James 3 (UGV3)
1 Mere bhāiyo, āp meṅ se zyādā ustād na baneṅ. Āp ko mālūm hai ki ham ustādoṅ kī zyādā saḳhtī se adālat kī jāegī. 2 Ham sab se to kaī tarah kī ġhaltiyāṅ sarzad hotī haiṅ. Lekin jis shaḳhs se bolne meṅ kabhī ġhaltī nahīṅ hotī wuh kāmil hai aur apne pūre badan ko qābū meṅ rakhne ke qābil hai. 3 Ham ghoṛe ke muṅh meṅ lagām kā dahānā rakh dete haiṅ tāki wuh hamāre hukm par chale, aur is tarah ham apnī marzī se us kā pūrā jism chalā lete haiṅ. 4 Yā bādbānī jahāz kī misāl leṅ. Jitnā bhī baṛā wuh ho aur jitnī bhī tez hawā chaltī ho nāḳhudā ek chhoṭī-sī patwār ke zariye us kā ruḳh ṭhīk rakhtā hai. Yoṅ hī wuh use apnī marzī se chalā letā hai. 5 Isī tarah zabān ek chhoṭā-sā azu hai, lekin wuh baṛī baṛī bāteṅ kartī hai.Dekheṅ, ek baṛe jangal ko bhasm karne ke lie ek hī chingārī kāfī hotī hai. 6 Zabān bhī āg kī mānind hai. Badan ke dīgar āzā ke darmiyān rah kar us meṅ nārāstī kī pūrī duniyā pāī jātī hai. Wuh pūre badan ko ālūdā kar detī hai, hāṅ insān kī pūrī zindagī ko āg lagā detī hai, kyoṅki wuh ḳhud jahannum kī āg se sulgāī gaī hai. 7 Dekheṅ, insān har qism ke jānwaroṅ par qābū pā letā hai aur us ne aisā kiyā bhī hai, ḳhāh janglī jānwar hoṅ yā parinde, reṅgne wāle hoṅ yā samundarī jānwar. 8 Lekin zabān par koī qābū nahīṅ pā saktā, is betāb aur sharīr chīz par jo mohlak zahr se labālab bharī hai. 9 Zabān se ham apne Ḳhudāwand aur Bāp kī satāish bhī karte haiṅ aur dūsroṅ par lānat bhī bhejte haiṅ, jinheṅ Allāh kī sūrat par banāyā gayā hai. 10 Ek hī muṅh se satāish aur lānat nikaltī hai. Mere bhāiyo, aisā nahīṅ honā chāhie. 11 Yih kaise ho saktā hai ki ek hī chashme se mīṭhā aur kaṛwā pānī phūṭ nikle. 12 Mere bhāiyo, kyā anjīr ke daraḳht par zaitūn lag sakte haiṅ yā angūr kī bel par anjīr? Hargiz nahīṅ! Isī tarah namkīn chashme se mīṭhā pānī nahīṅ nikal saktā. 13 Kyā āp meṅ se koī dānā aur samajhdār hai? Wuh yih bāt apne achchhe chāl-chalan se zāhir kare, hikmat se paidā hone wālī halīmī ke nek kāmoṅ se. 14 Lekin ḳhabardār! Agar āp dil meṅ hasad kī kaṛwāhaṭ aur ḳhudġharzī pāl rahe haiṅ to is par sheḳhī mat mārnā, na sachchāī ke ḳhilāf jhūṭ boleṅ. 15 Aisā faḳhr āsmān kī taraf se nahīṅ hai, balki duniyāwī, ġhairrūhānī aur Iblīs se hai. 16 Kyoṅki jahāṅ hasad aur ḳhudġharzī hai wahāṅ fasād aur har sharīr kām pāyā jātā hai. 17 Āsmān kī hikmat farq hai. Awwal to wuh pāk aur muqaddas hai. Nīz wuh amnpasand, narmdil, farmāṅbardār, rahm aur achchhe phal se bharī huī, ġhairjānibdār aur ḳhulūsdil hai. 18 Aur jo sulah karāte haiṅ un ke lie rāstbāzī kā phal salāmatī se boyā jātā hai.
