Genesis 18 (UGV3)

1 Ek din Rab Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās Ibrāhīm par zāhir huā. Ibrāhīm apne ḳhaime ke darwāze par baiṭhā thā. Din kī garmī urūj par thī. 2 Achānak us ne dekhā ki tīn mard mere sāmne khaṛe haiṅ. Unheṅ deḳhte hī wuh ḳhaime se un se milne ke lie dauṛā aur muṅh ke bal gir kar sijdā kiyā. 3 Us ne kahā, “Mere āqā, agar mujh par āp ke karm kī nazar hai to āge na baṛheṅ balki kuchh der apne bande ke ghar ṭhahreṅ. 4 Agar ijāzat ho to maiṅ kuchh pānī le āūṅ tāki āp apne pāṅw dho kar daraḳht ke sāy meṅ ārām kar sakeṅ. 5 Sāth sāth maiṅ āp ke lie thoṛā-bahut khānā bhī le āūṅ tāki āp taqwiyat pā kar āge baṛh sakeṅ. Mujhe yih karne deṅ, kyoṅki āp apne ḳhādim ke ghar ā gae haiṅ.” Unhoṅ ne kahā, “Ṭhīk hai. Jo kuchh tū ne kahā hai wuh kar.” 6 Ibrāhīm ḳhaime kī taraf dauṛ kar Sārā ke pās āyā aur kahā, “Jaldī karo! 16 kilogrām behtarīn maidā le aur use gūṅdh kar roṭiyāṅ banā.” 7 Phir wuh bhāg kar bailoṅ ke pās pahuṅchā. Un meṅ se us ne ek moṭā-tāzā bachhṛā chun liyā jis kā gosht narm thā aur use apne naukar ko diyā jis ne jaldī se use taiyār kiyā. 8 Jab khānā taiyār thā to Ibrāhīm ne use le kar lassī aur dūdh ke sāth apne mehmānoṅ ke āge rakh diyā. Wuh khāne lage aur Ibrāhīm un ke sāmne daraḳht ke sāy meṅ khaṛā rahā. 9 Unhoṅ ne pūchhā, “Terī bīwī Sārā kahāṅ hai?” Us ne jawāb diyā, “Ḳhaime meṅ.” 10 Rab ne kahā, “Ain ek sāl ke bād maiṅ wāpas āūṅgā to terī bīwī Sārā ke beṭā hogā.”Sārā yih bāteṅ sun rahī thī, kyoṅki wuh us ke pīchhe ḳhaime ke darwāze ke pās thī. 11 Donoṅ miyāṅ-bīwī būṛhe ho chuke the aur Sārā us umr se guzar chukī thī jis meṅ auratoṅ ke bachche paidā hote haiṅ. 12 Is lie Sārā andar hī andar haṅs paṛī aur sochā, “Yih kaise ho saktā hai? Kyā jab maiṅ buṛhāpe ke bāis ghise-phaṭe libās kī mānind hūṅ to jawānī ke joban kā lutf uṭhāūṅ? Aur merā shauhar bhī būṛhā hai.” 13 Rab ne Ibrāhīm se pūchhā, “Sārā kyoṅ haṅs rahī hai? Wuh kyoṅ kah rahī hai, ‘Kyā wāqaī mere hāṅ bachchā paidā hogā jabki maiṅ itnī umrrasīdā hūṅ?’ 14 Kyā Rab ke lie koī kām nāmumkin hai? Ek sāl ke bād muqarrarā waqt par maiṅ wāpas āūṅgā to Sārā ke beṭā hogā.” 15 Sārā ḍar gaī. Us ne jhūṭ bol kar inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ haṅs rahī thī.”Rab ne kahā, “Nahīṅ, tū zarūr haṅs rahī thī.” 16 Phir mehmān uṭh kar rawānā hue aur nīche wādī meṅ Sadūm kī taraf deḳhne lage. Ibrāhīm unheṅ ruḳhsat karne ke lie sāth sāth chal rahā thā. 17 Rab ne dil meṅ kahā, “Maiṅ Ibrāhīm se wuh kām kyoṅ chhupāe rakhūṅ jo maiṅ karne ke lie jā rahā hūṅ? 18 Isī se to ek baṛī aur tāqatwar qaum niklegī aur isī se maiṅ duniyā kī tamām qaumoṅ ko barkat dūṅgā. 