote haiṅ to ḳhatnā karwāne yā na karwāne se koī farq nahīṅ paṛtā. Farq sirf us īmān se paṛtā hai jo muhabbat karne se zāhir hotā hai. 7 Āp īmān kī dauṛ meṅ achchhī taraqqī kar rahe the! To phir kis ne āp ko sachchāī kī pairawī karne se rok liyā? 8 Kis ne āp ko ubhārā? Allāh to nahīṅ thā jo āp ko bulātā hai. 9 Dekheṅ, thoṛā-sā ḳhamīr tamām gundhe hue āṭe ko ḳhamīr kar detā hai. 10 Mujhe Ḳhudāwand meṅ āp par itnā etamād hai ki āp yihī soch rakhte haiṅ. Jo bhī āp meṅ afrā-tafrī paidā kar rahā hai use sazā milegī. 11 Bhāiyo, jahāṅ tak merā tālluq hai, agar maiṅ yih paiġhām detā ki ab tak ḳhatnā karwāne kī zarūrat hai to merī īzārasānī kyoṅ ho rahī hotī? Agar aisā hotā to log Masīh ke maslūb hone ke bāre meṅ sun kar ṭhokar na khāte. 12 Behtar hai ki āp ko pareshān karne wāle na sirf apnā ḳhatnā karwāeṅ balki ḳhoje ban jāeṅ. 13 Bhāiyo, āp ko āzād hone ke lie bulāyā gayā hai. Lekin ḳhabardār raheṅ ki is āzādī se āp kī gunāhālūdā fitrat ko amal meṅ āne kā mauqā na mile. Is ke bajāe muhabbat kī rūh meṅ ek dūsre kī ḳhidmat kareṅ. 14 Kyoṅki pūrī sharīat ek hī hukm meṅ samāī huī hai, “Apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.” 15 Agar āp ek dūsre ko kāṭte aur phāṛte haiṅ to ḳhabardār! Aisā na ho ki āp ek dūsre ko ḳhatm karke sab ke sab tabāh ho jāeṅ. 16 Maiṅ to yih kahtā hūṅ ki Rūhul-quds meṅ zindagī guzāreṅ. Phir āp apnī purānī fitrat kī ḳhāhishāt pūrī nahīṅ kareṅge. 17 Kyoṅki jo kuchh hamārī purānī fitrat chāhtī hai wuh us ke ḳhilāf hai jo Rūh chāhtā hai, aur jo kuchh Rūh chāhtā hai wuh us ke ḳhilāf hai jo hamārī purānī fitrat chāhtī hai. Yih donoṅ ek dūsre ke dushman haiṅ, is lie āp wuh kuchh nahīṅ kar pāte jo āp karnā chāhte haiṅ. 18 Lekin jab Rūhul-quds āp kī rāhnumāī kartā hai to āp sharīat ke tābe nahīṅ hote. 19 Jo kām purānī fitrat kartī hai wuh sāf zāhir hotā hai. Masalan zinākārī, nāpākī, aiyāshī, 20 butparastī, jādūgarī, dushmanī, jhagaṛā, hasad, ġhussā, ḳhudġharzī, anban, pārṭībāzī, 21 jalan, nashābāzī, rangraliyāṅ waġhairā. Maiṅ pahle bhī āp ko āgāh kar chukā hūṅ, lekin ab ek bār phir kahtā hūṅ ki jo is tarah kī zindagī guzārte haiṅ wuh Allāh kī bādshāhī mīrās meṅ nahīṅ pāeṅge. 22 Rūhul-quds kā phal farq hai. Wuh muhabbat, ḳhushī, sulah-salāmatī, sabr, mehrbānī, nekī, wafādārī, 23 narmī aur zabt-e-nafs paidā kartā hai. Sharīat aisī chīzoṅ ke ḳhilāf nahīṅ hotī. 24 Aur jo Masīh Īsā ke haiṅ unhoṅ ne apnī purānī fitrat ko us kī raġhbatoṅ aur burī ḳhāhishoṅ samet maslūb kar diyā hai. 25 Chūṅki ham Rūh meṅ zindagī guzārte haiṅ is lie āeṅ, ham qadam baqadam us ke mutābiq chalte bhī raheṅ. 26 Na ham maġhrūr hoṅ, na ek dūsre ko mushta'il kareṅ yā ek dūsre se hasad kareṅ.