In Other Versions
James 3 in the ANGEFD
James 3 in the ANTPNG2D
James 3 in the AS21
James 3 in the BAGH
James 3 in the BBPNG
James 3 in the BBT1E
James 3 in the BDS
James 3 in the BEV
James 3 in the BHAD
James 3 in the BIB
James 3 in the BLPT
James 3 in the BNT
James 3 in the BNTABOOT
James 3 in the BNTLV
James 3 in the BOATCB
James 3 in the BOATCB2
James 3 in the BOBCV
James 3 in the BOCNT
James 3 in the BOECS
James 3 in the BOGWICC
James 3 in the BOHCB
James 3 in the BOHCV
James 3 in the BOHLNT
James 3 in the BOHNTLTAL
James 3 in the BOICB
James 3 in the BOILNTAP
James 3 in the BOITCV
James 3 in the BOKCV
James 3 in the BOKCV2
James 3 in the BOKHWOG
James 3 in the BOKSSV
James 3 in the BOLCB
James 3 in the BOLCB2
James 3 in the BOMCV
James 3 in the BONAV
James 3 in the BONCB
James 3 in the BONLT
James 3 in the BONUT2
James 3 in the BOPLNT
James 3 in the BOSCB
James 3 in the BOSNC
James 3 in the BOTLNT
James 3 in the BOVCB
James 3 in the BOYCB
James 3 in the BPBB
James 3 in the BPH
James 3 in the BSB
James 3 in the CCB
James 3 in the CUV
James 3 in the CUVS
James 3 in the DBT
James 3 in the DGDNT
James 3 in the DHNT
James 3 in the DNT
James 3 in the ELBE
James 3 in the EMTV
James 3 in the ESV
James 3 in the FBV
James 3 in the FEB
James 3 in the GGMNT
James 3 in the GNT
James 3 in the HARY
James 3 in the HNT
James 3 in the IRVA
James 3 in the IRVB
James 3 in the IRVG
James 3 in the IRVH
James 3 in the IRVK
James 3 in the IRVM
James 3 in the IRVM2
James 3 in the IRVO
James 3 in the IRVP
James 3 in the IRVT
James 3 in the IRVT2
James 3 in the IRVU
James 3 in the ISVN
James 3 in the JSNT
James 3 in the KAPI
James 3 in the KBT1ETNIK
James 3 in the KBV
James 3 in the KJV
James 3 in the KNFD
James 3 in the LBA
James 3 in the LBLA
James 3 in the LNT
James 3 in the LSV
James 3 in the MAAL
James 3 in the MBV
James 3 in the MBV2
James 3 in the MHNT
James 3 in the MKNFD
James 3 in the MNG
James 3 in the MNT
James 3 in the MNT2
James 3 in the MRS1T
James 3 in the NAA
James 3 in the NASB
James 3 in the NBLA
James 3 in the NBS
James 3 in the NBVTP
James 3 in the NET2
James 3 in the NIV11
James 3 in the NNT
James 3 in the NNT2
James 3 in the NNT3
James 3 in the PDDPT
James 3 in the PFNT
James 3 in the RMNT
James 3 in the SBIAS
James 3 in the SBIBS
James 3 in the SBIBS2
James 3 in the SBICS
James 3 in the SBIDS
James 3 in the SBIGS
James 3 in the SBIHS
James 3 in the SBIIS
James 3 in the SBIIS2
James 3 in the SBIIS3
James 3 in the SBIKS
James 3 in the SBIKS2
James 3 in the SBIMS
James 3 in the SBIOS
James 3 in the SBIPS
James 3 in the SBISS
James 3 in the SBITS
James 3 in the SBITS2
James 3 in the SBITS3
James 3 in the SBITS4
James 3 in the SBIUS
James 3 in the SBIVS
James 3 in the SBT
James 3 in the SBT1E
James 3 in the SCHL
James 3 in the SNT
James 3 in the SUSU
James 3 in the SUSU2
James 3 in the SYNO
James 3 in the TBIAOTANT
James 3 in the TBT1E
James 3 in the TBT1E2
James 3 in the TFTIP
James 3 in the TFTU
James 3 in the TGNTATF3T
James 3 in the THAI
James 3 in the TNFD
James 3 in the TNT
James 3 in the TNTIK
James 3 in the TNTIL
James 3 in the TNTIN
James 3 in the TNTIP
James 3 in the TNTIZ
James 3 in the TOMA
James 3 in the TTENT
James 3 in the UBG
James 3 in the UGV
James 3 in the UGV2
James 3 in the VBL
James 3 in the VDCC
James 3 in the YALU
James 3 in the YAPE
James 3 in the YBVTP
James 3 in the ZBP