19 Usī ko maiṅ ne chun liyā hai tāki wuh apnī aulād aur apne bād ke gharāne ko hukm de ki wuh Rab kī rāh par chal kar rāst aur munsifānā kām kareṅ. Kyoṅki agar wuh aisā kareṅ to Rab Ibrāhīm ke sāth apnā wādā pūrā karegā.” 20 Phir Rab ne kahā, “Sadūm aur Amūrā kī badī ke bāis logoṅ kī āheṅ buland ho rahī haiṅ, kyoṅki un se bahut sangīn gunāh sarzad ho rahe haiṅ. 21 Maiṅ utar kar un ke pās jā rahā hūṅ tāki dekhūṅ ki yih ilzām wāqaī sach haiṅ jo mujh tak pahuṅche haiṅ. Agar aisā nahīṅ hai to maiṅ yih jānanā chāhtā hūṅ.” 22 Dūsre do ādmī Sadūm kī taraf āge nikle jabki Rab kuchh der ke lie wahāṅ ṭhahrā rahā aur Ibrāhīm us ke sāmne khaṛā rahā. 23 Phir us ne qarīb ā kar us se bāt kī, “Kyā tū rāstbāzoṅ ko bhī sharīroṅ ke sāth tabāh kar degā? 24 Ho saktā hai ki shahr meṅ 50 rāstbāz hoṅ. Kyā tū phir bhī shahr ko barbād kar degā aur use un 50 ke sabab se muāf nahīṅ karegā? 25 Yih kaise ho saktā hai ki tū bequsūroṅ ko sharīroṅ ke sāth halāk kar de? Yih to nāmumkin hai ki tū nek aur sharīr logoṅ se ek jaisā sulūk kare. Kyā lāzim nahīṅ ki pūrī duniyā kā munsif insāf kare?” 26 Rab ne jawāb diyā, “Agar mujhe shahr meṅ 50 rāstbāz mil jāeṅ to un ke sabab se tamām ko muāf kar dūṅgā.” 27 Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai agarche maiṅ ḳhāk aur rākh hī hūṅ. 28 Lekin ho saktā hai ki sirf 45 rāstbāz us meṅ hoṅ. Kyā tū phir bhī un pāṅch logoṅ kī kamī ke sabab se pūre shahr ko tabāh karegā?” Us ne kahā, “Agar mujhe 45 bhī mil jāeṅ to use barbād nahīṅ karūṅga.” 29 Ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī, “Aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?” Rab ne kahā, “Maiṅ un 40 ke sabab se unheṅ chhoṛ dūṅgā.” 30 Ibrāhīm ne kahā, “Rab ġhussā na kare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ. Shāyad wahāṅ sirf 30 hoṅ.” Us ne jawāb diyā, “Phir bhī unheṅ chhoṛ dūṅgā.” 31 Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai. Agar sirf 20 pāe jāeṅ?” Rab ne kahā, “Maiṅ 20 ke sabab se shahr ko barbād karne se bāz rahūṅgā.” 32 Ibrāhīm ne ek āḳhirī dafā bāt kī, “Rab ġhussā na kare agar maiṅ ek aur bār bāt karūṅ. Shāyad us meṅ sirf 10 pāe jāeṅ.” Rab ne kahā, “Maiṅ use un 10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅ karūṅga.” 33 In bātoṅ ke bād Rab chalā gayā aur Ibrāhīm apne ghar ko lauṭ āyā.

