Genesis 49 (UGV3)
1 Yāqūb ne apne beṭoṅ ko bulā kar kahā, “Mere pās jamā ho jāo tāki maiṅ tumheṅ batāūṅ ki mustaqbil meṅ tumhāre sāth kyā kyā hogā. 2 Ai Yāqūb ke beṭo, ikaṭṭhe ho kar suno, apne bāp Isrāīl kī bātoṅ par ġhaur karo. 3 Rūbin, tum mere pahlauṭhe ho, mere zor aur merī tāqat kā pahlā phal. Tum izzat aur quwwat ke lihāz se bartar ho. 4 Lekin chūṅki tum beqābū sailāb kī mānind ho is lie tumhārī awwal haisiyat jātī rahe. Kyoṅki tum ne merī haram se hambistar ho kar apne bāp kī behurmatī kī hai. 5 Shamāūn aur Lāwī donoṅ bhāiyoṅ kī talwāreṅ zulm-o-tashaddud ke hathiyār rahe haiṅ. 6 Merī jān na un kī majlis meṅ shāmil aur na un kī jamāt meṅ dāḳhil ho, kyoṅki unhoṅ ne ġhusse meṅ ā kar dūsroṅ ko qatl kiyā hai, unhoṅ ne apnī marzī se bailoṅ kī koṅcheṅ kāṭī haiṅ. 7 Un ke ġhusse par lānat ho jo itnā zabardast hai aur un ke taish par jo itnā saḳht hai. Maiṅ unheṅ Yāqūb ke mulk meṅ titar-bitar karūṅga, unheṅ Isrāīl meṅ muntashir kar dūṅgā. 8 Yahūdāh, tumhāre bhāī tumhārī tārīf kareṅge. Tum apne dushmanoṅ kī gardan pakaṛe rahoge, aur tumhāre bāp ke beṭe tumhāre sāmne jhuk jāeṅge. 9 Yahūdāh sherbabar kā bachchā hai. Mere beṭe, tum abhī abhī shikār mār kar wāpas āe ho. Yahūdāh sherbabar balki shernī kī tarah dabak kar baiṭh jātā hai. Kaun use chheṛne kī jurrat karegā? 10 Shāhī asā Yahūdāh se dūr nahīṅ hogā balki shāhī iḳhtiyār us waqt tak us kī aulād ke pās rahegā jab tak wuh hākim na āe jis ke tābe qaumeṅ raheṅgī. 11 Wuh apnā jawān gadhā angūr kī bel se aur apnī gadhī kā bachchā behtarīn angūr kī bel se bāndhegā. Wuh apnā libās mai meṅ aur apnā kapṛā angūr ke ḳhūn meṅ dhoegā. 12 Us kī āṅkheṅ mai se zyādā gadlī aur us ke dāṅt dūdh se zyādā safed hoṅge. 13 Zabūlūn sāhil par ābād hogā jahāṅ bahrī jahāz hoṅge. Us kī had Saidā tak hogī. 14 Ishkār tāqatwar gadhā hai jo apne zīn ke do boroṅ ke darmiyān baiṭhā hai. 15 Jab wuh dekhegā ki us kī ārāmgāh achchhī aur us kā mulk ḳhushnumā hai to wuh bojh uṭhāne ke lie taiyār ho jāegā aur ujrat ke baġhair kām karne ke lie majbūr kiyā jāegā. 16 Dān apnī qaum kā insāf karegā agarche wuh Isrāīl ke qabīloṅ meṅ se ek hī hai. 17 Dān saṛak ke sāṅp aur rāste ke afaī kī mānind hogā. Wuh ghoṛe kī eṛiyoṅ ko kāṭegā to us kā sawār pīchhe gir jāegā. 18 Ai Rab, maiṅ terī hī najāt ke intazār meṅ hūṅ! 19 Jad par ḍākuoṅ kā jatthā hamlā karegā, lekin wuh palaṭ kar usī par hamlā kar degā. 20 Āshar ko ġhizāiyat wālī ḳhurāk hāsil hogī. Wuh lazīz shāhī khānā muhaiyā karegā. 21 Naftālī āzād chhoṛī huī hirnī hai. Wuh ḳhūbsūrat bāteṅ kartā hai. 22 Yūsuf phaldār bel hai. Wuh chashme par lagī huī phaldār bel hai jis kī shāḳheṅ dīwār par chaṛh gaī haiṅ. 23 Tīrandāzoṅ ne us par tīr chalā kar use tang kiyā aur us ke pīchhe paṛ gae. 24 Lekin us kī kamān mazbūt rahī, aur us ke bāzū Yāqūb ke zorāwar Ḳhudā ke sabab se tāqatwar rahe, us charwāhe ke sabab se jo Isrāīl kā Zabardast Sūrmā hai. 25 Kyoṅki tere bāp kā Ḳhudā terī madad kartā hai, Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe āsmān kī barkat, zamīn kī gahrāiyoṅ kī barkat aur aulād kī barkat detā hai. 26 Tere bāp kī barkat qadīm pahāṛoṅ aur abadī pahāṛiyoṅ kī marġhūb chīzoṅ se zyādā azīm hai. Yih tamām barkat Yūsuf ke sar par ho, us shaḳhs ke chāṅd par jo apne bhāiyoṅ par shahzādā hai. 27 Binyamīn phāṛne wālā bheṛiyā hai. Subah wuh apnā shikār khā jātā aur rāt ko apnā lūṭā huā māl taqsīm kar detā hai.” 28 Yih Isrāīl ke kul bārah qabīle haiṅ. Aur yih wuh kuchh hai jo un ke bāp ne un se barkat dete waqt kahā. Us ne har ek ko us kī apnī barkat dī. 29 Phir Yāqūb ne apne beṭoṅ ko hukm diyā, “Ab maiṅ kūch karke apne bāpdādā se jā milūṅgā. Mujhe mere bāpdādā ke sāth us ġhār meṅ dafnānā jo Hittī ādmī Ifron ke khet meṅ hai. 30 Yānī us ġhār meṅ jo Mulk-e-Kanān meṅ Mamre ke mashriq meṅ Makfīlā ke khet meṅ hai. Ibrāhīm ne use khet samet apne logoṅ ko dafnāne ke lie Ifron Hittī se ḳharīd liyā thā. 31 Wahāṅ Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā dafnāe gae. Wahāṅ Is'hāq aur us kī bīwī Ribqā dafnāe gae aur wahāṅ maiṅ ne Liyāh ko dafn kiyā. 32 Wuh khet aur us kā ġhār Hittiyoṅ se ḳharīdā gayā thā.” 33 In hidāyāt ke bād Yāqūb ne apne pāṅw bistar par sameṭ lie aur dam chhoṛ kar apne bāpdādā se jā milā.