James 4 (UGV3)
1 Yih laṛāiyāṅ aur jhagaṛe jo āp ke darmiyān haiṅ kahāṅ se āte haiṅ? Kyā in kā sarchashmā wuh burī ḳhāhishāt nahīṅ jo āp ke āzā meṅ laṛtī rahtī haiṅ? 2 Āp kisī chīz kī ḳhāhish rakhte haiṅ, lekin use hāsil nahīṅ kar sakte. Āp qatl aur hasad karte haiṅ, lekin jo kuchh āp chāhte haiṅ wuh pā nahīṅ sakte. Āp jhagaṛte aur laṛte haiṅ. To bhī āp ke pās kuchh nahīṅ hai, kyoṅki āp Allāh se māṅgte nahīṅ. 3 Aur jab āp māṅgte haiṅ to āp ko kuchh nahīṅ miltā. Wajah yih hai ki āp ġhalat nīyat se māṅgte haiṅ. Āp is se apnī ḳhudġharz ḳhāhishāt pūrī karnā chāhte haiṅ. 4 Bewafā logo! Kyā āp ko nahīṅ mālūm ki duniyā kā dost Allāh kā dushman hotā hai? Jo duniyā kā dost bananā chāhtā hai wuh Allāh kā dushman ban jātā hai. 5 Yā kyā āp samajhte haiṅ ki kalām-e-muqaddas kī yih bāt betukī-sī hai ki Allāh ġhairat se us Rūh kā ārzūmand hai jis ko us ne hamāre andar sukūnat karne diyā? 6 Lekin wuh hameṅ is se kahīṅ zyādā fazl baḳhshtā hai. Kalām-e-muqaddas yoṅ farmātā hai, “Allāh maġhrūroṅ kā muqābalā kartā lekin farotanoṅ par mehrbānī kartā hai.” 7 Ġharz, Allāh ke tābe ho jāeṅ. Iblīs kā muqābalā kareṅ to wuh bhāg jāegā. 8 Allāh ke qarīb ā jāeṅ to wuh āp ke qarīb āegā. Gunāhgāro, apne hāthoṅ ko pāk-sāf kareṅ. Dodilo, apne diloṅ ko maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ. 9 Afsos kareṅ, mātam kareṅ, ḳhūb roeṅ. Āp kī haṅsī mātam meṅ badal jāe aur āp kī ḳhushī māyūsī meṅ. 10 Apne āp ko Ḳhudāwand ke sāmne nīchā kareṅ to wuh āp ko sarfarāz karegā. 11 Bhāiyo, ek dūsre par tohmat mat lagānā. Jo apne bhāī par tohmat lagātā yā use mujrim ṭhahrātā hai wuh sharīat par tohmat lagātā hai aur sharīat ko mujrim ṭhahrātā hai. Aur jab āp sharīat par tohmat lagāte haiṅ to āp us ke pairokār nahīṅ rahte balki us ke munsif ban gae haiṅ. 12 Sharīat dene wālā aur munsif sirf ek hī hai aur wuh hai Allāh jo najāt dene aur halāk karne ke qābil hai. To phir āp kaun haiṅ jo apne āp ko munsif samajh kar apne paṛosī ko mujrim ṭhahrā rahe haiṅ! 13 Aur ab merī bāt suneṅ, āp jo kahte haiṅ, “Āj yā kal ham fulāṅ fulāṅ shahr meṅ jāeṅge. Wahāṅ ham ek sāl ṭhahar kar kārobār karke paise kamāeṅge.” 14 Dekheṅ, āp yih bhī nahīṅ jānte ki kal kyā hogā. Āp kī zindagī chīz hī kiyā hai! Āp bhāp hī haiṅ jo thoṛī der ke lie nazar ātī, phir ġhāyb ho jātī hai. 15 Balki āp ko yih kahnā chāhie, “Agar Ḳhudāwand kī marzī huī to ham jieṅge aur yih yā wuh kareṅge.” 16 Lekin filhāl āp sheḳhī mār kar apne ġhurūr kā izhār karte haiṅ. Is qism kī tamām sheḳhībāzī burī hai. 17 Chunāṅche jo jāntā hai ki use kyā kyā nek kām karnā hai, lekin phir bhī kuchh nahīṅ kartā wuh gunāh kartā hai.