In Other Versions

Genesis 18 in the ANGEFD

Genesis 18 in the ANTPNG2D

Genesis 18 in the AS21

Genesis 18 in the BAGH

Genesis 18 in the BBPNG

Genesis 18 in the BBT1E

Genesis 18 in the BDS

Genesis 18 in the BEV

Genesis 18 in the BHAD

Genesis 18 in the BIB

Genesis 18 in the BLPT

Genesis 18 in the BNT

Genesis 18 in the BNTABOOT

Genesis 18 in the BNTLV

Genesis 18 in the BOATCB

Genesis 18 in the BOATCB2

Genesis 18 in the BOBCV

Genesis 18 in the BOCNT

Genesis 18 in the BOECS

Genesis 18 in the BOGWICC

Genesis 18 in the BOHCB

Genesis 18 in the BOHCV

Genesis 18 in the BOHLNT

Genesis 18 in the BOHNTLTAL

Genesis 18 in the BOICB

Genesis 18 in the BOILNTAP

Genesis 18 in the BOITCV

Genesis 18 in the BOKCV

Genesis 18 in the BOKCV2

Genesis 18 in the BOKHWOG

Genesis 18 in the BOKSSV

Genesis 18 in the BOLCB

Genesis 18 in the BOLCB2

Genesis 18 in the BOMCV

Genesis 18 in the BONAV

Genesis 18 in the BONCB

Genesis 18 in the BONLT

Genesis 18 in the BONUT2

Genesis 18 in the BOPLNT

Genesis 18 in the BOSCB

Genesis 18 in the BOSNC

Genesis 18 in the BOTLNT

Genesis 18 in the BOVCB

Genesis 18 in the BOYCB

Genesis 18 in the BPBB

Genesis 18 in the BPH

Genesis 18 in the BSB

Genesis 18 in the CCB

Genesis 18 in the CUV

Genesis 18 in the CUVS

Genesis 18 in the DBT

Genesis 18 in the DGDNT

Genesis 18 in the DHNT

Genesis 18 in the DNT

Genesis 18 in the ELBE

Genesis 18 in the EMTV

Genesis 18 in the ESV

Genesis 18 in the FBV

Genesis 18 in the FEB

Genesis 18 in the GGMNT

Genesis 18 in the GNT

Genesis 18 in the HARY

Genesis 18 in the HNT

Genesis 18 in the IRVA

Genesis 18 in the IRVB

Genesis 18 in the IRVG

Genesis 18 in the IRVH

Genesis 18 in the IRVK

Genesis 18 in the IRVM

Genesis 18 in the IRVM2

Genesis 18 in the IRVO

Genesis 18 in the IRVP

Genesis 18 in the IRVT

Genesis 18 in the IRVT2

Genesis 18 in the IRVU

Genesis 18 in the ISVN

Genesis 18 in the JSNT

Genesis 18 in the KAPI

Genesis 18 in the KBT1ETNIK

Genesis 18 in the KBV

Genesis 18 in the KJV

Genesis 18 in the KNFD

Genesis 18 in the LBA

Genesis 18 in the LBLA

Genesis 18 in the LNT

Genesis 18 in the LSV

Genesis 18 in the MAAL

Genesis 18 in the MBV

Genesis 18 in the MBV2

Genesis 18 in the MHNT

Genesis 18 in the MKNFD

Genesis 18 in the MNG

Genesis 18 in the MNT

Genesis 18 in the MNT2

Genesis 18 in the MRS1T

Genesis 18 in the NAA

Genesis 18 in the NASB

Genesis 18 in the NBLA

Genesis 18 in the NBS

Genesis 18 in the NBVTP

Genesis 18 in the NET2

Genesis 18 in the NIV11

Genesis 18 in the NNT

Genesis 18 in the NNT2

Genesis 18 in the NNT3

Genesis 18 in the PDDPT

Genesis 18 in the PFNT

Genesis 18 in the RMNT

Genesis 18 in the SBIAS

Genesis 18 in the SBIBS

Genesis 18 in the SBIBS2

Genesis 18 in the SBICS

Genesis 18 in the SBIDS

Genesis 18 in the SBIGS

Genesis 18 in the SBIHS

Genesis 18 in the SBIIS

Genesis 18 in the SBIIS2

Genesis 18 in the SBIIS3

Genesis 18 in the SBIKS

Genesis 18 in the SBIKS2

Genesis 18 in the SBIMS

Genesis 18 in the SBIOS

Genesis 18 in the SBIPS

Genesis 18 in the SBISS

Genesis 18 in the SBITS

Genesis 18 in the SBITS2

Genesis 18 in the SBITS3

Genesis 18 in the SBITS4

Genesis 18 in the SBIUS

Genesis 18 in the SBIVS

Genesis 18 in the SBT

Genesis 18 in the SBT1E

Genesis 18 in the SCHL

Genesis 18 in the SNT

Genesis 18 in the SUSU

Genesis 18 in the SUSU2

Genesis 18 in the SYNO

Genesis 18 in the TBIAOTANT

Genesis 18 in the TBT1E

Genesis 18 in the TBT1E2

Genesis 18 in the TFTIP

Genesis 18 in the TFTU

Genesis 18 in the TGNTATF3T

Genesis 18 in the THAI

Genesis 18 in the TNFD

Genesis 18 in the TNT

Genesis 18 in the TNTIK

Genesis 18 in the TNTIL

Genesis 18 in the TNTIN

Genesis 18 in the TNTIP

Genesis 18 in the TNTIZ

Genesis 18 in the TOMA

Genesis 18 in the TTENT

Genesis 18 in the UBG

Genesis 18 in the UGV

Genesis 18 in the UGV2

Genesis 18 in the VBL

Genesis 18 in the VDCC

Genesis 18 in the YALU

Genesis 18 in the YAPE

Genesis 18 in the YBVTP

Genesis 18 in the ZBP