In Other Versions
Galatians 5 in the ANGEFD
Galatians 5 in the ANTPNG2D
Galatians 5 in the AS21
Galatians 5 in the BAGH
Galatians 5 in the BBPNG
Galatians 5 in the BBT1E
Galatians 5 in the BDS
Galatians 5 in the BEV
Galatians 5 in the BHAD
Galatians 5 in the BIB
Galatians 5 in the BLPT
Galatians 5 in the BNT
Galatians 5 in the BNTABOOT
Galatians 5 in the BNTLV
Galatians 5 in the BOATCB
Galatians 5 in the BOATCB2
Galatians 5 in the BOBCV
Galatians 5 in the BOCNT
Galatians 5 in the BOECS
Galatians 5 in the BOGWICC
Galatians 5 in the BOHCB
Galatians 5 in the BOHCV
Galatians 5 in the BOHLNT
Galatians 5 in the BOHNTLTAL
Galatians 5 in the BOICB
Galatians 5 in the BOILNTAP
Galatians 5 in the BOITCV
Galatians 5 in the BOKCV
Galatians 5 in the BOKCV2
Galatians 5 in the BOKHWOG
Galatians 5 in the BOKSSV
Galatians 5 in the BOLCB
Galatians 5 in the BOLCB2
Galatians 5 in the BOMCV
Galatians 5 in the BONAV
Galatians 5 in the BONCB
Galatians 5 in the BONLT
Galatians 5 in the BONUT2
Galatians 5 in the BOPLNT
Galatians 5 in the BOSCB
Galatians 5 in the BOSNC
Galatians 5 in the BOTLNT
Galatians 5 in the BOVCB
Galatians 5 in the BOYCB
Galatians 5 in the BPBB
Galatians 5 in the BPH
Galatians 5 in the BSB
Galatians 5 in the CCB
Galatians 5 in the CUV
Galatians 5 in the CUVS
Galatians 5 in the DBT
Galatians 5 in the DGDNT
Galatians 5 in the DHNT
Galatians 5 in the DNT
Galatians 5 in the ELBE
Galatians 5 in the EMTV
Galatians 5 in the ESV
Galatians 5 in the FBV
Galatians 5 in the FEB
Galatians 5 in the GGMNT
Galatians 5 in the GNT
Galatians 5 in the HARY
Galatians 5 in the HNT
Galatians 5 in the IRVA
Galatians 5 in the IRVB
Galatians 5 in the IRVG
Galatians 5 in the IRVH
Galatians 5 in the IRVK
Galatians 5 in the IRVM
Galatians 5 in the IRVM2
Galatians 5 in the IRVO
Galatians 5 in the IRVP
Galatians 5 in the IRVT
Galatians 5 in the IRVT2
Galatians 5 in the IRVU
Galatians 5 in the ISVN
Galatians 5 in the JSNT
Galatians 5 in the KAPI
Galatians 5 in the KBT1ETNIK
Galatians 5 in the KBV
Galatians 5 in the KJV
Galatians 5 in the KNFD
Galatians 5 in the LBA
Galatians 5 in the LBLA
Galatians 5 in the LNT
Galatians 5 in the LSV
Galatians 5 in the MAAL
Galatians 5 in the MBV
Galatians 5 in the MBV2
Galatians 5 in the MHNT
Galatians 5 in the MKNFD
Galatians 5 in the MNG
Galatians 5 in the MNT
Galatians 5 in the MNT2
Galatians 5 in the MRS1T
Galatians 5 in the NAA
Galatians 5 in the NASB
Galatians 5 in the NBLA
Galatians 5 in the NBS
Galatians 5 in the NBVTP
Galatians 5 in the NET2
Galatians 5 in the NIV11
Galatians 5 in the NNT
Galatians 5 in the NNT2
Galatians 5 in the NNT3
Galatians 5 in the PDDPT
Galatians 5 in the PFNT
Galatians 5 in the RMNT
Galatians 5 in the SBIAS
Galatians 5 in the SBIBS
Galatians 5 in the SBIBS2
Galatians 5 in the SBICS
Galatians 5 in the SBIDS
Galatians 5 in the SBIGS
Galatians 5 in the SBIHS
Galatians 5 in the SBIIS
Galatians 5 in the SBIIS2
Galatians 5 in the SBIIS3
Galatians 5 in the SBIKS
Galatians 5 in the SBIKS2
Galatians 5 in the SBIMS
Galatians 5 in the SBIOS
Galatians 5 in the SBIPS
Galatians 5 in the SBISS
Galatians 5 in the SBITS
Galatians 5 in the SBITS2
Galatians 5 in the SBITS3
Galatians 5 in the SBITS4
Galatians 5 in the SBIUS
Galatians 5 in the SBIVS
Galatians 5 in the SBT
Galatians 5 in the SBT1E
Galatians 5 in the SCHL
Galatians 5 in the SNT
Galatians 5 in the SUSU
Galatians 5 in the SUSU2
Galatians 5 in the SYNO
Galatians 5 in the TBIAOTANT
Galatians 5 in the TBT1E
Galatians 5 in the TBT1E2
Galatians 5 in the TFTIP
Galatians 5 in the TFTU
Galatians 5 in the TGNTATF3T
Galatians 5 in the THAI
Galatians 5 in the TNFD
Galatians 5 in the TNT
Galatians 5 in the TNTIK
Galatians 5 in the TNTIL
Galatians 5 in the TNTIN
Galatians 5 in the TNTIP
Galatians 5 in the TNTIZ
Galatians 5 in the TOMA
Galatians 5 in the TTENT
Galatians 5 in the UBG
Galatians 5 in the UGV
Galatians 5 in the UGV2
Galatians 5 in the VBL
Galatians 5 in the VDCC
Galatians 5 in the YALU
Galatians 5 in the YAPE
Galatians 5 in the YBVTP
Galatians 5 in the ZBP