In Other Versions
James 4 in the ANGEFD
James 4 in the ANTPNG2D
James 4 in the AS21
James 4 in the BAGH
James 4 in the BBPNG
James 4 in the BBT1E
James 4 in the BDS
James 4 in the BEV
James 4 in the BHAD
James 4 in the BIB
James 4 in the BLPT
James 4 in the BNT
James 4 in the BNTABOOT
James 4 in the BNTLV
James 4 in the BOATCB
James 4 in the BOATCB2
James 4 in the BOBCV
James 4 in the BOCNT
James 4 in the BOECS
James 4 in the BOGWICC
James 4 in the BOHCB
James 4 in the BOHCV
James 4 in the BOHLNT
James 4 in the BOHNTLTAL
James 4 in the BOICB
James 4 in the BOILNTAP
James 4 in the BOITCV
James 4 in the BOKCV
James 4 in the BOKCV2
James 4 in the BOKHWOG
James 4 in the BOKSSV
James 4 in the BOLCB
James 4 in the BOLCB2
James 4 in the BOMCV
James 4 in the BONAV
James 4 in the BONCB
James 4 in the BONLT
James 4 in the BONUT2
James 4 in the BOPLNT
James 4 in the BOSCB
James 4 in the BOSNC
James 4 in the BOTLNT
James 4 in the BOVCB
James 4 in the BOYCB
James 4 in the BPBB
James 4 in the BPH
James 4 in the BSB
James 4 in the CCB
James 4 in the CUV
James 4 in the CUVS
James 4 in the DBT
James 4 in the DGDNT
James 4 in the DHNT
James 4 in the DNT
James 4 in the ELBE
James 4 in the EMTV
James 4 in the ESV
James 4 in the FBV
James 4 in the FEB
James 4 in the GGMNT
James 4 in the GNT
James 4 in the HARY
James 4 in the HNT
James 4 in the IRVA
James 4 in the IRVB
James 4 in the IRVG
James 4 in the IRVH
James 4 in the IRVK
James 4 in the IRVM
James 4 in the IRVM2
James 4 in the IRVO
James 4 in the IRVP
James 4 in the IRVT
James 4 in the IRVT2
James 4 in the IRVU
James 4 in the ISVN
James 4 in the JSNT
James 4 in the KAPI
James 4 in the KBT1ETNIK
James 4 in the KBV
James 4 in the KJV
James 4 in the KNFD
James 4 in the LBA
James 4 in the LBLA
James 4 in the LNT
James 4 in the LSV
James 4 in the MAAL
James 4 in the MBV
James 4 in the MBV2
James 4 in the MHNT
James 4 in the MKNFD
James 4 in the MNG
James 4 in the MNT
James 4 in the MNT2
James 4 in the MRS1T
James 4 in the NAA
James 4 in the NASB
James 4 in the NBLA
James 4 in the NBS
James 4 in the NBVTP
James 4 in the NET2
James 4 in the NIV11
James 4 in the NNT
James 4 in the NNT2
James 4 in the NNT3
James 4 in the PDDPT
James 4 in the PFNT
James 4 in the RMNT
James 4 in the SBIAS
James 4 in the SBIBS
James 4 in the SBIBS2
James 4 in the SBICS
James 4 in the SBIDS
James 4 in the SBIGS
James 4 in the SBIHS
James 4 in the SBIIS
James 4 in the SBIIS2
James 4 in the SBIIS3
James 4 in the SBIKS
James 4 in the SBIKS2
James 4 in the SBIMS
James 4 in the SBIOS
James 4 in the SBIPS
James 4 in the SBISS
James 4 in the SBITS
James 4 in the SBITS2
James 4 in the SBITS3
James 4 in the SBITS4
James 4 in the SBIUS
James 4 in the SBIVS
James 4 in the SBT
James 4 in the SBT1E
James 4 in the SCHL
James 4 in the SNT
James 4 in the SUSU
James 4 in the SUSU2
James 4 in the SYNO
James 4 in the TBIAOTANT
James 4 in the TBT1E
James 4 in the TBT1E2
James 4 in the TFTIP
James 4 in the TFTU
James 4 in the TGNTATF3T
James 4 in the THAI
James 4 in the TNFD
James 4 in the TNT
James 4 in the TNTIK
James 4 in the TNTIL
James 4 in the TNTIN
James 4 in the TNTIP
James 4 in the TNTIZ
James 4 in the TOMA
James 4 in the TTENT
James 4 in the UBG
James 4 in the UGV
James 4 in the UGV2
James 4 in the VBL
James 4 in the VDCC
James 4 in the YALU
James 4 in the YAPE
James 4 in the YBVTP
James 4 in the ZBP